Hadees

Namaz Ki Hadees Namaz Ki Fazilate Namaz Ki Ehmiyat

NAMAZI KE AAGE SE GUZARNEWALA JANTA KE US PAR KYA GUNAH HAI TO ZAMIN ME DHANS JAANE KO GUZARNE SE BEHTAR JAANTA
(FATAWA-E-AALAMGIRI)

JAB BANDA NAMAZ ADA KARTA HAI
TO USKE GUNAH USKE SAR PE RAKH DIYE JATE HAI
JAB WO SAJDA KARTA HAI TO GUNAH GIR JAATE HAI
(MUSNAD-E-IMAAM AHMAD)

Jo Shakhs 5Paanch Waqta NAMAZ JAAMAT Ke Sath Ada Kare ALLAH TA’ALA Usko 70 HAJJ Ka Sawaab Ata Karega. [TAZKIRATUL WAEZEEN]

Jo Shaks Apne Ghar Se Wazu Kar Ke FARZ NAMAZ Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai
To Usko HAJJ Ke Liye AHRAM Bandhne Wale Ki Tarah Sawab Milta Hai
(Abu Dawood)

Agar Log Jaan Le Ke Isha Aur Fajr Ki NAMAZ Ki Kitni Fazilat Hai
To Wo Zarur Usme Sharik Ho Agarche Unhe Ghasit-Ghasit Kar Aana Pade
(Bukhari)

“ALLAH ke nazdeek jaldi wo DUA Qubul hoti he jo sajde me kee jaye
Isliye DUA SAJDE me kiye karo”
(Muslim)

“DAUDTE HUE NAMAZ KO JAANA MAKROOH HAI.”
(RADDUL MUHTAAR)

“JALTI HUI AAG KE
SAMNE NAMAZ PADHNA MAKROOG HAI
LEKIN
CHARAG YA LALTEN KE SAMNE NAMAZ PADHNE ME KOI KARAAHAT NAHI.”
(DURR-E-MUKHTAR J:1 S:438)

“JO SHAKHS 5 WAQT PAABANDI KE SAATH NAMAZ ADA KARTA HAI
QAYAMAT KE DIN USKI NAMAZ
USKI MUHAAFIZ AUR
NIGEHBAAN HOGI”
(SarkaR KHWAJA GARIB NAWAZ)

“NAMAZ TARIKA-E-AMBIYA-E-SAABEKIN HAI
NAMAZ MA’REFAT-E ILAAHI KA NOOR HAI
NAMAZ ISLAM KI JAD HAI
FARISHTO KI MUHABBAT KA WASILA HAI”

NAMAZ QABR KA BICHHAUNA
NAMAZ MUNKAR-NAKIR KO QABR ME MURDE KI TARAF SE JAWAB DEGI
NAMAZ QABR ME QAYAMAT TAK MURDE KI MADADGAR BANI RAHEGI

“NAMAZ ME BAGAIR UJR HATH SE MAKKHI,MACHHAR
UDAANA MAKROOH HAI.”
(FATAWA-E-AALAMGIRI JILD-1 SAFA-102)

MAS’ALA:
“NAMAZ ME TOPI GIR PADI TO EK HATH SE UTHA KAR SAR PAR RAKH LENA BEHTAR HAI
AUR
AGAR BAAR BAAR GIR PADTI HO TO NA UTHANA ACHHA HAI.”

SUSTI SE NANGE SAR NAMAZ PADHNA YANI TOPI SE BOJ MALUM HOTA HAI
YA GARMI LAGTI HAI
IS WAJAH SE TO YE MAKRUH-E-TANJIHI HAI
(RADUL MUHTAR)

NAMAZ KO HAQEER KHYAL KARKE NANGE SAR PADHE
JAISE NAMAZ KOI SHANDAR CHEEZ NAHI KI TOPI KA EHTEMAM KIYA JAYE TO YE KUFRA HAI
(RADUL MUHTAR Jild:1 Safa:431)

MAKRUHAAT:
KAPDE YA BADAN YA DAADHI MOOCHH SE KHELNA
SAJDE ME JAATE WAQT AAGE YA PEECHHE SE DAMAN YA CHADAR YA TAHBAND UTHA LENA
KAPDA LATKAANA YAANI SAR
YA
KANDHE PAR KAPDA,CHADAR WAGAIRAH IS TARAH DAALNA KI DONO KINARE LATAKTE HO.
(RADUL MUKHTAR Jild-1 Safa-429)

NAMAZ KE MAKRUHAT:
KISI EK AASTIN KO AADHI KALAEE SE ZYADA CHADHANA
DAAMAN SAMET KAR NAMAZ PADHNA
IDHAR UDHAR MUH FER KAR DEKHNA
(RADUL MUKHTAR)

NAMAZ KE MAKRUHAAT:
ATTAHIYYAT ME YA DONO SAJDO KE DARMIYAN
DONO HAATHO KO RAAN PAR RAKHNE KI BAJAAY ZAMEEN PAR RAKH KAR BAITHANA.
[AALAMGIRI J-1,S-99]

NAMAZ KE MAKRUHAAT:
-UNGLIYA CHATKHANA
-AASMAN KI TARAF NIGAAH UTHANA
-MARD KA SAJDE ME KALAAIYO KO ZAMEEN PAR BICHAANA.

MAKRUHAAT:
-NAMAZ ME BILA UJR PAALTI MAAR KAR BAITHNA
-NAMAZ ME DAAYE BAAYE JOOMNA
-ULTA QUR’AN MAJEED PADHNA
(DURR-E-MUKHTAR J-1,S -429)

NAMAZ KE MAKRUHAAT:
NAMAZ ME KAMAR PAR HAATH RAKHNA..
NAMAZ KE ILAAWA BHI KAMAR PAR HAATH NA RAKHNA CHAHIYE
YE TAMAM BAATE MAKRUH-e
TAHRIMI HAI
AGAR NAMAZ ME YE MAKRUHAAT HO JAAYE
TO
USKO DOHRA LENA CHAHIYE.
(DURR-E-MUKHTAR JILD-1, SAFA-429)

NAMAZ TOD DENE KE AA’ZAR:
(YANI KIN KIN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI):
-KOI DUB RAHA HO YA
-AAG SE JAL JAYEGA
YA
ANDHA KUE ME GIR PADEGA
AUR YE USKO BACHANE KI QUDRAT RAKHTA HO
TO
US PAR WAJIB HAI KI NAMAZ TOD KAR USKI MADAD KE LIYE DAUD PADE
(RADDUL MUHTAR JILD-1,SAFA-440)

IN SOORTO ME NAMAZI PAR WAJIB HAI
KI
NAMAZ TOD KAR UN LOGO KO BACHAE
YUHI AGAR KOI KISI KO QATL KAR RAHA HO
&
WO FARIYAD KAR RAHA HO
SAAMP WAGAIRAH MAAR NE KE LIYE JAB KI
KAAT LENE KA SAHI DAR HO TO NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI.
(DURR-E-MUKHTAR SAFA:440)

PESHAB PAAKHANA QABU SE BAAHAR MALUM HUA
YA
APNE KAPDE PAR ITNI KAM NAJAASAT DEKHI
JITNI NAJAASAT KE HOTE HUE NAMAZ HO SAKTI HAI.
YA NAMAZI KO KISI AJNABI AURAT NE CHHU DIYA
TO
IN TEENO SOORTO ME NAMAZ TOD DENA MUSTAHAB HAI
(DURR MUKHTAR
&
RADDUL MUHTAR J-1, S-440)

APNE YA KISI KE 1 DIRHAM KE NUQSAN KA DAR HO
JAISE DOODH UBAL JAEGA
YA
GOSHT TARKARI JAL JANE KA DAR HO
TO
IN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI
ISI TARAH 1 DIRHAM KI KOI CHEEZ CHOR LE BHAAGA..
TO NAMAZ TOD KAR USKO PAKADNE KI IJAAZAT HAI.
(DURR-E-MUKHTAR JILD:1 SAFA:440)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!