Durood-O-SalaamHadees: Durud Sharif

Juma Ke Din Darood Padhne Ki Fazilat

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Tamam Aashiq-E-Rasool Ko Meri Tarafse Juma Mubarak. Ham Sunni Yani Ahnaaf Ka Ye Aqeeda Hai Ke Jab Ham Sarkar-E-Do Aalam, Rehmate Aalam, Imaamul Ambiya, Shafi-E-Mehshar Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Bargaah Me Durood-E-Pak Ya Salaam Padhte Hai To Aap Par Pesh Kiya Jaata Hai. Aap Apne Ummati Ka Durood Aur Salaam Khud Sunte Hai Aur Jawab Dete Hai. Hadees-E-Pak Me Juma (Friday) Ki Bohotsi Fazilate Hai. Is Khaas Din Me Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Par Durood Padhne Ki Fazilate Yaha Bayan Kar Raha Hu. Aap Tamaam Hazrat Kasrat Se Durood-E-Pak Padhe. Aur Is Kimati Post Ko Doosro Ke Sath Share Karke Sawabe Darrain Hasil Kare.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai
“Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Daroodo Salaam Bhejte Hai Us Gaib Batanewale Nabi Par, Aye Imaanwalo! Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo”
(Al Quran Surah Al Ahzaab, Para 22, Ayat 56, Ruku 7, Tarzuma Kanzul Imaan)

Is Aayate Mubaraka Ke Nuzool Ka Maqsad Ye Hai Ke Kuffar Aur Munafikeen Ki Toli Huzoor Nabi-E-Karim Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Dil Aazari Karte The Jiske Baad ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayate Mubaraka Nuzool Karke Sarkare Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ko Wo Makam-O-Martaba Ata Kiya Aur Kaha Ke Agarche Ye Chand Log Hai Jo Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ)  Ki Dil Aazari Karte Hai Jo Dardnaak Aazab Ke Mustahik Hai Par Huzoor-E- Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-O-Azmat To Khud Unka Paak Parwardigar Bayan Farma Raha Hai. Aur Farishto Ko Mukkarrar Kar Rakha Hai Jo Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ)  Ki Shaan-E-Akdas Me Duroodo Salam Padhte Hai. Qayamat Tak Aanewale Musalmano Par Bhi Laazim Kar Diya Ke Uske Mehmboob Par Duroodo Salam Bheja Kare.

Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Abu Dawood Volume : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Page : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Page : 101 Hadees: 1374)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume:1 Page: 216-217 Hadees: 589)
(Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume 06, Book: As Salah Chapter : 795 Page : 40,Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 445 Hadees: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Page-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 345 Hadees: 1085)
(Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Volume: 26 Page:84 Hadees: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Page : 353 Hadees: 5993)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya Jumma Ke Din Aur Jummarat Koh Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhoo Kyuki Tumhara Durood Pak Mujhe Pesh Kiya Jata Hai Aur Wo Shakhs Mere Karib Hota Jatah Hai.
(Jami Sagheer Volume: 1 Page :54  Aab E Kauther English Version Page:81)

Huzoor-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya, “Beshak Tumhara Naam Ba-E-Shanakth Mujh Par Pesh Kiye Jaate Hai Lihaja Mujh Par Ahsaan (Yaani Khubsoorat) Alfaaz Me Durood-E-Paak Padha Karo.”
(Musannif Ibn Abdul Razzak, Volume : 02, Page: 140, Baab As Salato Alan Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Hadees : 3116)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
O Meri Ummat! Mujh Par Kasrat Se Juma Keh Din  Durood A Pak Padhoo. Ba Roza-E-Qayamat Mai Tumhara Gawah Aur Shafi (Shafa’at Karnewala) Banunga.
(Jami Sagheer  Volume: 1 Page:54 Aab-E-Kauther English Version Page: 83)

Nabiyo Ke Sultaan, Rahmate Aalmiyaan, Sarkaare Do Jahan Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Farmaane Barkat Nishan Hai,
“Jishne Mujh Par Roze Jummah Do Sou (200) Baar Durood-E-Paak Padha Us Ke Do Sou (200) Saal Ke Gunah Maaf Honge.
(Kanzul Ummal, Jild 1, Safaa:256, Hadis: 2238)

Tajdaare Harmain, Sarware Konain Hazrat Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ka Farmane Rahmat Nishan Hai:
” Jab Jum’erat Ka Din Aata Hai ALLAH Ta’ala Farishto Ko Bhejta Hai. Jinke Pas Chandi Ke Kagaz Aur Sone Ke Qalam Hote Hai Woh Likhte Hai, Kaun Youme Jum’erat Aur Shabe Jumah Mujh Par Kashrat Se Durood-E-Pak Padhta Hai.
(Kanzul Ummal, Jild 1, Safa 250, Hadees 2174)

Huzoor-E- Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Beshak ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ek Farishta Meri Qabr Pe Mukkarar Farmaya Hai Jisko Tamam Makhlook Ki Awaazein Sunne Ki Takat Di Hai Pas Qayamat Tak Jo Koi Mujhpe Duroode Paak Padhta Hai To Wo Mujhe Uska Aur Uske Baap Ka Naam Pesh Karta Hai Aur Kehta Hai “Fula Bin Fula Ne Aap Par Is Wakt Durood-E-Paak Padha Hai”
(Musnad-E-Bajjar Volume : 06, Page : 200, Hadees : 1320)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Jab Jumerat Aati Hai Toh ALLAH Ta’ala Faristoh Ko Zameen Par Bhejteh Hai. Woh Faristo Keh Haatho Mai Chandi Ke Kagaz Aur Sone Ke Qalam Hote Hai Aur Jo Shaks Durood-E-Pak Padhteh Hai Faristeh Us Shaks Ka Naam Likh Detah Hai.
(Sa’adat Ud Darain Page: 57. Aab E Kauther English Version Page:83)

Hazrat Abdullah ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Sarkare Do Aalam Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Irshad Farmaya,
“Baroze Qayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge.”
(Jamai Tirmizi Volume 02, Page:28,Kitab No 03 – Kitabul Witr, Hadees : 484)
(Sahi Ibn Hibban Volume : 03. Page : 192, Hadees : 911)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Volume : 02. Page : 212, Hadees : 1563)
(Imam Daylami Al Musnadul Firduas Volume : 01, Page : 81, Hadees : 250)
(Imam Bukhari ne Tareekh Ul Kabeer, Volume : 05, Page : 177, Hadees : 559)
(Khateeb Tabrezi Ne Mishkatul Masabeeh Volume : 01, Page : 278, Kitab Us Salat, Baab No : 16, Hadees : 293)

Hazrath Ali Radiallahutalaa Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Jumma Keh Din Mujh Par 100 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai Ba Roz-E-Mehshar Us Shaks Ko Aisa Noor Milega Jisse Saari Makhlooq Mai Baat Diyeh Jayeh Toh Kam Bhi Na Hoga.
(Dalali Ul Khairat Page: 12 Aab E Kauther English Version Page:85 )

Rahmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Jisne Kitab Par Mujhpe Durood-E-Paak Likha To Jab Tak Mera Naam Uspar Hoga Farishte Uske Liye Istagfaar Karte Rahenge”
(Imam Tabrani Ne Al Muajamul Ausaat Volume : 01, Page : 497, Hadees : 1830)

Huzoor Hazrath Ali Radiallahutalaa Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Jumma Keh Din 100 Martaba Durood-E-Pak Padhtha Hai ALLAH Ta’ala Uski 100 Hajate Puri Karte Hai 30 Duniya Mai Aur 70 Aakhirat Mai.
(Sa’adat Ud Darain Page :60. Aab E Kauther English Version Page:86 )

“Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda Radiallahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sallalahu Alaihi Wasallam! (ﷺ) ) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)? Aap Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi, (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Phir ALLAH Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Ibn Maajah, Volume -01 , Page-524, Kitab No 06 – Kitab Al Janaiz, Hadith-1637)
(Mundhiri Tahdhib-Ul-Kamal, Volume -10, Page-23, Hadith-2090)

Hazrath Ibn E Abbas Radiallahutalaa Anhu Se Riwayat Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Mujh Par Duroo-E-Pak Padnah Bhool Gaya Wo Jannat Ka Rasta Bhool Gaya.
(Al Qaul Ul Badi Page: 145 Aab E Kauther English Version Page:110)

Kuch Logo Ko Qayamat Ke Din Jannat Mai Jane Ki Ijazat Mil Jayegi Magar Woh Log Jannat Ka Rasta Bhool Jayenge. Is Par Ameena Ke Laal Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Ye Woh Log Honge Jin Ke Samne Mera Naam Liyeh Jayehga Magar Woh Mujh Par Durood-E-Pak Nahi Padhte Honge.
(Nuzhat Ul Majlis Page : 110. Aab E Kauther English Version Page:95 )

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya
Subse Ziyada Kanjoos Wo Shaks Hai Jiskeh Samne Mera Naam Liya Jaye Woh Mujh Par Durood-E-Pak Na Padhah Hoga Aur Woh Shaks Jahannum Mai Jayega.
(Trimizi  Mishkat : Page 84 Aab E Kauther English Version Page:96)

Hazrath Aisha Radiallahutalaa Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya Teen (3) Shaks Qayamat Ke Din Meri Ziyarat Se Mehroom Rahenge.
1. Maa Baap Ka Nafarman
2. Jisne Meri Sunnat Par Amal Nahi Kiya Yaani Sunnat Tarq Ki.
 3. Jiske Samhe Mera Zikr Hua Aur Woh Mujh Par Durood Na Padhe.
(Al Qaul Ul Badi Page: 151 Aab E Kauther English Version Page:97)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Mujh Par Rozana 100 Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai Ba Roza-E-Qayamat Mai Us Shaks Se Haath Milaunga.
(Al Qaul Ul Badi Page: 132 Aab E Kauther English Version Page : 69)

 Hazrath Ali Radiallahutalaa Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jo Shaks Ek Martaba Durood-E-Pak Padhta Hai ALLAH Ta’ala Use Uhad Ke Pahad (Mountain) Ke Barabar Sawab Ataa Farmata Hai.
(Al Qaul Ul Badi Page: 118. Aab E Kauther English Version Page: 71)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Agar Koi Shaks Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhta Hai Uski Mout Keh Waqt ALLAH Ta’ala Puri Maklooq Ko Us Shaks Ke Liye Dua Karne Ke Liyeh Irshad Farmata Hai.
(Nuzhat Ul Majais Volume 2 Page :110 Aab E Kauther English Version Page: 72)

Hazrath Jibril Alaihissalam Ne Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Se Farmaya
Ya Rasoolullah Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) ALLAH Ta’ala Ne Jannat Mai Ek Aisi Gufa/Aala Jagah Banayi Hai Ki Us Mai Bohot Ziyada Khushboodar Adbhut Hawa Hai Aur Us Mai Dakhil Hone Ki Izzajat Use Hi Milegi Jo Kasrat Se Durood-E-Pak Padhta Hoga.
(Nuzhat Ul Majais Page :111. Aab E Kauther English Version Page: 72)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
3 Shaks Qayamat Ke Din Arsh Ilaahi Keh Saye Mai Honge Aur Koi Saya Nahi Hoga.
1. Jo Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padhe.
2. Jo Meri Sunnat Ko Zinda Karega.
3. Jo Kisi Dusreh Shaks Ki Madat Karega.
(Al Qaul Ul Badi Page: 123. Sa’Adat Ud Darain Page: 63 Aab E Kauther English Version Page: 73)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
ALLAH Ke Kuch Faristeh Hai. Jo ALLAH Ta’ala Ka Jahaa Zikr Hota Hai Waha Jate Hai Aur Unkhe Saath Zikr Karte Hai Aur Jab Woh Log Zikr Karke Uth Jate Hai To Farishe Bhi Ek Dusreh Ko Mubarak Baat Dekar Chaleh Jate Hai.
(Al Qaul Ul Badi Page: 117. Sa’adat Ud Darain:Page :61  Aab E Kauther English Version Page:75 )

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
ALLAH Rabbul Aalameen Ke Kuch Faristeh Hai Jo ALLAH Ta’ala Ka Jaha Zikr Hota Hai Waha Jate Hai Aur Unkhe Saath Zikr Karte Hai Jab Wo Log Durood-E-Pak Padhte Hai To Fariste Unhe Durood-E-Pak Ko Chandi Ke Qalam Se Sona Ke Kagaz Mai Likh Kar Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ki Bargaah Mai Pesh Karte Hai Aur Jab Woh Log Durood-E-Pak Padhte Hai Toh Saatho Aasman Khul Jate Hai Aur Hoore Unhe Dekhteh Hai.
(Al Qaul Ul Badi Page: 116. Sa’adat Ud Darain Page:61 Aab E Kauther English Version Page: 78)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
Jab Tum Azan Suno To Muazzin Ke Alfaz Ko Dohrao. Jab Azaan Ka Jawab Pura Ho Jaye To Mujh Par Durood-E-Pak Padho. Aur Mera Waseela ALLAH Rabbul Aalameen Se Talab Karo. Waseela Jannat Mai Ek Makaam Hai Jo Bandaga-E-ALLAH Se Kisi Ek Banday Ke Wasste Saja Hua Hain Aur Mujhe Ummid Hai Ki Wo Banda Main Hounga.
Jo Shaks Mere Waste Waseela Se Talab Karega Uske Liye Meri Shafa’at Waajib Hogayi.
(Muslim Sharif Nizaam A Sharif Page : 78  Sa’adat Ul Darain Page :56 Aab E Kauther English Version :79)

Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
O Meri Ummat! Mujh Par Kasrat Se Durood-E-Pak Padho Jannat Mai Tumhe Ziyada Hoore Milhengi
(Al Qaul Ul Badi Page:126  Sa adat Ul Darain Page:58 Dalail U Khariat Cawpuri Page : 10  Kashful Ghamma Page :271.  Aab E Kauther English Version Page:80)

Ye Post Aapki Khidmat Me Hamare Bhai Muhammad Ajaz Qadri Sahab Ki Janib Se Pesh Kiya Gaya Hai. Unke Haq Me Khoob Dua Kijiye. ALLAH Rabbul Aalameen Unko Iska Azr Ata Farmaye. Aur Unki Duniyawi Aur Aakhirat Ki Tamaam Hajato Ko Pura Farmaye. Unki Nek Jaiz Duao Ko Qabool Farmaye. Apni Dua Ke Chand Alfaz Is Nachiz (Nazarahmed Khan) Ke Naam Karna Na Bhoole.
Aameen. Summa Aameen.
Awwal Aakhir Darood.



Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!