Nikah

Chori Zina Aur Sharab Ye Gunah Karnewala Momin Nahi Rehta

{tocify} $title={Table of Contents}

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ka Insaaf Har Ek Ke Liye Barabar Hai.
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyedatuna Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها Se Riwayat Hai Ki, Hazrat Usama  رضي الله تعالٰی عنه  Ne Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Se Ek Aurat Ki Sifarish Ki (Jisne Chori Ki Thi) Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya Ki :
“Tum Me Se Pahle Ke Log Isliye Halaaq Ho Gaye Ki Woh Kamzoron Par Toh Hadd (Sazaa) Qayam Karte The Aur Buland Martaba Logo Ko Chorh Dete The. Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hai! Agar Fatima ( رضي الله تعالٰی عنها ) Ne Bhi Chori Ki Hoti Toh Mein Uska Bhi Haath Kaat Leta”.
Ref.
(Sahih Bukhari : Hadees 6787
Book ref. : 86, Hadees 16
Eng ref. Vol. 8, Book  81, Hadees 778)
(Sahih Bukhari : Hadees 6788
Book ref. : 86, Hadees 17
Eng ref. Vol. 8, Book 81, Hadees 779)

Zina Kise Kehte Hai

Bagair Nikah Ke Paraye Mard/Aurat Se Jismani Tallluqat Qayam Karna (Hambistari/Mubashrat/Sohbat/Balatkar) Zina Kehlata Hai. Chahe Is Sangin Gunah Ke Liye Aurat Razi Ho Ya Na Ho.

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki,
Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
“Zinaa Karney Wala Zinaa Kartey Waqt Momin Nahi Rahta,
Sharaab Peeney Wala Sharaab Peetey Waqt Momin Nahi Rahta,
Chori Karney Wala Chori Kartey Waqt Momin Nahi Rahta,
Jab Koi Lootney Wala Loot’ta Hai Aur Log Usey Dekhtey Hain Uss Waqt Woh Bhi Momin Nahi Rahta”.
Ref.
(Sahih Bukhari : Hadees 6772
Book ref. : 80, Hadees 1
Eng ref. : Vol 8, Book, Hadees 863)
ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Aur (Momin) Wo Jo Apni Sharmgah Ki Hifazat Karte Hai.”
(Tarzuma: Kanzul Imaan, Para 21, Sure Ma’aariz, Aayat No 29)

Is Aayat Se Hame Ye Maloom Hua Ki Wah Log Momin Hai Jo Apne Sharmgah Ki Hifazat Karte Hai.
Sarware Qaynaat, Shafi-E-Mehshar, Sayyadul Mursaleen, Khatamun Nabiyyin, Rehmatallil Aalameen صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Irshad Farmaya,
“Jab Koi Mard Aur Aurat Zina Karte Hai To Imaan Unke Sine Se Nikal Kar Sar Par Saye Ki Tarah Theher Jata Hai.”
Hazrat Ekrema Ne Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se Pucha,
“Imaan Kis Tarah Nikal Jata Hai?”
Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya,
“Is Tarah ! Aur Apne Hath Ki Ungliya Dusre Hath Ki Ungliyo Me Daali Aur Fir Nikal Li Aur Farmaya, Dekho Is Tarah !”
(Bukhari Shareef, Jild 3, Baab No 968, Hadees No 1713, Safa 614)
ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Musalmaan Mardo Ko Huqm Do Apni Nigahe Kuch Nichi Rakhe. Aur Apne Sharmgaho Ki Hifazat Kare. Ye Unke Liye Bahut Suthra Hai. Beshaq ! ALLAH Ko Unke Kaamo Ki Khabar Hai.
(Tarzuma: Kanzul Imaan, Para 18, Sure Noor, Aayat No 31)

Zina Ka Azaab

ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Jo Shaks Zina Karta Hai Use Asaam Me Dala Jayega.”
(Tarzuma: Kanzul Imaan, Para 19, Sure Furkan, Aayat No 68)

“Asaam Ke Bare Me Ulma-E-Kiram Ne Kaha Hai Ki Wo JAHANNAM Ka Ek Gaar Hai. Jab Us Gaar Ka Munh Khola Jayega To Uski Badboo Se Tamaam Jahannami Chikh Uthenge.”
(Makashefatul Quloob, Baab No 22, Safa 167)
Sarware Qaynaat, Shafi-E-Mehshar, Sayyadul Mursaleen, Khatamun Nabiyyin, Rehmatallil Aalameen صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Irshad Farmaya,
“Zina Karnewale Shadishuda Ho To Khule Maidan Me Pattharo Se Mar Dala Jaye Aur Gair Shadishuda Ho To 100 Durre (Chaabuk Jiske Sire Par Nokila Kila Hota Hai) Mare Jaye.
(Bukhari Sharif, Jild 3, Baab No 968/980, Hadees No 1715, Safa No 615/625)
Upar Bataye Gunah Karne Par Insan Ka Imaan Khatam Ho Jata Hai. Aur Jiska Imaan Hi Nahi Uska Hashr Behsak Jahannam Hai. Aye Imaanwalo ! Sambhal Jao. Beshaq Tumhare Har Ek Aamal Ki Khabar ALLAH Ko Hai Kyunki Tanhai Me Kiye Har Gunah Ka Gawah ALLAH Ta’ala Khud Hai.
Qudrat Ka Usool:
ALLAH Ta’ala Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
“Gandiya (Zinakar), Gando Ke Liye Aur Gande Gandiyo Ke Liye, Aur Suthriya Suthro Ke Liye Aur Suthre Suthriyo Ke Liye.”
(Tarzuma: Kanzul Imaan, Para 18, Sure Noor, Aayat No 26)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing: wwww.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!