Muharram
Shahadat-E-Imaam Hussain Radiallahu Anhu Part 1
Part-1
Rajjab “60” Hijri Me’n HAZRAT
MUAAWIYA RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ke WISAAL Ke Baad Yazeed Ne MADEENA-E-MUNAWWARAH Ke Governor Waleed Bin Utbah Ko Likha Ke HUSAIN, IBN-E-UMAR, Aur IBN-E-ZUBAIR RadiaALLAHU Ta’ala Anhum Se Fauri Taur Par BAI’AT Le Lo Aur Jab Tak Woh BAI’AT Na Kare’n Unhe’n Mat Chhordo.
(Tarik E Kaamil, Jild-4:14)
.
IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala
Anhu Ne Yazeed ki BAI’AT se Inkaar Kiya
Aur MAKKAH SHAREEF Tashreef Le Gaye.
AAP Ke Nazdeek Yazeed Musalmano’n Ki Imaamat-o-Siyaadat (Rehbar aur Sardaar)
Ke Hargiz Laayeq Nahi Tha Balke Faasiq-O-Faajir, Sharaabi Aur Zaalim Tha. IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ko Kufiyo’n Ne Mutaddid (Kayee) Khutoot (Letters) Likhe Aur Kayee Qaasid (Chitthi ya
Khabar Pahunchaane Waala) Bheje Ke AAP Kufe Aaye’n, Hamaara koi Imaam Nahi Hai, hum AAP Se BAI’AT Karenge. Khutoot (Letters) Aur Qaasido’n Ki Taadaad Is Qadar
Ziyada Thi ke IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ne yeh samjha Ke MUJH Par Unki Rehnumayi ke liye Aur Unhe’n Faasiq-
o-Faaijir Ki BAI’AT Se Bachaane Ke Liye
Jaana Zaruri Ho Gaya Hai.
.
Haalaat se Aagahee (Khabar Rakhne) ke
liye AAP Ne MŮSLIM BIN AQEEL
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ko Kůfa bheja, Jin ke Haath Par Beshumaar logo’n ne BAI’AT
Kar Li, Lekin Jab Ibn-e-Ziyaad Ne Dhamkiyan Din To Woh Log Apni BAI’AT Se Phir Gaye Aur MUSLIM BIN AQEEL RadiALLAHU Ta’ala
Anhu SHAHEED Kar Diye Gaye .
ﺍِﻧﺎَّ ﻟـِﻠَّـﻪِ ﻭَ ﺍِﻧﺎَّ ﺍِﻟَـﻴـﻪِ ﺭَﺍﺟِـﻌُــﻮﻥ
.
IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ko HAZRAT MUSLIM BIN AQEEL Ki SHAHAADAT Aur Ahle-Kufa Ki Bewafaayi Ki Khabar Us Waqt Mili Jab AAP MAKKAH SHAREEF Se Kufa Ki Taraf Rawaana Ho Chuke The.
IMAM-E-HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala
Anhu Ki SHAHAADAT Ke Tafseeli Waaqiaat Jaanne ke Liye SADRUL AFAAZIL MAULANA SAYYED NAEEMUDDIN MURAADABADI
ﺭَﺣﻤَﺖُ ﺍﻟـﻠَّـﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟَﻰ ﻋَـﻠَـﻴـﻪ Ki Kitaab “SAWAANEH
KARBALA” Ka Mutaala Kiya Jaa Sakta Hai.
Mukhtasar Yeh Hai ke HUSAINI KAAFILE Mein Bachche, Khwaatin aur Mard Mila kar “72” Nufoos (Hastiyaa’n, Log) The Jo ke Jang ke Iraade Se Bhi Nahi Aaye The. Unke
Muqaable Ke Liye Yazeedi Fauj “22,000”
Hazaar Sawaar aur Paidal Musallah-Afraad (Hatyaar Ke Saath Wale Log) Par Mushtamil (Shaamil) The. Is ke Baa-Wajood zaalimo’n ne AHLE BAIT AT’HAAR Rizwan ALLAH
Ta’ala Ajmaeen Par Daryaa-e-Faraat Ka
Paani Band Kar Diya. Teen (3) Din ke
Bhooke Pyaase IMAM AALI MAQAAM
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Apne “18” AHLE BAIT Aur Deegar “54” Jaan Nisaaro’n Ke Hamraah (Saath) “10” Muharram, “61” Hijri Ko KARBALA Mein Nihaayat Be Dardi se SHAHEED Kar Diye Gaye .
.
ﺍِﻧﺎَّ ﻟـِﻠَّـﻪِ ﻭَ ﺍِﻧﺎَّ ﺍِﻟَـﻴـﻪِ ﺭَﺍﺟِـﻌُــﻮﻥ
.
✏ HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU
Ta’ala Anhu Riwaayat hai ke Ek Din Dopaher ke Waqt Mai Ne RASOOLALLAAH Sallallahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Ko Khwaab Me’n
Dekha ke GESU-E-MUBAARAK (BAAL
MUBAARAK) Bikhre Hue Hai’n aur DAST-E-MUBAARAK Me’n Khoon se Bhari Hui Ek Bottle Hai.
Mai Arz Guzaar Hua ke Mere MAA BAAP
AAP Par Qurbaan ! Yeh Kya Hai?
AAP Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaaya:
“Yeh HUSAIN Aur Us Ke Saathiyo’n Ka
Khoon Hai. MAI Din Bhar Ise Jama Karta
Raha Hoon”.
✏HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU
Ta’ala Anhu Farmaate Hai’n Ke Mai Ne Woh Waqt Yaad Rakkha, Baad Me’n Maaloom Hua ke IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Usi Waqt SHAHEED Kiye Gaye The.
(MUSNAD AHMED, MISHKAAT)
HAZRAT SALMAA RadiALAHU Ta’ala
Anha Se Riwaayat Hai Ke Mai HAZRAT
UMME SALEEM RadiALLAHU Ta’ala Anha Ki Khidmat Me’n Haazir Huwi Aur Wo Zaar-O-Kataar Ro Rahi Thi’n.
HAZRAT SALMAA RadiALAHU Ta’ala Anha Ne HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta’ala Anha se Arz Kiya, Aap Kyu’n Roti Hai’n?
HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta’ala Anha ne Farmaya:
Mai Ne RASOOLALLAH Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ko Khuwaab Me Dekha Ke SAR-E-AQDAAS aur DAADHI MUBARAKA Gird Aalood(Jaami
Huwi Dhool) Hai HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta’ala Anha Arz Guzaar Huwi Ya RASOOLALLAH Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ! Aap Ko Kyaa Huwa ?
To AAP Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mai Abhi Abhi Hussain Ki Shahadat Gaah Se Aa Raha Hu’n.
(Tirmizi)
.
IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ka SAR-E-AQDAAS Badan Se Juda Kar Ke Ibne Ziyaad Ke Saamne Pesh Kiyaa Gayaa. Ibne Ziyaad Ek Chaadi(Stick) Aapke
Mubarak Honto’n Par Marne Laga.
SHAHAABI E RASOOL ZAID BIN ARQAM
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Waha Maujood The’n. Un Se Bardaast Na Ho Saaka Aur Wo Pukaar Uthey:
”In Lobo’n Se Chaadi(Stick) Hata Lo. KHUDA KI QASAAM! Mai Ne Baar’haa(Baar Baar, Kayi Baar; Aksar) Aapni Aankho Se Dekhaa
Hai Ke RASOOLALLAH Sallallahu Ta’ala
Alaihi Wasallam In Mubarak Labo’n Ko
Chooma Karte The.”
Yeh Farma Kar Aap Zaar-O-Qataar Roney Lage. Ibne Ziyaad Bola, Khuda ki Qasam!
Agar Tu Budha Na Hota To Mai Tujhe Bhi
Qatal Karwa Detaa.
(Umdat-Ul-Qari Sharah Bukhari)
Imaam-E-Paak Aur Yazeed Paleed
Baaz Log Kahte Hai’n Ke Yazeed Ka Is
Waaqiaa se Baraah-E-Raast (Seedhe
Seedhe) Koi Taalluq Nahi Tha, Jo Kuch Kiya Woh Ibn-e-Ziyaad Ne Kiya.
.
Chand Taarikhi Shaawahid(Gawah,
Saboot) Pesh-E-Khidmat Hai’n Jin Se Ahle Haq O Insaaf Khud Fesla Kar Sakte Hai’n Ke In Tamaam Waaqiaat(Haadsa’at, Waqiaa ki Jaama) Se Yazeed Ka Kis Qadar Taaluq Hai.
.
Azeem Muaarreekh(Tareekh Likhne Wala, Tareekh Nigaar) ALLAMA TABRI
Rahmatullah Ta’ala Alaihi Raqam-Taraaz(Likhne Wala, Likhte) Hai’n Ke Yazeed Ne Ibne Ziyaad Ko Kufaa Ka Haaqim(Hukumat/Hukm Karne Wala, Baadshaa) Muqarar Kiyaa Aur
Usey Hukm Diya Ke MUSLIM BIN AQEEL Ko Jahaa’n Pao Qatal Kar Do Ya Shaher(City) Se Nikaal Do.
(Taarikh E Tabri, Jild-4:176)
.
Phir Jab MUSLEEM BIN AQEEL
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Aur HAANI ko
Shaheed Kar Diyaa Gaya To Ibne Ziyaad Ne Un Dono Ke Sar Kaat Kar Yazeed Ke Paas Dameeshq Bhejey. Us Par Yazeed Ne Ibne Ziyaad Ko Khat(Letter) Likh Kar Uska Shukriya’h Aada Kiyaa.
(Taarikh E Kaamil, Jild-6:36)
.
Ye’h Bhi Likha, Jo Mai Chahata Tha Tuney Wahi Kiyaa Tuney Aaqeelana Kaam (Samajhdaari Wala Kaam) Aur Dilairaana (Bahaduri Se) Hamla Kiya.
(Taarikh E Kaamil, Jild-4:173)
Ab Ye’h Bhi Jaan Lijiye Ke IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ke Shahadat Ke Baad Yazeed Ka Radd-e-Amal(Jawabi Aamal) Kyaa Tha?
ALLAMA IBNE JAREER TABRI Rahmatullah Ta’ala Alaihi Likhtey Hai’n Ke Ibne Ziyaad Ne IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ka Sar-E-Aqdas Aapke Qaatil Ke Haath Yazeed Ke Paas Bhej Diya. Us Ne Wo Sar-E-Aqdas Yazeed Ke Saamne Rakh Diya. Us Waqt Waha SHAHABI E RASOOL ABU BARZAH AL ASLAMI RadiALLAHU Ta’ala Anhu Bethey Huwe The. Yazeed Ek Chadi(stick) IMAM HUSSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ke
Mubarak Labo’n Par Marney Laga Aur Usne Ye’h Sher Padha.
Unhone Aise Logo’n Ki Khopdio’n Ko
Phaad Diya Jo Hume Azeez The Lekin Wo Bohat Na-Farmaan Aur Zaalim The
HAZRAT ABU BARZAH AL ASLAMI
RadiALLAHU Ta’ala Anhu Se Bardaasht Na Ho Saka Aur Unhone Farmaya, Aye Yazeed Aapni Chaadi Hata Lo. KHUDA Ki QASAM !
Mai Ne Baar’haa(Baar Baar, Kayi Baar,
Aksar) Dekhaa Hai Ke RASOOL E KAREEM Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Is Mubarak Munh Ko Chumtey The.
(Taarikh E Tabri, Jild- 4:181)
Mashoor Muaarrikheen(Tareekh Likhne
Waley) IBN-E-KASEER Ne Al-Bidaya Wal-
Nihaya Me’n Aur IBN-E-ASEER Ne Tareekh-E- Kaamil Me’n Is Waqiaa Ko Tahreer Kiya Hai’n. Is Me’n Ye’h Zayeed(ziyaadah) Hai Ke HAZRAT ABU BARZAH RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ne Ye’h Bhi Farmaya: Bilashuba Ye’h Qayamat Ke Din Ayenge To HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Un Ke Shafee(Shafaa’t Karne Wala) Honge Aur Aae Yazeed! Jab Tu Aayega To Tera Seefarshi Ibn e Ziyaad
Hoga. Phir Wo Khaade Huwe Aur Mehfil Se Chaley Gaye.
Ab Aap Khud Hi Fesla Kijiye Ke IMAM
HUSAIN RadiALLAHU Ta’ala Anhu Ki
Shahadat Par Yazeed Ko kis Qadar Dukh Aur Afsos Huwa Tha. Jo Sang-Dili(Be-Rahmi) Se NAWASA E RASOOL Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Sar-E-Aqdas Ko Aapne Saamne Rakh Kar Mutakabarraana(Ghamandio Ki Tarha) Sher Padhta Aur Un Mubarak Labo’n Par Apni Chaadi Marta Hai Jo MEHBOOB-E-KEEBRIYA Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Aksar Chooma Karte The, Kya Wo Laanat
Aur Malamat(Buraa Bhala,Daant) Ka
Mustaheek(Haq Daar, Layak) Nahi’n.
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
“Yazeed Murdabaad. Yazeed Murdabaad.”
Yazeed Paleed Aur Uske Chanewale Faasiqo Par ALLAH Ki Beshumar Laanat.
Yazeed Paleed Aur Uske Chanewale Faasiqo Par ALLAH Ki Beshumar Laanat.