Daulat Aur Husn Ke Sabab Nikah Na Karo

Nabi-E-Kareem Raoofur Raheem (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya:
"Aurato Se Unke Husn Ke Sabab Shaadi Na Karo Ho Sakta Hai Uska Husn Tumhe Tabah Karde
Na Uske Maal Ki Wajahse Shaadi Karo Ho Sakta Hai Ke Unka Maal Tumhe Gunaho Me Mubtela Karde,
Balki Deen Ki Wajahse Nikah Kiya Karo
Kali, Chapti, Badsurat Londi Agar Deendar Ho To Behtar Hai "
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees No 1926, Safa 522)

Farman-E-Mustufa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hai Ke,
“Shaadi Karne Me Maal Wa Daulat Husn Wa Jamaal Aur Hasab Wa Nasab Ko Tarjih Na Do Balke Deendar Aurat Se Shadi Karke Kamyab Ho Jao”.
(Bukhari Sharif, Hadees: 5090)

Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu se
Riwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad farmaya:
"Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata he
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajahse.
Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"
(Bukhari sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 555)

In Tamaam Hadees Sharif Se Ye Saabit Hai Ke Nikah Karte Waqt Deendari Dekhi Jaye.
Aajkal Aksar Log Paisa Aur Jaydat (Property) Dekh Kar Shaadi Karte Hai Aur Unka Khayal Hota Hai Ke Ladki Chain Aur Sukoon Ki Zindagi Basar Karegi.
Aye Imaanwalo,
ALLAH Ne Jo Kuch Tumhare Muqaddar Me Likha Hai Usse Jyada Ya Kam Aapko Hargiz Nahi Mil Sakta.
Mere Pyare Islami Bhaiyo Aur Behno,
Deendar Ladka Ya Ladki Se Shaadi Karne Se Aapki Zindagi To Sawar Jayegi Hi Sath Me Aapki Aanewali Nasl Bhi Deendar Hongi.
Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post