Nikah

Hadees Of Walima (Reception) In Islam

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Walima Kise Kehte Hai Aur Dawat-E-Walima Ki Ahmiyat:

Walima Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Dawat-E-Walima Khushi Ka Izhar Hai Ki ALLAH Rabbul Aalameen Ne Use Nikah Ki Ne’amat Se Nawaza. Dawat-E-Walima Ka Khana Shab-E-Zafaf Yani Suhagrat Ke Subah Kiya Jata Hai. Dawat-E-Walima Me Apne Dost Ahbab, Rishtedaro Aur Garibo Ko Bhi Bulaya Jaye Ki Ye Khushi Ka Izhar Hai. Dawat-E-Walima Ko Qabool Karna Wazib Aur Sunnate Muaqqida Hai. Bina Kisis Sharai Wazhat Ke Iska Tark Karna Gunah Ka Sabab Hai. Rehmat-E-Aalam Imamul Ambiya Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Sabse Badtareen Walima Wo Hai Jis Dawat-E-Walima Me Sirf Amiro Ko Bulaya Gaya Ho Aur Garibo Ko Na Bulaya Jaye. Lihaza Is Bat Ka Khayal Rakhe Apni Khushiyo Me Garibo Ko Bhi Shamil Kare.

Hazrat Abdurrahman Bin Aauf radiallaho anhu ka bayan Hai Ki Muzse Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Walima Karo Chahe 1 Hi Bakari Ho”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 85)

Hazrat Safiya Binte Shaiba Radiallahu Anha farmati he ki
“Nabi Sallalaho Alayhi Wasallam ne Apni baz Ajwaje Muthrat (Biwiya) ka walima 2 Ser Jav ke sath kiya tha”
(Bukhari sharif,Jild 3, Safa 87)

Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu anhu se Riwayat he ki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Jab tum me se kisi ko Dawat-E-Walima khane ke liye bulaya jaye to wo Hazir Ho Jaye”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 87)


Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Jo dawat Qubool na kare usne Allah ta’ala wa Rasool ki Nafarmani ki”
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88,Hadees no 163,Bab no 102)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Dawat Me Jao Jab Ke Bulaye Jao”
Aur Farmaya
“Jo bagair bulaye dawat me gaya wo chor ho kar ghusa aur gaaratgiri karke lutere ki soorat me bahar nikala”
(Abu dawood, Jild 3, Bab no 127, Hadees no 342, Safa 130)

Hazrat Abuhuraira Radiallaho anhu se Riwayat he ke Rasool-E-Khuda Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
“Subse bura walima ka wo khana he jisme Amiro ko bulaya jaye Aur Garibo ko nazar andaz kar diya Jaye”
(Bukhari sharif,Jild 3,Safa 88)

Related Articles

9 Comments

  1. Janab kisi wajah walima se pehle apni biwi ke sath humbistari na ho paye to walima mana jayega ya nahi?
    Logon ka kehna hai humbistari ke baad hi walima mana jata hai

  2. Khilwat Matlab Miya Biwi Ka Tanhai Me Ek Sath Hona.
    Matlab Tisra Koi Na Ho.
    Yani Unka Ek Sath Sona Kafi Hai Hambistari Ki Shart Nahi Hai.
    Maine Daleel Ke Bare Me Pucha Par Aise Koi Daleel Nahi Hai Ke Hambistari Ke Bagair Waleema Nahi Hota.
    JazakALLAHU Khair
    Dua Me Yaad Rakhiye

  3. Agar Aapko Bhi Aane Ke Liye Un Logo Ne Kaha Ho To Thik Hai. Yani Aap Apne Cousins Ko Bhi Sath Leke Aana Aisa Kaha Ho To Jaiz Hai. Aur Aisa Na Kaha Ho To Na Jana Behtar Hai.
    JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
    Visit Karte Rahe. Play Store Se Hamare Nabi App Jaroor Download Kijiyega.
    Talibe Dua.

  4. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Raheesh Khansahab,

    Apne Sage Chacha Ki Ladki Se Nikah Karna Jaiz Hai.

    Download Kijiye Sunnat-E-Nabi​ App Play Store Se.

    JazakALLAHU Khair. Talibe Dua.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!