Nikah

Shadi Ki Pehli Raat Ka Islamic Tarika | Suhagraat Ka Tarika

{tocify} $title={Table of Contents}

Shadi Ki Pehli Raat (First Night Of Marriage In Islam)

Shadi Karna Sunnat Hai Aur Deen-E-islam Ka Ek Hissa Hai. Isliye Har Insan Ko Shaadi Karna Chahiye. Bager Kisi Jaiz Wajah Ke Agar Koi Shaadi Nahi Kar Raha Ya Derse Kar Raha Hai To Ye islam Ke Khilaf Hai.
Jin Logo Ki Shaadi Honewali Hoti Hai,
Unme Se Bahut Se Logo Ke Dimaag Mein Kuch Sawal Hote Hain Ki Islam Ke Hisab Se Shaadi Ke Baad Ki Pehli Raat Ko Kya Karna Chahiye, Ya iska Sahi Tarika Kya Hai.
Hum Yaha Pehli Raat Ki Kuch Baat Karenge,
Lekin Ye Baat Sirf islamic Tarika Sikhne
Ki Niyat Se Padhiye,
Dil Mein Kuch Gandagi Na Rakhiye Aur Na Koi Galat Comment kare.
Hamara Maqsad Sirf Un Logo Ko islamic Tarika Batana Hai Jinko Is Baare Mein Malumat Kam Hai.
Shaadi Ke Baad Jab Ladka Room Mein Jaye
To Sabse Pehle Salam Kare, Kheriyat Maalum Kare Aur Thodi Baat Karne Ke Baad Ladki Ke Peshani (forehead) Ke Baal Sidhe Haath Aahista Se Pakdiye Aur Ye Dua Padhe.
Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya:
“Jab Koi Shaks Nikah Kare
Aur Pehli Raat Ko Apni Dulhan
Ke Paas Jaye To Narmi Ke Sath Uski Peshani Ke Thode Se Baal Apne Sidhe
Hath He Le Kar Yah Dua Padhe

َاَللّهُمَّ إِنِّيْ أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَ خَيْرِ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْه وَ أَعُوْذُبِكَ مِنْ شَرِّهَا وَ شَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْه

Allahumma in’ni as’a’luka min
khai’riha wakhai’ri ma fiha wakhairi
ma jabalta’ha alai wa a’udhu bika min
shar’riha washar’ri ma fiha wa sharri
ma jabalta’ha alai

Tarzuma:
Aye ALLAH Me Tuzse iski (Apni Biwi Ki) Bhalai Aur Khairo Barkat Mangta Hun Aur Uski Fitari Aadaton Ki Bhalai Aur Teri Panah Chahta Hu Iski Burai Aur Fitari Aadaton Ki Burai Se.

(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne
Hasin : page-164)
(Sunan Abu Dawood, Hadees No: 2153)
(Sunan Ibne Maja, Hadees No: 1918)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)

Note:
Is Post Ka Faqat Maqsad Hamare Pyare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Ki Sunnat Tariqe Ko Logon Tak Pohochana Hi Hai. Lihaza Jo Bhi Sawalat Hai Adab Ke Dayre Me Puchhe In sha ALLAH Jawab Diye Jayenge.


Peshani Ke Baal pakad kar dua karne
se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare Aaqa Hazrat Muhammad Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Hukm Hai,
Warna Jis Ladki Ko Nahi Maalum Ho Wo Kuch Galat Na Sochne Lage. Iske Baad Agar Wuzu Na Kiya Ho To Wuzu Kar Lijiye 
Aur 2 Rakat Nafal ALLAH Ka Shukr Ada Karne Aur Usse Dua Karne Ke Liye Padhiye, Namaz Is Tarah Padhiye (Jamat Bana Kar)
Ki Ladka Aage Imaam Ban Kar Khada Ho Aur Ladki Uske Piche Khade Ho Jaaye.
Dono Saath Namaz Padhe.

You Might Also Like:

Namaz Ki Niyat


Niyat Ki Maine 2 Rakat Namaz Nafil Shukrane Ki Waste ALLAH TA’ALA Ke Rukh
Mera Kaaba Sharif Ke Taraf Allaho
Akbar.



Fir Humesha Jaise Namaz Padhte Ho
Waise Hi Namaz Padhe Aur Namaz Ke Baad Shaadi Saath Kheriyat Se Hone Ke Liye ALLAH Ka Shukr Ada Kijiye Aur Ye Dua Kariye Ki ALLAH Is Shaadi Ko Kaamyab Banaye, Aage Bhi Hansi-Khushi Rakhe,
Bacche Nek De, Aur Is Tarah Bhi Dua Kar Sakte Hain
“Aye ALLAH Tera Shukra Aur Ehsan Hai Ki Tune Hume Ye Din Dikhaya
Aur Hume Is Khushi Wa Ne’amat Se Nawaza. Aur Hume Apne Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Par Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmayi.
Aye ALLAH Humari Is Khushi Ko Humesha Isi Tarah Kayam Rakh.  Hume Mel-Milap Pyar Muhabbat Ke Sath Zindagi Gujarne Ki Taufiq Ata Farma. Ya Rabbul Aalameen Hume Nek Farmabardar Aulad Ata Farma.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)
Aur Iske Alawa Jo Bhi Aap Shaadi Ki
Kaamyabi Ke Liye Dua Karna Chahe Kar
Sakte Hain. Dua Ke Pahle Aur Aakhir Mein Durood Sharif Padh Lijiye.
Namaz Ke Baad Kisi Bhi Kaam Mein Jald-Baazi Na Kare Balki Ladki Se Is Tarah Baat Kariye Ki Uski Thodi Jhijhak Door Ho Jaaye.
Thoda Apne Baare Mein Baat Kariye Thoda Uski Suniye. Jab Ladki Ki Thodi Jhijhak Door Ho Jaye To Aur Aap Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye.

بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ ، وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْـتَنَا

Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana.

Tarzuma:
“ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega”
“Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt Padhega
(Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai)
To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha Sakega”
(Bukhari Sharif Hadees No 141, 3271, 6388, 7396; Muslim Hadees No 1434; Abu Dawud Hadees No 2161; At-Tirmidhi Hadees No 1092)

Note :

Ye Yaad Rakhiye Ki Jo Peshani Ke Baal Pakad Kar Dua Karna Hai Wo Sirf Pehli Raat Mein Hi Padhna Hai Aur Ek Hi Baar Padhna Hai, Lekin Ye Waali Dua

(“Bismillah, Allahumma Jannib
Nash Shaitana, Wa Janni bish-Shaitana Ma Razaq Tana”)

Aapko Hamesha Padhni Hai,
Jab Bhi Biwi Ke Saath Sone Ka Irada Ho Usse Pahle Is Dua Ko Padhle

Ek Badi Galatfehmi

Kuch Logon Ka Khayal Hai Ki Jub Aurat Se Pehli Bar Sohbat Ki Jaye To Uski Sharmgah Se Khoon Kharij Hona Zaroori Hai.
Ye Khoon Ka Aana Uske Ba-Azmat Pak Daman Hone Ka Suboot Samza Jata Hai
Agar Khoon Nahi Aaya To Aurat Badchalan Aawara Samzi Jati Hai Aur Aurat Ki Sharafat Aur Ba-Azmat Hone Me Shak Kiya Jata Hai. Aaiye is Masle Ke Bare Me Hum Jante Hai.

Kuwari Ladkiyo Ki Sharmgah Me Thoda Andar Ek Patali Zilli Hoti Hai.
Jise Parda-E-Ajmat Ya Parda-E-Bakarat (Hymen) Kehte Hai. 
Is Zilli Me Chota Sa Surakh Hota Hai Jiske Zariye Ladki Ke Balig Hone Par Haiz (Mahwari) Ka Khoon Apne Waqt Par Khariz Hota Rehta Hai.

Shadi Ke Bad Jab Mard Pehli Bar Sohbat Karta Hai To Mard Ke Uzoo-E-Tanasul Ke Takarane Ki Wajahse Wo Zilli Fat Jati Hai.
Is Mauke Par Aurat Ko Thodi Taklif Hoti Hai Aur Thodasa Khoon Kharij Hota Hai.
Fir Yeh Zilli Humesha Ke Liye Khatam Ho Jati Hai.
Lekin Ye Zilli Patali Aur Najuk Hoti Hai To Kai Martaba Kisi Ladki Ko Ye Kisi Mamuli Chot Ya Kisi Hadse Ki Wajahse Ya Kabhi Khud Ba Khud Fat Jati Hai. Lihaza Agar Aurat Se Sohbat Ke Dauran Khoon Na Nikale To Use Aawara Samazna Munasib Na Hoga Jub Tak Ki Mukammal Sharai Suboot Na Ho.

“Jiska Parda-E-Ajmat Kudne, Haiz Aane Ya Zakhm Ya Umar Jyada Hone Ki Wajahse Fat Jaye Wo Aurat Hakikat Me Bakirah (Kuwari, Pak-Daman) Hai.
(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)


Khabardar !
Apni Biwi Ko Uske Parda-E-Azmat Ko Le Kar Bina Kisi Sharai Wajah Ke Bohtan Lagana Aur Use Ruswa Karna Najaiz Aur Gunah Ka Sabab Hai. Beshaq ! Iski Sakht Giraft Roz-E-Mehshar Hogi Lihaza Iska Khayal Rakhe. 

Kya Bina Suhagraat Ke Walima Nahi Hota:

Dawat-E-Walima Izhare Khushi Ka Khana Hai. Iska Miya Biwi Ke Jismani Talluqat Se Katai Koi Talluq Nahi Hai. Nikah Ke Baad Miya Biwi Jab Chahe Hambistari Kar Sakte Hai. Isme Koi Harz Nahi Hai. Par Agar Koi Walima Ki Raat Hambistari Na Kare To Isme Koi Harz Nahi Hai Na Isse Unke Nikah Par Koi Asar Hoga. Ye Miya Biwi Ka Aapasi Mu’amla Hai.
Awam Me Ye Mash’hoor Hai Ke Agar Koi Suhagraat Ko Humbistari / Sohbat Na Kare To Walima Nahi Hota Ya Unka Nikah Mukammal Nahi Hota Wagira, Ye Bilkul Ghalat Hai Kyunki Walime Ke Liye Hambistari Zaroori Nahin Hai Jaisa Ke Hazrat Allama Mufti Waqaruddin Qadri Alaihi Rehma Likhte Hain Ke Zaujain (Miya Biwi) Tanhayi Mein Kuchh Waqt Guzar Lein Agarche Huqooq-E-Zaujiyat Ada Na Kare (Yaani Sohbat Na Bhi Kare To) To Walima Ho Jayega.
(ملخصاً، وقار الفتاوی، جلد3، صفحہ نمبر120)

Related Articles

82 Comments

  1. JazakALLAH Khair Bhai.
    Aapka naam bohot acha hai
    Mohommad nam pura likha kijiye..
    Mohd na likhe..
    Be-Adabi hoti hai..
    Please pura nam likhe..
    Kismatwale hai aap jo ye Mukaddas nam hai aapka..
    Is naam ki bohotsi fazilate Hadees sharif me aayi hai.

  2. Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
    Allah ta'ala ne muzse farmaya
    Muze apne izzat wa Jalaal ki kasam jiska nam tumhare nam par hoga use dojakh ka azab na dunga.
    (Ahkame Shariat Jild 1,Safa 81)

  3. Assalamu alaikum ji mera ek sawal ye hai ke jis ladki se humari shadi hone wali hai kucchi mahinne me to kya hum shadi se pahele us ladki ke saath kahin ghumne jasakte hain ya nahin.
    Ji aapke jawab ka intezar rahega meharbani kariye hume janna bohot zaruri hai.
    Allah hafiz

  4. Aapka..bahot..bahot sukriya….aallh aapki….hr..neq tammnah….puri kare….
    Aur…nazar ahemd bhai……….aap yahi..kehnaa ..samzana….chate hona…….k ..bivi k ..sath…….sohbt kr ne..k ….doraan…..biwi..k..zism se….kapde..nikaal..sakte he………lekin….us..dooran……apne ..aap.ko…aur…biwi…ko…..chadr……ya…kisi bi..chiz ..se……..dhakk…le……….fir ..sohbt kre………

  5. Assalamu Alaikum.

    Aap Se 1 Sawaal ka Jawab Chahiye Tha Baraye Maherbani Pls Jawab De Mujhe.
    Kiya Shadi Ki Raat Ko Ladka Ladki Dono 1 Dosre Ki Sharam Gaho ko Dekh Sakte Hai Ya Nahi ??? Aur Agar Khud Ko Rok Na Paye Aur Dekh Liya Dil Ki Khawahish Thi Toh Phir Kiya Huqm Hai.

  6. Walekum Assalam
    Hamare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Ke Daurane Sohbat Aapne Apni Biwi Ki Sharmgah na dekhi.
    Aurat ki sharmgah dekhna koi gunah nahi hai.
    Mene yaha sunnate nabi ka zikr kiya.
    Me niche bahawala hadees bhej raha hu.
    Aap apne biwi ki Sharmgah dekh sakte hai.
    Magar sunnate nabi pe amal karna mustahab hai

    Ummul Momineen Hazrate Aayeha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Farmati Hai.

    RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ho Gayi Lekin NA Kabhi Aapne Mera Satr (Sharmgah) Dekha Aur Na Maine Aapka Satr (Sharmgah) Dekha.
    (Ibne Majah Jild 1, Bab No 616, Hadees No 1991, Safa 538)

  7. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa BaBarkatuhu

    Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he.
    To aao apni khetiyo me jis tarah chaho.
    Aur apne bhale ka kam pehle karo.
    (Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

    Ye Quran Shareef Ki Aayat Padhiye Isme Jawab Hai.
    Aap Jab Chahe Apni Biwi Se Sohbat Kar Sakte Hai.

    Aap Tamaam Visiters Se Meri Darkhwast Hai Ke Website Ka "Nikah" Page Jaroor Visit Kare Jahan Sare Posts Aap Padh Kar Aur ilm Hasil Kar Sakenge.

  8. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.

    Zina: Bina Nikah Mard Ka Aurat Se Sohbat/Humbistari Karna Ya Aurat Ka Aise Mard Ke Sath Sohbat/Humbistari Karna Jo Uska Shohar Na Ho Zina Kehlata Hai.

    Zina Ek Badtar Gunah Hai Chahe Use Kuwara Kare Ya Shadishuda Kare. Zina Ka Sakht Azaab Hai..

    Aap Humare Nikah Page Par Visit Kare Aur Jankari Ke Liye.
    Talib-E-Dua.

    Note: Ladka Ladki Ka Jab Tak Nikah Na Ho Jaye Miya Biwi Nahi Kehlate Na Unka Rishta Halaal Hua

  9. assalamu alaikum mera sawal ye hai ke main ek larki se mohobat karta tha phir kuch din bad hum dono ka breakup hua 2saal bad phir mele hai ab wo larki bolti main tum se mohobat karti hoon meri baat ka ekhin karo bolti mujhe kya karna chahi ye plz tell me

  10. Walekum Assalam.Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
    Yaha Sirf Mazhabi Sawalat Ya Masle Maisl Hi Puxhe Jaye To Behtar Hai. Ye Aapka Zaati Mamla Hai Aap Hi Suljhane Ke Koshish Kare. Aapne Pucha Hai Usliye Mujhe Ye Lagta Hai Ke Agar Wo Ladki Aapse Muhabbat Karti To Chod Kar Hargiz Na Jati. Aur Ab Uska Muhabbat Ka Dawa Karna Ye Bhi Ho Sakta Hai Ki Use Aapki Qadr Ho Gayi Ho Isliye Lauti Hai. Is Soorat Me Aap Istikhara Karwaye Ki Wo Ladki Aapke Haq Me Nikah Ke Liye Behtar Hai Ke Nahi. Istikhara Karne Ke Liye Hazrat Se Rabta Kare.
    Maulan Mahemoodul Hasam Razvi Sahab Qibla
    Mob: 7588792786.

    Hazrat Se Aap Hamare Nabi Site Ke Jariye Rabta Kar Rahe Hai Bataiye Aur Apne Pareshaniyo Ka Hal Jaan Lijiye.
    Feeamanillah.
    Talib-E-Dua

  11. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
    Pyare Islami Bhaiyo Aur Beheno.
    Aapki Pareshaniyo Ka Hal Jaaniye Roohani Elaj Ke Jariye.

    Qur'an Sharif Ke Aayato, Bujurgane Deen Ke Amal Aur Wazifo Ke Jariye Roohani Ilaj.

    To Aaj Hi Rabta Farmaye:
    Maulana Ansari Mahemoodul Hasan Razvi
    Mobile: +917588792786

    Hazrat Whatsapp Aur Hike Par Bhi Available Hai.
    Aap Email Bhi Kar Sakte Hai
    ansarimahemood@gmail.com
    Apne Dosto Aur Rishtedaro Ko Share Kare.

  12. Assalam alaikum kya shadi ki pehli raat ko poora sohbat karna zaroori hai ya phir in sunnat par aamal kar ke maatha chumm ke tudha sohbat kare ke soo jaa sakte hai ya walima nai honga aysa karne se ????

  13. Aap apni biwi se jab chahe sohbat kar sakte hai. Upar jo tariqa diya hai wo sohbat ka sunnat tariqa hai jise hame ta umar apnana hai. Walima ki raat sohbat karna zaroori hai warna walima aur Nikah na hoga aisi baaz logo me man ghadat galatfehmi hai. Is raat Sohbat karna ya na karna Miya-Biwi ka faisla hoga. Koi is raat sohbat na kare to bhi Walima Aur Nikah Ho Jayega. Un dono ka ek kamre me tanhai basar karna hi kafi hai.
    JazakALLAHU Khair.

  14. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Ji islam me Condom istemal karne ki izazat hai. Ulmae kiram ne iski izazat ata ki hai wo in Hadees-E-Nabwi Shareef Ko Maddenazar Rakh Kar.

    Azal: Aurat se sohbat karte waqt jab inzal (Mani nikalna) karib ho to mard apna Uzoo-E-Tanasul Aurat ki sharmgah se nikal kar mani bahar girade.
    Is tarah jab mard ki mani aurat ki sharmgah me nahi girti to hamal nahi theherta.

    Hazrat Jaabir radiallahu anhu se riwayat he ki
    Azal ke mutallik Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ko khabar pahunchi lekin aap ne hume mana nahi farmaya.
    (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046,Safa 87)

    Hazrat Hamid Bin Kais Makki radiallahu anhu ka bayan he ki
    Hazrat ibne Abbas radiallahu anhu se Azal ke bare me pucha gaya to unhone kaha
    Me azal karta hu.
    (Mota sharif Jild 2,Bab 34,Hadees 9697100,Safa 425)

    Imam Abdul rawak,Hazrat ibne abbas,Imam tirmizi,Hazrat Maalik bin anas radiallahu anu se riwayat he ki
    Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal mana he.
    (Bayhaqi sharif,Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583)

    Hazrat Jaabir radiallahu anhu farmate he
    Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ke mubarak zamane me Azal kiya karte the.
    Halaki Qurane kareem nazil ho raha tha
    (Bukhari sharif Jild 3,Bab 126,Hadees 193,Safa 101
    Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583,Ibne maja Jild 1,Bab 618,Hadees 1996,Safa 539,Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046)

    Hazrat umar radiallahu anhu se riwayat he
    Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal karne se mana farmaya.
    (Ibne maja sharif Jild 1,Bab 618,Hadees 1997,Safa 539)

  15. aslamualikum ji mera naam amir khan hai ji meri shadi hochuki hai per meri biwi k saat nahi dete bister karne ke liye tu mai unhe mana k samjha ne ki kushis ki magar nahi mana ab mai kiya karo.per mujh se galti hogayi mai ek gair ladki ke saath rooz bister kartao kiya karo mujh se control nahi hota iska hal bataiye

  16. Walekum Assalam Bhaijaan,
    Der se reply ke liye muafi chahta hu. Nikah ke baad Biwi par Shohar Ke Huqooq Aur Shohar Par Biwi Ke Huqooq Hai. Apni Biwi Ko Chod Kar Parai Aurat Se Sohbat Sakht Haraam Hai Jo Ke Zina Kehlata Hai.

    Madine Ke Tajdaar Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Jab Shohar Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaye,
    Aur Aurat Aane Se Inkar Karde,
    Aur Uska Shohar Is Baat Se Naraz Ho Kar Sota Rahe, To Raat Bhar ALLAH Ke Farishte Us Aurat Par Laanat Karte Hai".
    (Mishkat Sharif Part 2 Safa 280)

    Khatmun Nabiyyin Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Behtarin Aurat (Biwi) Wah Hai Ki Jab Uska Shohar Kisi Baat Ka Huqm De To Wo Uski Farmabardari Kare Aur Agar Shohar Uski Taraf Dekhe
    To Wah Apne Banav Singar Aur Apni Adaao Se Apne Shohar Ka Dil Khush Karde
    Aur Agar Shohar Kisi Baat Ki Kasam Kha Jaye To Wah Uski Kasam Ko Pura Karde
    Aur Agar Shohar Gayab Rahe (Matlab Ghar Se Bahar Ho)
    To Wah Apni Zaat Shohar Ke Maal Me Hifazat Aur Khair Kwahi Ka Kirdar Karti Rahe".
    (Mishkat Sharif Part 2 Safa 268 Mujtabaai)

    Apne Shohar Ko Khush Rakhna Hi Biwi Ka Farz Hai.
    Uska Singar Sirf Uske Shohar Ke Liye Hai.
    Shohar Ki Namaujudgi Me Uske Ghar Aur Maal Wa Dolat Ki Hifazt Karna Biwi Par Laazim Hai

    Ek Shaks Ne Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Se Daryaft Kiya Ki
    "Behtarin Aurat (Biwi ) Ki Pehchan Kya Hai?"
    Madni Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
    "Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita'at Wa Farma Bardari Kare".
    (Nasaai Sharif Jild 2 Safa 364)

  17. Hazrat Abu Sai'd RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai
    Shafi-E-Mehshar, Rehmat-E-Aalam Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai
    "Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai
    Aur Ek Kufr Dusre Se Kam Hota Hai".
    (Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

    Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Se Marvi Hai Ki
    Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Haazir Hui Aur Arz Kiya
    "Ya Rasoolallah!
    Me Jawan Aurat Hu Muze Nikah Ke Paigam Aate Hai
    Magar Me Shaadi Ko Bura Samajhti Hu.
    Aap Muze Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai"?
    Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Agar Shaohar Ki Choti Se Pair Ki Ediyo Tak Peep Ho
    Aur Wah Use Zaban Se Chate To Bhi Shaohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi".
    Us Aurat Ne Pucha
    "To Main Shaadi Na Karu"?
    Ispar Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Tum Shaadi Karo Kyunki Isme Bhalaai Hai".
    (Mukasheftul Kuloob Bab No 95, Safa 617)
    ALLAHU AKBAR..!
    Hazrate Maimuna Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke
    Rasoolallah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Meri Ummat Me Subse Behtar Wo Aurat Hai
    Jo Apne Shohar Ke Sath Acha Sulooq Karti Hai
    Aisi Aurat Ko 1000 Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Rah Main Sabr Ke Liye Shahid Hue.
    Un Aurato Me Se Har Aurat Jannat Ki Hooro Par Aisi Fazilat Rakhti Hai
    Jaise Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Tum Me Se Adna Mard Par".
    (Gunyatuttalebin Safa 113)

    SubhanALLAH…!
    Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
    Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Muze Dozakh (Jahannam) Dikhai Gayi
    Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya
    Wajah Ye Hai Ki Ye Kufr Karti Hai".
    Sahab-E-Kiram Ne Arz Kiya
    "Kya Wo ALLAH Ke Sath Kufr Karti Hai"?
    Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya
    "Nahi! Wo Shohar Ki Nashukri Karti Hai
    (Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai)
    Aur Uska Ehsaan Nahi Manti.
    Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulooq Kare
    Lekin Ek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye
    To Jhat Keh Dengi Ki
    Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukun Nahi Paya".
    (Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

    Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
    "Jab Shohar Apni Haazat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye
    To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho
    To Usko Laazim Hai Ke Sab Kaam Chod Kar Apne Shohar Ke Pas Haazir Ho Jaye".
    (Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 595, Hadees No 1159)

    Agar Aapki Biwi Aapke Huqm Ko Nahi Manti To Aap Unko In Hadees-E-Pak Ko Suna Kar Aagah Karde. Shohar Ki Nafarmani Kufr Hai. Nikah Ke Baad Shohar Hi Unki Jannat Ya Dozakh Hai. Agar Shohar Razi Hai To Jannat Agar Ruswa Hai To Dozakh.

    Apni Biwi Ko Chod Kar Kisi Gair Aurat Se Jismani Tallukat Rakhna Sakht Haram Hai Jo Zina Kehlata Hai. Hadees-E-Paak Me Hai Ke Zina Karnewala Momeen Nahi Rehta Yani Uska Imaan Aise Nikal Jata Hai Jaise Kaman Se Teer. Zina Karnewaoe Ko Jahannah Ka Azaab Hai. Aapse Guzarish Hai Ke Sachche Dilse Tauba Kare. ALLAH Ta'ala Bada Meherban Rehemwala Hai. Apni Biwi Se Bhi Tauba Karwaye Aur Aap Dono Apne Zindagi Ki Ek Nayi Shurwat Kare. ALLAH Aap Dono Ko Nek Taufiq De Aur Har Khushi Se Nawaze.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood.

    Dua me yaad rakhe.

  18. aslamualikum mera naam faiz hai and mai ek sawal pesh karna chahta hu mai ek ladki se bahut karta hu aur wo ladki hamare bade abbu ki beti hai and wo bhi mujhse pyaar kart hai lekin unki family ko is bare me kuch pata nhi aur wo apni family se ye sharmnaak baat kahna nhi chahti to mai aapse ye jan na chahunga ki kya unki shadi mere sath ho sktio hai and agar nhi ho skti to kyu? mujhe aapke jawab ka intzar rahega….

  19. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatahu

    Allah Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
    "Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
    (Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)

    Is Aayate Muqaddasa Mein Bataye Rishto Se Nikah Haram Hai. Aur Jaisa Ki Aapka Sawal Hai Ki Bade Chacha Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai. Aap Apne Waldain Se Is Mamle Me Baat Krke Unke Ghar Rishta Bheje.
    ALLAH Aapki Nek Wa Jaiz Tamannaye Puri Farmaye.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood

    Apne Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karne Ki Darkhwast.

  20. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu bhai ek sawal hai…kya sohbat karte waqt biwi ko topless kr skte hain ya isme manahi hai… jwab di jiyega

  21. Walekum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu,

    Ji Ha Aap Daurane Sohbat Apni Biwi Ko Topless Kar Sakte Hai. Khule Me Barhena (Nange) Sohbat Karne Se Mana Farmaya Gaya. Lihaza Chadar Odh Kar Sohbat Kare.

  22. Aslamualeykum

    Jiase ke apnae upar ek Quranshareef ki ayat ka zikr kiya hai
    Tumhari Aurate tumhare liye khetiya he.
    To aao apni khetiyo me jis tarah chaho.
    Aur apne bhale ka kam pehle karo.
    (Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 223)

    mae ye puchna chata hu ke kya apni biwi ke sath humbaistari sharamgah ke hisae aur pichae(Duboor) se kiya ja sakta hai ya nahi. please merae sawal ka jawab dijiye.

    Jazakallah Qair

    Aslamualeykum

  23. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatahu,

    Hazrat Abizar Radiallahu Anhu Se
    Riwayat Hai Ke Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
    "Pakhane Ke Muqaam Me Aurat Se
    Sohbat Karna Haraam Hai"
    (Munsade Imaame Aazam Safa
    223)

    Ek Hadeese Pak Me Iska Zikr Hai Ke Momeen Hote Hue Koi Aisa Nahi Kar Sakta. Ek Hadees Me Ise Kufr Jaisa Sakht Gunah Bataya Gaya.

  24. ASSALAMU ALAIKUM
    JAZAAK ALLAHU KHAIRAH BHAI
    ALLAH SUBHAANA WA TAALA AAP KO BAHOT BAHOT JAZAYEKHAIR ATA FARMAYE AUR HUM SAB KO DEEN PAR PURI TARAH SE AMAL KARNE KI TAUFEEQUE ATA FARMAYE …. AMEEN

  25. Assalamuwalaikum
    Sohbat krte waqt kabe sharif ki taraf rukh nhi krna chahiye?
    Ye sirf pehli raat k liye hai ya hamesa kaabe Sharif ki taraf rukh nhi hona chahiye

  26. Assalam alaikum bhai mujhe kuch logon se ye pata chala hai ki agar shadi ki raat agar biwi se zina na kiya ho to wo nikah haram me shumar hota kya ye sach hai?

  27. Walelum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Abdul Aleem Bhai.
    Nikah Ki Pehli Raat Yani Suhag Rat Me Apni Biwi Se Sohbat Karna Nikah Ki Shart Hargiz Nahi Hai. Sohbat Karna Ya Na Karna Miya-Biwi Ka Faisla Hoga. Nikah Ho Jane Ke Bad Tamam Zindagi Me Apni Biwi Se Kam Az Kam Ek Martaba Sohbat Karna Jaroori Shart Hai.

  28. assalamoalaikum.mai ek gair kaum ladki se pyar karta hun.wo v mujhse pyar karti hai.or wo sadi sudah hai.mai usse sadi karna chahta hun.to kya karna padega.ek din humdono ek dusre ko quabul kar chuke hain.tisri kalimat tak padh ker .falane k ladke k sath aapka nikah kiya ja raha hai .is tarah bol k hum dono ek dusre ko quobol kiye or.humbistari v ho chuki hai.ye zina hoga ya or kuch.plz jarur bataye aapki jawab k intejar rahega.

  29. Walelum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.
    Aapne Ek Dusre Ko Qabool Kar Lene Se Nikah Hargiz Na Hua. Awwal To Aapko Us Ladki Ka Divorce Karana Chahiye. Uske Baad Ladki Ko Mazhabe Islam Qabool Karna Hai. Use Kisi Aalim Ke Pas Le Ja Kar Islam Qabool Karwaye. Aur Uske Baad Aap Shariat Ke Mutabiq Nikah Kare. Aapne Zina Kiya Jo Ke Bohot Bada Gunah Hai. ALLAH Ta'ala Ki Bargah Me Sachche Dilse Tauba Kare. Dobara Aisi Harkat Na Kare. Zina Behayai Aur Dozakh Me Le Janewala Gunah Hai. ALLAH Ta'ala Aapko Nek Taufiq De.
    Aameen.
    Ladki Mazhabe Islam Ko Qabool Karegi To Hi Nikah Mukammal Hoga. Warna Ta Umar Zinakari Me Bitaoge. Gair Mazhabi Ladki Se Nikah Nahi Hota Jab Tak Imaan Na Laye.
    JazakALLAHU Khair.
    Visit Karte Rahe.

  30. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Saeed Bhai.
    Is 2 Raka'at Namaz Me Ladka Imamat Kare. Ladki Uske Imamat Me Namaz Ada Kare.
    Posts Ko Gaur Se Padhiye.
    JazakALLAHU Khair.
    Visit Karte Rahe.
    Ramzan Kareem Mubarak.

  31. Assalam alekum mera ak masla h meri sadi ho gyi h or me apne bibi ke sath hambistari karta hu to wo mana kar deti h to isme aap ka kya salah jo man jaye ya ya fir me talak de du

  32. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu

    Talaq Na Dijiye Use Narmi Se Samjhaiye. Aap Unko Shohar Ke Huqooq Barabar Samjhaiye. Unka Farz Hai Aapko Khush Rakhna. Aur Aapka Bhi Farz Hai Unko Khush Rakhna. Agar Wo Aapko Mana Karti Hai To Unse Wajah Puche.

    Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
    Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya
    "Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bister Par Bulaye
    Aur Wah Aane Se Mana Karde
    To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak Laanat Karte Rehte Hai".
    (Bukhari Sharif Jild 3, Bab No 115, Safa 96, Hadees No 178)

    Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
    "Jab Shohar Apni Haazat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye
    To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho
    To Usko Laazim Hai Ke Sab Kaam Chod Kar Apne Shohar Ke Pas Haazir Ho Jaye".
    (Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 595, Hadees No 1159)

    Read more: http://www.hamarenabi.in/2014/04/shohar-ke-huqooq-biwi-par-hadees-ki.html#ixzz4DcAOXdIa

  33. Bhaijaan aapka jawab me de chuka hu. Aap gaur se us jawab ko padh lijiye. Phir koi bat reh gai ho to jaroor puche.
    JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
    Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Hamare Blog Ke Bare Me Bataiye Aur Sawabe Darrain Hasil Kare.

  34. Agar koi ladki hamari nazar mein bahut nek hai namaz roza ki paband hai aur mujhe usse mohobbat ho gayi hai
    To main allah se usse nikah karne ki dua maang sakta hoon
    Ki ya allah mera us ladki se nikah kara dijiye
    Aur wo ladki bhi hamse mohabbat krti hai
    Sirf dua krni hai kya kr sakte hain

  35. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Muhammad Khalid Bhai.

    Ji Aap ALLAH RABBUL AALAMEEN Ki Bargah Me Dua Kar Sakte Hai. ALLAH TA'ALA Aapki Jaiz Tamannaye Puri Kare. Aur Apne Walid-Walida Ko Unke Ghar Rishta Le Kar Bhej De. Insha ALLAH Rishta Mukammal Ho Jayega.

  36. Ek gair muslim ladki mujhse shadi krna chahti hai….. Shariat ka hukm. Kya h is bare me…. Aur kis tarah shariat ke dayere me rhkr usse shadi ki ja sakti h

  37. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
    Aapne Anonymously Comment Kiya. Next Time Sahi Profile Se Apne Namse Comments Likhe.

    Gair Muslim Ladki Se Aapka Nikah Tab Hi Hoga Jabke Ladki Islam Qabool Kare. Hamare Mazhab Me Convert Ho Jaye. Uske Baad Hi Nikah Hoga. Abagr Bina Islam Apnaye Aap Usse Rishta Rakhenge To Wo Haraam Ka Rishta Hoga Aur Zina Hi Kehlayega. Uska Sakht Azaab Hai Aakhirat Me.

    ALLAH Rabbul Aalameen Sabko Nek Taufiq De.
    Talibe Dua.
    Keep Visiting & Sharing With All…

  38. assalamualaikum mai ek ldki Ke sath relation me hu… aur Meri shadi Kisi aur se hone wali hai.. to kya mai shadi Ke bad us ldki se bt chit rkh skta hu

  39. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Alim Bhai

    Awwal To Ye Ke Aap Jis Ladki Ko Pasand Karte Hai Usise Nikah Karne Ki Koshish Kare. Aur Agar Ye Nahi Ho Sakta To Phir Us Ladki Ka Khayal Apne Dimag Se Puri Tarah Nikal De. Aur Nikah Ke Baad Usse Koi Talluq Na Rakhe. Baatchit Bhi Na Kare. Kyunki Aapke Liye Koi Apna Sab Kuch Chod Kar Aa Chuki Hogi. Aur Nikah Ke Baad Aapke Biwi Ka Hi Aap Par Haq Hai. Namarham Aurat Se Koi Talluq Na Rakhe. Ye Aapke Shadishuda Zindagi Ke Liye Behtar Hoga. Aur Shari'at Hargiz Iski Izazat Nahi Deti.

    JazakALLAHU Khair Visit Karne Ke Liye.
    Dua Ki Guzarish.

  40. Akram Khan Sahab Jab Aap Apni Biwi Se Hambistar Homge To Aap Dono Par Gusl Farz Ho Jata Hai. Bina Ghusl Ke Namaz Padhna Mana Hai. Aap Hamare Nikah Page Ki Har Post Ko Padhe Khoob Ilm Hasil Hoga Insha ALLAH.
    JazakALLAHU Khair.
    Talibe Dua.

  41. JazakALLAHU Khair Anas Bhai.

    Ghusl Ka Tariqa Mard Aur Aurat Ke Liye. Mard Par Ghusl Kab Farz Hota Hai. Mani Aur Mazi Kya Hai. Aide Tamaam Masle Masail Ko Daleelo Ke Sath Nikah Page Par Likha Gaya Hai. Nikah Page Ke Tamaam Posts Jaroor Padhe. Aapke Har Masle Ka Hal Waha Maujood Hai. Agar Phirbhi Koi Sawalat Ho To Jaroor Comments Kare. Insha ALLAH Jawabat Post Kiye Jayenge.
    Dua Ki Guzarish.

  42. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Sayyed Ki Beti Se Nikah Unke Walid Ki Ijazat Se Jaiz Hai.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

    Der Se Reply Ke Liye Mazahrat Chahta Hu.
    Dua Ki Guzarish.

  43. mare shaadi ho gaye hai lakin court main ladki k mom dad ko pata nahi hai is liye hum ne pahle raat nahi nikali sath to kiya ye nikhaa hai or ladki ke papa ne use ka nikha shamu lagan main kar diya ab wo ladki se mere nikha jaaij hai or kiya ho sakta hai or kiya nahi wo baata ye or abhi ladki use mom dad k gar hi hai wo nahi jana chahti hai..jaha use shaadi hue hai waha main kiya karu ??

  44. as'salamo alaikum group admin brother
    umid krta hu aap kheriyat se honge! meri wife abhi pragnat he 2second month running he. kya me jan sakta hu kab tak physical relation kr sakte he? jo bhi month's uske baad physical relation krne se kya side effect islamic taur par hota he.

  45. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Is Silsile Me Aap Doctor Se Ray Le. Wo Aapko Jyada Achche Se Bata Sakenge.

    Aur Koi Masla Ho To Puche Insha ALLAH Jawab Diya Jayega.
    Dua Me Yaad Rakhe.

  46. Assalamualaikum alaikum mera ek sawal hai
    .
    Agar kisi shaqs ki sagi bahen ne Nani ka doodh Piya hai toh kya wo shaqs qala ki beti se nikah karsakta hai.

  47. Mas'ala:
    Sohbat Ke Waqt Mard Apni Aurat Ke Pistan (Chhati) Muh Me Le Sakta He.
    Ha Agar Aurat DUDH Wali Ho Toh Chusna Nahi Chahiye.

    Mas'ala:
    Mard Ne Aurat ki Chhati Chusi Aur DUDH Halak Me Utar Gaya Tab Bhi Nikah Na Tuta Lekin
    Jaan-Bujh Ke Halak Me Lena Jaa'iz Nahi.
    (DURRE MUKHTAR)

  48. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
    "Raja'at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate he"
    (Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)
    Yani jisne bachpan me kisi aurat ka dudh piya to usse Maa ka rishta ho jata Hai. Ab Uski Beti Behen Hai Usse Nikah Haram Hai.

  49. Inhone Shaadi court marriage ki hai aur Ladki ki Islam tarike se Shaadi gharwalone bhar kahi aur ki hai, gharwalo ko Inka court marriage bare mein nahi pata…….is it valid?

  50. Court Marriage Islami Tareeka Hargiz Nahi Hai. Jo Islami Tareeqe Se Hua Wahi Nikah Mukammal Hai. Nikah Ki Sari Sharte Jaha Mukammal Taur Par Nibhai Jati Hai. Aur Registration Karna Ye Duniyavi Tarika Hai. Sirf Court Marriage Par Paper Par Dastakhat Karne Se Nikah Nahi Hua. Lihaza Ladki Ka Nikah Wahi Hua Hai Jo Islamic Tareeqe Se Hua Hai.

  51. Assalamu alaikum… Mere shadi ko 1month ho chuka h aur maine humbistri nhi ki h… Ye to jan li ki ye gunah h… Agr shohar chahe aur aap nhi chahte ho to ye gunah h… Lkin mujhe mere shohar k liye koi feelings nhi paida hoti touch krta h to gnda lgta h … Darasal mere bht din se shadi nhi ho rhi thi…mere ghr wale bht pareshan the to ghr walon ka soch kr hi razi hui thi… Mere nikah mere cousin se hua h.. To us pr mera koi humdardi nhi h aur na hi koi feelings h… Aur ek baat mujhe phle se hi pta tha ki uska kahi pr affair h… Ghr walon ko ye baat pta nhi thi…Sb kuch jan kr bhi Maine haan khi thi kyu ki ammi abbu ko pareshan nhi dekh skti thi … Mai apne ammi se bht mohabbat krti hu unke liye hi maine haan khi thi… To jbki ye gunah h shohar chahne k bawajood humbistri nhi krna to ab mujhe kya krna chahiye kya kru mai?

  52. Walekum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu Behen,

    Jaisa Ki Aapne Aapka Masla Bayan Kiya Hai, Me Aapko Chand Bate Batana Chahta Hu Gaur Kijiye.

    Awwal To Ye Ki Nikah Hamare Aaqa Rehmate Aalam Huzoor ﷺ Ki Azeem Sunnat Hai. Aap Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Nikah Karne Par Aadha Deen Mukammal Ho Gaya. Ab Aadhe Ke Liye Apne Rab Se Daro Aur Shariat-E-Mustafa Ke Mutabik Apni Zindagi Basar Karo.

    Aapko Batana Chahunga Ki Jab Hum Nikah Karte Hai To Miya Biwi Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hote Hai. Jinka Ada Karna Lazmi Hai. Isme Kisi Bhi Tarah Ki Kotahi Gunah Hai Aur Iska Sakht Azab Hai.

    Isi Huqooq Me Se Ek Huqooq Aapke Shohar Ko Hasil Hai Ke Wo Aapse Sohbat Kar Sakta Hai. Ab Aapka Usko Rokna Sakht Gunah Hai. Aisi Aurat Par ALLAH Ta'ala Aur Uske Farishte La'nat Karte Hai. Lihaza Aisa Hargiz Na Kare. Sabr Se Kam Le.

    Muhabbat To ALLAH Subhan Wa Ta'ala Ke Tarafse Hoti Hai. Aap Apne Rishte Ko Kis Tarahse Aage Behtar Bana Sakti Hai Ispar Koshish Kare. ALLAH Ta'ala Aapko Zaroor Qamiyab Karega. Aur Yahi Rishta Khubsurat Hoga In Sha ALLAH. Apne Shohar Ko Agar Aap Khush Rakhengi To In sha ALLAH To Unke Dilme Bhi Aapke Liye Jagah Ban Jayegi Aur Unki Buri Aadat Bhi Chhoot Jayegi.

    Koshish Karna Hamara Kam Hai. Qamiyabi ALLAH Ta'ala Ke Daste Qudrat Me Hai. Aap Ek Nek Ladki Hai. Apne Waldain Ke Izzat Aur Muhabbat Ke Khatir Aapne Ye Rishta Kiya. ALLAH Ta'ala Hamare Niyat Aur Dilon Ko Jannewala Hai. Uspar Yakeen Rakkhe. Yahi Aapka Rishta Aage Bohot Khubsurat Hoga. Hamari Duaye Aapke Sath Hai.

    ALLAH Ta'ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Aap Dono Me Muhabbat Ko Qayam Kare Aur Nek Swaleh Aulad Ata Farmaye.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Durood.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!