Muharram

Shahadat-E-Imaam Hussain Radiallahu Anhu Part 2

Part-2
Yazeed Ka AHLE BAIT E NABWAT se Us
Ki Adaawat(Dushmani) Ka Andaaza Is Baat Se Bhi Lagaya Jaa Sakta Hai Ke Jab AHLE BAIT-E-NABAWAT ka Ye’h Musibat Zada’h Qaafila Ibne Ziyaad Ne Yazeed Ke Paas Bheja To Us Ne Mulk E Shaam Ke Umra’a (Amiro’n) Aur Darbaariyo’n Ko Jama Kiya Phir Bhare Darbar Me’n KHANWADAH-E-NABWAT ki KHUWATEEN Us Ke Saamne
Pesh Kee Gayee’n Aur Us Ke Sab
Daarbariyo’n Ne Yazeed Ko Us Fateh Par
Mubarak-Baad Dee.
(Tabri, Jild- 4: 181, Al-Bidaya Wal-Nihaya
Jild- 8: 197)
Yazeed Ki Khabase Batin Aur Adaawate
AHLE BAIT Ki Ek Aur Sharam Naak Misaal Mulahiza Kijiye:
Yazeed Ki Aam Darbaar Me EK Shaami
Khada Huwa Aur Ahle Bait Me’n Se
SAYYADA’H FATIMA’H BINT E HUSAIN
RadiALLAHU Ta’ala Anha Ki Taraf Ishaara Kar Ke Ye’h Kahne Laga Ye’h Mujhe Bakhsh Do (Muft Me’n De Do). MASOOM SAYYADA’H Ye’h Sun Kar Laraz Gayee Aur Usne SAYYADA’H ZAINAB RadiALLAHU Ta’ala Anha Ka Daaman Mazbooti Se Pakad Liya.
HAZRAT SAYYADA’H ZAINAB
RadiALLAHU Ta’ala Anha Ne Garaj Kar
Kaha:
Tu Jhoot Bakta Hai. Ye’h Na Tujhe Mil Sakti Hai Aur Na Is Yazeed Ko.
Yazeed Ye Sun Kar Taish(Gussa, Josh)
Me Aa Gaya Aur Bola:
Tum Jhoot Bolti Ho. Khuda Ki Qasam!! Ye’h Mere Qabzey Me’n Hai Aur Agar Mai Isey Dena Chahu’n To De Sakta Hu’n.
SAYYADA’H ZAINAB RadiALLAHU Ta’ala
Anha Ne Garaz Daar Awaaz Me’n Kaha:
Hargiz Nahi’n. Khuda Ki Qasam!! Tumhe
Aisa Karne Ka Khuda Ne Koi Haq Nahi Diya.
Siwaye Iske Ke Tum Ailaaniya Hamari
Ummat Se Nikal Jao Aur Hamare Deen Ko Chhord Kar Koi Aur Deen Iktiyaar (Pasand, Qabool) Kar Lo.
Yazeed Ne Taish(Gussa Me’n Aa Kar
Kaha:
Tu Hamara Muqabla Karti Hai, Tera Baap
Aur Tere Bhai Deen Se Khareej Ho Gaye
Hai’n.
SAYYADA’H ZAINAB RadiALLAHU Ta’ala
Anha Ne Kaha:
ALLAH ke DEEN Aur Mere Baap, Mere Bhai Aur Mere Nana Ke DEEN Se Tuney, Tere Baap Ne Aur Dada Ne Hidayaat Payee Hai.
Yazeed Ne Kaha:
Tuney Jhoot Bola Hai.
SAYYADA’H ZAINAB RadiALLAHU Ta’ala
Anha Ne Kaha:
Tu Zabardaasti Ameer Ul Momineen Hai, Tu Zaalim Ho Kar Galiya’n Deta Hai Aur Aapne Iqtedaar Se Galib Aata Hai.
Yazeed Ye’h Sun Kar Chup Ho Gaya.
Us Shaami Ne Phir Wahi Sawal Kiya To
Yazeed Ne Kaha:
Durr Ho Jaa. Khuda Tujhe Maut De.
(Tabri, Jild- 4: 181, Al-Bidaya Wal-Nihaya
Jild- 8: 197)
Aaz Log Yazeed Ke Afsos-o-Nadaamat
Ka Zikr Kar Ke Usey Be Qasoor Sabit Karne Ki Koshish Karte Hain.
Uski Nadamat Ki Haqeeqat IBN E ASEER
Ke Qalam Se Padhye.
Wo Raqam Taraaz(Likhne Wale, Likhte)
Hain:
Jab IMAM AALI MAQAAM ka SAR E
AQDAS Yazeed Ke Paas Pahoncha To
Yazeed Ke Dil Me’n Ibn e Ziyaad ki Qadar-o-Manzilaat(Izzat) Badh Gayee Aur Jo Us Ne Kiya Tha Us Par Yazeed Bohat Khush Huwa.
Lekin Jab Usey Ye’h Khabre’n Milney Lagi’n Ke Is Wajah Se Log Us Se Nafrat Karne Lagey Hai’n, Us Pe Laanat Bhejtey Hai’n Aur Galiya’n Detey Hai’n To Phir Wo IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ke Qatal Par Naadim(Sharminda’h) Huwa.
(Tareekh E Kaamil Jils -4: 87)
Phir Yazeed Ne Kaha:
Ibne Ziyaad Tune HUSSAIN (RadiALLAHU Ta’ala Anhu) Ko Qatal Kar Ke Mujhe Musalmano’n Ki Nigaaho’n Me’n Mabguz (Qabil E Nafrat) Bana Diya Hai, Un Ke Dilo’n Me’n Meri Adawat (Dushmani) Bhar Di Hai Aur Har Nek-o-Bad (Achche Aur Burey) Shakhs Mujh Se Nafrat Karne Laga Hai Kyu Ki Wo Samajhte Hai Ki IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ko Qatal Kar Ke Maine Bada Zulm Kiya Hai. Khuda Ibne Ziyaad Par Laanat Kare Aur Us Par Gazab Nazil Kare, Us Ne Mujhe Barbaad Kar Diyaa.
Yazeed Ki Nadaamat-o-Pashemani
(Sharmindgi) ki Wajah Aapne Padhli Hai. Is Nadaamat Ka Adal-o-Insaaf Se Zara Sa Bhi Taaluq Nahi Hai Warna Ek Aam Musalman Bhi Qatal Kar Diya Jaye To Qatil Se Qisaas (Badla) Lena Haakim (Hukumat/Hukm Karne Wala, Baadshaa) Par Farz Hota Hai. Yaha To KHANDAN E NABUWWAAT ke Qatle Aam Ka Muaamla Tha. Ibne Ziyaad, Ibne Sa’ad, Shamar Maaloon Se Qisaas (Badla) Lena To Dar-Kinaar Kisi Ko Uske Ahodey Se Bar- Taraf Tak Na Kiya Gaya Aur Na Hi Koi Tadeebi (Tambiya, Khabardari, Aagahi) Karwayee Huwi.
Baaz Juhalaa (Jahil ki Jamaa, Jahil Log)
Kahte Hai’n Ke IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Par Laazim Tha Ke Wo Yazeed Ki Ita’at (Bandagi, Farma-Bardaari) Karte.
Is Khayal-E-Bad (Buri Samaj) Ke Rad Me’n SHAKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Farmatey Hai’n:
Yazeed IMAM HUSSAIN RadiALLAHU
Ta’ala Anhu Ke Hote Huwe Ameer Kaise Ho Sakta Tha Aur Musalmano’n Par Uski Ita’at Kaise Laazim Ho Sakti Thi Jab Ke Us Waqt Ke Sahaba’h E Kiraam Alaihim Ar-Ridwan Aur Sahaba’h E Kiraam Ki Jo Aulad Maujud Thi, Sab Uski Itaat Se Bezaari Ka Izhaar-O-Ailaan Kar Chuke The.
MADEENA MUNAWARA’H Se Chand Log
Us Ke Paas Shaam Me Zabardasti
Pahonchaye Gaye The. Wo Yazeed Ke Na-Pasandeeda hai. Aamal Dekh Kar Wapas MADEENA MUNAWARA’H Chalay Gaye Aur Aarzi E Bait Ko Faskh (Todna, Mansookh Karna) Kar Diya. Un Logo Ne Barmala (Khulam Khula) Kaha Yazeed Khuda Ka Dushmaan Hai, Sharab Nosh Hai, Tarq-ul-Salath (Namaz Tarq Karne Wala) Hai, Zaani Hai, Faasiq Hai, Aur Mahram Se Bhi Sahobata Karne Se Baaz Nahi Aata.
(Takmil Ul Imaan Safa : 178)
Yazeed Ke Fisq O Fujoor Ke Mutalik
Akabir Sahaba O Tabaeen Ke Aqwaal
TAREEKH E TABRI, TAREEKHE KAAMIL aur TAREEK UL KHULFA Me’n Mulahiza Kiye Jaa Sakte Hai’n. Ikhtisaar (Khulaasa) Ke Peshe Nazar HAZRAT ABDULLAH BIN HANZALA GASEEL UL MALAIKA RadiALLAHU Ta’ala
Anhuma Ka Irshaad Pesh E Khidmaat Hai.
Aap Farmate Hai:
KHUDA KI KASAM!! Ham Yazeed Ke Khilaaf Us Waqt Uth Khade Huwe Jab Hume Ye’h Khauf Lahaq Ho Gaya Ke (Us Ki Baad Kaariyo Ki Wajah Se) Ham Par Kahi Asmaan Se Patthar Na Baras Pade Kyunki Ye’h Shaks Maa’o , Betiyo’n Aur Bahno’n Ke Saath Nikah Ko Jaiz Karar Deta Tha, Sharaab Peeta Tha Aur Namaz Chhordta Tha.
(Tabaqat Ibn E Saad, Jild – 5:66, Ibn E
Aseer, Jild – 4:41, Taarikh Ul Khulfa : 306)
IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ne Yazeedi Lashkar Ke Saamne Jo Khutba Diya Us Me’n Bhi Yazeed Ke Khilaf Nikalne Ki Yahi Wajah Irshaad Farmayee:
”KHABARDAAR!! Beshak Un Logo’n Ne
Shaitaan Ki Itaat Ikhtiyaar Kar Li Hai. Aur Rahmaan Ki Itaat Ko Chord Diya Hai Aur Fitna O Fasaad Barpa Kar Diya Hai Aur Hadud E Shara’ee Muaattal(Be-kaar) Kar Diya Hai. Ye’h Mahasal(Mahsool Ki Jamaa, Lagaan) Ko Aapne Liye Kharch Karte Hai’n, ALLAH Ta’ala Ki Haraam Karda’h Baato’n Ko Halal Aur Halal Karda’h Ko Haraam Karar Deta Hai’n.”
(Taarikh Ibn E Aseer, Jild 4 ; 20)
SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Rahmatullah Ta’ala Alaihi Farmate Hai:
Hamare Nazdeek Yazeed Mabguz(Qabil-E-Nafrat) Tareen Insaan Tha Us Bad-Bakht Ne Jo Kaar-Haye(AfsosNaak Kaam) Anjaam Diye Wo Is Ummat Me’n Se Kisi Ne Nahi Kiye. SHAHADAT E IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Aur Ihaanat(Be-Izaati, Zillat, Toheen) E AHLE BAIT Se Faarig (Aazad) Ho Kar Us Bad-Bakht Ne MADEENA MUAWARA’H Par Lashkaar Kashi(Hamla,Chadha’ee) Ki Aur Muqaddas Shaher Ki Be-Hurmati(Be-Izzati) Ke Baad AHLE
MADEENA’H Ke Khoon Se Haath Range Aur
Baki Bache Huwe Shahabio’n Ko Qatl Karne Ka Hukm Diya.
MADEENA’H MUNWARA’H Ki Takhreeb
(Ujaadne , Kharab Karne) Ke Baad Us Ne
MAKKA MUAZZAMA’H ki Tabaahi Ka Hukm Diya Aur HAZRAT ABDULLAH BIN ZUBAIR RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ki Shahadat Ka ZimeDaar Thahera. Aur Unhi Haalat Me’n Wo Duniya Se Rukhsat Ho Gaya.
(Takmil Ul Imaan, Page : 197)
AALA HAZRAT MUJADDID E DEEN O
MILLAT IMAM AHMED RAZA MUHADDISE BARELVI RadiALLAHU Ta’ala Anhu Raqam-Taraaz(Likhne Wala, Likhte) Hai’n, Yazeed Paleed Qataa’n Yakeena’n Ba-Ijmaa E Ahle Sunnat Fasiq-O-Fajir(Gunah Gaar) Aur Jari Alal Kabaeer(Badey Badey Gunaho’n ko Be-Khauf Karne Wala) Tha.
Phir Us ke Kartoot Aur Mazaalim(Zulm,
Sitam) Likh Kar Farmate Hai’n:- Maloon(Laanat Kiya Gaya’ Mardood) Hai Jo Un Maloon Harkat Ko Fisq-O-Fujoor (Gunah) Na Jaane, Quran Kareem Me’n Saraahatan (Khullam Khula) Us Par ” ﻟﻌﻨﮭﻢ ﺍﻟﻠﮧ ” Farmaya.
(Irfaan E Shariaat)
Yazeed Paleed Fasiq Fajir Murtakab E
Kabaeer(Badey Gunah Karne Wale) Tha.
MaazALLAH Yazeed Se Aur RIHAANA E
RASOOL Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam SAYADNA IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Se Kya Nisbat(Taaluq, Ek Jaisa Hona)
Aaj Kal Jo Baaz Gumraah Kahte Hain Ke
Hume’n Unke Muamley Me’n Kya Dakhal Hai Woh Bhi Hamarey Shahzaadey Aur Woh Bhi Shahzaadey. Aisa Bakney Wala Mardood, Khaarji, Na-Sabi, Mustahiq E Jahannam Hai.
(Bahar E Shari’at, Hissa Awwal; 78)
MUHADDIS IBNE JAWZI Ne Riwayaat Kiya Hai IMAM AHMED BIN HAMBAL
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Se Un Ke Betey SALHEY Ramatullah Ta’ala Alaihi Ne Arz Ki, Ek Qaum Hamari Taraf Ye’h Mansoob Karti Hai Ke Hum Yazeed Ke Dost Aur Himayati Hai’n. Farmaya, Aae Bete! Jo Shakhs ALLAH Ta’ala par Imaan Laata Hai wo Yazeed Ki Dosti Ka Dawa Kaise Kar Sakta Hai. Balke Mai Us Par Kyu Na Laanat Bheju’n Jis Par ALLAH Ta’ala Ne Quraan Me Laanat Bheji Hai.
Kanzul Imaan:
To Kya Tumharey Ye’h
Lachchan(Kartoot) Nazar Aata Hai’n Ke Agar Tumhe’n Hukumat Miley To Zamin Me’n Fasaad Phailao Aur Aapne Rishtey Kaat Do. Ye’h Hai Woh Jin Par ALLAH Ne Laanat Kee Aur Unhe Haq(Sunney) Se Bahera Kar Diya Aur Unki Aankhe’n Phod Dee(Yaani Unhe’n Haq Dekhney Se Andha Kar Diya).
(Surah Muhammad : 22, 23)
Phir Farmaya:
Batao Kya HAZRAT IMAM HUSAIN
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ke Qatl Se Bhi
Banda Koi Fasaad Hai?
(Al Sawaiq ul Muharriqa:333)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
“Yazeed Murdabaad. Yazeed Murdabaad.”
Yazeed Paleed Aur Uske Chahnewale Faasiqo Par ALLAH Ki Beshumar Laanat Ho.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!