Sehri Aur Iftar Ki Fazilat Hadees Se
Marhaba Sad Marhaba Fir Aamad-E-Ramdan Hai
Khil Uthe Hai Murzaye Dil Taza Hua Imaan Hai
Ham Gunahgaro Par Kitna Ehsan Kiya Hai Ya Rab Ta’ala Tune
Ata Fir Kar Diya Ramadan Hai.
ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
Aye Imamwalo ! Tum Pe Roza Farz Kiya Gaya.
Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye.
Taki Tum Gunaho Se Bacho, Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe) Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha admi Ya aisa bimar jiske tandurust Hone ki ummid na Ho) Wo Fidya Den,
Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho
(Surah Al Bakrah Aayat No 187)
Ramzan Ke Roze Ki Beshumar Fazilate Hadeese Pak Me Aayi Hai. Unhi Me Se Chunida Hadeese Pak Aapki Khidmat Me Pesh Kar Raha Hu. Beshaq ! Ramzan Ummat-E-Muhammad ﷺ Ke Liye Ek Apne Rab Ta’ala Ka Diya Ek Nayab Tohfa Hai. Aur Ham Jaise Gunahgar Logon Ki Bakshish Ka Sabab Hai. Hadeese Pak Me Hai Ki Agar Ham Janle Ki Ramzan Ki Azmat Aur Shan Kya Hai To Bande ALLAH Se Tamanna Kare Ki Sal Bhar Ramzan Ho. Ye Wahi Muqadds Mahina Hai Jisme Quran-E-Kareem Ko Nazil Farmaya. Aur Isi Mahine Me ALLAH Ne Hume Shabe Qadr Se Nawaza Jo 1000 Mahino Se Afzal Rat Hai. Beshaq ! Hamara Rab Bada Raheem-O-Kareem Hai. Lihaza Hamare Liye Yahi Sunahra Mauka Hai Apne Rab Ko Razi Karne Ka. Ise Hargiz Gaflat Me Na Guzare. Ramzan Bando Ki Magfirat Ka Zariya Hai. Ab Kisine Apni Magfirat Is Mahine Me Na Karali, Apne Rab Ko Razi Karne Ki Koshish Na Ki, Afsos Hai. Kya Pata Agla Ramzan Mile Na Mile. ALLAH Hum Sabko Hidayat De. Aur Is Muqaddas Mahine Ki Qadr Karne Ki Aur Jyada Se Jyada Ibadat Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen. (Awwal Aakhir Durood)
Hadees No: 1
Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur
Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain
(Sahih Muslim, Kitabul Sayam, Baab Ramzan Ke Fazail, Hadees No: 1079)
Hadees No: 2
Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain..
(Sahih Bukhari, Jild 1, Safa 394, Hadees No: 3257)
(Sahih Muslim, Kitabus Sawm, Hadees No: 1152)
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, Hadees No: 2237)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 04, Pg : 305, Hadees No: 8294)
(Imam Nawawi, Riyadusalaheen, Kitabul Manaqib, Hadees No: 227)
Hadees No: 3
Hazrat Abu Umamah Al Bahili Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Unhone Nabi ﷺ Se Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ !
Mujhe Koi Aisa Amal Bataayein (Jis Se Mein Jannat Me Daakhil Ho Jaaun) Nabi-E-Rehmat Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Farmaya :
Roza Rakho, Us Ke Barabar Koi Amal Nahin Hai.
Mein Ne (Phir) Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Mujhe Koi (Aur) Amal (Bhi) Bataaye Aap ﷺ Ne Farmaya :
Roza Rakho, Us Ke Barabar Koi Amal Nahin Hai.”
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, Hadees No: 2223)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Al Musnad, Vol : 05, Pg : 248, 249, Hadees No: 22194, 22195)
(Imam Ibn Khuzaymah Sahih, Vol : 03, Pg : 194,Hadees No: 1893)
(Imam Ibn Hibban As-Sahih, Vol : 08, Pg : 213,Hadees No: 3426)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 582, Hadees No: 1533)
Hadees No: 4
Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem ﷺ Farmatey Hain :
”Aadmi Ke Har Nek Kaam Ka Badla Dus (10) Se Saat Sau (700) Guna Tak Diya Jata Hai. ALLAH عزوجل Ne Farmaya Siwaay Rozey Ke Ki Roza Mere Liye Hai Aur Is Ki Jaza Me Khood Doonga. ALLAH عزوجل Ka Mazeed Irshaad Hai,
Banda Apni Khwahish Aur Khaane Ko Sirf Meri Wajah Se Tark Karta Hai. Rozadaar Ke Liye Do (2) Khushiyan Hai.
Ek Iftar Ke Waqt Aur Ek Apney Rabb عزوجل Se Mulaqat Ke Waqt. Rozadaar Ke Moonh Ki Boo ALLAH عزوجل Ke Nazdeek Mushk Se Zyada Pakeeza Hai.”
(Sahih Muslim : Hadees 1151)
Faizane Ramazan (Hindi)
(Maktabatul Madina-Hind, Safha : 102)
Hadees No: 5
Hazrat Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Se marvi hai Nabi E Karim Salallahu Alaihi Wassalam Ne Irshad Farmaya Roza Aur Quran Qiyamat Ke Roz Banda E Momin Ke Liye Shafa’at Kareinge.
Roza Arz Karega : Aye Mere ALLAH !
Din Ke Waqt Mein Ne Is Ko Khaane Aur Shawat Se Roke Rakha Pas Is Ke Haque Me Meri Shafa’at Qabool Farma Aur Qur’an Kahega Mein Ne Raat Ko Ise Jagaaye Rakha Pas Is Ke Haque Me Meri Shafa’at Qabool Farma, Pas Donon Ki Shafa’at Qabool Kar Li Jaayegi.”
(Imam Ahmad ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 02, Pg : 174 #6626)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 740,#2036)
(Imam Abdullah Ibn Mubarak Kitab Az-Zuhad, Vol : 01, Pg : 114,#385)
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02, pg : 50,#1455)
◆ Iftaar Ke Waqt Rozedar Ki Dua Radd Nahi Hoti:
Hadees No: 6
Hazrate Abdullah Bin Amr Bin As Se Riwayat Hai Ke Nabi-E-Kareem Rehmatallil Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya,
“Iftaar Ke Waqt Rozedar Ki Dua Radd Nahi Hoti”
(Sunan ibn Majah, Vol. 2, Hadees No: 1753-Hasan)
Hadees No: 7
Hazrate Sayyiduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ki Mahbube Rabbe Aalamin, Sayyidul Ambiyaae Wal Mursalin, Shafiul Muznibin, Janabe Rahmatullil Aalamin ﷺ Ka Farmane Dil Nashin Hai,
ALLAH عزوجل Mahe Ramazan Me Rozana Iftar Ke Waqt 10 Lakh Aise Gunahgaaron Ko Jahannam Se Azad Farmata Hai Jin Par Gunahon Ki Wajah Se Jahannam Wajib Ho Chuka Tha, Neez Shabe Jumua Aur Roze Jumua (Yaa’ni Jumarat Ko Gurube Aftab Se Le Kar Jumua Ko Gurube Aftab Tak) Ki Har Har Ghadi Me Aise Dus (10) Dus (10) Lakh Gunahgaaron Ko Jahannam Se Azad Kiya Jata Hai Jo Azaab Ke Haqdaar Karaar Diye Ja Chuke Hote Hai.”
(Kanzul Ummaal, Jild: 8, Safa: 223, Hadees: 23716)
Hadees No: 8
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :
”Rozadaar Ke Moonh Ki Boo (Jo Bhook Ki Wajah Se Hoti Hai) ALLAH Ta’ala Ke Nazdik Mushk Ki Khushboo Se Bhi Behtar Hai.”
(Sahih Bukhari : Hadees 7492
Book ref. 97, Hadees 118)
(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 10)
Hadees No: 9
Hazrat Salmaan Farsi (Radi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya,
“Jis Ne Halaal Khane Ya Paani Se Kisi Musalmaan Ko Roza Iftar Karwaya Tou Farishtay Mah-e-Ramzaan Ke Auqaat Me UsKe Liye Astaghfar Karte Hai,
Aur Jibreel (Alaihissalam) Shab-e-Qadr Me Uss Ke Leye Astaghfar Karte Hai”.
(Tibrani Al Mo’ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith No: 6162)
Hadees No: 10
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Sahl bin Sa’ad رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Sarkar-E-Madina ﷺ Ne Farmaya :-
“Meri Ummat Ke Logon Me Us Waqt Tak Khair Baaki Rahegi Jab Tak Woh Iftar Karne Me Jaldi Karte Rahenge.”
(Sahih Bukhari : Hadees 1957
Book ref : 30, Hadees 64
Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 178)
Hadees No: 11
Rasool’Allah ﷺ Farmate Hai Ke,
“Jo Rozdaar Ko (Iftari Me) Paani Pilayega ALLAH Usse Mere Houz Se Paani Pilayega Ke Jannat Me Dakhil Hone Tak Pyasaa Na Hoga”
(Sahi Ibne Khuzaima, Jild:3, Page:192, Hadith-1887)
Hadees No: 12
Hazrate Ma’aaz Bin Zahra Radiallaho Anho Se Riwayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Jab Roza Iftar Karte To Iftar Ke Bad Ye Irshad Farmate,
اَللّٰهُمَّ لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ
ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZQIQA ARFTARTU
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Pg : 447 Kitab Al Siyam, Hadees No: 2358)
(Shoabul Imaan Hadees No: 3902)
Yahi Hadeese Pak Mishkat Sharif Me Bhi Mauzood Hai Ke
Hadees No: 13
Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Jab Roza Iftar Karte To Iftar Ke Bad Ye Irshad Farmate,
اَللّٰهُمَّ لَکَ صُمْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ
ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZQIQA ARFTARTU
(Mishkat Sharif, Jild 1, Safa 433, Hadees No: 1866)
Yahi Hadees Inhi Alfaz Ke Sath Hadees Ki In Digar Kitabo Me Bhi Mauzood Hai.
(Tabrani Sharif, Tirmizi Sharif, Bayhaqi Sharif, Darkutni)
Iftar Ke Bad Ki Ek Aur Dua Ka Zikr Hadese Pak Me Mauzood Hai. Ab Internet Par Kuchh Log Pichhli Dua Jo Awam Me Padhi Jati Hai, Use Biddat Keh Rahe Hai Jabke Wo Dua Bhi Hadeese Pak Se Sabit Hai. Kisi Bhi Dua Par Amal Kare. Par Ye Kehna Ki Wo Dua Sahi Nahi Ye Bilkul Galat Aur Be Asl Bat Hai.
Hadees No: 14
Marwan Ibn Salim Al-muqaffa Radiallaho Anhu Kahte Hai Maine Abdullah Bin Umar Radiallaho Anhu Ko Dekha,
Wo Apni Dadhi Ko Mutthi Me Pakadte Aur Jo Mutthi Se Zyada Hoti Use Kaat Dete.
Ibn Umar Radiallaho Anhu Kahte Hai Ki Rasoolallah ﷺ Jab Iftar Karte Toh Ye Dua Padhte The,
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
Zahabaz-zama O Wabtallatil ‘urooq Wasabatal Ajru In Shaa ALLAH
Tarzuma:
Pyaas Khatm Ho Gayi, Ragen Tar Ho Gayi Aur Sawaab Pakka Ho Gaya Agar ALLAH Ne Chaha
(Sunan Abu Dawood, Hadees- 2357; Al-Daaraqutni, 25. Ibn Hajar Said In Al-talkhees Al-habeer (2/202): Al-daaraqutni Said, Its Isnaad Is Saheeh)
Yaha Aapne Mulahiza Farmaya Ki Upar Pesh Ki Gayi Ahadees Pak Se Sunnat Tarika Sabit Hai Ke Iftar Ki Dua Iftar Karne Ke Bad Padhi Jati Hai Na Ke Pehle. Lihaza Ise Awaam Tak Pohochaye Taki Unki Islah Ho Sake. In sha ALLAH iska Azr Aapko Bhi Milega. Aaiye Iftar Ke Talluqse Chand Aur Hadees Ka Mutalla Kare.
Beshaq ! ‘Rasool Allah ﷺ Logo Me Sab Se Badh Kar Sakhi Hain
Hadees No: 15
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Farmatey Hain : ”Rasool Allah ﷺ Logo Me Sab Se Badh Kar Sakhee Hain”
Aur Sakhawat Ka Darya Sab Se Ziyada Us Waqt Josh Par Hota Jab Ramazan Me Aap ﷺ Se Jibraeil Ameen عليه السلام Mulaqat Ke Liye Hazir Hotey, Jibraeil Ameen عليه السلام (Ramzanul Mubarak Ki) Har Raat Me Mulaqat Ke Liye Hazir Hotey Aur Rasool-E-Kareem ﷺ Un Ke Saath Quran-E-Azeem Ka Daur Farmatey
Pas Rasool Allah ﷺ Tezz Chalney Wali Hawa Se Bhi Ziyada Khair Ke Mua’mley Me Sakhawat Farmate.
(Sahih Bukhari : Jild 1, Safha 9, Hadees 6)
(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 34)
Hadees No: 16
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rehmate Aalam Huzoor ﷺ Ne Farmaya,
Jisne Makkah Mukarrama Me Mahe Ramzan Paya Aur Roza Rakha Aur Raat Me Jitna Maisar Aaya Qayam Kiya Toh ALLAH Azzawajal Uske Liye Duniya Ki Kisi Aur Jagah Ke Ek Lakh Ramzan Ka Sawab Likhega.
Aur Har Din Ek Gulam Azad Karne Ka Sawab
Aur Har Raat Ek Gulam Azad Karne Ka Sawab Aur Har Riz Jihad Me Ghode Per Sawar Kardene Ka Sawab Aur Har Din Me Neki Har Raat Me Neki Likhega.”
(Sunan Ibn Majah Vol : 03, Pg : 523, Kitabul Manasiq E Hajj, Hadees No: 3117)
◆ Sehri Khane Ki Fazilate:
Hadees No: 17
Hazrat Irbaz Ibn Sariya Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Jab Bhi Apne Saath Kisi Sahabi Ko Sahri Khane Bulate To is Tarah Bulate
“Aao Barkat Ka Khana Kha Lo”
(Sunan Abu Dawood, Vol: 02, Page :444, Kitabus Sawm, Hadees No: 2344)
(Sunan Nasai, Kitabus Sawm, Hadees: 2163)
Hadees No: 18
Roza Rakhne Ke Liye Sehri Khaa Kar Quwwat Haasil Karo Aur Din(Ya’ni Do-Pahar) Ke Waqt Aaram Karke Raat Ki Ibaadat Ke Liye Taaqat Haasil Karo”.
(Sunaane Ibne Maajah, Jild-2, Safa-321, Hadees-1693)
Hadees No: 19
“Sehri Barkat Ki Chiz He Jo Allah Ta’ala Ne Tumko Ataa Farmaayi He Is Ko Mat Chhodna”
(Sunaane Nasaai, Jild-2, Safa-79, Hadees No: 2472)
Hadees No: 20
Sehri Poori Ki Poori Barkat He Pas Tum Na Chhodo Chaahe Yahi Ho Ki Tum Paani Ka Ek Ghunt Pee Lo, Beshak Allah Ta’ala Aur Uske Farishte Rahmat Bhejte He Sehri Karne Waalo Par
(Musnade Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-88, Hadees-11396)
Hadees No: 21
Khajoor Momin Ki Behtareen Sehri Hai.
(Sunan Abu Dawood, Jild-2, Safa-443, Hadees No 2345)
Hadees No: 22
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu Farmate Hai,
Nabi-E-Kareem ﷺ Sehri Ke Waqt Mujh Se Farmate
“Mera Roza Rakhne Ka Irada Hai, Mujhe Kuch Khilaao!
Toh Mai Kuch Khajoor Aur Ek Bartan Me Paani Pesh Karta”
(Sunan Al-Kubra, Jild-2, Safa-80, Hadees No: 2477)
Hadees No: 23
“Hazrat Amr Ibn Al Aas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Hamare aur Ahle Kitab Kay Darmiyan Sehri Khana Farq Hai”
(Sahih Muslim, Kitab Al Sawm, Hadees No: 1096)
(Sunan Nasai, Kitab Us Sawm, Hadees No: 2166)
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Sawm, Hadees No: 2343)
(Jamai Tirmizi, Kitabus Sawm, Hadees No: 709)
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail, Hadees No: 1232)
Upar Bayan Karda Hadeese Pak Se Sehri Ke Fazail Aapne Mulahza Farmaye. Awam Me Aksar Dekha Gaya Hai Ke Log “Faqa Roza” Rakhte Hai. Yani Bina Sehri Ke Roza Rakhte Hai Jo Ke Khilafe Sunnat Hai Aur Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Sehri Ko Tark Karne Se Yani Chhodne Ne Mana Farmaya Hai. Lihaza Bina Kisi Jaiz Sharai Mazboori Ke Sehri Ko Na Chhode. Kyunki Rehmate Aalam ﷺ Ka Farmane Aalishan Hai Ke Sehri Barkatwala Khana Hai. To Jisne Sehri Chhodi Usne Barkat Chhodi. Aur Ham Me Aur Ahle Kitab Yani Yahood-O-Nasara Me Yahi Fark Hai Ke Wo Sehri Nahi Karte. Ab Koi Sehri Me Kuchh Khana Na Chahta Ho To Sirf Pani Pile Yahan Tak Huqm Hai To Is Bat Par Gaur Kiya Jaye. Aur Sehri Ko Hargiz Na Tark Kare.
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing:
www.hamarenabi.com
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~