Muharram

Best Karbala/Muharram SMS Collection

Ibtida Har Saal Ki Hai Aap Hi Ki Yaad Se
Aap Hi Ka Tazkira Sabki Zuban Par Ya Hussain Radiallahu Anhu.

Mitti Me Mil Gaye Iraade Yazeed Ke
Aaj Bhi Lehra Raha Hai Parcham Hussain Radiallahu Ta’ala Anhu Ka.

“Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain,
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain,
Sar dad, na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain”

“Ruler is Hussain, Emperor is Hussain,
Religion is Hussain, Sheild of religion (Islam )
is Hussain, Gave his head but not his hand to Yazid,
Keeper of the truth is no one but Hussain”

“Shah bhi Hussain, badshah bhi Hussain.
Deen bhi Hussain hai, deen ki panah dene waala bhi Hussain hai.
Sar de dia, per na dia apna haath yazeed k haath mein.
Haqeeqat yeh hai ke La Ilaa Ha IlLlah ki bunyaad hi Hussain hai”

May Allah give us the Himmat and Hikmat to live by the Truth that Hazret Hussain (a.s) stood by and gave His Life for. On the blessed Love of Ahl e Bait n shaudas of Karbala….

Kehdo Gam-E-Hussain Mananewalo Se Momeen Kabhi Shohda Ka Maatam Nahi Karte
Hai Ishq Apni Jaan Se Jyada Aal-E-Rasool Se
Yu Sare Aam Ham Yu Unka Tamasha Nahi Karte
Roye Wo Jo Munkar Hai Shahadate Hussain Ke
Hum Zinda Wa Javed Ka Maatam Nahi Karte.

Chala Jo Gale Pe Khanjar To Zameen Tharrayi
Falaq Se Fatima Zohra Zameen Par Aayi
Kaha Hussain Tera Khoon Khaaq Par Na Gire
Mein Apne Julfo Ki Chadar Bichane Ko Aai
Zamaane Bhar Se Mere Chand Tu Nirala Hai
Rasool-E-Paak Ne Tuze Godi Me Pala Hai.

Hazrat Ali Se Puchiye “Adalat” Kise Kehte Hai
Imaam-E-Hussain Se Puchiye “Shahadat” Kise Kehte Hai
Wo To Izazat Nahi Di Thi Imaam-E-Hussain Ne Unhe
Warna Abbas Bata Dete “Qayamat” Kise Kehte Hai

Jab Yazeed Ne Asgar Ko Na Pilaya Paani
Apni Kismat Par Foont Kar Roya Tha Paani
Wo To Imtehan Me Tha Lashkar-E-Hussain
Warna Jalta Hua Suraj Bhi Ugalta Paani

Ghuroor Toot Gaya Koi Martaba Na Mila
Jafa Ke Baad Unhe Hasil-E-Jafa Na Mila
Sar-E-Hussain Mila Hai Yazeed Ko Laikin
Shikast Ye Hai Ke Phir Bhi Jhuka Huwa Na Mila

Karbala Me Ek Taraf Paani Ki Nehre Jaari Thi
Dusri Taraf Pyaas Jaari Thi
Hairangi Ki Baat To Ye Hai Ke
Jo Paani Pite Rahe Wo Mar Gaye
Jo Pyaase Rahe Wo Aaj Bhi Zinda Hai
Zamanewale To Jannat Ki Talaash Karte Hai
Hussainwalo Ko Jannat Talaash Karti Hai.
Ya Hussain Radiallahu Ta’ala Anhu

Har Aankh Chahti Hai Ziyarat Hussain Ki
Har Dil Me Bas Gayi Hai Muhabbat Hussain Ki
Is Sar Zameen-E-Hind Ke Shaaho Ne Keh Diya
Ta Hashr Tak Rahegi Huqumat Hussain Ki

Qatl-E-Hussain Asal Me Marg-E-Yazeed Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Baad.

Guroor Toot Gaya Koi Martaba Na Mila
Sitam Ke Baad Koi Haasil-E-Jafa Na Mila
Sir-E-Hussain Mila Hai Yazeed Ko Magar
Shikast Ye Hai Ke Fir Bhi Jhuka Hua Nahi Mila.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!