Muharram

Ahle Bait Ki Muhabbat Jannat Me Le Jayegi

Sayyiduna Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ irshad farmate haiñ
“Allah ﷻ se muhabbat karo! Kyuke woh tumhe apni nea’maton se sarfaraz farmata hai aur Allah Ta’ala ki muhabbat ki khatir Mujhse Muhabbat kiya karo aur meri muhabbat ki khatir mere ahle bait se muhabbat kiya karo.”
(Tirmizi Shareef Jild 2 Hadees No. 3722)

Hazrat Sayyiduna Jaabir Bin Abdullah رضي الله عنه riwayat farmate haiñ, Maiñe RasoolAllah ﷺ ko Hajjatul wida ke mauke par maidaan e Arafat mein dekha ke aap apni mubarak ouñthni ‘Kaswa’ par jalwagar hai aur khitab farma rahe hai.

Maiñe Nabi-E-Kareem ﷺ ko farmate huwe suna, “Aye logoñ beshak Maiñ tumko do (2) azeem nea’mateiñ de kar jaa raha hu, jabh tak tum unhein thame (pakde) rahoge hargiz gumraah na houge, woh KitabulAllah aur Meri Itrat ‘Ahle Bait’ hai.
(Tirmizi Shareef Jild 2 Safah 219 Hadees No.3718)

Sayyeduna Abdullah bin Abbas ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ riwayat farmate haiñ Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate hain Mere Ahle Bait ki misaal Nooh ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ ki kashti ki maanind hai, jo iss mein sawaar hogaya naja’at paa gaya, aur jo iss mein sawaar hone se reh gaya woh garq hogaya.
(Al Muajam al Kabeer Lil Tibraani, Hadees No 2572)

Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Irshad Farmate Hain:
KI WOH SHAKHS JO AHLE BAIT KI
MUHBBAT ME MARA WOH MOMIN MARA AUR JO BHI AALE RASOOL ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ KI MUHBBAT ME FAUT HUA WOH SAHEED FAUT HUA”.
“AUR WOH INSAN JO ISHQ-E-ITRAT-E
-PAIGAMBAR ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ME MARA TO KHUDA TALAH US KI QABAR KO RAHEMAT KE FARISTO KE LIYE MAZAR BANA DENGA”….
“AUR WO AADMI JO AHLE BAIT-E-AT’HAAR KI MUHABBAT ME MARA MAUT KA FARISTA USKI JAAN QABZ KARNE SE PAHELE PAHELE US KO JANNAT KI KHUSKHABRI DEGA”….
AUR FARMAYA KI..
“JIS NE MERI AHLE BAITH PAR ZHULM
KIYA US PAR ALLAH TALAH NE JANNAT
HARAM KAR DI”…..
✒( Nuzhat ul Majalis,Jild 2,Page
no-222;Tafsir e Rooh ul Bayan Jild 3,Page
No-534)
Gaur Karo Ki Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Kaise Wazeh Alfaz Me Kisi Ke Iman O Kufr Kisi Ke Jannati Wa Jahhannami Hone Ka Daro Madar Ahle Bait Ki Muhabbat Aur Dusmani Par Rakkha Hai.
Phir Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ne
Muhabbat-E-Ahele Baith Ko Ahele Sunnat Wa Jamat ke Saath Wabasta Kar Ke ye Wazeh Kar Diya Ki AHELE SUNNAT WA JAMAT hi Ek Aisa Firqae Haq Hai Jo Sahi Ma’no Me Muhibbe Ahele Baith Hai.
Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Farmate Hai.
“WOH SAKHSH JO AHELE BAITH KI
MUHABBAT ME MARA WOH AHELE SUNNAT WA JAMAT KE AQIDE PAR MARA.”

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!