Jama’at Ke Sath Namaz Me Iqamat Ke Waqt Kab Khade Hona Chahiye
Iqamat Mein Iski 3 Suraten Hai:
- Iqamat Shuru Hone Se Qabl Agar Imam Musalle Par Moujood Ho To Imam Wa Muqtadi “Hayya Alal Falah” Par Khade Hojaye.
- Aur Agar Imam Iqamat Shuru Hone Ke Bad Muqtadiyon Ke Peeche Se Aarahe Hai To Jis Saf Se Imam Ghuzre Wo Saf Khadi Hoti Jaye Taake Imam Musalle Par Pahunch Jaye.
- Teesri Surat Ye Hai Ke Imam Aage Se Aarahe Hai To Imam Ko Dekhte Hi Tamam Muqtadi Khade Hojaye.
✍🏻ان کان الموؑذن غیرالامام وکان القوم مع الامام فی المسجد فانہ یقوم الامام والقوم اذا قال الموؑذن “حیّ عل الفاح” عند علمائنا الثلاثة وھو الصحیح ۔ فاؑما اذا کان الامام خارج المسجد فان دخل المسجد من قبل الصفوف فکلما جاوز صفا قام ذلک الصف والیہ مال شمس الاؑئمة الحلوانی والسر خسی وشیخ الاسلام خواھرزادہ ۔ وان کان الامام دخل المسجد من ققدّامھم یقومون کما راؑوا الامام.
( 📚عالمگیری، ج١، ص۵٧.)
Iqamat Ke Talluqse Nabi-E-Kareem Huzoor ﷺ Ka Farmane Aalishan Us Mubarak Daur Me Kya Tha?
أَبِي قَتَادَةَ، عَنْ أَبِي قَتَادَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ” إِذَا أُقِيمَتِ الصَّلاَةُ فَلاَ تَقُومُوا حَتَّى تَرَوْنِي
Hazrat Abu Qatadah Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya
“Jab Iqamat Kahi Jaaye To Tum Log Us Waqt Tak Khade Naa Hona Jab Tak Mujhe Naa Dekh Lo”
References :
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, Hadees : 637, 638)
(Sahih Bukhari, Kitabul Jumaah, Hadees : 909)
(Sahih Muslim, Kitab Mawazeus Salat, Hadees 1266)
(Sunan Nasai, Kitab Al Imamah, باب قِيَامِ النَّاسِ إِذَا رَأَوُا الإِمَامَ Hadees : 790)
(Sunan Abu Dawood, Kitab As Salat, Hadees : 539, 540)
(Jamai Tirmizi, Kitab Safar, Baab No : 29, Hadees : 592)
(Sunan Nasai, Kitabul Azaan, Hadees : 688)
Imam Nawawi Sahih Muslim Shareef Ki Is Hadees-e-Pak Ki SHARAH Main “QAZI AYAZ” Ka Qaul Naql Karte Huey Likhte Hain:
“Kye Jab Moazzin Iqamat Kahe Aur “حَیَّ عَلَی الفَلَاح” Par Pohnchay To Us Waqt Khare Ho”
Hazrat Sayyidina Imam-e-Azam رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ka Is Hawalay Say Ye Qaul Hai:-
“Kye Iqamat Kehne Wala حَیَّ عَلَی الفَلَاح Par Pohnchay To Us Waqt Khare Hona Chahiye.”
📚Sharah Sahih Muslim By Imam Nawawi رضی اللہ تعالیٰ عنہ
Hamare Samjhne Kye Liye Roshan ☀ Pehlu.
- Hamain Iqmat Baith Kar Sunni Chahye
- Hamain Dosro Ki Naql Ya Un Ky Tareeqy Ko Nahi Apnana Chahye.
- Hamain Hadees o Sunnat Par Amal Kar Ky Sawab Hasil Karna Chahye.
Huzoor ﷺ Namaz Me Iqamat Par Kab Tashreef Farma Hote?
Hazrat Abdullah ibn Aauff رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Marvi Hai Ki Jab Hazrat Bilaal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه *‘QAD”KA’MATIS SALAAT’* ( قد قامت الصلاة) Kahte To Rasoolullah ﷺ Takbeer Kahte Huwe Tashreef Farma Hote Yani Khade Ho’jate.
• Pay Attention
Pata Chala Ki Hum Sunni Barelvi Musalman Huzoor ﷺ Ke Tarike Par Namaz Padh’te Hai Aur Aap Ke Tarike Par Hi Iqamat Par Amal Karte Hai.
Aur Aap Kiske Tarike Par Namaz Padh’te Hai American Mulla’s Najdi Saudi Ke Ya Jinka Kalma Padhte Hai Unke?
• References:
(Sunan Kubra Al Bayhaqi
Vol :02, Hadees : 2297)
RasoolAllah ﷺ Namaz Me Iqamat Par Kab Khade Hote?
Hazrat Ummul Momineen Umme Habiba رضي الله تعالى عنها Farmati Hai Ki Nabi e Kareem ﷺ Hujjre Mubarak Me Tashreef Farma They Aur Muazzin Kay Kalimat Ka Jawab Ussi Tarah De Rahe They Jab Muazzin Ne *‘HAYYA ALAL SALAT’* ( حي على الصلاة) Kaha To Aap Namaz Kay Liye Khade Hogaye.
الحمد لله
Hum Barelvi Musalman Bhi Apne Nabi e Kareem ﷺ Ki Sunnat Par Amal Karte Hai Aur HAYYA ALAL SALAT’ ( حي على الصلاة) Par Khade Hote Hai.
Aur Aap???
• References:
Hazrat Imam Bukhari رحمة الله عليه Ke Dada Ustad Hazrat Imam Abdur Razzaq (رحمة الله عليه)
Al Sam’aan Al Mutawaffa 211 Hijjri
(Imam Abdul Razzaq (رحمة الله عليه)
Al Musannaf Vol : 01, Pg : 481, Hadees : 1851)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabeer Vol : 23, Hadees :485)
(Imam Mutaqqi Hindi Kanjul Ummal Vol:08, Hadees :23273)
Namaz Me Iqamat Par Kab Khade Ho Sahabi e Rasool ﷺ Ka Amal
Hazrat Atiyaa رحمة الله عليه Se Rivayat Hai Ki
Ham Hazrat Syyedina Ibn e Umar رضي الله عنه Kay Paas Bethe They To Muazzin Ne Iqamat Shuru Kardi To Hum Khade Hogaye To Hazrat ibn Umar رضي الله عنه Ne Kaha Baith Jao Jab Muazzin ‘KAD KAMATISALAT’ ( قد قامت الصلاة) Kahe To Khade Hona.
• References:
Hazrat Imam Bukhari رحمة الله عليه Ke Dada Ustad Hazrat Imam Abdur Razzaq (رحمة الله عليه)
Al Sam’aan Al Mutawaffa 211 Hijjri
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Hadees : 1940)
Hazrat Abu Khalid Walbi Rahmatullah Alaihi Sher-E-Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Rivayat Karte Hai Ki Ek Martaba Aap Iqamat Hojane Kay Baad Tashreef Laye Aur Logo Ko Dekha Ki Wo Aapki Aamad Ka intezar Kar Rahe Hai
Aap Ne Farmaya Mujhe Kya Huwa Kay Tumhe Intezar Me Khada Huwa Dekh Raha Hoon.
References :
(Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 02, Pg :333, Hadees : 4117)
(Musannaf Abdur Razzaq Vol : 01, Pg : 504, Hadees : 1933)
(Imam Nawawi Sharh Sahih Muslim Vol : 04, Pg :231)
(Sunan Al Kubra Al Bayhaqi Vol : 02, Pg :32)
Upar Bayan Karda Daleelon Se Ye Saf Zahir Ho Gaya Hai Ke Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Sunnate Mubaraka Yahi Hai Ke Aap Huzoor ﷺ Muazzin Ke ‘QAD”KA’MATIS SALAAT’ ( قد قامت الصلاة) Ki Sada Par Namaz Ke Liye Tashrif Le Jate. Us Waqt Tak Tamam Sahaba-E-Kiram Radiallaho Anhuma Aapka Intezaar Baith Kar Farmate. Aakhiri Hadees Me Maula Ali Sher-E-Khuda Karamallaho Wajahahul Kareem Ka Logon Ka Namaz Ke Liye Unke Intezar Me Khade Rehna Ta’ajjubguzar Hona Bhi Isi Bat Ki Taraf Ishara Karta Hai Ke Imam Ke Aane Se Pehle Tak Unka Intezar Baith Kar Kiya Jaye. Alhamdulillah Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at Ka Yahi Amal Hai Ke Hum Baith Kar Hi Iqamat Ko Sunte Aur Jawab Dete Hai. Aur Muazzin Ke ‘QAD”KA’MATIS SALAAT’ ( قد قامت الصلاة) Ki Sada Par Khade Hote Hai. Iqamat Ke Shuru Hone Se Pehle Hi Khade Ho Jana Ye Khilafe Sunnat Tariqa Hai Aur Makrooh Hai. Lihaza Aise Jaahil Logon Ko Islah Ki Zaroorat Hai. Aur Agar Itne Daleelon Ke Bad Bhi Wo Agar Na Mante Ho To Unhe Chahiye Ke Wo Sabit Kare Daleelon Ke Sath. In sha ALLAH Qayamat Aa Jayegi Magar Baatil Ise Sabit Nahi Kar Sakenge.
Is Post Ko Khoob Share Kijiye. Taki Awam Ki Islah Ho Sake Aur Logon Me Sunnat Tarika Aam Ho Jaye.