DUA se IBADAT Hai
DUA se IBADAT Hai
DUA se BARKAT Hai
DUA se HIFAZAT Hai
DUA se MAAFI Hai
DUA se JANNAT Hai
DUA me YAAD Rakhna hume
DUA ki Bahut ZARURAT Hai..
Jab Ghar Me Aao To Gharwalo Ko Salam Kiya Karo
Tum Par aur Gharwalo Par Barkat Nazil Hogi.
(TIRMIZI)
1 GALAT FEHMI KA KHULASA:
Shawwal ke 6 roze Eid ke bad shwwal me kbhi bhi rakh sakte he
lagatar rakhna zaruri Nahi
(Bahare Shariat)
JO SHAKHS AAKHIRAT KE LIYE NA AMAL KARE
NA IRADA KARE
AUR NA TALABGAR HO US PAR LAANAT HAI
(TIBRANI)
JO SHAKHS MAAL HAASIL KARE
TO
US PAR US WAQT TAK ZAKAT NAHI
JAB TAK KE US PAR 1 SAAL NA GUZAR JAYE
(TIRMIZI)
TUM ME SE BEHTARIN LOG WOH HAI
JIN KE DEEDAR SE KHUDA YAAD AA JAYE.
(MISHKAT:419)
Hazrt Baba FARIDUDDEEN GAJSHAKAR:
“Apne NAFS Ko Qaabu Me Rakho
Use Man-Maani Na Karne Do
Warna Wo Zyada Se Zyada Khwahishe Paida Karega.”
‘ASSALATU IMAADUD DEEN’.
Tarjuma:
Namaz Deen Ka Sutun He.
>Waqt Par Namaz Ada Kijiye Taki Deen Mazbut Ho.
Qayamt me ALLAH Jahnnam ki Aag ka 1 Badal
Be-Namazi ke Chehare ke Samne Musllat Farmyaega
Jo Usko Jahnnam ki Taraf
Hank kar Lejayega
(QURTUL OOYUN)
Jo Fajar Ko Ujale Me Padhega ALLAH TA’ALA Uski Qabr Aur Qalb (Dil) Ko Roshan Karega Aur Uski Namaz Qubul Karega.
(Al Firdos)
Rafe Bin Khudij Se Riwayat Hai Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya Fajar Ko Ujale Me Padho Isme Bahot Sawab Hai.
(Tirmizi Vol:1, Page:148)
HUZOOR Sallallahu Alaiyhi WaSallam Irshad Farmate Hai Ke Jo Subah (Fajr Ke Baad) “Sureh-YASEEN” Padhega Uski Tamam Zaruriyat Puri Kardi Jayegi.
(DARMI)
AMBIYA Alaiyhissalam Ka Wisaal Usi Jageh Hota Hai Jaha’n Wo Dafan Hona Pasand Karte Hai (Shumail~E~Tirmizi: 371)
Hazrat Maula ALI RadiyAllahu Anhu:
“MEHNAT NA KARNA GAREEBI LATA HAI
AUR
GAREEBI DEEN SE DURI
AQL KO KAMZOR
AUR
SHARM KO KHATAM KAR DETI HAI.”
Bahut Buland He Moqam Unka
Sari Dunya Me Chala He Kaam Unka
Sunni Jineh Kehte he Aalahazrat
Imam Ahmed Raza He Naam Unka
HAZRAT ALI SHERE KHUDA:
FAQEER KI SAKHAWAT USKA MARTABA BADHA DETI HE
JAB KE MAALDAR KI KANJUSI USE ZALIL KAR DETI HE
MOST I.M.P EXAM:
Dunyawi Exam ke Liye
Student
Kitna Tenshon me Rehta hai
Aur Abhi
MOUT
QABAR
HASHR
ke Mraahil Baaki hai
Fir Bhi
Hum Be-Parwah
TOSHA-E-AAKHIRAT:
AYE A.C Aur Pankho ke Binaa
Be Kraar ho Jane Walo!
Kya Apni Qabro Hashr ki
Raahat ke Liye Bhi koi
Saman Taiyyar Kiya Hai?
HAZRAT ALI Karramallahu Wajhahul Kareem:
Jo Shakhs Mukhlis Aur Wafa Daar Dost Rkhta Ho Wo Dunya Ka Ameer Tareen Shakhs He
Meri Ummat Ke Kuch Log Sharab Piyenge
Gaane Baaje Bajayenge
&
Unke Muh Bandhar & Suwar Ke Ho Jayenge
(Ibne maza)
Zard Patton Me Pada Hoon MAULA
Sabz Shakhon Se Juda Hu MAULA
Unke Sadqe Me Ata Kar IZZAT
Jinki Ummat Me Khada Hu MAULA
JOOTI QASAM SE MAAL TO BADH JAATA HAI
LEKIN BARKAT KHATAM HO JATI HAI.
(BUKHARI SHARIF)
Sher-E-Khuda HAZRAT ALI Radiallahu Anhu
HASAD KARNE WALE KE LIYE
YE HI SAZA KAFI HAI
KI JAB TUM KHUSH HOTE HO TO
WOH UDAAS HO JATA HAI
SAB SE BEHTARIN AMAL MUSALMAN
BHAI KE DIL KO KHUSH KARNA HAI
(TIBRANI)
MERI UMMAT KE LIYE SAARI ZAMEEN MASJID HAI.
[BUKHARI SHARIF]
Sher-E-Khuda Hazrat Ali Karamallahu Wajahahul Kareem:
Galat baat par Ghussa aa jana sharafat ki Nishani He
Lekin usi Gusse ko pee jana M0MIN ki Nishani He
“AKRIMUL KHUBZA”
Tarjuma;
Roti ki Izzat Karo.
Yaad Rakhen;
Rizq Ka Ehteram na karna Be-Barkati Ka Sabab Banta Hai