Islamic sms

Imam-E-Ahlesunnat Aalahazrat Aur Radde Biddaat

Ab kuch aisi baate gaur se padhkar samajh le Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan Aalahazrat rehmatullahi alaihi ne apni kitaabo me buri biddato ko radd kiya hai aur un se bachne ka hukm diya hai.
(1) Sajda-E-Tazimi:
ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi.
Gairullah ko Sajda-E-Ibadat Shirk Aur Sajda-E-Ta’azimi Haraam hai.
(Azzubdatuz Zakiyya, Safa -5)
(2) Roza-E-Anwar ka na Tawaf karo, na Sajda, na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem unki Ita’at me hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 10, Safa 769)
(3) Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem najaiz hai.
Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 4, Safa 08)
(4) Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Roza ki) jaali ko bosa dene ya haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai, Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao.
Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur bulwaya.
(Fatawa Razawiya, Jild 10, Safa 765)
(5) Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Biddat hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 9, Safa 425)
(6) Jis waqt •Aurat• (Mazar par jaane ke liye) ghar se irada karti hai la’anat shuru ho jaati hai aur jab tak wapis aati hai, mala’ika la’anat karte rehte hain. Siwaye Roza-E-Rasool ke kisi mazaar par jaane ki ijazat nahi, Ke wo Zarya e Magfirat hai.
(Malfuzat, Safa -240)
(7) Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la’ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me wazeh hai. Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi. Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 10, Safa 54)
(8) Randiyo ka Naach be-shak Haraam hai. Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 29, Safa 92)
(9) Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai, Khane ka aise lutana be-adabiAur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 24, Safa 112)
(10) Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid’at aur Maal ko zaaya karna hai.
(Al Bareequl Manaar, Safa -9)
(11) Mazar par jab chadar majood ho,Kharab na hui ho, Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen, wo ALLAH ke wali ko isaale sawab karne ke liye kisi mohtaj ko den.
(Ahkaam e Shariyat, Jild 1, Safa 42)
(12) Kisi ne agar Taaziye par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 24, Safa 501)
(13) (Mazaar par Dua ka tareeqa):
Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen. Phir Salam karte hue wapis aayen. Mazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na-jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai.
(Fatawa Razawiya, Jild 9, Safa 522)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!