Roza in Surato me Nahi Tutega Aurat Ka Haiz Wa Nifas Ki Halat Me Roza Rakhna Haraam He
Sehri Me Jyada Kha liya Ki Ab Din Bhar Khatti Dakare Aa Rahi He To isse Roza Nahi Tootega
(Sunni Bahisti Zewar: 191)
Haiz Ya Nifaswali Aurat Pak Ho Gayi To Jo Kuch din baki raha Use Roze Ki tarha Gujarna Wajib He Aur Us Roze Ki Kaza Farz He
(Qanoon-E-Shariat)
HAIZ aur NIFAAS KI HAALAT ME AURAT KO ROZA RAKHNA “HARAAM” HAI.
>BAHAR-E-SHARIAT
Nind me Ehtelam Ho Gaya To Roza Na Tuta
Sare din Janabat (Be Gusla) Raha to bhi Roza na Tuta
Magar Namaze kaza hone ke sabab Gunah he
(Qanoon-E-Shariat)
Bahut Se Log Roze Me Bar Bar Thookte Rehte He aisa Na Kare Ha Thook Ikatta Karke Niglna Makruh He Par Roza Ho Jayega
(Bahare Shariat Hissa-5)
Hazrat Amer Bin Rabi Radiyallahu Anhu Ne Farmaya:
Maine HUZOOR Alaihissalam Ko Beshumar Martaba Roze Me Miswak Karte Dekha
(Tirmizi)
Haiz,Nifas Ki Halat Me Namaz Roza Haram He or aisi Halat Me Namaz Roza Sahi Hota Hi Nahi Or Tilawat Bhi Mana He
(Bahare Shariat Hissa-2)