Nikah

Hamal Rokna Condom Ka Istemal Kaisa

{tocify} $title={Table of Contents}
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Zyaada Bachhe Na Ho Uske Liye Maujuda Zamane Me Nirodh Coperti Maaladee, i-pill Wagairha Istemaal Me Lai Jati Hai. Ahad-E-Risalat Sallallahu Alaihi Wasallam Me Silsila-E-Paidaeesh Ko Rokne Ya Kam Karne Ke Liye Kuch Hazrat Apni Bandiyo Se Azal Kiya Karte The.

• Azal Kya Hai

Apni Biwi Se Sohbat Karte Waqt Jab Mard Ko Injaal Hone Lage (Mani Nikalne Lage) To Wo Apna Ejae Tanasul/Zakar Aurat Ki Sharmgah Se Nikal Kar Bahar Mani Khaarej Karde.
Azal Use Kahte Hai Ke Mubasharat Ke Waqt Jab Mard Ko Inzaal Hona Qareeb Ho To Mard Apne Aale Ko Aurat Ke Farj Se Nikal Kar Mani Ko Bahar Khareej Kar De. Is Tarah Jab Mard Ki Mani Aurat Ke Raham Me Nahi Pahuchti Hai To Hamal Qaraar Nahi Pata. Hadeese Paak Se Sabit Hai Ke Kuchh Sahaba-E-Kiram Aulad Ki Paidaeesh Rokne Ke Liye Azal Kiya Karte The.
Chunanche Hazrat Jabeerرضي الله عنه Farmate Hai Ke Ham  Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Azal Kiya Karte The
Hazrat Mohaddis Imaam Timizi رضي الله عنه Is Hadwes Ke Mutallik Irshad Farmate Hai Hazrat Jabeer رضي الله عنه Ki Ye Hadees Hasan Hai
Yahi Hadees Mishqaat Aur Muslim Shareef Me Bhi Hai
(Bukhari Shareef, Jild 3, Safa 101, Bab No 126, Hadees No 193)
(Tirmizi Shaeeef Jild 1, Safa 583, Bab No 773, Hadees No 1134)
(Ibne Majah Shareef, Jild 1, Safa 539, Bab No 618, Hadees No 1996)
(Muslim Shareef Jild1 Safa 465.)
(Mishqaat Shareef Jild 2 Safa 87 Hadees Number 3046.)
Azal Karne Ka Maqsad Ye Hota Hai Ke Hamal Na Thahre Is Maqsad Ke Tahat Mard Apni Mani Ko Aurat Ke Raham Me Jane Se Rokta Hai Aur Yahi Maqsad Nirodh Yani Condom Se Bhi Haseel Hota Hai. Chunanche Azal Par Qayaas Karke Yah Kaha Ja Sakta Hai Ke Jis Tarah Azal Najayez Nahi Isi Tarah Nirodh Condom Bhi Najayez Nahi Hoga Kyuki Azal Aur Nirodh Dono Se Ek Hi Maqsad Haseel Hota Hai 

• Azal Ke Liye Bivi Ki Ijazat Zaruri Hai

Imaam Abdul Razzaq Aur Baihaqi Hazrat Ibne Abbas Se Aur Imaam Tirmizi Hazrat Imaam Maleek Bin Anas Se Riwayat Karte Hai Ki  Azad Aurat Se Uski Ijazat Ke Bagair Azal Nahi Kar Sakte Ke Ye Makrooh Tahreemi Hai
(Baihaqi Timizi Shareef Jild 1, Baab 773, Hadees No 1134, Safa 583.)
Hazrate Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Sayyadil Ambiyail Mursaleen Khatmun Nabiyyin Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Azaad Aurat (Jo Gulaam Na Ho Balqi Biwi Ho) Usse Bagair Uski Izazat Ke Azal Karne Se Mana Farmaya.
(Ibne Majah Shareef, Jild 1, Safa 539, Baab No 618, Hadees No 1997)

Hadeese Paak Se Malum Hua Ke Jima/Hambistari/Sohbat Karne Se Pahle Apni Bivi Se Ijazat Le Le Ke Mai Azal Karuga Ya Nirodh Istemaal Karuga. Kyuki Hanafi Mazhab Ki Bina Is Qajhe Aqli Par Hai Ke Jima Darasal Bivi Ka Shauhar Par Haq Hai Aur Bazaheer Jimaa Wahi Mana Jata Hai Jisme Azal Na Ho Lehaza Agar Karna Ho To Pahle Bivi Se Ijazat Le Warna Azal Na Kare.
Aap Padh Chuke Ke Azal Na Jayez Nahi Ab Iska Dusra Rukh Bhi Mulaheza Farmaiye Wah Yeh Ki Yeh Sahi Hai Ke ALLAH  Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Azal Se Mana Nahi Farmaya Lekin Apne Ise Pasand Bhi Nahi Farmaya Aur Na Hi Use Achha Samjha  Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Agar ALLAH  Ta’ala Ne Kisi Cheez Ke Zahur Ka Ahad Kiya To Patthar Me Hi Kyu Na Chhupi Chhupai Ho Wah Zarroor Nikal Kar Rahegi.”
(Munsade Imaam Aazam, Baab No 127,Safa 222)
Hazrat Imaam Ahmad Radiallahu Anhu
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hai Ke Aapne Farmaya Agar Tu Us Paani Ko Jisse Bachha Paida Hota Hai Kisi Cheez Par Dal To ALLAH  Ta’ala Agar Chahe To Alah Taala Usse Bhi Bachha Paida Farma Dega.
(Musnad Imaam Ahmad)
Muslim Shareef Aur Ibne Maaj Ki Ek Hadeese Me Hai Ke Rasool-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Azal Karna Ek Chhoti Qism Ka Bachhe Ko Zinda Zameen Me Gaad Dena Hai.
(Muslim Shareef Wa Mishqaat Shareef Jild 2, Hadees No 3051, Safa 89)
(Ibne Maaja Jild 1, Hadees No 2082, Baab No 649, Safa 560.)
Hazrate Imaam Naafe Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke,
Hazrate Abdullah Bin.Umar Radiallahu Anhu Azal Nahi Karte The. Aur Azal Ko Na Pasand Farmate The.
(Mota Shareef, Jid 2, Baab No 34, Safa 475, Hadees No 98)
Jitna Jiske Muqaddar Me Likha Ho Milke Rahega,
Ek Shakhs Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargah Me Haazir Hua Aur Arz Kiya,
Ya Rasool ALLAH ! Meri Ek Khadima (Kaneez) Hai Jisse Me Azal Karta Hu. Me Nahi Chahta Ki Wo Hamila Rahe. Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Tu Chahe To Azal Karle Agar Taqdeer Me Hai To Khud Ba Khud Bachcha Paida Hoga.”
Fir Wo Shakhs Kuch Arse Baad Haazir Hua Aur Arz Ki,
Ya Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ! Use To Bachcha Ho Gaya.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Maine To Keh Diya Tha Ki Jo Kuch Uske Muqadder Me Hai Wo Usko Jaroor Milega.”
(Abu Dawood Shareef, Jild 2, Baab No 126, Hadees No 406, Safa 154)
(Mishkat Shareef, Jild 2, Safa 88, Hadees No 3047)
Nikah Ke Talluq Tamaam Masle Masail Quran Wa Hadees Ki Daleelo Ke Sath Padhiye Aur Sabko Share Kare:
www.hamarenabi.in/p/nikah-in-islam-assalamu-alaikum-wa.html
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:     
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم 
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

4 Comments

  1. Kya khadima(kaneez) se sohbat kar sakte h agar ha,to kyu kar sakte h. Or agar nahi to aap ke uper likhe gaye blog me jis sahahba ne ye kiya iske baare me thodi detail mai samjhayen.

  2. Ab ghulam bandi ka zamana nahi raha.Ab Khadimah/Kaneez/khalifah/baandi nahi rahi Na woh Ahkaam rahey.
    Us Zamane Me Bandi Se Nikah Ka Huqm Nahi Tha. Ab Na Wo Zamana Hai Na Wo Ahkam Rahe.
    (Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!