Nikah

Azal Ka Tariqa Aur Hamal Rokne Ka Tariqa

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.


Azal Kise Kehte Hai: 
Aurat se sohbat karte waqt jab inzal (Mani Nikalna) karib ho to mard apna Uzoo-E-Tanasul Aurat ki sharmgah se nikal kar mani bahar girade.
Is tarah jab mard ki mani aurat ki sharmgah me nahi girti to Hamal Nahi Theherta.

Hazrat Jaabir radiallahu anhu se riwayat he ki
Azal ke mutallik Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ko khabar pahunchi lekin aap ne hume mana nahi farmaya.
(Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046,Safa 87)

Hazrat Hamid Bin Kais Makki radiallahu anhu ka bayan he ki
Hazrat ibne Abbas radiallahu anhu se Azal ke bare me pucha gaya to unhone kaha
Me azal karta hu.
(Mota sharif Jild 2,Bab 34,Hadees 9697100,Safa 425)

Imam Abdul rawak,Hazrat ibne abbas,Imam tirmizi,Hazrat Maalik bin anas radiallahu anu se riwayat he ki
Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal mana he.
(Bayhaqi sharif,Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583)

Hazrat Jaabir radiallahu anhu farmate he
Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ke mubarak zamane me Azal kiya karte the.
Halaki Qurane kareem nazil ho raha tha
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 126,Hadees 193,Safa 101
Tirmizi sharif Jild 1,Bab 773,Hadees 1134,Safa 583,Ibne maja Jild 1,Bab 618,Hadees 1996,Safa 539,Mishkat sharif Jild 2,Hadees 3046)

Hazrat umar radiallahu anhu se riwayat he
Madani Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne Azad Aurat yani Biwi se bagair uski izazat azal karne se mana farmaya.
(Ibne maja sharif Jild 1,Bab 618,Hadees 1997,Safa 539)

Tip For You:
Aurat ki Haiz ke shuru hone se 1 hafte pehle aur haiz se aurat jis din pak ho jaye uske bad 1 hafte tak sohbat karne se hamal nahi theherta.
Kyunki in dino aurat ke Badan me bachcha paida karnewale ande (Ova) nahi hote.

You Might Also Like:






Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!