Hadees-E-NabwiMuharram

10 Muharram Ke Roze Ki Hadees Aur Fazilat

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Ha Ke Hazrate Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki, Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :–
“Sab Rozo Me Afzal Ramazan Ke Baad Moharram Ke Roze Hain,
Jo Allahعزوجل Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-E-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Se Ashura (10 Muharram) Ke Din Ke Roze Ke Baare Me Poocha Gaya Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya :- Yeh Guzrey Huwey Saal Ke Gunahon Ka Kaffara Hai.

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abdullah Bin Abbas رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Jab Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Madiney Me Jalwa Afroz Huwey Toh Yahudiyon Ko Dekha Ki Ashurey Ke Din Ka Roza Rakhte Hain,
Logo Ne Un Se Poocha Ki Kyun Roza Rakhte Hain ?
Toh Unhoney Kaha Ki –
‘Yeh Woh Din Hai Jab Allah Ta’ala Ne Hazrate Moosa عليه السلام  Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Ke Liye’!
Toh Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Farmaya:
“Hum Tum Se Zyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Moosa عليه السلام  Ke, Phir Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Huqm Diya Iss (10 Muharram) Ke Rozey Ka.”

(Jamia al Tirmizi : Hadees 740
Book ref. :  8, Hadees 59
Eng ref. : Vol. 2, Book 3, Hadees 740
Sunan Ibn Majah : Jild. 1, Book 7, Hadees 1738
Arabic ref. : Book 7, Hadees 1810
Sahih Bukhari: Hadees 3943
Book ref. : 63, Hadees 168
Eng ref. : Vol. 5, Book 58, Hadees 279)

💎Aap Bhi Niyat Kar Liye Ke Moharram Ke Rozey Rakheingey Khaas Taur Par Ashura Ka Roza💎
أن شاء الله عزوجل 🙌🏻

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!