Hadees-E-Nabwi

Hadees About Window Of Gumbade Khazra (Sacred Green Dome)

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Sayyedatuna Aisha Siddiqah Radiallahu Anha Ki Tadbeer Se Qahat Door Huwa

Hazrate Sayyeduna Abu Jauza Aus bin Abdullah Rafiallahu Anhu Farmatey Hain Ki Madiney Ke Log Sakht Qahat Zada Ho Gaye Toh Unhone Hazrate Sayyedatuna Aisha Siddiqah Radiallahu Anha Ko Shikayat Ki Toh Aap Radiallahu Anha Ne Farmaya Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr Ki Taraf Gaur Karo. Us Se Ek Taaq (Niche Or a Recess On Roof) Aasman Ki Taraf Bana Do. Hatta Ki Qabr-E-Anwar Aur Aasman Ke Darmiyan Chaht Na Rahe.

Logo Ne Aisa Kiya Toh Hum Par Khoob Barish Barsaayi Gayi Hatta Ki Chara Ugh Gaya Aur Oont Motey Ho Gaye Hatta Ki Charbi Se Unki Kokhein Phool Gayi Toh Us Saal Ka Naam “ عام  الفتق” ( Aamul Fitak )Yani Khoob Barish Wala Saal” Rakha Gaya.

• Qabr-E-Anwar Ko Zaheer Karne Ki Hiqmat:

Sharehe Mishkaat Allama Sheikh Ali bin Sultan Mohammad Qaari Rehmatullah Alaihi Farmatey Hain :
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr-E-Anwar Par Aasman Ki Taraf Taaq Bananey Ke Baare Me Kaha Gaya Hai Ki Jab Aasman Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr-E-Anwar Ko Dekhega Toh Us Ke Roney Ki Wajah Se Waadi Paani Se Bhar Jayegi.

ALLAH Ta’ala Ne Quran-E-Majeed Me Irshhaad Farmaya :

فَمَا بَكَتْ عَلَيْهِمُ السَّمَاءُ وَالْأَرْضُ

Tarjuma-E-Kanzul Iman :
Toh Un Par Aasman Aur Zameen Na Roye.
(Al Qur’an : Surah Dukhaan : Ayat 29)


Is Farman Me Kuffar Ke Haal Ki Khabar Hai (Ki In Par Aasman Aur Zameen Nahi Rote) Toh Nek Logo Ki Nisbat Mua’mla Is Ke Ulat Hoga Ki In Par Aasman Wa Zameen Royenge. Isi Wajah Se Ummul Momineen Hazrate Aisha Siddiqah Radiallahu Anha Ne Qabr-E-Anwar Ke Upar Aasman Ki Taraf Khidki Kholne Ka Huqm Farmaya.

Quran-E-Paak Ke Ma’ani Ki Yeh Pehchaan Aap Radiallahu Anha Ka Hi Hissa Tha.

Hazrate Sayyeduna Sheikh Abdul Haqq Muhaddis Dehelvi Rehmatullah Alaihi Farmate Hain :
Hijaab Door Karne Ka Maqsad Qabr-E-Anwar Se Talabe Shafa’at Hai. Kyunki Zahiri Hayat Me Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Talabe Barish Ki Dua Ki Jaati Thi Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Parda Farma Gaye Toh Sayyedatuna Aaisha Radiallahu Anha Ne Qabr-E-Anwar Se Talabe Shafa’at Ke Baare Me Kaha Taaki Baarish Ho Jaaye. Dar Haqeeqat Yeh Bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zaate Aqdas Se Hi Shafa’at Ki Talab Hai. Kashfe Qabr Bataure Mubalaga Tha.

Hazrate Sayyeduna Sheikh Ali bin Sultan Mohammad Qari Rehmatullah Alaihi Farmate Hain :
Aasman Ki Taraf Rukh Karne Ke Saath Goya Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Arz Wa Matloob Pesh Karne Se Kinaya Hai Aur Yeh Dua Ka Qibla Aur Zaeefon Ke Rizq Ki Jagah Hai.

Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan Rehmatullah Alaihi Farmate Hain :
Is Se Chandd Ma’ale Maloom Hue:
Ek Yeh Ki Wafat Yafta Buzurgon Ke Waseele Se Duaaein Jaayez Hai. Doosre Yeh Ki In Ke Tabarruqaat Ke Waseeley Se Duaein Karna Jayez Balki Sunnate Sahaba Hai. Teesre Yeh Ki Buzurgon Ki Qabrein Bi Izne ILahi Dafe’ul Bala Aur Mushkil Kusha Hain. Yusuf Alaihissalam Ki Kameez Dafe’ul Bala Thi Ki Is Ki Barakat Se Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhein Roshan Ho Gayi. Ayub Alaihissalam Ke Paaon Ka Dhowan Shifa Tha.

Majeed Farmate Hain :
Qabr-E-Anwar Ki Barakat Se Barish Na Toh Bahot Zyada Hui Jo Khetiyan Barbaad Kare Na Bhot Thodi Jo Kaafi Na Ho. Na Be Waqt Hui Balki Bar Waqt Hui Aur Ba Qadre Zaroorat Hui Jo Be Zarar Balki Nihayat Mufeed Hui.

Yeh Waqiya Hazrate Sayyedatuna Aaisha Siddiqah Radiallahu Anha Ki Karamat Zaheer Kar Raha Hai.

(Sunan Al Darimi : Safha : 58 , Hadees : 93)
(Mirqatul Mafateeh  : 11/96 , Hadees : 5950)
(Mirat ul Manajeh : 8/277)
(Faizane Aisha Siddiqah Radiallahu Anha (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 314-315)

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:            
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )

صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!