Nikah

Nikah Ki Khas Hadees Sharif

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan
صلل الله عليه وسلم Ne Farmaya:
“Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”

(Mishkat Sharif, Jild 2, Hadees No 2962, Safa 72)

SubhanALLAH Nikah Ki Itni Badi Ahmiyat Hai Ke Nikah Karne Par Aadha Deen Mukammal Hota Hai. Ye Sunnat-E-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Hai.

Hazrat Ibne Abbas Radiallaho anhu se Riwayat He ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya
“Gawaho ke bagair Nikah karnewali Aurate Jaaniya (Zina Karnewali) He

(Tirmizi sharif,Jild 1, Safa 563, Hadees no 1095, Bab No 751)

Huzoor Sayyadna Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu anhu farmate he:
“Nikah Jumerat Ya Jumma Ko Karna Must’hab hai aur Subah ki Bajaye sham ke waqt Nikah Behtar Hai”

(Gunyatuttalebin, Bab no 5, Safa 115)


“Jis kisine Sohbat ki bate logo me bayan ki uski misal aisi he jaise shaitan Aurat shaitan Mard se Mile aur Logo Ke samne hi khule aam sohbat karne lage”

(Abu Dawood, Jild 2, Hadees no 407, Safa 155,Bab No 127)

Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“ALLAH ki la’anat Bad Nigahi karnewale par aur Jiski taraf Bad Nigahi ki jaye”

(Bayhaqi Sharif,Mishkat sharif Jild 2,Safa 77)

You Might Also Like:



Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!