Ramzan

Fazilat-E-Ramzan

HUZUR NE 3 TARAH KE LOGO KO BADDUA DI
JIS PAR HAZRAT JIBRAIL NE AAMIN KAHA
USME SE EK RAMZAN KA ROZA NA RAKHNEWALA HAI.
(Kanzul UMMAL)

Jisne bagair kisi sharai majburi ke RAMZAN ka 1 bhi ROZA tark kiya (chhoda)wo
900000 (9 Lakh)
baras JAHANNAM ki aag me jalta rahega!
(Faizane sunnat)

MASLA:
JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki
Balki Agarche Saare Din Junub(Be Gusul)
Raha
Roza Na Gaya.
(Durr-e-Mukhtaar J:3 S:372)

Is Mahine Ka Pehla Ashrah RAHMAT
Doosra MAGFIRAT
aur
Teesra
Ashrah JAHANNAM Se Aazadi Ka Hai.
(Sahi Ibn-e-Khuzaima J:3 S:191 H:1887)

MAS’ALA:
Bahot Log Roze Me Bar Bar Thookte Rahte Hai Aisa Na Kare, Ha Ikattha Karke Nigalna Makruh Hai Par Roza Ho Jayega.
[Bahare Shariat Hissa-5]

AAQA Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:
Jab Ramzaan Aata Hai To Jannat Ke Tamaam Darwaaze Khol Diye Jate Hai.
[Bukhari:1898]

Ye Mahina (RAMZAN)
Sabr Aur Bhalai Ka He
Aur Sabr Ka Sawab Jannat He
Aur Is Me Momin Ka Rizq Badhaya Jata He
[SAHI IBN-E-KHUZAIMA 3/1887]

Jo Momin Is Mahine Me Marta He Wo Sidha Jannat Me Jata He
Goya Us Ke liye Dozakh Ka Darwaza Band He
(Aneesul Waezeen 20)

RASOOL-E-AAZAM Ne Farmaya
Jisko Ramzan Ke Iqtetam(Ending) ke Waqt Maut Aayi Wo Jannat Me Dakhil Hoga.
(Huliyatul Aulia S;24)

JisKa Roza Ki Halat Me Inteqal Hogaya
Allah usku Qiyamat Tak Ke Rozon ka Sawab Ata Farmayega.
(Al Firdaus J:3 S:4)

Kya Aap Jante He?
Ramzan Ul Mubarak me Musalmano Ki Qabro Par Azaab-e-Qabra Nahi Hota (Miartul Manazih 3)

NABI-E-KAREEM ka farman: Hamare aur ahle’kitab ke rozo ke darmiyan ka farq sehari ka khana hai.
(Muslim)

HUKKA
BIDI
SIGRET
CHURAT
SIGAAR
PEENE-SE ROZA TUT JATA HAI
(JANNATI ZEWAR S-238)

Mas’ala
Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (New) Niyyat Zaruri He
Ek Din Ki Niyyat Pure Mahine Ke Liye Kafi Nahi
(Bahare Shariat)

MAS’ALA:
BHOOL KAR PET BHAR KHANA KHANA KHAYA
YA
PAANI PIYA TO ROZA NA TUTA
ROZA HONA YAAD THA FIR AISA KIYA TO TUT GAYA
(HIDAYA)

MASLA:
TARAWEEH Har Aaqil Baaligh MARD
Aur AURAT Ke Liye Sunnat-E-Mo’ak’kedah Hai
Iska Tark Jaiz Nahi..
(Durre Mukhtar Jild-3 Safa-596)

MASLA:
JISNE ISHA KI FARZ NAMAZ NAHI PADHI
WO NA TARAWEEH PADH SAKTA HAI NA WITR
JAB TAK FARZ NA ADA KARE
(RADDUL MUHTAR JILD-1,S-476)

MAHINO ME SIRF MAAH-E-RAMZAN KA NAAM
QUR’AN SHARIF
ME LIYA GAYA
ISI KE FAZAIL BAYAN HUWE
RAMZAN KE KHANE PEENE KA HISAAB NAHI
(Tafsirul Ruhul BAYAN)

Ramazan Me Zikre-ILAHI Karnewala Baqsh Dia Jata He
Aur Is Mahine Me ALLAH Se Maangne Wala Mehrum Nhi Rahta.
(Shoaibul Imaan, H.No:3627)

Jab RAMZAN Aata Hai
Tab Asman ke Darwaze khol diye Jate hai
Aur dozakh Ke Darwaze Band Kar diye jate hai
(SAHIH BUKHARI kitabus-Som 1/626 Hadis no1899)

NABI Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ramzan Me
20 Rakat (TARAVI)
Aur Vitr Padhte thy.
[Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees;7774 /
Baihaqi Hadees;4391]

Jab Ramzan Ki Pahli Raat Aati Hy To
Asmano
Aur Jannat Ke Darwazey Khol Diye Jate Hy
Aur Akhiri Raat Tak Band Nahi Hote.
[SHOBUL IMAAN 3/314]

Jo Koi Banda
Ramzan Ki Kisi Bi Raat Me
Namaz Padhta Hy To Uske Har Sajde Ke Badle Me Uske Liye
1500 Nekiya Likta He.
[SHOBUL IMAAN V:3/Page:314]

Nazarahmed Khan

HUMARE NABI is best Islamic blog was founded in 2010. This Website is dedicated to ALLAH Subhan Wa TA'ALA and His Messenger Hazrat Muhommad Sallalaho Alaihi Wasallam (P.B.U.H.). My aim is to share Hadees Sharif And Sunnatain of our beloved Prophet Mohommad Sallalaho Alaihi Wasallam (P.B.U.H.). HamareNabi blog is The Voice Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Here I am sharing the Authentic Information regarding the Aqaid And Sharai Masle Masail in the light of Quran wa Hadith. This blog is the way to show you the evil face of Badmazhab. My aim is to promote the Ahle Sunnat Wal Jama'at. Please share our blog so the each and everyone can understand the true message of Islam and get the answers of the questions in the mind with authentic references. Help me In Khidmate Deen.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!