Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Shirk Kya Hai Quran Wa Hadees Se

Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Khawatino Hazrat,
Aaj Hum Yaha Par Shirk Ka Bayan Mulahiza Farmayenge. Shrik Kise Kaha Jata Hai, Shirk Ka Azab Vagaira Vagaira. Waise Ye Lafz Aapke Sunne Me To Zaroor Aaya Hoga. Kyunki Bad Mazhabo Ka Market Unki Dukane To Bas Do Hi Lafzo Se Chalti Hai. Ek To Shirk Aur Dusra Biddat. Ye Do Chizo Ka Istemal Kar Baatil Jama’ate Bhole Musalmano Ko Gumrah Karte Hai. Lihaza Aapko Iska Mukmmal Ilm Hona Zaroori Hai. Pehle Hum Janenge Ki ALLAH Ta’ala Ki Sifa’at Ka Bayan Fir Shirk Kise Kehte Hai Aur Sabe Aakhir Me Iske Azab Par Roshni Dalenge.
Shirk Kise Kehte Hai?
—> Shirk Use Kehte Hai Ke Kisiko ALLAH Ta’ala Ke Sath Sharik Karna, Kisiko ALLAH Ta’ala Ka Hamsar Qarar De. Yani ALLAH Ta’ala Ke Sath Patthar, Chand, Suraj, Insan, Jinnat, Farishte, Nabi, Wali Vagaira Ki Ibadat Karna. Yani Aasan Lafzo Me Samjhe To ALLAH Ta’ala Ke Alawa Kisi Aur Ko Apna Mobood Manna Uski Ibadat Karna.
Ab Aaiye Quran-E-Kareem Ki Chand Aayato Par Roshni Dale

ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Meherban Rehemwala “Tum Farmao Woh ALLAH Hai Woh Ek Hai. ALLAH Be Niyaz Hai. Na Uski Koi Aulaad Aur Na Woh Kisi Se Paida Hua. Aur Na Uske Jod Ka Koi

(Qur’an-E-Kareem, Para 30, Sure Ikhlas, Aayat 1-4, Tarzuma Kanzul Imaan) 

ALLAH Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahi. Wah Aap Aur Auro Ka Qaaim Rakhnewala. Aur Na Ungh Aaye Na Nind. Usika Hai Jo Kuch Aasmano Mein Hai Aur Jo Kuch Zameen Mein. Wah Kaun Hai Jo Uske Yaha Sifarish Kare Be Uske Huqm Ke. Jaanta Hai Jo Kuch Unke Aage Hai Aur Jo Kuch Unke Piche. Aur Wah Nahi Paate Uske Ilm Mein Se Magar Jitna Wah Chahe. Uski Kursi Mein Samaye Huve Hai Aasman Aur Zameen. Aur Use Bhaari Nahi Unki Nigehbaani Aur Wahi Hai Buland Badhaaiwala

(Sure Bakrah, Para 2, Aayat 255, Ruku 34 Tarzuma: Kanzul.Imaan)

Sunlo ALLAH Hi Ki Milq Hai Jitne Aasmano Me Hai Aur Jitne Zameeno Me Aur Kahe Ke Piche Ja Rahe Hai. Wah Jo ALLAH Ke Siwa Shariq Pukar Rahe Hai. Wah To Piche Nahi Jate Magar Guman Ke Aur Wah To Nahi Magar Atakale Daudate. Wahi Jisne Tumhare Liye Raat Banayi Ki Usme Chain Paao. Aur Din Banaya Tumhari Aankhe Kholta. Beshaq! Usme Nishaniya Hai Sunnewalo Ke Liye

(Sure Yunoos, Para 11, Aayat 65-67, Ruku 7 Tarzuma Kanzul Imaan)

Aur Zameen Rakhi Makhlooq Ke Liye Usme Mewe Aur Gilaafwali Khazoore. Aur Bhoos Ke Sath Anaaj. Aur Khushboo Ke Phool. To Aye Jinn Aur Ism Tum Dono Apne Rab Ki Konsi Ne’amat Ko Jhutlaoge. Dono Poorab Ka Rab Aur Dono Paschim Ka Rab. To Tum Dono Apne Rab Ki Konsi Ne’amat Ko Jhutlaoge. Usne Do Samundar Bahaye Ki Dikhne Me Maloom Ho Ki Mile Hue Ho. Aur Hai Unme Rok. Ki Ek Dusre Par Badh Nahi Sakte. Aur Apne Rab Ki Konsi Ne’amat Ko Jhutlaoge

(Sure Rahman, Para 27, Aayat 10-21, Ruku 1 Tarzuma Kanzul Imaan)
SubhanALLAH ! Tamaam Tarife ALLAH Ke Liye Hai Uska Koi Sharik Nahi Jo Hamara Rab Hai Aur Jo Maalik Hai Sare Jahano Ka. ALLAH Hamse Razi Ho Jaye. Hame Aisa Banaade Jaisa Wo Chahta Hai. Hame Kamil Imaanwala Banaye Aur Sachcha Aur Pakka Momeen Banaye. Hamare Dilo Mein Apni Aur Apne Habeeb Ki Muhabbat Ata Farmaye Aameen (Awwal Aakhir Durood) 
ALLAH Ta’ala Shrik Ke Tallauqse Apne Kalam Me Irshad Farmata Hai,
إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَاءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا بَعِيدًا – 4:116

ALLAH ise Nahi Bakshta Ki Uska Koi Sharik Thehraya Jaye. Aur Usse Niche Jo Kuchh Hai, Jise Chahe Muaf Farma Deta Hai. Aur Jo ALLAH Ka Sharik Thehraye, Wah Door Ki Gumrahi Pada.

(Surah Nisa, Aayat No: 116, Tarzuma: Kanzul Imaan)
وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ وَلَوْ يَرَى الَّذِينَ ظَلَمُوا إِذْ يَرَوْنَ الْعَذَابَ أَنَّ الْقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًا وَأَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعَذَابِ – 2:165

Aur Kuchh Log ALLAH Ke Siwa Aur Mabood Bana Lete Hai. Ki Unhe ALLAH Ki Tarah Mehboob Rakhte Hai. Aur Imaanwalo Ko ALLAH Ke Barabar Kisiki Muhabbat Nahi. Aur Kaisi Ho Agar Dekhe Zaalim Wo Waqt Jabki Azaab Unki Aankho Ke Samne Aayega Isliye Ke Sara Jor ALLAH Ko Hai. Aur Isliye Ke ALLAH Ka Azaab Bohot Sakht Hai

(Al Quran-E-Kareem, Surah Bakrah Aayat No 165 Tarzuma: Kanzul Imaan)
In Aayate Mubaraka Me Un Badbakht Logo Ka Zikr Hai Ke Jo Musalman Ho Kar Bhi Dusre Mabood Bana Lete Hai. Unpar Iman Rakhte Hai. Beshaq ! Inhone Khula Kufr Kiya. Jo Log Dusre Logon Se Hasad Aur Jalan Ke Sabab Khud Ya Kisi Pakhandi Logon Ke Pas Ja Kar Kala Jadu Sipli Ilm Karwate Hai. Dusro Ki Zindagiyo Se Khelte Hai. Ye Log Khule Kafir Hai. Inhone Shirk Kiya. Aur Shirk Ka Sila Jahannam Hai. 
Is Ummat Ka Marz Shirk E Khafi Hai Yaani Shirk E Asgar jo Riyakari hai us se bande Ka Amal Jaaya Hojata Hai lekin is se banda Islam Se Kharij Nahi hota Hai. Ye Hamesha Yaad Rakhe bahot Bunyadi baatein Hai 
Hadees Shareef: 
Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Kahte Hain, Mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ke Pas Gaya Woh Apni Jae Namaz Par Baithe Ro Rahe The Maine Puchha Aye Shaddad Kyu Rote Ho?
Unhone Kaha Ubada Suno 
Ek Hadees Maine Rasoolullah ﷺ Se Suni Hai Uski Wajah Se Ro Raha Hu, 
Mene Puchha Woh Hadees Konsi Hai 
Kaha, 
“Mein Sarkaar ﷺ Ke Pas Baitha Tha Sarkaar ﷺ Ghamgheen The, 
Meine Puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN Ghamgheen Kyu Hain?
To Aaqa ﷺ Ne Farmaya,
‘Mujhe Meri Ummat Pe MERE BAAD 2 Cheez Ka Khatra Hai,
(Is Wajah Se Ghamgheen Hu)’
Meine Arz Ki Kis Cheez Ka Khatra?
Sarkaar ﷺ Ne Farmaya AL SHIRK Aur SHAHWAT E KHAFIYA.
Shaddad Ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke Baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi? 
Sarkaar ﷺ Ne irshad Farmaya, 
Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTH KO PUJEGI NA DARAKHT (Tree) KO PUJEGI.
(Aye Shaddad Maine Jise Shirk Kaha Woh Riyakari Yani Dikhawe Ke Aamaal Hain)
Maine Arz Ki Ya RasoolALLAH, Kya Riyakari (Dikhawe Ke Aamaal Bhi Shirk Hai Farmaya, Haan.” 
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04  Pg : 366,Hadis : 7940) 
Imam Hakim Jo Imam Behki k Ustad hai farmate hai ye Hadees sahi hai.  
(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 341, Kitab Uz Zuhad, Hadis :4205 “Arabic No : 4375”)
(Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , pg : 835, Hadis : 17250)
(Imam Bayhaqi ne Shoebul imaan Vol: 5, pg :333  Hadis : 6830) 
(Imam Abu Nauyam Hilyatul Aulia Vol: 1 pg 247) 
Hadees Sharif : 
Hazrat Abu Saeed Khudri Se Rivayat Hai Farmate hai 
“Hum Log Dajjal Ke Muttalik Guftgu Kar Rahe The Nabi-E-Karim ﷺ  Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?
Humne Kaha Haa Rasool Allah ﷺ . 
Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk),
Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 37 kitab Uz Zuhd, Hadees : 4344, Arabic : 4204)
Pata Chala Kay Dikhawe Ka Amal SHIRK-E-KHAFI Hai Jisko Riyakari Kaha Jaata Hai Aur Wo is Ummat Ki Asli Bimari Hai Jispe Huzoor Ko is Ummat Pe Sabse Zyada Khatra Raha Aur Aaj Ummat iski Giraft Me Aagayi Hai. Riyakari Karne Se Banda Apne Sare Aamal Barbad Kar Deta Hai. Aaj Hum Dekh Sakte Hai Ke Log Apne Aamal Ki Badi Numaish Karte Hai. Zakat Khairat Sadqat Denge To Uspar Selfie Lena, In Bato Ko Awam Me Bata Kar Fakhr Mehsoos Karna, In Bato Ka Ailan Karwa Kar WahWahi Batorna Aur Shohrat Kamana. Ya Dikhawe Ke Liye Ibadat Karna, Ye Sab Riyakari Me Shumar Hai. Riyakari ALLAH Ko Sabse Jyada Napasandida Chiz Hai. 
ALLAH Rabbul Aalameen Quran Mazid Me Irshad Farmata Hai,
لَقَدْ كَفَرَ الَّذِينَ قَالُوا إِنَّ اللَّهَ هُوَ الْمَسِيحُ ابْنُ مَرْيَمَ ۖ وَقَالَ الْمَسِيحُ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ اعْبُدُوا اللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمْ ۖ إِنَّهُ مَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ وَمَأْوَاهُ النَّارُ ۖ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنصَارٍ – 5:72
Beshaq Jo ALLAH Ka Shariq Thehraye,
To ALLAH Ne Uspar Jannat Haram Kardi. Aur Unka Thikana Dozakh Hai
Aur Zaalimo Ka Koi Madadgar Nahi
(Qur’an-E-Kareem, Para 6, Sure Al Maidah, Aayat 72, Tarzuma Kanzul Imaan) 

ALLAH Ka Kisiko Sharik Na Karna, Beshaq Shrik Bada Jurm Hai

(Qur’an-E-Kareem, Para 21, Sure Luqman, Aayat 13, Tarzuma Kanzul Imaan) 
In Aayate Mubaraka Se Saaf Wajeh Ho Gaya Ke Jisne ALLAH Ka Sharik Thehraya Usne Apna Thikana Jahannam Chun Liya. Aur Wo Humesha Usime Rahenge. Unka Koi Madadgar Nahi. Aur Jisne ALLAH Ta’ala Par Imaan Laya Aur Imaan Ki Halat Me Duniya Se Ruksat Hua Wo Jannati Hai Agarche Use Gunaho Ke Sabab Azab Diye Jaye.
ALLAH Ta’ala Se Dua Hai. Ke Humare Imaan Ko Salamat Rakkhe Aur Imaan Ke Sath Is Duniya Se Khatma Nasib Kare. Aur Shirk Jaise Gunahe Kabira Se Hum Sabki Hifazat Fatmaye
Aameen
Awwal Aakhir.

Related Articles

2 Comments

  1. Assalamu Alaikum wa Rahmatullah wa Barakatuhu… Aaj kal log Dargahon ko jaana shirk nahi samajhte Alimo ko Baba Peer kahkar unse apne masle hal karane ko bhi shirk nahi samajhte aapne bataya buthon ki chaand Suraj darakht ki pooja nahi karenge lekin Allah ke Rasool SAW ne Yahood aur Nasara ke logon pe Lanath bheji thi wo bhi itni qufth se ke unke dil aur zubaan se ye laft 3 bar nikle the aur lanath isiliye thi ki wo apne Nabi aur waliyon ke qabron pokhta karte aur inko ibadathgaah banate ab log ye bhi kahne lage hain ki hum ibadat nahi karte sajda e tazeem karte hain unse maangte nahi balki Allah se hamare liye maangne ko kahte hain ye logic samajhkar bahar hai …

  2. Walekum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu,

    Dargaho Par Jana Shirk Nahi Hai Behen, Shirk Ke Mayne Samzo Aap. ALLAH Rabbul Aalameen Ke Barabar Kisiko Samazna Shirk Hai. Uske Alawa Kisiko Ibadat Ke Layak Samazna Shirk Hai. Ab Raha Sawal Dargah Par Jana To Ye ALLAH Ta'ala Ke Mehboob Bande Hai. Jinka ALLAH Ta'ala Ki Bargah Me Buland Maqam Hai. Unke Mazar Par Hazri Dena Jaiz Hai. Unke Wasile Se Duaye Maqbool Hoti Hai. Aur Qabron Ki Ziyarat To Khud Nabi-E-Kareem Huzoor ﷺ Se Sabit Hai.

    Aage Aapne Likha Ki Aalimon, Babao Ke Pas Masle Hal Karane Jate Hai. ALLAH Sub'han Wa Ta'ala Hi Sabki Zarooraton Ko Pura Karnewala Hai. Wahi Tamam Jahanon Ka Palnewala Hai. Sabka Hazatrawa Hai. Jab Aap Kisi Sahihul Aqeeda Aalim Ke Pas Jaogi Apni Pareshani Lekar To Pehle Aapko Namaz Ki Pabandi Karne Kahenge. Fir Quran Sharif Ki Aayaton Se Ya Asma-E-Husna Se Wazifa Denge. Beshak. Quran Sharif Me Har Pareshani Ka Hal Mauzood Hai.

    Yahan Par Mukhtasar Andaz Me Batane Ki Koshish Kar Raha Hu. Tafsil Me Har Masle Ko Samajhne Ke Liye Meri E-Book Download Kijiye. Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Sare Sawalon Ke Jawabat Hasil Honge Aapko. in sha ALLAH Ajwazal.

    ALLAH Ta'ala Ki Zaat-E-Pak Ke Alawa Kisi Aur Ko Sajda Karna Jaiz Nahi. Hamare Sare Aamal Ka Daromadar Niyat Par Hai. Kisi Shakhs Ne Agar Kisiko Bhi Tazim Ki Niyat Se Sajda Kiya To Beshak Usne Haram Kam Kiya. Aur Agar Ibadat Ke Niyat Se Kiya To Usne Shirk Kiya. Aur ALLAH Ta'ala Shirk Karnewalon Ko Kabhi Nahi Bakshega. Wo Humesha Jahannam Me Rahenge. Kuchh Jahil Log Hai Jinhe Dekha Hoga Aapne Ye Sab Karte Huve. Par Ahle Sunnat Ka Aqeeda Ye Hai Ke ALLAH Ta'ala Ke Alawa Kisko Sajda Karna Jaiz Nahi. Is Qaynat Me Huzoor ﷺ Se Bada Peer Koi Nahi. Jab Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhuma Ne Arz Kiya Tha Ki Kya Hum Aapko Sajda Kar Sakte Hai To Aap Nabi-E-Kareem Huzoor ﷺ Ne Mana Farmaya. Hadees Me Saf Mauzood Hai. ALLAH Ta'ala Se Dua Hai Ke Unhe Nek Taufiq De. Aameen. Awwal Aakhir Durood.

    ALLAH Ta'ala Ke Waliyon Ka Martaba Bada Buland Hai. Unke Zariye ALLAH Ta'ala Ka Qurb Hasil Hota Hai. Unke Wasile Se Dua Karna Hargiz Shirk Nahi. Aapse Guzarish Hai Ke Kitab Padhe. Phir Bhi Agar Kuchh Sawalat Reh Jaye To Comment Karde. In sha ALLAH Ajawazal Me Jawab Dunga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!