Apne Bachcho Ke Achche Nam Rakho
Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.
Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.
Apne Baccho Ke Nam Rakhne Se Pehle Unke Nam Ka Matlab Zaroor Maloom Karle. Kyunki Unke Naamki Tasir Unke Qirdar Me Aati Hai Lihaza Kisi Sahihul Aqeeda Aalim Ya Mufti Se Nam Ke Bare Me Mashwara Kiya Jaye.
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
ALLAH Ta’ala ne muzse farmaya
Muze apne izzat wa Jalaal ki kasam jiska nam tumhare nam par hoga use dojakh ka azab na dunga.
(Ahkame Shariat Jild 1,Safa 81)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jiske 3 Bete paida ho aur wo unme se kisika nam Mohommad na rakhe to jarur Jahil he
(Tibrani sharif,Ahkame shariat,Jild 1,Safa 83)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Beshaq ! Tum roze Qayamat apne namo aur apne Bapo ke Namo se pukare jaoge to apne nam ache rakha karo.
(imam Ahmed,Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ki Aadate kareema thi ki aap bure nam badal diya karte the.
(Tirmizi sharif Jild 2,Bab 335,Hadees 746,Safa 301,Abu Dawood,Jild 3,Bab 486,Hadees 1517,Safa 551)
Hazrat Abdullah ibne umar radiallaho anho se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
ALLAH Ta’ala ko tamam namo me se Abdullah aur Abdurrahman subse jyada pasand he
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)