Muharram

Muharram Ke Roze Hadees Ke Hawale Se

Assalamu Alaikum Pyare Islami Bhaiyo Aur Beheno,

Maahe Ramzan Ke Roze Ke Baad Sabse Jyada Sawab Maahe Muharram Ke Rozo Ka Hai. Is Post Me Muharram Ke Rozo Ki Fazilat Hadees Ke Hawalo Se Bayan Ki Gayi Hai. Muharram Ki 9vi Aur 10vi Tarikh Ke Roze Rakhne Ki Koshish Kare Aur Swabe Darrain Hasil Kare.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ tamaam roze mein afzal ramzaan ke baad Muharram ke roze hai aur baad namaz e farz ke tahajjud ki namaaz hai.
(Muslim Shareef, Jild 3, Hadees No 2755)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki, Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :–
“Sab Rozo Me Afzal Ramazan Ke Baad Moharram Ke Roze Hain,
Jo Allahعزوجل Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-E-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Se Ashura (10 Muharram) Ke Din Ke Roze Ke Baare Me Poocha Gaya Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :- Yeh Guzrey Huwey Saal Ke Gunahon Ka Kaffara Hai.

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abdullah Bin Abbas رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Jab Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Madiney Me Jalwa Afroz Huwey Toh Yahudiyon Ko Dekha Ki Ashurey Ke Din Ka Roza Rakhte Hain,
Logo Ne Un Se Poocha Ki Kyun Roza Rakhte Hain ?
Toh Unhoney Kaha Ki –
‘Yeh Woh Din Hai Jab Allah Ta’ala Ne Hazrate Moosa عليه السلام  Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Ke Liye’!
Toh Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya:
“Hum Tum Se Zyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Moosa عليه السلام  Ke, Phir Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Huqm Diya Iss (10 Muharram) Ke Rozey Ka.”

(Jamia al Tirmizi : Hadees 740
Book ref. :  8, Hadees 59
Eng ref. : Vol. 2, Book 3, Hadees 740
Sunan Ibn Majah : Jild. 1, Book 7, Hadees 1738
Arabic ref. : Book 7, Hadees 1810
Sahih Bukhari: Hadees 3943
Book ref. : 63, Hadees 168
Eng ref. : Vol. 5, Book 58, Hadees 279)

Huzoor Sarware Aalam ﷺ irshad farmate haiñ,

Maahe Muharram ke har din ka roza ek mahine ke roze ke barabar hai.
#Suyuti, Mu’jam al Saghir, Jild 2, Safah 87, Hadees No 1580.

Jis shakhs ne yeh 3 din roze rakha Jumeraat, jumu’ah , hafta moharram ke mahine mein to uske liye 2 saal ki ibadat karne ka sawab likha jaata hai.
#Tabrani Shareef, Mu’jam al Awsat, jild 2, Safah 219, Hadees No 1789.

Jo shakhs 3 din roza rakhe jumerat jumu’ah hafta zul qaaeda zul hijjah aur moharram ke mahino mein to uske namaa e aamal mein nau sau (900) saal ibadat karne ka sawab likha jaata hai.
#Ihya Uloom al Deen, Jild 1, Safah 237.

Jis shakhs ne 3 din roze rakha jumeraat jumu’ah hafta zul qaada zul hijja aur moharram ke mahino mein Allah ﷻ uss shakhs ko saañt sau (700) saal ibadat karne ka sawab ataa farmata hai.
(Baihaqi Shareef, Fazail al Awqat, Jild 1, Safah 538)

💎Aap Bhi Niyat Kar Liye Ke Moharram Ke Rozey Rakheingey Khaas Taur Par Ashura Ka Roza💎
أن شاء الله عزوجل 🙌🏻

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!