Hadees-E-Nabwi

Khatoon-E-Jannat Bibi Fatima Zahra Radiallahu Anha Ki Sakhawat

~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله                
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
Hazrate Bibi Fatima رضي الله تعالٰی عنها Ke 3 Roze
Quran-E-Majeed Me Allahعزوجل Ne Apne Mehboob صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ki Pyaari Beti Ke Ghar Ki Is Sarguzashta Ko In Lafzon Me Bayan Farmaya :
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
Aur Khana Khilatey Hain Us Ki Mohabbat Par Miskeen Aur Yateem Aur Aseer (Qaidi) Ko Un Se Kehte Hain Hum Tumhein Khaas Allah Ke Liye Khana Dete Hain Tum Se Koi Badla Ya Shukr Guzari Nahi Maangte.
(Al Qur’an :  Para 29, Surah 76 – Surah Al Insan) (Surat Al Dahr, Ayat No. 8-9)

Hazrate Hasan Aur Hazrate Hussain رضي الله تعالٰی عنهما  Bachpan Me Ek Martaba Beemar Ho Gaye Toh Hazrate Ali Wa Hazrate Fatima Wa Hazrate Fizza  رضي الله تعالٰی عنهم Ne In Shehzadon Ki Sehat Ke Liye 3 Rozon Ki Mannat Maani.
ALLAH Ta’ala Ne Ne Dono Shehzadon Ko Shifa De Di. Jab Nazr Ke Rozon Ko Adaa Karne Ka Waqt Aaya Toh Sab Ne Rozon Ki Niyat Kar Li.
Hazrate Ali رضي الله تعالٰی عنه Ek Yahoodi Se 3 Sa’a Jaw Laaye. Ek Ek Sa’a Teeno Din Pakaya Lekin Jab Iftar Ka Waqt Aaya Aur Teeno Rozadaaron Ke Samney Rotiyan Rakhi Gayi Toh Ek Din Miskeen, Ek Din Yateem, Ek Din Qaidi Darwaze Par Aa Gaye Aur Rotiyon Ka Suwaal Kiya Toh Teeni Din Sab Rotiyan Saailon Ko De Di Gayi Aur Sirf Pani Se Iftar Kar Ke Agla Roza Rakh Liya Gaya.
(Hazrate Fizza رضي الله تعالٰی عنها Hazrate Fatima رضي الله تعالٰی عنها Ke Ghar Ki Khadima Thi)
Bhooke Rehte The Khud Auron Ko Khila Dete The, Kaise Saabir The Mohammad ﷺ  Ke Gharanewale
(Tafseer Khazain ul Irfan, Safha 1043, Para 29, Surah 76- Surah Al Insan (Surat Al Dahr, Ayat No. 8-9)
(Ajaibul Quran ( Hindi ) Maktabatul Madina-Hind, Safha 221-222)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing: wwww.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!