Muharram

Muharram Ke Roze Hadees Se Aur Ashura Ke Fazail

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Tabibo Ke Tabib, ALLAH Ke Habib, Habibe Labib صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ka Farmane Rahmat Nishan Hai : Muharram Ke Har Din Ka Roza Ek Mahine Ke Roze Ke Barabar Hai.
(Tabarani Fi Al Sagir, Jild: 2, Safha: 87, Hadees: 158)

Hazrate Sayyiduna Abu Qatada رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai, Rasoolullah صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Farmate Hai :
Mujhe ALLAH Par Gumaan Hai Ki Aashura Ka Roza Ek Saal Qabl Ke Gunaah Mita Deta Hai.
(Sahih Muslim, Safha: 59, Hadees: 1162)

Nabiyye Rahmat, Shafiye Ummat,  Shahanshahe Nubuvvat, Tajdare Risalat صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshad Farmaya :
“Yaume Ashura Ka Roza Rakho Aur Us Me Yahudiyon Ki Mukhalifat Karo, Is Se Pahle Ya Baa’d Me Bhi Ek Roza Rakho.
(Musnad Imame Ahmad, Jild: 1, Safha: 518, Hadees: 2154)

Ashura Ke Fazail

Ashura Ke 25 Khususiyaat

1) 10 Moharramul Haraam Ashura Ke Roz Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ki Taubah Qubool Ki Gayi.

2) Isi Din Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ko Paida Kiya Gaya.

3) Isi Din Hazrate Sayyeduna Adam عليه السلام Ko Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.

4) Isi Din Arsh.

5) Kursi.

6) Aasman.

7) Zameen.

8) Suraj.

9) Chaand.

10) Sitaarey.

11) Jannat Paida Ki Gayi.

12) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ibrahim Khalilullah عليه السلام Paida Hue.

13) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ibrahim Khalilullah عليه السلام Ko Aag Se Nazaat Mili.

14) Isi Din Hazrate Sayyeduna Moosa Kalimullah  عليه السلام Aur Aap Ki Ummat Ko Najaat Mili Aur Firoun Apni Qaum Samet Garaq Huwa.


15) Isi Din Hazrate Sayyeduna Isa Roohullah  عليه السلام Paida Kiye Gaye.

16) Isi Din Hazrate Sayyeduna Isa Roohullah  عليه السلام Ko Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.

17) Isi Din Hazrate Sayyeduna Nooh  عليه السلام
Ki Kashti Kohe Judi (Mount Judi) Par Thehri.

18) Isi Din Hazrate Sayyeduna Suleman عليه السلام Ko Mulk-E-Azeem Ataa Kiya Gaya.

19) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yunus عليه السلام Machli Ke Peth Se Nikale Gaye.

20) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yaqoob عليه السلام Ki Binaayi Ka Zo’f Door Huwa (Eyesight was returned back).

21) Isi Din Hazrate Sayyeduna Yusuf عليه السلام Gehre Kuwein Se Nikale Gaye.

22) Isi Din Hazrate Sayyeduna Ayub عليه السلام Ki Takleef Ra’fa’a Ki Gayi.

23) Aasman Se Zameen Par Sab Se Pehli Barish Isi Din Nazil Hui Aur

24) Isi Din Ka Roza Ummaton Me Mash’hoor Tha. Yahan Tak Ki Yeh Bhi Kaha Gaya Ki Isi Din Ka Roza Maahe Ramazanul Mubarak Se Pehle Farz Tha Phir Mansookh Kar Diya Gaya.*

25) Imame Arshe Maqaam, Imaame Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ko Bama’a Shehzaadgaan Wa Rufaqa 3 Din Bhooka Rakhney Ke Baad Isi Ashura Ke Dasht-E-Karbala Me Intihaayi Saffaaqi Ke Saath Shaheed Kiya Gaya.
(Sahih Al Bukhari:
Hadees 1892, 1893 Book ref. : 30, Hadees 2, 3.
Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 116, 117)
(Sahih Al Bukhari:
Hadees 3943 Book ref. : 63, Hadees 168.
Eng ref. : Vol. 5, Book 58, Hadees 279)
(Mukashafatul Qulub: Safha 311)
(Imaam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ki Karamat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 22-23)
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Download Our Free Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!