Imaan

Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Roza-E-Anwar

• Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki “QABR-E-Anwar” kisne khodi aur unke kya Naam hai?

>>Madeenah Munawwara Me 2 Shakhs “QABR” khodnewale the.
Ek Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jaraah RadiAllahu Anhu Aur doosre Hazrat Abu Talha Ansari RadiAllahu Anhu,
Ye Sahabi the jinhone Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Qabr Mubarak khodi.
(Madrij-Un-Nubuwwah,Jild – 2,Safa No – 750)

• Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Qabr Me Kis Jaanib Se Utara Gaya?

>>Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Qadam Aqdas ki Jaanib se Qabr Anwar me Dakhil kiya gaya.
(Madarij-Un-Nubuwwah,Jild – 2,Safa No – 751)

• Huzoor Akram ((Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Qabr Anwar Me Kaun Kaun Hazrat Utre The?
.
>>Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Qabr Anwar me, “Hazrat Ali Murtaz” RadiAllahu Anhu,
“Hazrat Abbas” RadiAllahu Anhu,
“Hazrat Fuzail” RaidiAllahu Anhu,
Aur
“Hazrat Qasam bin Abbas RadiAllahu
Ye 4 Sahabi hai jo Hamare Aaqa (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Qabr Anwar me Dakhil huwe the.
(Madarij-Un- Nubuwwah,Jild – 2, Safa No – 751)

• Qabr Anwar Me Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Neeche Kya Bichhaya Gaya Aur Kisne Bichhaya?
.
>>Bahreen ki Surkh laal ” MAKHMAL” ki Chadar jo Khaibar ke Roz Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Pahunchi thi,
Aur Aap use Ohdhte the use Bichhaya gaya.
Aur Chadar ko Bichanewale Hazrat Saqran RadiAllahu Anhu the,
Unhone kaha :
Mai Nahi Pasand Karta Ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Baad koi use Ohdhe.
(Madij-Un-Nubuwwah,Jild -2,Safa No – 751)

• Huzur Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab “QABR-E-Anwar”  Me Utara Gaya To Aap Apni Zuban Mubarak ko Jumbish Farma Rahe The,
To Kis Sahabi Ne Kan Laga Kar Suuna. Aur Aap Kya Farma Rahe The?
.
>>Hazrat Qasam Bin Abbas RadiAllahu Anhu Farmate hain:
Maine Qabr me dekha ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam apne Lab mubarak ko Jumbish Farma rahe hain.
Maine apne kaan ko aap ke dahan mubarak ke qareeb kiya.
Maine suna ke aap farma rahe the “YA RAB UMMATI UMMATI”.
(Madarijun Nububuwwa Jild 2 Safa No 751)

• Huzoor Akram (Sallallau Alaihi Wasallam) Ki “QABR Anwar”  Ko Kin Cheezon Se Banaya Gaya?

>>Kachchi Eint se banayee gayi, uske Baad “LAHAD” par Mitti Dali gayi,
Surkh Safed Sangreze Jamaay gaye.
(Madarij-Un Nubuwwah,Jild – 2, Safa No – 751)

• Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki “QABR” Mubarak Zameen Se Kitni Unchi Ki Gayi?

>>Qabr Anwar, Zameen Se Ek Balisht Jitni Unchi Ki Gayi
Ek Riwayat me hai ke 4 Ungul ke Barabar ki Gayi.
(Madarij-Un Nubuwwah,Jild -2,Safa No – 752)

• Huzoor Akram (Sallallau Alaihi Wasallam) ki Qabr Mubarak Par Kitna Paani Chhidhka Gaya,
Aur Kisne Chhidhka?

>>Hazrat Bilal (RadiAllahu Anhu) ne “Qabr” shareef par ek Mashkeeza Paani Chhidh ka aur Sirhaane ki Taraf se Chhidhakna Shuru kiya.
(Madij-Un-Nubuwwah,Jild – 2,Safa No-752)

Related Articles

One Comment

  1. Aoa Mujhy sawal puchna tha k jo Mujhsay Kisi or nain kea k agar qabrun ko pukhta karna or mazaar banana jaiz nhi tu roza Mubarak kiun banaya gaya? Plz reference k sath jawab dijeaga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!