Kya Bina Suhagrat Ke Walima Nahin Hota
Kya Aapne Bhi Suna Hai Ke Jab Tak Dulha Dulhan Se Hambistari Na Kar Le Tab Tak Walime Ka Khana Jaayez Nahin Hai. Ya Miya Biwi Agar Humbistari Na Karle Walima Ki Rat To Nikah Qabool Nahi Hota. Aisi Bohotsi Galat Baate Awaam Me Mash’hoor Hai. Walima Ke Liye Hambistari Shart Nahi Hai.
Ye Bilkul Ghalat Hai Kyunki Walime Ke Liye Hambistari Zaroori Nahin Hai Jaisa Ke Hazrat Allama Mufti Waqaruddin Qadri Alaihi Rehma Likhte Hain Ke Zaujain (Miya Biwi) Tanhayi Mein Kuchh Waqt Guzar Lein Agarche Huqooq-E-Zaujiyat Ada Na Kare (Yaani Sohbat Na Bhi Kare To) To Walima Ho Jayega.
(ملخصاً، وقار الفتاوی، جلد3، صفحہ نمبر120)
Dawat-E-Walima Izhare Khushi Ka Khana Hai. Iska Miya Biwi Ke Jismani Talluqat Se Katai Koi Talluq Nahi Hai. Nikah Ke Baad Miya Biwi Jab Chahe Hambistari Kar Sakte Hai. Isme Koi Harz Nahi Hai. Par Agar Koi Walima Ki Raat Hambistari Na Kare To Isme Koi Harz Nahi Hai Na Isse Unke Nikah Par Koi Asar Hoga. Ye Miya Biwi Ka Aapasi Mu’amla Hai.
Walima Ke Talluq Se Chand Hadees-E-Pak Peshe Nazar Hai..
Hazrat Abdurrahman Bin Aauf Radiallaho Anhu Ka Bayan Hai Ki Muzse Nabi-E-Kareem Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya,
“Walima Karo Chahe 1 Hi Bakari Ho”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 85)
Hazrat Safiya Binte Shaiba Radiallahu Anha Farmati Hai Ki
“Nabi Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Apni Baz Ajwaje Muthrat (Biwiya) Ka Walima 2 Ser Jav Ke Sath Kiya Tha”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 87)
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Kiki Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Jab Tum Me Se Kisi Ko Walima Khane Ke Liye Bulaya Jaye To Wo Hazir Ho Jaye”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 87)
Hazrat Abuhuraira Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool-E-Khuda Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
“Subse Bura Walima Ka Wo Khana Hai Jisme Amiro Ko Bulaya Jaye Aur Garibo Ko Nazar Andaz Kar Diya Jaye”
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 88)