Ramzan

Kin Chizon Se Roza Nahi Tootta

Sehri khana aur usme der karna musthab he aur sawab ka sabab. magar itni der lagana ki subah hone ka shak ho jaye makruh he.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Iftar me jaldi karna musthab he. magar iftar us waqt iftar us waqt kare ki jub suraj dubne ka pura yakin ho. Jab tak pura yakin na ho iftar na kare agar muazzin ne azaan keh di ho ya kisi aur tarike par iftar ka ailan kar diya jaye aur badal chaye ho to iftar me jaldi na karni chahiye.
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti Zewar

Taza khazoor jo sukhi nahi he aur yah na ho to sukhe chuhare arna pani se iftar karna sunnat he
>Sunni Bahishti Zewar
Makkhi halak me chali gayi Roza na gaya aur irade se nigali to Roza jata raha.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Kasdan muh bhar ulti ki aur rozdar hona yad he to roza jata raha. Chahe usme kuch muh hi se halak me wapas chali jaye ya na jaye. Aur muh bhar se kam ki to roza na gaya.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Ulti chahe irade se ho ya bila ikhtiyar usme balgam aaya to roza na toota agarche muh bhar ho
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Bila ikhtiyar ulti ho gayi aur muh bhar he aur usne lauta li agarche usme se sirf chane ke barabar halak se utari to roza jata raha,warna nahi.
Aur muh bhar na ho to roza na gaya agarche halak me laut gayi ya usne khud lautai
>Raddulmuhtar,Sunni Bahishti Zewar

Bhoole se khana kha rahi thi yad aate hi fauran lukma fenk diya ya subah sadiq se pehle kha rahi thi aur subah hote hi ugal diya to roza na gaya aur nigal liya to dono surato me jata raha aur in dono surato me us par kaffara wazib ho gaya.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Til ya til ke barabar koi chiz chabai aur thook ke sath halak se utar gayi to roza na gaya magar jabki uska maza halak me mehsus ho to roza jata raha.
>Fatahulkadir,Sunni Bahishti Zewar

Bat karne me thook se hont bhig gaye aur use pi gayi ya muh se lar tapki magar tar toota na tha ki use chadhakar pi gayi. Ya nak me rinth aagayi balki nak se bahar ho gayi magar alag na hui thi ki use chadha kar pi gayi.
Ya khakar muh me aai aur kha gayi agarche kitni hi ho Roza na jayega.
lekin yah chunki nafrat lanewali chize he aur unse dusro ko bhi ghin aati he. isliye unse ahtiyat chahiye.
>Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar

Koi chiz kharidi aur uska chakna zaruri he ki na chakhegi to nuksan hoga to chakhne me harz nahi warna makruh he.
Chakhne se murad yah he ki Jaban par rakh kar maza malum karle aur use thook de. Usme se kuch halak me na jane paye.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Rozadar ko bila uzra kisi chiz ka chakhna ya chabana makruh he. Chakhne ke liye uzra yah he ki jaise aurat ka shohar bad mizaz he. Handi me namak kamo besh hoga to uski narazgi ka sabab hoga to chakhne me harz nahi. Chabane ke liye yah uzra he ki itna chota bachcha ki roti nahi kha sakta aur koi narm giza nahi jo use khilai jaye. Na haiz wa Nifaswali koi aurat he na koi aur rozdar aisa jo use chaba kar dede to bachche ko khilane ke liye roti wagaira chabana makruh nahi
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Ramzan Ke Chand Masle Masail:


Niyat dil ke irade ka nam he. Jaban se kehna shart nahi magar Jaban se keh lena Musthab he.
rat me niyat kare yu kahe ki maine niyat ki Allah Ta’ala ke liye is Ramzan ka farz roza rakhunga. Aur agar din me yani dopahar se pehle niyat kare to yah kahe.
“Niyat ki maine Allah ta’ala ke liye aaj ramzan ka farz roza rakhunga.”
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 187

Ramzan Mubarak ke roze kaza ho gaye. Ab rakhna chahte he to ab thik subah sadiq ke waqt yani rat me niyat karna jaruri he. Agar din me niyat karenge to ye roza nafli hoga. Fir bhi uska pura karna jaruri he. Tod denge to kaza lazim aayegi.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar,Safa 187

Roze me Tel ya Surma lagaya to Roza na toota agarche Tel ya Surma ka maza halaq me mehsus hota hai. Balki thook me surma ka rang bhi dikhai deta ho jub bhi nahi toota.
>Raddulmuhtar

Janabat (Napaki) ki halat me subah ki balki agarche sare din Napak raha, Roza nahi toota magar itni der tak jan buz kar Gusla na karna ki Namaz kaza ho jaye Gunah wa Haram he.
Hadees me farmaya
“Junoob (Napak) jis ghar me hota he usme rehmat ke farishte nahi aate.”
>Durre Mukhatar

Bachcha jaise hi 8ve sal me kadam rakhe uske wali (Sarparast) par lazim he ki use Namaz, Roza ka huqm de aur Jub 11 sal shuru ho jaye to wali par wazib he ke Roza, Namaz par maare taki wah aadi ho. Ha agar roza se use nuksan pohochta ho to aur bat he.
>Durre Mukhtar

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!