Ramzan

Itikaf (Etikaf) Ka Bayan Aur Fazilate

Itikaf(Etikaf):
Ramzan Ke Aakhri Ashre Me Kiya Jata Hai.
(20we Roze ke Suraj Guroob Hote Hi Masjid Me Jana Aur Eid Ka Chand Nazar Aane Par Masjid Se Bahar Hona) Ye Aitekaf 10 Dino Ka Hai.
Khush Naseeb Hai Wo Log Jo ise Ada Karte Hain Rat O Din Masjid Ke Noorani Mahol Me Reh Kar Chote Bade Gunaho Se Bachte Hai
Aur Zikro Tilawat Duroode Pak O Nate Pak Ki Kasrat Se Apni Kahirat Sanwarte Hai
Etikaf Ki Bohot Badi Fazilate Hadees-E-Paak Me Aayi Hai. Jinme Se Kuch Yaha Bayan Ki Hai.
Aitekaf 3 Tarah Ke Hai,
1-Waajib Yani Minnat Ka Aitekaf,
2-Sunnate Moakkedah Ye Ramzan Ke Aakhri Ashre Ka Aitekaf Hai,
3-Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas WAQT Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya. Ye Baigar Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai..
Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor kare.
Mas’ala:
Aitekafe sunnat (Ramzan Ke Aakhri Ashre Ka Aitekaf) Me Roza Shart Hai Agar kisi musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua
الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف،  جلد-3، صفحہ-496.
Mas’ala:
Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai.
Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai.
الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497.
Hadees:
Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai,
Sarkar-E-Madina صلى الله تعالى عليه وسلم Ramzane Pak Ke Aakhri Ashre Me Aitekaf Farmaya Karte The..
صحيح مسلم، كتاب الاعتكاف، باب الاعتكاف العش الأوخر من رمضان، صفحہ-597، الرقم الحديث-1172،
Hadees:
Sayyedna Imame Hussain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya.
Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre kiye
شعب الایمان، باب في الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966،
  1. Hadees:

Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain,
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye,
Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.
Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi,
Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare
سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.

Ramzan Ke Aakhri 10 Din Ka Aitekaf Yani 20we Roze Ko Suraj Doobte WAQT Masjid Me Ba-Niyyate Aitekaf Hona Aur 30we Ramzan Ko Suraj Doobte Hi Nikalna ya 29 Ko Chand Nazar Aane Par Masjid Se Nikalna,
Agar 20we Ramzan Ko Namaze Magrib Ke Bad Aitekaf Ki Niyyat Se Dakhil Hua To Sunnate Moakkedah Ada Na Hui.
RAMZAN Ka Aitekaf Sunnate Kifayah Hai, Agar Shaher Ya Gaon Ke Sab Logo Ne Chhod Diya To Sab Se Puch Hogi, Aur Agar Eik Ne Bhi Kiya To Sab Bariuz’zimmah Hain”
Mas’ala:
Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Sath Thaherna Aitekaf Hai, Aur Uski Liye Musalman AAQIL (Aqal wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart hai.
Balig Hona Shart Nahi, Balki Na’Balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}
Mas’ala:
Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (Badi Masjid) Shart Nahi,
Balki Masjide Jamat Jisme Imam O Mo’azzin Muqarrar Hon Agarche Usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho,
Aur Asani isme Hai Ki Mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai, Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, Khususan Is Zamane (Gaon Dihat Me) Aksar Masjide Aisi Hain Ki Wahan Na imam Hai Na Mo’azzin
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}
Mas’ala:
Sab Se Afzal Aitekaf Karna Masjide Haram (Kabatullah) Me,
Phir Masjide Nabwi Me,
Phir Masjide AQSA Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat hoti Ho
{Bahar-E-shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1021}
Mas’ala:
Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai.
Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho.
Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare.
Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho. Aur Use Pak O Saf Rakhe…
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}
Mas’ala:
Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti.
Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To  Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

Related Articles

2 Comments

  1. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.

    Sawal Apne Identity Ke Sath Post Kiya Kare. Unknown Comments Ko Approve Nahi Kiya Jata Iska Khayal Rahe. Jawab Zaroori Hai Isliye Comment Publish Kiya. Aetikaf-E-Sunnat Ramzan Ke Aakhri 10 Dino Ka Hota Hain. Usse Kam Yani 2-3-5 Ya Usse Kam Jyada Dino Ka Aitikaf Karna Nafl Etikaf Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!