Eid-E-Miladun Nabi

Aap Sallalaho Alayhi Wasallam Ka Jasad-E-Athar

Tamaam Ummat Ko Eid Milad Un Nabi Bohot Bohot Mubarak Ho.
Sarkar Ki Aamad Marhaba.
Khub Khusiya Manao..
Allah hum subko Milaade Mustafa manane ki taufiq ata farmaye.
Aameen
Awwal aakhir durood.
Hazrate Anas Radiallahu Ta’ala Anhu kehte hai ki aapka Jasade Mubarak nihayat narm wa najuk tha. Maine Deeba wa Hareer (Reshmi kapdo) ko bhi aapke badan se jyada narm wa najuk nahi dekha. Aur aapke Jasade Mubarak ki Khushbu se jyada achchi kabhi koi Khushbu nahi sunghi.
>Bukhari Sharif Jild 1,Safa 503
Hazrat Anas bin maalik radiallahu ta’ala anhu farmate hai
Huzoor ke Chehra-E-Anwar par pasina aata to motiyo ki tarah mehsus hota. Aur uski Khushbu mushq se jyada hoti.
>Muslim Sharif
Ummul Momineen Hazrate Aayesha siddiqa radiallahu ta’ala anha farmati hai
Ek martaba maine dekha huzoor ki peshaani mubarak par pasine ke qatre hai. Jinse shaue (Kirane) nikal rahe hai.
>Khaatib
Hazrate Anas radiallahu anhu farmate hai
Huzoor madina munawwara ki jis gali se guzarte, log us gali se khushbu paa kar kehte ke huzoor ka guzar yaha se hua hai.
>Daarmi
Hazrate Anas farmate hai,
Maine kabhi koi kasturi aur itra aisa na sungha jo Huzoor ke pasina mubarak se jyada khushbudar ho.
>Tirmizi Sharif
Hazrate Abu Huraira radiallahu ta’ala anhu ka bayaan he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ke Jasade athar ka rang gora safed tha. Aisa malum hota ki goya aapka muqaddas badan chandi me dhaal kar banaya gaya ho.
>Shamaile Tirmizi safa 2
Aapke kad mubarak ka saaya na tha. Haqim Tirmizi ne apni kitab “Nawadirul Usool” me hazrate Jaqwan Tabai se ye hadees nakal ki hai ki suraj ki dhoop aur chand me aap Sallalahu Alayhi Wasallam ka saya nahi padta tha. Imaam ibne saba’a ka kaul he ke ye aapke khasais me se hai ki aapka saya zamin par nahi padta tha. Aur aap Noor the isliye jab aap dhoop ya chandni me chalte to aapke saaya nazar na aata tha. Aur baja’a ka kaul he ki iski shahid wah Hadees hai jaha aapki is dua ka zikr he ki aapne yah dua mangi ki Ya Khudawnda! Tu mere tamam a’aza ko noor bana de aur aapne apni is dua ko us kaul par khatm farmaya ki,
“Waj Alni Noori” yani Aye ALLAH muzko sarapa Noor banade. Jahir he jab aap saraapa Noor the to aapka saaya kaha se padta?
>Jurkani Jild 5,Safa 249
Hazrat Abu Huraira Radiyallahu Anhu Farmate He:
Maine Huzoor Se Zyada Khoobsurat Kisiko Nahi Dekha
Yu
Malum Hota Ke Aaftab Aapke chehre Me chal Raha Hai
(TirMizi)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!