Hadees

Shab-E-Barat Mubarak 15 Shabaan Ke Rat Ki Fazilate

Hazrat Aata Bin Yasaar Radiallahu anhu Se Marvi Hai ke 15vi shanbaan maut likhi jaati hai yaha tak ke aadmi, safar me nikalta hai halaanke zindo se murdo me wo likha jaa chuka hota hai aur aadmi nikah karta hai halaanke zindo se nikaal kar murdo, me likaa jaachuka hota hai
(Musannaf Abdul Razzaq Vol : 04, Pg : 317, Hadees : 7925)

Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha farmati hai k Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya,
“Mere pass Zibril Alaihsalam Aaye ye Shaban ki 15wi raat hai isme ALLAH Rabbul Izzat itno ko aaazad karta hai jitne BANI KALB ki Bakriyo k baal hai siwaye
1) Kafir Mushrik
2) Adawat waale,
3) Maa baap k nafarmaan
4) Sharabi Inki taraf Nazre Rehmat nahi Farmata Hai.
(Imam Bayhaqi Shuyabul Imaan Vol : 03, Pg : 384, Hadees : 3837)

Hazrat Abu Moosa Ashari Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Ta’ala 15wi Shab Ko Zuhoor Farmata Hai Aur Mushrik Aur Chugul Khor Kay Elawa Sabki Bakshish Farma Deti Hai”

(Sunan Ibn Majah, Pg : 247, Kitab Iqaamah Assalah Wasunnah Fiha, Baab Maa Jaa Fee Lailatul Nisfi Shaban, Hadees : 1390)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal #6353)
(Imam Bayhaqi Shuabul Imaan Vol : 02, Pg : 121, Hadees : 3672)
(Imam Tabarani Mujam Al Kabeer Vol :02, Pg : 109)
(Imam Abu Nauyam Hilyatul Awliya 05, Pg : 191)
(Musannaf Abdur Razzaq, Vol :4, Pg : 317, Hadees :7923)
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Pg : 409, Hadees : 1306)
(Naseerudin Albani Sahih Abu Dawood, Hadees : 1563, 1144)
Abu Moosa Ashari Se Yehi Rivayat Dusri Sanad Se Bhi marwi Hai Jiske Raavi Hazrat Abu Hurraira Hai Jo Mishkat Hadees : 1706 Me marvi Hai.
Lihaja Wo Is Rivayat ko Hasan Darje Tak Pahucha Deti Hai.

Imam Muhammad Ibn Idrees Shafai Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ul Umm Me Likhte Hai
“05 Raat hai Jinme Duaye Kabool Hoti Hai Jumaah Ki Raat, Eid Ul Fitr Ki Raat, Eid Ul Azhaa Ki Raat, Razzab Ki Pahli Raat, NISF SHABAN (yaani 15wi raat)”
(Kitab Ul Umm Vol : 02, Pg :485, Hadees : 482)

Hazrat Ma’az Bin Jabal Raziallah anhu Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
(Sahih ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed ki bunyaad Pe SAHIH hai.
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776) (Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)

Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool ALLAH ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
(Sunan Nasai Pg : 267, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358)

Hazrat Abdullah ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Maheena Shabaanul Muazzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzanul Mubarak Se Mila Dete”
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)

“Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shabaan Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)


Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.

“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺShabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan hi Roza Rakh Liya karte the Aur farmaya Karte Apni Istitaat Kay mutabik Amal karo ki Allah Us wakt Apna Fazl Nahi rokhta Jab Tak tum Uqta naa jao”
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)

Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺMai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
Reference :
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 269, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2359)

“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺRamzaan kay baad sabse zyada Roza Kisi Maah Me rahte to wo Shaban Ka Maahina Tha”Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)

“Hazrat Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tazalli Farmata Hai Aur Kahta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Usse Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon Hai koi Musibat Jada Ki Usse Aafiyat Ata Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih )
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52)

“Sayyida Ayesha Siddiqa Radi allahuanha farmati hai Tazdaar E Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺKya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ?
To Mehboob Rabbul Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand hai Jab Mera Waqt e rukhsat Aaye aur mai rozdaar hoon”
(Musnad Abu Yaala Vol : 08, pg : 311, Hadees :4911)

“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat Shah E Mauzoodat ﷺ Ko Naa Dekha To Baki E Paak Me Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺMaine Khayal Kiya Tha Ki Shayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)

Nazarahmed Khan

HUMARE NABI is best Islamic blog was founded in 2010. This Website is dedicated to ALLAH Subhan Wa TA'ALA and His Messenger Hazrat Muhommad Sallalaho Alaihi Wasallam (P.B.U.H.). My aim is to share Hadees Sharif And Sunnatain of our beloved Prophet Mohommad Sallalaho Alaihi Wasallam (P.B.U.H.). HamareNabi blog is The Voice Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Here I am sharing the Authentic Information regarding the Aqaid And Sharai Masle Masail in the light of Quran wa Hadith. This blog is the way to show you the evil face of Badmazhab. My aim is to promote the Ahle Sunnat Wal Jama'at. Please share our blog so the each and everyone can understand the true message of Islam and get the answers of the questions in the mind with authentic references. Help me In Khidmate Deen.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!