Muharram

Moharramul Haraam Aur Ashura Ke Rozon Ke Fazail Hadees-E-Nabwi Se

1) Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki, Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :–
“Sab Rozo Me Afzal Ramazan Ke Baad Moharram Ke Roze Hain,
Jo Allahعزوجل Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-E-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”
Ref.
(Sahih Muslim : Hadees 1163)

2) Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :- ”Moharram Ke Har Din Ka Roza Ek Mahiney Ke Barabar Hai.”
Ref.
(Tabraani Fissageer : Jild 2, Safha : 158)

3) Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Farmatey Hain ”Meine Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ko Kisi Din Ke Rozey Ko Aur Din Ki Fazilat De Kar Justuju Farmatey Na Dekha Magar Yeh Ki Ashura Ka Din Aur Yeh Ki Ramazan Ka Mahina.

Ref.
(Sahih Bukhari : Jild 1, Safha : 657, Hadees : 2006)

4) Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :- “ Youm-E-Ashura Ka Roza Rakho Aur Is Me Yahoodiyon Ki Mukhalifat Karo. Is Se Pehle Ya Baad Me Bhi Ek Din Roza Rakho.
Ref.
(Musnad Al Imam Ahmad: Jild 1, Safha 518, Hadees 2154)

5) Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Qatada رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Farmatey Hain Ki “ Mujhe Allah Par Gumaan Hai Ki Ashura Ka Roza Ek Saal Qabl Ke Gunaah Mitaa Deta Hai.
Ref.
(Sahih Muslim : Safha 590, Hadees 1162
Imam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ki Karamat ( Hindi ),  Maktabatul Madina-Hind, Safha : 24-25)

Aap Bhi Niyat Kar Liye Ke Moharram Ke Rozey Rakheingey Khaas Taur Par Ashura Ka Roza
أن شاء الله عزوجل 🙌🏻

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!