Eid-E-Miladun Nabi

Wiladat Ke Din Pyaare Aaqa(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ki Ziyarat Ko Kaun Aaya?

Huzoor ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ki Jab Wiladat Sharif Hui Us Waqt Huzoor
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ke Dadajaan Hazrat Abul Muttalib (ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم)
Kaaba Sharif Ki Dewaar Ki Taamir Me Mashgul The.

Abdul Muttalib (ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم) Farmate Hain Ki,
“Main Kaaba Sharif Ka Tawaaf Ker Raha Tha Ki Achanak Kaaba Sharif Charon Taraf Jhukta Nazar Aaya Aur Fir Makaam-E-Ibrahim Me Sajda Me Gir Gaya Aur Usme Se Takbir Wa Tahlil
Ki Awaazen Aane Lagi Fir Wo Sidha Khada Hogaya,Isse Awaaz Aayi-Sab Tarif Us ALLAH Ke liye Hai Jisne Mujhe Muhammad
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ke Saath Maqsus Farmaya,
Fir Arkaan-E-Kaaba Aapas Me Ek Dusre Per Salaam Bhejne Lage”

Hazrat Abdul Muttalib
(ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم)
Farmate Hain Ki,
“Main Baab-E-Safa Se Bahar Nikla To Zamin Ki Har Chiz Mujhe Takbir Wa Tahlil Me Mashgul Nazar Aayi,
Main Unki Awaaz Sun Raha Tha,
Fir Yeh Awaaz Suni Ki-Tumhare Paas Rasool
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Tashrif Le Aaye,

Fir Maine Booton (Murtiyon) Ko Dekha To Wo Aundhe Mooh Gire Hue Nazar Aaye,
Main Apni Aankhen Malne Laga Ki Yeh Jo Kuch Main Dekh Raha Hoon Aalam-E-Bedaari Me Hain, ya Aalam-E-Gaib Me Dekh Raha Hoon,

Jab Ghar Pahucha To Ghar Ke Irdh-Girdh Ajeeb Wa Gareeb Noorani Parinde Udte Dekhe Aur Ghar Se Mushk (khushbu) Wa Amber Ke Hulle Uthte Nazar Aaye,

Maine Darwaza Khat-khataya To Aamina (رضى الله تعالى عنه) Khud Nikli Aur Darwaza Khola,
Maine Dekha Ki Aamina Ke Chehre Per Koi Zauf Wagaira Ka Asar Nahi Tha,

Haan Uski Peshani Per Jo Noor Chamakta Nazar Aaya Tha Wo Nazar Na Aaya”

Maine Pucha
Aamina (رضى الله تعالى عنه) !
Peshani Ka Wo Noor Kahan Hain ?

To Boli,
“Mere Yahan Ek Baccha Paida
Hua Hai Jiski Wiladat Ke Baad Haatif Se Mujhe Awaaz Sunayi Di Hai Ki Iska Naam Muhammad Rakhna ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Isliye Ki Iska Aasmano Per Naam Mahmood Hai Aur Tauraat Me Mawid, Zaboor Me Haadi, Injeel Me Ahmed Aur Quraan Me Taha,Yaseen Aur Muhammad
Hain”

Hazrat Abdul Muttalib
(ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم)
Farmate Hain Ki Maine Aamina (رضى الله تعالى عنه) Se Kaha,
“Chalo Mujhe Mera Pyara Baccha Dikhao !”

“Chunanche, Jab Main Aage Bada To Ek Azim Shaks Talwaar Khinche Raaste Me Khada Nazar Aaya Jisne Aage Badne Se Roka”

Abdul Muttalib (ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم) Dar Gaye,
Pucha
“Ki Tum Kaun Ho ? Kyon Rokte Ho ?”

Wo Bola,
“Is Muqaddas Mauludh Ki Jabtak Saare farishte Ziyarat Na Kar lein Kisiko Aage Jane Ki Ijazat Nahi,
Main Isi Kaam Ke liye Yahan Maujud Hoon.”

(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-76)

Is Riwayat se yeh malum hua ki
Huzoor ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ki Wiladat Ki Khushi Saari Qainaat Ne Manayi….

Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ka Naam Khud Allah Ta’aala Ne Rakha Hai !

Aur ek chiz yeh ki ab hum gunaahgaron ke liye yeh toh mumkin nahi ki Aap
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ko dekh sake….
Kam az kam Aap
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم )
Ke “Muh-E-Mubarak (Hair)” hi dekh kar faiz haasil kar lete hain !

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!