Nikah

Suhagraat Shab-E-Zafaf Ka Sunnat Tariqa | First Night Of Marriage In Islam

{tocify} $title={Table of Contents}
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Suhagraat Nikah Ki Pehli Rat Hai Jiske Talluq Se Awaam Me Bohotsi Galatfehmiya Hai Jinko Door Karne Ke Liye Sahi Islami Tariqe Ko Yaha Bayan Kiya Gaya Hai.
Jub Dulha, Dulhan Kamare Me Jaye Aur Tanhayi Ho To Behtar Ye Hai Ki Subse Pehle Dulha, Dulhan Wuzoo Karle Aur Fir 2 Rakat Nafil Namaz Shukrana (Ba Jama’at) Padhe. Dulhan Agar Haiz (Mahvari) Ki Halat Me Ho To Namaz Na Padhe. Dulha Imaamat Kare Aur Dulhan Shohar Ke Pichhe Namaz Padhe.

Namaz Ki Niyat

Niyat Ki Maine 2 Rakat Namaz Nafil Shukrane Ki Waste ALLAH Ta’ala Ke Rukh Mera Kaaba Sharif Ke Taraf, ALLAHO Akbar.

Ab Humesha Jaise Namaz Padhte Hai Waise Hi Namaz Padhe Aur is Tarah Dua Kare

“Aye ALLAH Tera Shukra Aur Ehsan Hai Ki Tune Hume Ye Din Dikhaya Aur Hume is Khushi Wa Ne’amat Se Nawaza Aur Hume Apne Habeeb Sallalaho Alayhi Wasallam Ki Sunnat Par Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmayi.
Ya ALLAH Rabbul Aalameen Humari is Khushi Ko Humesha Isi Tarah Kayam Rakh, Hum Dono Ko Mel Milap Pyar Muhabbat Ke Sath Zindagi Gujarne Ki Taufiq Ata Farma. Ya Rabbe Qadir Hume Nek Farmabardar Aulad Ata Farma.
Aameen

(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)

Hazrat Abdullah ibne masud Radiallahu ta’ala anho Farmate Hai
“Ek shaks ne bayan kiya ki maine ek jawan ladki se nikah kar liya he aur muze dar he ki wo muze pasand nahi karegi.
Hazrat Abdullah bin Masud ne farmaya:
Muhabbat Allah ki taraf se hoti he aur nafrat shaitan ke taraf se.
jub tum biwi ke pas jao to subse pehle use kaho ki woh tumhare piche 2 rakat namaz padhe.

(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)

Namaz aur fir uske bad dua padh lene ke bad dulha,dulhan palang par sukun se baith jaye fir uske bad dulha apni dulhan ki peshani ke thode bal apne sidhe hath me narmi ke sath muhabbat bhare andaz me pakade aur ye Dua padhe:

Hazrat Amra bin Aas Radiallahu Anho se riwayat he ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Jab koi shaks nikah kare aur pehli rat (Suhag rat) ko apni dulhan ke pas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se bal apne sidhe hath me le kar yah dua padhe:


“Allahumma inni as aluka min khaire-h-wa-khaire-m jabal-t-h-alayhe wa auzoo be-ka-min sharre-h-wa sharre-m-jabal-t-h-Alaih”



Tarjuma:
Aye Allah mai tuzse iski (Biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai, aur teri panah chahta hu isko burai aur fitari aadato ki burai se.

(Abu Dawood Jild: 2, Safa: 150, Hasne hasin Safa: 164)

Ek Badi Galatfehmi

Kuch logo ka khayal he ki jub Aurat se pehli bar sohbat ki jaye to uski Sharmgah se khoon kharij hona jaruri hai.
Ye khoon ka aana uske ba ajmat pak daman hone ka suboot samza jata he
Agar khoon nahi aaya to aurat badchalan aawara samzi jati he aur aurat ki sharafat aur ba ajmat hone me shak kiya jata he. Aaiye is masle ke bare me hum jante hai.

Kuwari ladkiyo ki sharmgah me thoda andar ek patali zilli hoti he.
Jise Parda-E-Ajmat Ya Parda-E-Bakarat (Hymen) kehte hai. 
Is zilli me chota sa surakh hota he jiske jariye ladaki ke balig hone par Haiz (Mahwari) ka khoon apne waqt par khariz hota rehta he.
Shadi ke bad jab mard pehli bar sohbat karta he to mard ke Uzoo-E-Tanasul ke uske takarane ki wajahse wo zilli fat jati he.
Is mauke par aurat ko thodi taklif hoti he aur thodasa khoon kharij hota he.
Fir yah zilli humesha ke liye khatam ho jati he.
lekin ye zilli patali aur najuk hoti he to kai martaba kisi ladaki ko ye kisi mamuli chot ya kisi hadse ki wajahse ya kabhi khud ba khud fat jati he. Lihaza agar aurat se sohbat ke dauran khoon na nikale to use aawara samazna munasib na hoga jub tak ki mukammal sharai suboot na ho

“Jiska Parda-E-Ajmat kudne,haiz aane ya jakhm ya umar jyada hone ki wajahse fat jaye wo aurat hakikat me Bakirah (Kuwari, Pak daman) hai.

(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)

Related Articles

49 Comments

  1. Agey pichey khade reh kar namaz padhni chaiye..kyunki Islam mein mard or aurat ko sath mein khade reh kar namaz padhne ki ijazat nahi hai..!!

  2. agar ladka ladki namaz or baki dua na padhe ya padhna bhul jaye. to is soorat mai kya karna chahiye.kya baad mai dua padhne ki koi ijazat ya daleel hai. plz reply

  3. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu

    Hamal Na Thehre iske liye ye tarika hai:

    Aurat Ko Haiz (Periods) shuru hone ke 1 hafta pehle aur Aurat Jis din pak ho jaye us dinse 1 hafte tak Sohbat karne se hamal nahi theherta.
    Kyunki upar bataye dino me Aurat ke jism me Bachcha paida karnewale Ande (OVA) nahi hote. Isliye in dino bachche hone ke chance kam honge.

  4. Ek masla batane ka karam karein agar mard namaz padhna nahi aata hai magar ladki ko namaz padhna aata hai to is halat mein imamat kaun karega plz reply

  5. Assalamu Alaikum Bhai
    Upar Tariqa Diya Hua Hai Us Hisabse Mard Hi Imamat Kare.
    Agar mard ko namaz nahi aati to sikh le.
    Aurat ki imamat me mard ki namaz nahi hogi.
    Fir bhi aap Maulana ya Aalim se mashwara karle.
    JazakALLAHU Khair

  6. Assalam Alaikum
    agar bivi period se hogi… to shohar ko kaise pata chalega…kiya bivi khud bataygi… aur kiya use khud bhi pata hoga… agar period se hogi to mubashirat kab kiya jay…
    jazak Allah

  7. Walekum Assalam bhai
    Har Aurat Ko Har Mahine Ki koi ek tarikh se period shuru hota hai.
    Aap apne biwi se hambistar hone se pehle puch liya kare.
    Aur aurat ne bhi ye baat shohar se chupana jaiz nahi kyunki period me sohbat karna haram hai.
    Jab Aurat ko khoon aana band ho jaye aur wo ghusl karke paak ho jaye uske baad hi sohbat karna jaiz hai.
    Aur agar nifas se hai yani bachcha paida hone ke baad 40 din nifas ka period hota hai.
    Nifas khatam ho kar ghusl karne par sohbat jaiz hai
    Jazakallahu khair

  8. assalam alaikum
    Jab Miya Bivi paheli Martaba Hambistari karte Hain to jo bivi ke sharm gha se khoon khariz hota hai.. uski mikdar kitni hoti hai… aur kiya usse bister ganda ho sakta hai jiski wajha se usper daag numaya hojate hain.. aur dusre din sabhi ghar walon ki nazar us per padti hai,.. agar aisa hai to is cheez se bachne ke liye kita taqbeer ki jani chahiye..
    pls. jald reply kariye ga.
    Jazakallah khair.

  9. Walelum Assalam Bhai.
    Der Se Reply Ke Liye Muafi Chahta Hu.
    Jab Kuwari Aurat Se 1st Time Sohbat Ki Jaye To Uski Sharmgah Se Thodasa Khoon Khaariz Hota Hai Uske Parda-E-Azmat (Seal) Ke Fat Jaane Ke Wajahse.
    Jab Aapko Aisa Lafta Hai To Kapde Se Use Poch Liya Jaye To Behtar Hai.

  10. Assalamualaykum aapne bataya jese ki khun na nikle to esa mat samje ki wo virgin (kuwari) nahi he pr to ye kese pehchan sakte he ki ye virgin he ki nahi khun se pata nahi chalta to kese pata chalega pls ye acche se bataye

  11. Har Kuwari Lafki Ko Parda-E-Azmat(Hymen) Hota Hai. Kai Bar Khel Kud Me Ya Cycle Chalane Se Wo Fat Jata Hai.
    Aisi Ladki Jiska Parda-E-Azmat Fata Hua Ho Usse Kasam Khane Lagaye Ki Wo Paak Daman Hai.
    Aur Uske Paak Daman Hone Ki Daleel Kasam Khana Hai.

  12. Assalam alaikum bhai, mera sawal ye h ki suhagraat ko jo nafil namaz shukrane ki padhni h jisme shauhar imamat kre to kya shauhar jo surah padhega wo buland awaz me padhega joki peeche biwi k kaano tak wo sunai dega, jaise ki Fazir ki namaz me imam padhte h aur jamaat usko sunti h, ya fir kewal kiraat krega…???

    Jawab ka muntazir.

  13. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.
    Answer By Maulana Hazrat Masood Noori Razvi Sahab Qibla:

    Woh nafl namaz hai. Aur Qaedah yeh hai ke raat ke nawafil me awaz se qira'at ki jaye jab JamaAt se padhey to. Awaz bahut buland hona zaroori nahi bas itni ke wahan Koi hai to sun ley."

    JazakALLAHU Khair Bhai Humara Blog Padhne Ke Liye.
    Apne Dosto, Rishtedaro Ko Bhi Humara Blog Bataiye.
    Insha ALLAH Unhe Bhi Ilm Hasil Hoga.

  14. Assalamu Alaikum,
    Kisine Comment Kiya Tha Ki Agar Suhag Rat Me Namaze Shukrana, Dua Padhna Bhool Gaye Hai To Is Soorat Me Kya Huqm Hai?
    Is Soorat Me Koi Gunah Nahi Hai. Aap Aainda Sohbat Karte Waqt Sohbat Ki Dua Padhna Na Bhoole. Is Dua Ke Padhne Se Nek Swaleh Aulad Paida Hogi. Aur ALLAH Rabbul Aalameen Ka Shukr Ada Karne Ke Liye Koi Waqt Muqarrar Nahi Balke Har Waqt Hame ALLAH Ta'ala Ka Shukr Ada Karna Chahiye.

  15. ASSALAMU ALAIKUM
    WA RAHMATULLAHI
    WA BARAKAATUHU
    JAZAAK ALLAHU KHAIRAH
    NAZAR AHEMAD BHAI
    ALLAH AAP KO JAZA-E-KHAIR ATA FARMAYE….. AMEEN

  16. Assalam alaikum w.w.
    Mai janna chahunga ki kya mai apni ahliya aur bacho ke sath ba jamat panchgana namaz padh sakta hu? Aur aise me taqbeer kaon kahega.

  17. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
    Koi Bhi Taqbeer Keh Sakta Hai. Yani Aqamat Kar Sakta Hai Jo Janta Ho. Warna Imaam Bhi Keh Sakta Hai. Biwi Shohar Ke Piche Khadi Ho Kar Iqteda Kare Jaiz Hai. Yani Aap Ba Jama'at Apne Biwi Bachcho Ke Sath Namaz Ada Kar Sakte Hai.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

  18. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Akram Bhai

    Jab Aap Apni Biwi Se Sohbat Karte Hai To Aap Dono Par Ghusl Farz Hai. Bina Ghusl Kiye Namaz Padhna Mana Hai. Jitna Jalfi Ho Sake Utna Jaldi Ghusl Karle. Jis Ghar Me (Junoob Yani Jispe Ghusl Farz Ho Rehta Ho) Us Ghar Farishte Nahi Jate. Raatme Sohbat Ke Baad Sote Waqt Ba-Wuzu Soye. Kisi Islamic Kitab Ko Na Chue. Na Hi Be Ghusl Masjid Me Jaye.

  19. Kabi kisi ladki ko dar h ke wo zina kar chuki h to ky uski shadi ke baad use khoon aayega kabi ni aaya to uske hussband ko pata chal jayega ki wo kuwari ni h or kitne din tk humbistri na kare to saramga phele jesi hogi plzzzz ans me first

  20. Kabi kisi ladki ko dar h ke wo zina kar chuki h to ky uski shadi ke baad use khoon aayega kabi ni aaya to uske hussband ko pata chal jayega ki wo kuwari ni h or kitne din tk humbistri na kare to saramga phele jesi hogi plzzzz ans me first

  21. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Awwal To Jo Ladki Bina Nikah Ke Kisi Gair Mard Ke Sath Hambistari Karti Hai Usne Zina Kiya. Zina Ek Gunahe Kabira Hai. Jiska Sakht Azab Hai. Aur Aakhirat Barbad Karnewala Amal Hai. Jab Ye Gunah Ko Anzam De Hi Chuki Hai To Usi Ladke Se Nikah Ke Liye Koshish Ki Jaye. Dusre Pak Ladko Ki Zindagi Se Na Khela Jaye. Jab Wo Ladka Jisse Zina Kiya Nikah Ke Liye Mana Karega Tab Hi Us Ladki Ko Apni Galati Ka Ehsas Hoga.

    Kunwari Ladki Jab 1st Time Sohbat Karti Hai To Uska Hymen Yani Parda-E-Azmat Fat Jata Hai Aur Khoon Kharij Hota Hai. Ye Parda Ek Bar Phat Gaya Ki Dobara Nahi Banta Aur Nahi Khoon Aata Hai. Isliye Ise Aurat Ke Pakdaman Hone Ka Sabab Mana Jata Hai.

    Aisi Zaniya Aurat Jisne Ye Gunah Ko Anzam Diya Ho Astagfar Aur Tauba Karti Rahe. Bargahe Ilahi Me Gidgida Kar Muafi Mange To ALLAH Rabbul Aalameen Bada Meherban Hai. ALLAH Sabko Nek Taufiq De.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Durood.

  22. Agar Ladki Ka Nikah Ho Chuka Hai To Wo Ye Baat Apne Shauhar Se Chupaye Apni Rishte Ko Bachane Ke Liye. Magar Yaad Rahe Shohar Se Aur Koi Baat Chupana Jaiz Nahi Hai. Yaha Majboori Ke Tahat Wo Is Baat Ko Chupale Isi Me Unki Bhalai Hai.
    Dua Me Yaad Rakhe.
    Visit Karte Rahe.

  23. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Behen,

    ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,
    "To Aurato Se Alag Raho Haiz Ke Dino, Aur Unse Nazdiki Na Karo Jab Tak Pak Na Hole. Phir Jab Pak Ho Jaye To Unke Pas Jao."
    (Surah Bakrah, Aayat No 222, Para 2, Kanzul Imaan)

    Haiz Ke Haalat Me Sohbat Karna Sakht Haraam Hai. Biwi Par Farz Hai Ke Wo Apne Shohat Se Haiz Na Chupaye. Haiz-Nifaas Aur Nikah Se Talluq Tamam Masle Padhiye Hamare Nikah Page Par.
    Dua Ki Guzarish.

  24. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Aapne Ek Aur Comment Me Pucha Ki Aapne Suna Hai Ke Suhag Rat Sohbat Karna Jaroori Hai. Aisa Hargiz Nahi Hai. Shohar Biwi Ek Kamre Me Tanhai Me Ho Kaafi Hai. Usi Rat Sohbat Karna Jaroori Hai Ye Logo Ki Manghadat Soch Hai. Aur Agar Ladki Us Raat Haiz Se Ho To Bilkul Sohbat Na Kare Jab Tak Wo Paak Na Ho Jaye.
    Talibe Dua.

  25. Assalamalaykum.
    Nikah ke din dulhan ka joda dulhan ko kon pahnata hai kya wo khud nahi pahen skti aur inner wear bhi koi aur yani ghar ki aurten pahnati hai kya wo ye sab khud akele me nahi pahen sakti ?

  26. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Nikah Ke Roz Dulha Dulhan Ko Apne Kapde Khud Pehenna Chahiye.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

    Magar Koi Khushi Se Pehnaye To Koi Harz Nahi.

    Late Reply Ke Liye Mazahrat Chahta Hu. Apne Dua Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karna Na Bhoole.
    Keep Visiting & Sharing…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!