Aqaid-E-Ahle SunnatHadees-E-NabwiIslamic sms
Fatiha Ka Aasan Tarika Hindi Mein
{tocify} $title={Table of Contents}
Kya Fatiha Lagana Jaiz Hai?
–> Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Khawatino Hazrat,
Yaha Fatiha Ka Tareeqa Bayan Karne Se Pehle Me Chand Banton Ko Aapke Samne Rakhna Chahta Hu Ki Aapka Imaan Taza Ho Jaye. Awwal To Ham Ye Janenge Ke Fatiha Kya Hoti Hai?
Fatiha Kya Hai:
Fatiha Quran-E-Kareem Ki Chand Surato Ki Tilawat, Duroode Pak, Dua Padhne Ko Kehte Hai. Aakhir Me Iska Sawab Nazr Kiya Jata Hai Ya Baksh Diya Jata Hai. Fatiha Ki Niyat Isale Sawab Hoti Hai.
Badmazhab Jaisa Ke Dew Bandar Aur Wahabi Fatiha Haram Hai Bolte Hai. Aur Sabse Pehle Fatiha Ka Khana Yani Tabarruk Khane Aa Jate Hai. Ab Aap Khud Soche, Jo Shakhs Tilawate Quran Ko Haram Kahe Kya Wo Musalman Hai? Hargiz Nahi.
Me Fatiha Ke Talluq Aapke Samne Chand Daleel/Proofs/Hawale/References Pesh Kar Raha Hu Jisse Sabit Ho Jayega Ke Fatiha Jaiz Hai.
Hadees No: 1
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hai Jab Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Zainab Radiallaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aqdas Me Le Jao Main Khidmat-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Me Hazir Huwa To Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Or Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dua Padha Or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi-E-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe. Us Wakt ALLAH Ta‟ala Ne Ye Aayat Nazil Farmaya.
“Aye Imaanwaalo Nabi-E-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane Ke Wakt Taktey Raha Karo. Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo. Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or ALLAH Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta.
(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)

–>Is Hadeese Pak Me Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Khud Apne Samne Khana Rakh Kar Dua Karma Sabit Hai. Yani Ham Ahle Sunnat Ka Tariqa Sahi Hai. Khane Ko Samne Rakh Kar Fatiha Padhna To Sabit Ho Gaya. Ab Isaale Sawab Ke Talluq Chand Hadeese Pak Pe Nazar Dale.
Kya Isaale Sawab Karna Marhumo Ki Rooho Tak Pohochta Hai?
Hadees No: 2
Hazrat Umar Bin Khattab Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jiski Usne Niyyat Ki.”
(Sahi Al Bukhari, Volume : 01,Kitab Ul Imaan, Hadees : 54)
“Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jiski Usne Niyyat Ki.”
(Sahi Al Bukhari, Volume : 01,Kitab Ul Imaan, Hadees : 54)
–> Ye Hadeese Pak Ko Gaur Se Padho Aur Samjho. Hame Wahi Milega Jiski Hamne Niyat Ki Hai. Tamam Amaalo Ka Daromadar Niyat Par Hai. Ab Aapne Is Niyatse Fatiha Padhi Ki Iska Sawab Me Fala Shakhs Ko Bakshunga To Kyu Sawab Untak Na Pohochega. In Sha ALLAH Jaroor Pohochega. Ab Aaiye Dekhe Ki Kya Sawab Pohochta Hai?
Hadees No: 3
Umme Saad Ke Liye KUN‟WA (WALL):
Hazrat Saad Bin Ubada Radiallahu Anhu Arz Karte Hai,
YA RASOOLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Meri Maa Wisal Kar Gayi, Mai Unki Taraf Se Sadka Karna Chahta Hu Konsa Sadka Afzal Rahega,
Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, PAANI.
Chunance Unhone Ek KUN‟WA (Wall) Khudwaya Aur Kaha
“Ye Umme Saad Ke Liye “
(Sunan Abu Dawood Volume : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane Ke Fazail, Page : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Volume : 01, Page : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib, Volume : 02, Page : 41, Hadees : 1424)

Hadees No: 4
Umool Momineen Bibi Ayesha Siddiqua Tahira Radiallaho Anha Se Rivayat Hai Ke Ek Shaks Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargaah Me Haajir Huwa Aur Arz Kiya:
Meri Walida Achanak Faut Hogyi Hai Aur Mera Khayal Hai Ki Agar Wo (Bawakte Naz‟a) Guftgoo Kar Sakti To Sadke (Ki Adaygi Ka Hukm) Karti, Agar Mein Uske Taraf Se Khairat Karoo‟n To Kya Use Sawab Pahuchega?
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Haan.‟
(Sahi Bukhari Volume : 03, Kitab 55 – Kitabul Wasaya, Baab No 19 – Sadakat Ke Sawab ka Shudagan Tak Pahuchne, Hadees : 2760)
(Sahi Muslim Volume : 02, Kitab 12 : Al Zakat, Baab No 15 : Sadakat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadees : 1004)
(Sunan Abu Dawood, Volume : 03, Kitab No 18 : Kitabul Wasaya, Baab No : 1068 Page : 118, Hadees : 2881)
Albani Ne Bhi Isko Sahi Likha Hai
(Sunan Nasai, Volume : 06, Kitab No 30 : Kitabul Wasaya, Baab No : 07 Kisi Shaks Ki Maut Par Uske Gharwaalo Ke Sadke Karne Ka Bayan, Page : 250, Hadees : 3649)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra, Volume 04, Pg : 109, Hadees – 6476)

–> Hadees No 3 Me Umme Saad Ke Liye Kunwa Khudwana Ye Sabit Karta Hai Ke Murdo Ko Isaale Sawab Pohochta Hai. Dar Asl Is Kunwe Ka Maqsad Ye Hoga Ke Jab Tak Duniya Iske Pani Se Sirab Hogi Umme Saad Ko Sawab Mile. SubhanALLAH.
Hadees No. 4 Me Khud Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farman Hai Ke Marhumo Ke Tarafse Sadqa Bhi Diya Jaye To Sawab Unko Milega. Aur Ye Sadqa Unke Gunaho Ka Kaffara Bhi Hai. Aage Hadeese Pak Padhe.
Hadees No: 5
Hazrat Abu Hurrairahu Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Shakhs Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ! Mera Baap Faut Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahi Ki Agar Mein Uske Taraf Se Sadqa Karoo‟n To Kya Yah (Sadqa) Us Ke Gunaahon Ka Qaffara Ho Jaayega?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Haa‟n.
(Sahi Muslim Volume : 03, Page : 1254, Kitab No 25 – Al Wasayiat, Baab No 02 – Sadakat Ke Sawab Ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadees: 1630)
(Sunan Nasai, Volume : 06, Page : 251, Kitab 30, Kitabul Wasaya, Baab No 02, Shudagan Ke Badle Sadkat Karne Ke Fazail, Hadees : 3625)
(Sunan Ibn Majah, Volume : 02, Page : 206, Kitab No 22 – Kitab Al Wasaya, Hadees : 2716)

–> In Tamam Hadeese Pak Se Ye Khoob Sabit Ho Gaya Ke Ham Apne Marhumo Ke Liye Isaale Sawab Kare To Unko Isse Sawab Milta Hai Aur Unke Gunaho Ka Kaffara Bhi Hai. Fatiha Isaale Sawab Ka Hi Ek Zariya Hai. To Yaqeenan Fatiha Lagana Jaiz Hua.
Fatiha Ka Aasan Tarika Hindi Me
Pehle Achchi Tarah Wuzoo Banale Aur Qibla Rukh Baith Jaye. Ab Jis Chiz Par Niyaz Lagani Ho Use Apne Samne Rakhe. Chize Dhaki Hui Ho To Kholde. 1 Glass Me Paani Rakhe. Aur Agarbatti Ya Loban Jalade.
1. Martaba Duroode Pak Padhe. Ab Bismillah Padh Kar Qurane Kareem Ki Surato Ki Tilawat Shuru Kare.
• Surah Fatiha
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِاَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَۙ(۱) الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِۙ(۲) مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِؕ(۳) اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ(۴) اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ(۵) صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ ﴰ غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ۠(۷)
• Surah Kafiroon
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِقُلْ یٰۤاَیُّهَا الْكٰفِرُوْنَۙ(۱) لَاۤ اَعْبُدُ مَا تَعْبُدُوْنَۙ(۲) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُۚ(۳) وَ لَاۤ اَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدْتُّمْۙ(۴) وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُؕ(۵) لَكُمْ دِیْنُكُمْ وَ لِیَ دِیْنِ۠(۶)
• 3 Martaba Surah Ikhlas
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِقُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌۚ(۱) اَللّٰهُ الصَّمَدُۚ(۲) لَمْ یَلِدْ ﳔ وَ لَمْ یُوْلَدْۙ(۳) وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ۠(۴)
• Surah Falaq
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِقُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ الْفَلَقِۙ(۱) مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَۙ(۲) وَ مِنْ شَرِّ غَاسِقٍ اِذَا وَقَبَۙ(۳) وَ مِنْ شَرِّ النَّفّٰثٰتِ فِی الْعُقَدِۙ(۴) وَ مِنْ شَرِّ حَاسِدٍ اِذَا حَسَدَ۠(۵)
• Surah Naas
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِقُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِۙ(۱) مَلِكِ النَّاسِۙ(۲) اِلٰهِ النَّاسِۙ(۳) مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ ﳔ الْخَنَّاسِﭪ(۴) الَّذِیْ یُوَسْوِسُ فِیْ صُدُوْرِ النَّاسِۙ(۵) مِنَ الْجِنَّةِ وَ النَّاسِ۠(۶)
• Surah Qadr
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِاِنَّاۤ اَنْزَلْنٰهُ فِیْ لَیْلَةِ الْقَدْرِۚۖ(۱) وَ مَاۤ اَدْرٰىكَ مَا لَیْلَةُ الْقَدْرِؕ(۲) لَیْلَةُ الْقَدْرِ ﳔ خَیْرٌ مِّنْ اَلْفِ شَهْرٍؕؔ(۳) تَنَزَّلُ الْمَلٰٓىٕكَةُ وَ الرُّوْحُ فِیْهَا بِاِذْنِ رَبِّهِمْۚ-مِنْ كُلِّ اَمْرٍۙۛ(۴) سَلٰمٌ ﱡ هِیَ حَتّٰى مَطْلَعِ الْفَجْرِ۠(۵)
• Surah Kausar
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِاِنَّاۤ اَعْطَیْنٰكَ الْكَوْثَرَؕ(۱) فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَ انْحَرْؕ(۲) اِنَّ شَانِئَكَ هُوَ الْاَبْتَرُ۠(۳)
• Surah Lahab
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِتَبَّتْ یَدَاۤ اَبِیْ لَهَبٍ وَّ تَبَّؕ(۱) مَاۤ اَغْنٰى عَنْهُ مَالُهٗ وَ مَا كَسَبَؕ(۲) سَیَصْلٰى نَارًا ذَاتَ لَهَبٍۚۖ(۳) وَّ امْرَاَتُهٗؕ-حَمَّالَةَ الْحَطَبِۚ(۴) فِیْ جِیْدِهَا حَبْلٌ مِّنْ مَّسَدٍ۠(۵)
• Surah Kuraish
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِلِاِیْلٰفِ قُرَیْشٍۙ(۱) اٖلٰفِهِمْ رِحْلَةَ الشِّتَآءِ وَ الصَّیْفِۚ(۲) فَلْیَعْبُدُوْا رَبَّ هٰذَا الْبَیْتِۙ(۳) الَّذِیْۤ اَطْعَمَهُمْ مِّنْ جُوْ عٍ ﳔ وَّ اٰمَنَهُمْ مِّنْ خَوْفٍ۠(۴)
• Surah Mulq
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
تَبٰرَكَ الَّذِیْ بِیَدِهِ الْمُلْكُ٘- وَ هُوَ عَلٰى كُلِّ شَیْءٍ قَدِیْرُۙ(ﰳ۱) الَّذِیْ خَلَقَ الْمَوْتَ وَ الْحَیٰوةَ لِیَبْلُوَكُمْ اَیُّكُمْ اَحْسَنُ عَمَلًاؕ-وَ هُوَ الْعَزِیْزُ الْغَفُوْرُۙ(۲) الَّذِیْ خَلَقَ سَبْعَ سَمٰوٰتٍ طِبَاقًاؕ-مَا تَرٰى فِیْ خَلْقِ الرَّحْمٰنِ مِنْ تَفٰوُتٍؕ-فَارْجِعِ الْبَصَرَۙ-هَلْ تَرٰى مِنْ فُطُوْرٍ(۳) ثُمَّ ارْجِعِ الْبَصَرَ كَرَّتَیْنِ یَنْقَلِبْ اِلَیْكَ الْبَصَرُ خَاسِئًا وَّ هُوَ حَسِیْرٌ(۴) وَ لَقَدْ زَیَّنَّا السَّمَآءَ الدُّنْیَا بِمَصَابِیْحَ وَ جَعَلْنٰهَا رُجُوْمًا لِّلشَّیٰطِیْنِ وَ اَعْتَدْنَا لَهُمْ عَذَابَ السَّعِیْرِ(۵) وَ لِلَّذِیْنَ كَفَرُوْا بِرَبِّهِمْ عَذَابُ جَهَنَّمَؕ-وَ بِئْسَ الْمَصِیْرُ(۶) اِذَاۤ اُلْقُوْا فِیْهَا سَمِعُوْا لَهَا شَهِیْقًا وَّ هِیَ تَفُوْرُۙ(۷) تَكَادُ تَمَیَّزُ مِنَ الْغَیْظِؕ-كُلَّمَاۤ اُلْقِیَ فِیْهَا فَوْجٌ سَاَلَهُمْ خَزَنَتُهَاۤ اَلَمْ یَاْتِكُمْ نَذِیْرٌ(۸) قَالُوْا بَلٰى قَدْ جَآءَنَا نَذِیْرٌ ﳔ فَكَذَّبْنَا وَ قُلْنَا مَا نَزَّلَ اللّٰهُ مِنْ شَیْءٍ ۚۖ-اِنْ اَنْتُمْ اِلَّا فِیْ ضَلٰلٍ كَبِیْرٍ(۹) وَ قَالُوْا لَوْ كُنَّا نَسْمَعُ اَوْ نَعْقِلُ مَا كُنَّا فِیْۤ اَصْحٰبِ السَّعِیْرِ(۱۰) فَاعْتَرَفُوْا بِذَنْۢبِهِمْۚ-فَسُحْقًا لِّاَصْحٰبِ السَّعِیْرِ(۱۱) اِنَّ الَّذِیْنَ یَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ بِالْغَیْبِ لَهُمْ مَّغْفِرَةٌ وَّ اَجْرٌ كَبِیْرٌ(۱۲) وَ اَسِرُّوْا قَوْلَكُمْ اَوِ اجْهَرُوْا بِهٖؕ-اِنَّهٗ عَلِیْمٌۢ بِذَاتِ الصُّدُوْرِ(۱۳) اَلَا یَعْلَمُ مَنْ خَلَقَؕ-وَ هُوَ اللَّطِیْفُ الْخَبِیْرُ۠(۱۴) هُوَ الَّذِیْ جَعَلَ لَكُمُ الْاَرْضَ ذَلُوْلًا فَامْشُوْا فِیْ مَنَاكِبِهَا وَ كُلُوْا مِنْ رِّزْقِهٖؕ-وَ اِلَیْهِ النُّشُوْرُ(۱۵) ءَاَمِنْتُمْ مَّنْ فِی السَّمَآءِ اَنْ یَّخْسِفَ بِكُمُ الْاَرْضَ فَاِذَا هِیَ تَمُوْرُۙ(۱۶) اَمْ اَمِنْتُمْ مَّنْ فِی السَّمَآءِ اَنْ یُّرْسِلَ عَلَیْكُمْ حَاصِبًاؕ-فَسَتَعْلَمُوْنَ كَیْفَ نَذِیْرِ(۱۷) وَ لَقَدْ كَذَّبَ الَّذِیْنَ مِنْ قَبْلِهِمْ فَكَیْفَ كَانَ نَكِیْرِ(۱۸) اَوَ لَمْ یَرَوْا اِلَى الطَّیْرِ فَوْقَهُمْ صٰٓفّٰتٍ وَّ یَقْبِضْنَﰉ مَا یُمْسِكُهُنَّ اِلَّا الرَّحْمٰنُؕ-اِنَّهٗ بِكُلِّ شَیْءٍۭ بَصِیْرٌ(۱۹) اَمَّنْ هٰذَا الَّذِیْ هُوَ جُنْدٌ لَّكُمْ یَنْصُرُكُمْ مِّنْ دُوْنِ الرَّحْمٰنِؕ-اِنِ الْكٰفِرُوْنَ اِلَّا فِیْ غُرُوْرٍۚ(۲۰) اَمَّنْ هٰذَا الَّذِیْ یَرْزُقُكُمْ اِنْ اَمْسَكَ رِزْقَهٗۚ-بَلْ لَّجُّوْا فِیْ عُتُوٍّ وَّ نُفُوْرٍ(۲۱) اَفَمَنْ یَّمْشِیْ مُكِبًّا عَلٰى وَجْهِهٖۤ اَهْدٰۤى اَمَّنْ یَّمْشِیْ سَوِیًّا عَلٰى صِرَاطٍ مُّسْتَقِیْمٍ(۲۲) قُلْ هُوَ الَّذِیْۤ اَنْشَاَكُمْ وَ جَعَلَ لَكُمُ السَّمْعَ وَ الْاَبْصَارَ وَ الْاَفْـٕدَةَؕ-قَلِیْلًا مَّا تَشْكُرُوْنَ(۲۳) قُلْ هُوَ الَّذِیْ ذَرَاَكُمْ فِی الْاَرْضِ وَ اِلَیْهِ تُحْشَرُوْنَ(۲۴) وَ یَقُوْلُوْنَ مَتٰى هٰذَا الْوَعْدُ كُنْتُمْ صٰدِقِیْنَ(۲۵) قُلْ اِنَّمَا الْعِلْمُ عِنْدَ اللّٰهِ۪-وَ اِنَّمَاۤ اَنَا نَذِیْرٌ مُّبِیْنٌ(۲۶) فَلَمَّا رَاَوْهُ زُلْفَةً سِیْٓــٴَـتْ وُجُوْهُ الَّذِیْنَ كَفَرُوْا وَ قِیْلَ هٰذَا الَّذِیْ كُنْتُمْ بِهٖ تَدَّعُوْنَ(۲۷) قُلْ اَرَءَیْتُمْ اِنْ اَهْلَكَنِیَ اللّٰهُ وَ مَنْ مَّعِیَ اَوْ رَحِمَنَاۙ-فَمَنْ یُّجِیْرُ الْكٰفِرِیْنَ مِنْ عَذَابٍ اَلِیْمٍ(۲۸) قُلْ هُوَ الرَّحْمٰنُ اٰمَنَّا بِهٖ وَ
عَلَیْهِ تَوَكَّلْنَاۚ-اِنْفَسَتَعْلَمُوْنَ مَنْ هُوَ فِیْ ضَلٰلٍ مُّبِیْنٍ(۲۹)
• Aayatul Kursi
• Duroode Hazara
• Duroode Taj
• Duae Noor
• Duae Jamila
• Duae Ganjul Arsh
• Duroode Taj
• Duae Noor
• Duae Jamila
• Duae Ganjul Arsh
–> Aapko Jo Sure Jabani Yaad Ho Unhe Padhle. Ab Ye Aayate Mubaraka Padhe,
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا – 33:56
Innallaho Malaikatuhu Sallualannabi Ya Ayyuhallajina Aamanu Sallualaihi Wasallimo Taslima
Tamam Hazrin Duroode Pak Padhe. Ab Fatiha Padhnewala “Al Fatiha” Kahe. Tamam Hajrin Sure Fatiha, 3 Martaba Sure Ikhlas Padhe. Ab Fatiha Padhnewala Dua Ke Liye Hath Utha Kar Yu Dua Kare.
“Ya Ilahi Maine Jo Kuch Padha Iske Padhne Me Koi Kism Ki Galti Hui Ho To Muze Muaf Farma Aur Is Fatiha Ko Qabool Farma. Is Fatiha Ka Sawab Tajdare Madina Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargah Me Izhare Aqidat Ka Nazrana Pesh Kiya Use Qabool Farma. Ya Ilahi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tawassul Se Is Fatiha Ka Sawab Aapke Ajwaje Mutahharat, Aulade Amjad Ki Muqaddas Roohe Pak Ko Nazar Kiya Use Qabool Farma. Is Fatiha Ka Sawab Khandane Ahle Bait, Khulfae Rashideen, Shohdae Karbala Ke 72 Sohda, Sahaba-E-Kiram, Tabaeen, Tabe Tabeen, 1 Lakh 24000 Ambiya Alaihissalam, Qadriya, Razviya, Chishtiya, Nooriya, Aaliya, Barkatiya, Kalandariya Aur Tamaam Silsilae Bujurgane Deen Ki Roohe Pak Ko Izhare Aqidat Ka Nazrana Pesh Kiya Use Qabool Farma. Ab Marhumo Ka Nam Yu Le. Ya Ilahi Maine Jo Kuch Padha Iska Sawab Khususan Fala Bin Fala Ya Fala Binte Fala Ko Maine Baksh Diya Use Qabool Farma. Marhum Hazrat Ka Nam Bin Walid Ka Nam Le. Aur Marhum Khawatin Ho To Unka Nam Binte Walda Ka Nam Le. Ab Unke Haq Me Dua Yu Kare:
Ya Ilahi Unki Magfirat Farma, Ya Ilahi Unke Sgira Kabira Gunaho Ko Muaf Farma, Ya Ilahi Unki Qabr Ko Jannat Ke Baag Banade. Unki Qabr Se Andhera Ta Qayamat Ke Liye Door Farma. Ya ALLAH Unko Munkir Nakir Ke Sawal-Jawabat Aasan Farma. Ya ALLAH Roze Mehshar Arsh Ka Saya Naseeb Farma. Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shafa’at Naseeb Farma Aur Aapke Mubarak Hatho Se Jame Kausar Peena Naseeb Farma. Ya ALLAH Namae Aamal Dahine Hath Me Ata Farma. Ya Ilahi Unhe Pulsirat Se Bijli Ki Tarah Guzarna. Ya Ilahi Mizan Par Nekiyo Ka Palda Bhari Farma. Ya ALLAH Unhe Jannatul Firdaus Me Aala Muqam Ata Farma. Ya ALLAH Ye Tamam Duae Hamare Haq Me Bhi Qabool Farma Aur Hame Aakhirat Ki Tayyari Karne Ki Taufiq Ata Farma.
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا – 33:56
Innallaho Malaikatuhu Sallualannabi Ya Ayyuhallajina Aamanu Sallualaihi Wasallimo Taslima
Tamam Hazrin Duroode Pak Padhe.
Ab Yu Kahe.
سُبْحَانَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا يَصِفُونَوَسَلَامٌ عَلَى الْمُرْسَلِينَوَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Paaki Hai Tumhare Rab Ko, Izzatwale Rab Ko Unki Baton Se. Aur Salam Hai Paigambaron Par Aur Sab Khubiya ALLAH Ko Jo Sare Jagat Ka Rab Hai
(Surah Saffat Aayat 180-182)
“Subhan Rabbika Rabbil Izzati Amma Yasifun Wa Salaamun Alal Mursaleen Wal Hamdulillahi Rabbil Aalameen.”
Fatiha Muqammal Hui. Ab Tabarruk Takseem Karde. Aur Khasul Khas Chhote Bachche, Yateem, Miskino Ko Niyaz Ka Khana Khilaye. Zaruratmand Logon Tak Pohochaye. Aisa Hargiz Na Kare Ki Sirf Amiron Ko Hi Khane Par Bulaye. Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Sabse Buri Dawat Wahi Hai Jisme Sirf Amiron Ko Bulaya Jata Hai.
–> Apni Anmol Duao Ke Chand Alfaz Mere Marhum Walid Walida Ke Nam Karna Na Bhoole. ALLAH Unki Magfirat Farmaye Aur Jannatul Firdaus Me Aala Muqam Ata Farmaye.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing:
www.hamarenabi.com
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi4u
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.

Useful information. Will follow your blog
Thank you for your feedback. Keep visiting to get true knowledge of Islam. Please download our Android app from Play Store named "Hamare Nabi".
JazakALLAHU Khair.
Mashallah very well explained and inshallah I will follow and I will try to remember all those things…
Can you provide me the duroods you mentioned (Durood hazara taj noor etc and their links)
Thank you for your feedback. Keep visiting to get true knowledge of Islam. Please download our Android app from Play Store named "Hamare Nabi".
JazakALLAHU Khair.
I will send it to you on Email. Kindly contact me via "Contact Us" Page of my blog.
Assalamualikum mashallah aap ki waja se log fateha dena sikh rahe hai jo ki duniya wa akherat ke kuye bahut zaruri hai allah Paak aap ki her dua qubul kare ap ke gher me jo bhi is duniya se ja chuke hai allah unki magferat kare unhe jannat me ala ata farmaye elahi ammeeennn
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Aameen. JazakALLAHU Khair For This Beautiful Dua & Feedback. Keep Visiting And Sharing Our Website. Let's Make People Aware And Spread True Message Of Islam.