Nikah

Talaq Ki Qisme Aur Teen Talaq Ka Bayan

{tocify} $title={Table of Contents}

Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Aaj Ye Post Likhte Hue Behad Afsos Ho Raha Hai Ke Hamare Kuch Bhai Beheno Ko Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Insaf Nazar Nahi Aa Raha Hai. Islam Ne Aajse 1400 Sal Pehle Jo Aurat Zaat Ko Insaf Diya Wo Hargiz Koi Aur Nahi De Sakta. Is Post Me Ham In Tamam Bato Par Gaur Karenge Ki Aakhir Islam Me Aurat Ko Kya Martaba Haasil Hai.

Islam Me Aurat Ke Huqooq Wa Martaba Qur’an Wa Hadees Ki Roshni Me

Aaj Islamic Shari’at Ko Historical/Purani Kehnewalo Ko Dar Asl Islam Ke Shari’at Ka Koi Ilm Nahi Hai. Aaj Awaam Ko Nikah Karne Se Pehle Nikah Ke Sare Masle Masail Ka Sikhna Zarooi Hai. Islam Ne Kisi Soorat Me Aurat Par Koi Ziyatadi Nahi Ki Hai. Har Jagah Aurat Ke Huqooq Ko Ada Karne Ki Taleemat Hamare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmayi Hain. Aur Jo Qanoon Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Banaya Hai Wo Ta Qayamat Aanewale Logo Ke Liye Hai Jise Koi Tabdeel Nahi Kar Sakta. Jinhe Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Se Aitraz Hai Ya Jinhe Lagta Hai Ma’zALLAH Islam Me Aurat Ka Haq Ada Nahi Kiya Jaa Raha Isliye Wo Aaj Shari’at Ke Khilaf Bol Rahe Hai. Aise Logo Ko Apne Aakhirat Ki Fikr Karni Chahiye. ALLAH Ta’ala Ko Kya Munh Dikhaoge. Jab ALLAH Ta’ala Tumse Puchhega Ki Mere Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Qanoon Par Tune Kyu Ungliya Uthai?
ALLAHU Akbar. Socho Kya Anzam Hoga Aise Logo Ka.

Aaj Triple Talaq Ka Masla Adalat Tak Pohoch Gaya Hai. Kya Hamare Kisi Bhai Beheno Ne Is Baat Par Gaur Kiya Ki Islam Me Talaq Ki Kitni Kisme Hai? Talaq Kaise Diye Jaye? Talaq Ke Talluq Masle Masail Ko Padhna Zaroori Samjha Nahi. Afsos Fir Bhi Aise La Ilmi Log Shari’at Ki Mukhalfat Kar Rahe Hai Bina Ilm Ke.

Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Tamam Halal Chizon Me ALLAH Ke Nazdeek Ziyadah Na’pasand TALAQ Hai.
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Talaq, Bab Karahyat Talaaq, Jild 2, Safa 380,  Hadees 2187)

Talaq Ek Jaiz Amal Hote Hue Bhi ALLAH Ta’ala Ko Sabse Jyada Napasandida Amal Hai. Afsos Hai Aajke Hamare Bhaiyo Par Jo Itni Aasani Se Talaq De Dete Hai. Jo Ke Shari’at Ke Qanoon Ke Khilaf Hai. Jab ALLAH Ta’ala Ne Aurat Ko Apne Pasand Se Shohar Chunne Ka Haq Diya. To Talaq Ka Ikhteyar Mard Ko Diya. Mard Ko Ye Ikhteyar Isliye Diya Gaya Kyunki ALLAH TA’ALA Ne Mardo Ko Jyada Samajhdar Aqalwala Banaya Hai. Ye Ikhteyar Ka Jo Koi Galat Istemal Kare Beshaq Aakhirat Me Uske Liye Ruswai Aur Dardnak Azab Hai.

TALAQ Ek Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad’wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari’at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Eik Jayez Amal Hai Par ALLAH Paak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar’ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.

Hazrat Mu’aaz Riwayat Karte Hain Huzoor صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Farmaya:
“Aye Mu’aaz ! Koi Cheez ALLAH Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Ziyadah Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Ziyadah Na’pasand Nahi Ki.
(Sunan Darkutani, Kitabul Talaq, Jild 4, Safa 40)

In Hadees-E-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Hamare Un Islami Bhaiyo Ko Sabak Hasil Karna Chahiye Jo Ek Sath 3 Talaq De Dete Hai, Gusse Me Talaq De Dete Hai,  Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Jaiz Amal Zaroor Hai Mere Dosto Magar Uska Galat Istemal Karnewalo Ko Aakhirat Me Dardnak Azab Hai. Ye Baat Kabhi Na Bhoolna Mere Bhaiyo Ki ALLAH Ta’ala Ko Halal Chizo Me Sabse Jyada Napasandida Chiz Talaq Hai.
Talaq Ke Masail Par Tasfeel Me Posting Zaari Hai. Hamara Blog Padhte Rahe. Ye Post Sare Musalman Bhai Beheno Tak Pohochana Zaroori Hai. Isliye Ise Khoob Share Kare Aur Khidmat-E-Deen Me Hamara Sath De.

You Might Also Like:




Talaq Ki Qisme Aur Unka Bayan

ALLAH Ta’ala Qur’an-E-Kareem Me Huqm Farmata Hai,

Yah Talaq 2 Baar Tak Hai Phir Bhalaai Ke Sath Rok Lena Hai. Ya Nekoi (Achche Sulooq) Ke Sath Chod Dena Hai. Aur Tumhe Rawa Nahi Ki Jo Kuch Aurato Ko Diya Usme Se Kuch Wapas Lo. Magar Jab Dono Ka Andesha Ho Ki ALLAH Ki Hade Qayam Na Karenge. Phir Agar Tumhe Khauf Ho Ki Wah Dono Thik Inhi Hado Par Na Rahenge To Un Par Kuch Gunaah Nahi Isme Jo Badla Le Kar Aurat Chutti Le. Ye ALLAH Ki Hade Hai Inse Aage Na Badho To Wah Log Zaalim Hai. Phir Agar Tisri Talaaq Use Di To Ab Wo Aurat Use Halaal Na Hogi Jab Tak Doosre Khawind Ke Paas Na Rahe. Phir Wah Agar Use Talaaq Dede To Un Dono Par Gunaah Nahi Ki Aapas Me Mil Jaye. Agar Samajhte Ho Ki ALLAH Ki Hade Nibhayenge. Aur Ye ALLAH Ki Hade Hai Jinhe Bayan Karta Hai Daniahmando Ke Liye.
(Al Qur’an-E-Kareem, Surah Al Bakrah, Verse/Aayat No: 229-230, Ruku 12)

TALAQ Ki 3 Qisme’n Hain-

1) RAJ’EE رجعى

2) BA’IN بائن

3) MUGALLAZAH

• Raj’ee TALAQ Kya Hai?

Rajee TALAQ Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki Iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi, Aur Iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi.

(Talaq Ki Iddat 3 Haiz/M.C/Periods Aana Hai, Agar Haamelah (Pregnant) Hai To Bachcha Paida Hote Hi Iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabaligh Hai Ya 55-Year’s Se Upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To In Dono Ke Liye Iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se)

Wazahat:
Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba’in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Nay Nikah Ke Rujoo Kiya Ja Sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi. Qurban Jau Is Shari’at Ke Qanoon Par Ke Jisne 1 Ya 2 Talaq Ke Baad Bhi Teen Maah Ka Waqt Ata Kiya Hai Miya Biwi Ko Ke Wo Apne Rishte Ko Bachame Ki Koshish Kare. Aaj Log Insaf Ki Baat Karte Hai Isse Bada Insaf Aur Kya Ho Sakta Hai? Warna Aaj Kagaz Ke Tukde Par Dastakhat Karte Hi Rishte Khatam Ho Jate Hai Jaha Koi Dusra Mauka Nahi Diya Jata. Afsos Hamare Kuch Kam Aqal Aur La Ilmi Log Hi Shari’at Ke Khilaf Bol Rahe Hai Wo Bina Ilm Ke.

• Ba’in TALAQ Kya Hai?

Talaq Ki Dusri Qism Ba’in Hai, Iska Matlab Ye Hai Ki Biwi Faoran Nikah Se Bahar Ho Jaye, Ab Agar Usi Biwi Ko Rakhna Hai To Naya (New) Nikah Naye Maher Ke Sath Karna Hoga, Agar Aurat Dusre Se Nikah Karna Chahe To Use Iddat Puri Karni Hogi.

Talaqe Ba’in Kaise Padti Hai?
Saaf Kahe Ki Mai Ne Tumhe Talaqe Ba’in Dee, Ya Gusse Ke Aalam Me Jaa, Chal, Nikal Rasta Naap, Ghar Khali Kar, Rawana Ho, Dafa Ho, Bistar Utha Wagerah Ye Sab Alfaaz TALAQ Ki Niyyat Se Kahe To Talaqe Ba’in Hogi.
Agar Aurat TALAQ Chah Rahi Ho To Uspe Aisa Kaha Jaa, Chal Nikal, Ab Aisi Surat Me Ba’gair Niyyat Bhi TALAQE Ba’in WAAQE Hogi.


• MUGALLAZAH TALAQ Kya Hai?

TALAQ Ki Tisri Qism Mughallazah Hai, Yani 3-TALAQ Ab Chahe Eik Sath De Ya Alag Alag Ab Is Surat Me Aurat Ko Wapas Rakhna Chahe To Bina Halalah Kiye Nahi Rakh Sakta.

Wazahat-
TALAQ Ke Saaf Alfaaz Kaha Jaise Tujhe Talaq Dee, 1 Ya 2 Baar Kaha To Ye TALAQE Raj’ee Hai, Aisi Surat Me Biwi Ko Wapas Rakhne Ke Liye Bosa Liya Ya Akele Me Mulaqat Ki Ya Kaha Mai Ne Tumhe Wapas Liya To Nikah Baqi Rahega.
Han Behtar Hai Ki Jab WAPAS Lena Ho To Kam Az Kam 2 Gawah Zaroor Bana Le Ye Behtar Hai Aur Tohmaton Se Bachane Wala Hai.
Aur Agar Wapas Na Lena Ho Chhodh Dena Ho To Iddat Guzarne De Ab Wo Khud Bakhud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.

TALAQ Ki Qisme’n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAQ Diya Kaise Jaye?
Awwal To Be’wajhe Shar’ee TALAQ Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye.

You Might Also Like:





• TALAQ Dene Ke 3 Tarike Hai

1) AHSAN (احسن)

2) HASAN (حسن)

3) BID’EE (بدعی)

1) TALAQE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH)

Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Eik TALAQ De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi. Ab Isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To Iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai.


2) TALAQE HASAN (Behtar, Theek):

Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Eik TALAQ De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAQ De, Tisri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Tisri TALAQ De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To Iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta.

3) TALAQE BID’EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah)

Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EIK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee.
(ماخوذ از- کتب فقہ حنفی)

Pehle Hum Ne TALAQ Ki Qisme’n Zikr Kee, Phir TALAQ Ka TARIQAH Bataya Jo Behtar TARIQAH Hai (TALAQE AHSAN) Uspe Amal Kiya Jaye ALLAH Na Kare Kabhi Aisa WAQT Aaye Kisi Par.

Talaq Ki Wazoohat:
ALLAH Pak Ne Insano Me Kuch Rishte Aise Banaye Hain Jo Insano Ke Todne Se Bhi Nahi Toot Te, Jaise Maa Baap Aur Aulad Ka Rishtah, Bhai Bhai Ka Rishta Wagera, Aur Kuch Rishte Insano Ne Khud Banaye Hain Aur Jab In Rishton Me Kadwahat Aajaye To Ise Ahsan Tariqe Se Todne Ka Tariqah Bhi Islam Me Maujood Hai, Jaise Miya Biwi Ka Rishtah Jo Nikah Ke Zarye Qa’im Hota Hai Aur TALAQ Ke Zarye Toot Jata Hai.

Yahudi (Israeli) Mazhab Me Shohar Jitni Baar Chahe TALAQ De Sakta Hai Aur Phir Usi Biwi Ko Rakhna Chahe To Rakh Sakta Hai Unke Yahan TALAQ Ki Koi Tehdeed (Had) Nahi, Aur Esai Mazhab Me To TALAQ Jayez Hi Nahi Hai, Jisse Eik Bar Shadi Ho Gai Ab Usi Ke Sath Puri Zindagi Guzarna Hai.

ALLAH Ta’ala Na Kare Ki Kisike Zindagi Me Talaq Ki Naubat Aaye. Fir Bhi Agar Halat Aise Ho To Talaq Dene Ka Sabse Azfal Tariqa Ye Hai Paki Ke Dino Me Sirf Ek Talaq De. Ab Aurat 3 Haiz Tak (Approximately 3 Months) Ya Agar Aurat Hamila Hai To Bachche Ki Wiladat Tak Apne Shohar Ke Pas Rahegi. Ye Din Inke Liye Mohlat Di Gayi Hai Ke Ye Aapas Me Sulah Karle. Aur Shohar Talaq Se Ruzoo Karle. Is 3 Mah Ki Iddat Me Badi Hiqmat Hai Ke Sulah Ki Koshish Ki Jaye. Magar Afsos Aajke Logo Ka Hal Hi Kuch Aur Hai. Ladke Ke Rishtedar Bhi Use Nahi Samjhate. Aur Ladki Ke Waldain Ka Bhi Yahi Haal Hai. Ma’zALLAH. Yaad Rakkhe Miya Biwi Me Judai Dalna Shaitan Ka Kaam Hai. Aur Aap Log Bajaye Unko Samjhane Unke Rishte Ko Todne Me Sath De To Aap Bhi Gunaahgar Honge. Ha Agar Sulah Munkin Hi Na Ho To Baat Aur Hai.

Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Farmate Hai
Iblees Apna TAKHT Pani Par Bichhata Hai,
Aur Apne Lashkar Ko Bhjeta Hai (Logon Ko Burai Ki Taraf Ma’il Karne Ke Liye) Aur Sab Se Zada Martabah Uske Nazdeek Uska Hai Jisne Bada Fitna Kiya Ho, Har Koi (Uska Chela) Aakar Apni Kaarguzari Sunata Hai Wo Kehta Hai Tune Kuch Nahi Kiya (Bada Kaam) Eik Kehta Hai Mai Ne Mard O Aurat Me Judai Daal Dee, To Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai Haan Tu Hai (Jisne Mujhe Khush Kiya).
(Musnade Imam Bin Hambal, Jild 5, Safa No 52)

Is Hadees Se Wo Log Dars Hasil Kare Jo Bila Wajah Kisi Miya Biwi Me Galatfehmiya Paida Karke Unke Rishte Ko Khatam Karne Ka Ye Gunah Karte Hai. Inka Ye Amal ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Narazi Ka Sabab Hai. Isse Siwaye Gunaho Ke Kuch Hasil Nahi. Aur Aakhirat Me Azab-E-Ilahi Me Giraft Hone Ka Sabab Hai.

Ab In 3 Mahino Me Bhi Inme Sulah Na Ho Payi To 3 Haiz Ke Bad Aurat Nikah Se Bahar Ho Gayi. Ab Aurat Aur Mard Dono Azad Hai. Jisse Chahe Nikah Karle. Ye Baat Khoob Zehenashi Karle Ke Talaq Sirf Ek Hi Di Jana Behtar Hai. Ek Sath 2 Ya 3 Talaq Dena Ye Amal Islam Ke Khilaf Hai. Sakht Mana  Aur Gunah Hai. Jisse Banda Aakhirat Me Sakht Azab Me Mubtala Hoga. In sha ALLAH Ab Agar Zindagi Me Inme Aise Halat Bane Ke Sulah Ho Gayi Aur Ye Nikah Karna Chahte Hai To Ye Dono Naya Nikah Naye Meher Ke Sath Kare Bina Halala Ke Kar Sakte Hai. Aur Ab Inke Dusre Nikah Me Bhi Nibhav Na Ho Paya To Phir Ek Talaq De Kar Wahi Sab Dohraya Jayega Jiska Maine Zikr Kiya. Isi 2 Talaq Ke Bawajood Bhi Ladka Usi Ladki Se 3ri Martaba Bina Halala Ke Naya Nikah Naye Meher Par Kar Sakta Hai. Ab Is 3re Nikah Me Agar Nibhav Na Ho Paya To Ab Jo Talaq Di Jayegi Wo 3ri Talaq Hai. Ab Aurat Iske Bad Wo Mard Us Aurat Se Bina Halala Ke Nikah Nahi Kar Sakta. Yaha Masail Samjhane Ke Liye Misal Di Gayi Hai. Ab Zara Aap Khud Gaur Kare Kis Qadr Tak Miya Aur Biwi Ke Bhalai Ka Khayal Rakkha Gaya Hai Hamari Shari’at-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Me. Kya Ab Bhi Koi Ye Kahega Ki Hamari Shari’at Me Aurato Par Zulm Ho Raha Hai? Ma’zALLAH.

Iske Bar’Khilaf Islam Ne 1 Aur 2 TALAQ Ke Bad Biwi Ko Rokne Ka HAQ Diya Hai Jabki 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Wo Use Nahi Rakh Sakta, Chahe 3- TALAQ 3-Tohar (Paki Ki Halat) Me Dee Ho Ya 3 Haiz (Napaki Ki Halat) Me, Ya Eik Sath 3 Dee Ho, Bahar Haal Wo TALAQE MUGALLAZAH Hai Jisse Nikah Toot Gaya, Haan Ye Hai Ki Eik Sath Ko Dena Sakht Mana Aur Bura Hai Jaisa Ki Hadise Pak Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ka Irshad Maujood Hai.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Tak Ye Khabar Paohchi Ki Eik Shakh Ne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-TALAQ Dee, Ise Sun Kar Aap Gusse Me Khade Huye Aur Ye Farmaya Ki,
ALLAH Ki Kitab Se Khel Karta Hai? Halaki Mai Tumhare Andar Abhi Maujood Hun.
(Sunam An Nasai, Kitabul Talaq, Hadees No: 3398)

Is Hadeese Pak Se Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke Ek Sath 3 Talaq Dena Yani Talaqe BID’EE (بدعی) Sakht Mana Hai. ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Narazi Ka Sabab Hai Aur Gunaah Hai. Aaj Shiya Aur Gair Muqallidin Yahoodiyo Ki Pairawi Karte Hue Ye Kehte Hai Ke Ek Majlis Ki 3 Talaq 1 Hai. Jabki Ek Majlis Ki 3 Talaq 3 Hi Hone Par Kai Hadeese Pak Mauzood Hai.

Huzoor Gause Pak Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hain:
3 TALAQ Ke Bad Bhi Biwi Ko Rakhne Ka Riwaj Yahudiyon Me Hai Unse Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ne Liya.
(Gunyataltalebin Safa No: 172)

Ummul Momeemineen Sayyedah Aishah Siddiqa Radiallahu Anha Riwayat Farmati Hain Ki
Eik Shakhs Ne Apni Biwi Ko 3-TALAQ De De’n, Aurat Ne Dusra Nikah Kar Liya, Dusre Ne Bhi TALAQ De Dee (Sohbat Kiye Bina) Phir Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Se Pucha Gaya Kya Ab Pehla Shaohar Iske Liye Halal Hai (Wapas Usse Shadi Kare) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne Farmaya Nahi, Jab Tak Dusra Shaohar Iska Maza Na Chakhe Jaisa Ki Pehle Ne Chakha.
(Sahih Bukhari, Jild 1, Safa No: 791, Hadees No: 5261)

SAHI BUKHARI Ki Ye Hadees Ekhatti Dee Gai 3- TALAQ Ke 3 Hone Par Roze Roshan Ki Tarah Saaf Hai, Is Liye Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Nikah Me Wapas Lene Se Mana Farmaya, Is Qism Ke Kai WAQIYAAT Ahaadees Me Hai Ki Huzoor ﷺ Ne 3 TALAQ Wali Ko Bai’nah (Kharije Nikah) Qarar Diya Mulahazah Farmayen.

Amriul Momineen Fil Hadees Sayyedna Imam Muhammad Bin Isma’eel Bukhari رحمہ اللہ تعالیٰ (Paidaish-194-Hijri Wafat-256-Hijri) Apni “Al’jami’uss Sahi” Yani Sahi Bukhari Me Hazrat Uwemar Ijlani (عویمر عجلانی) Ka Waqiyah Likhte Hain Ki,
Unho Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Samne Li’aan Kiya Aur Jab Li’aan Se Farigh Huye To Kaha Ya Rasulallah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ab Agar Mai Is Aurat Ko Rakhun To Jhuta Kehlaunga Phir Unho Ne Huzoor ﷺ Ke (Kuch) Farmane Se Qabl Hi Biwi Ko 3-Talaq De De’n.
(Sahih Bukhari Sharif, Jild 2, Safa No: 799, Hadees No: 5308)

Is Waqiye Ki Mazeed Tauzeeh Abu Dawood Sharif Me Is Tarah Ki Gai Hai:
Jab Hazrat Uwemar Ijlani Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Samne 3 Talaq Dee To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne 3-No Ko Naafiz Kar Diya.
(Sunan Abu Dawood, Jild 1, Safa Number: 306, Hadees No: 2250)

Sahi Bukhari Wa Abu Dawood Sharif Ki Riwayat Se To Sabit Hua Ki Huzoor ﷺ Ne Eik Saath Ki 3-Talaq Ko Naafiz Kar Diya, Phir Gair Muqallideen Is Masle Me Huzoor ﷺ Ki Mukhalifat Karte Huye Yahudiyon Aur Shiyon Ki Raah Kyu Chal Rahe Hain?

Ab Aap Hi Ke Sawal Ko Hum Aap Par Aise Palat’te Hain, Aap Mohammadi Hain Ya Yahudi Wa Rafzi?

Dunya Ki Aib Koi Khud Par Nazar Nahi Hai,
Har Eik Ko Dekhta Hai Ap Huni Khabar Nahi Hai.

Gair Muqallideen (Ahle Khabess) Me Ab Bhi Sharm Ka Kuch Hissa Bacha Ho To Haq Ki Taraf Aaye’n Aur Qaum Ko Ye Keh Kar Dhoka Na Den Ki Hanafi Mazhab Khilafe Hadees Hai Jabki Hamare Ulmae Ahnaaf کثرھم الله تعالى Sabit Kar Chuke Hain Ki Hanafi Mazhab Quran O Sunnat Se Ziyadah Qareeb Hai.

Eik Saath Dee Gai 3 Talaq Ke Bad Bhi Raj’at Ka Hukm (Biwi Ko Dobara Nikah Me Baqi Rakhna) Agar Kisi Zamane Me Raha Bhi Ho To Iska Hukm Hamari Shari’at Me Mansookh Ho Gaya Hai, Jaisa Ki Mash’hoor Sahabi E Rasool ﷺ Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہ Ne Sure Baqrah Ki Ayat-228 Ki Jo Tafseer Ki Hai Use Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Ne Apni Sunan Me Likha Hai, Aur Aap Jante Hain Abu Dawood Siha Sitta Me Se Hai, Abu Dawood Ki Riwayat Ye Hai:
Hazrat Ikramah رضی اللہ عنہ Kehte Hain Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ne Ayat (Sure Baqrah Ki Ayat-228) Ke Tahet Irshad Farmaya Shuru Me Agar Koi Shakhs Apni Biwi Ko 3-Talaq De Deta Phir Bhi Use Raj’at Ka Haq Tha, Lekin Ye Hukm Mansookh Kar Diya Gaya, Phir Aapne Ayat Tilawat Ki (Sure Baqrah Ki Ayat-229 Jiska Tarjamah Hai Talaq To 2 Hi Baar Tak Hai Jiske Bad Biwi Ko Wapas Rakha Ja Sakta Hai).
(Sunan Abu Dawood, Safa No 297)

Hazrat Ibne Abbas Wo Sahabi Hain Jinse Huzoor ﷺ Ne Quran Sikhne Ki Taleem Di, Kya Gair Muqallideen Ke Nazdeek Hazrat Ibne Abbas Ne Quran Ki Galat Tafseer Ki Ya Phir Wo Asl Masle Se Waqif Nahi The?
Mazeed Eik Hadees Jo Sunane Nisai Me Hai (Ye Bhi Hadees Ki 6-Sahi Kitabon Me Se Eik Hai).

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ko Eik Shakhs Ke Hawale Se Bataya Gaya Ki Usne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-Talaqe’n De Dee Hain, Ye Sunke Aap Sakht Gusse Me Khade Huye Aur Farmaya,
Tum Log ALLAH Ki Kitab Se Khelte Ho Halaki Mai Tumhare Beech Maujood Hun, Eik Shakhs Khada Hua Aur Arz Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Aap Ijazat De’n Ki Mai Use Qatl Karun.
(Sunan An Nasai, Jild 6, Safa No: 442, Hadees No: 3430)

Agar Eik Sath Dee Gai 3-Talaq 1 Hi Hoti To Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Is Qadar Gussa Na Farmate Aur Ise ALLAH Ki Kitab Se Khel Na Batate Jabki 1 Baar Me 1 Talaq To Quran Hi Ka Hukm Hai, Aur Phir Eik Sahabi Us Shakhs Ke Qatl Ki Ijazat Na Chahte.

Qurane Pak Ne Saaf Farma Diya 2-Talaq Tak Biwi Ko Rokne Ka Haq Hai Lekin 3 Agar De Dee To Ab Ba’gair Halalah Ke Biwi Ko Nahi Rakh Sakta, Irshade Khudawandi Hai:

Talaq To 2 Hi Bar Tak Hai Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena Hai Ya Nikoi Ke Sath Chhod Dena Hai.
(Sure Baqrah, Ayat-229)

Phir Agar Use Tisri Talaq Dee To Ab Wo Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shaohar Ke Pas Na Rahe.
(Sure Baqrah, Ayat-230)

In Aayaat Me ALLAH Pak Ne 3 Talaq Ka Hukm Bayan Farmaya Hai, Aur Use Eik Majlis Ya Kai Majlis Ke Sath Qaid Nahi Kiya, Yaani 3 Talaq Eik Sath De Ya 1 Saal Me Wo 3no Waaqe Ho Jayegi, Uske Bad Bina Halalah Ke Nahi Rakh Sakta.

Dawood Kehte Mere Walid Ubadah Bin Samit Kehte Hain Ki Mere Dada Ne Apni Biwi Ko 1000 Talaqen Dee Thi To Mere Walid Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Bargah Me Hazir Huye Aur Unki Khidmat Me Saara Mamla Arz Kiya, Huzoor ﷺ Ne Farmaya Kya Tera Dada ALLAH Se Nahi Darta?
3 Talaq Ka Use Haq Tha (Jo Ab Ho Chuki) Aur 997 Uski Taraf Se Zulm O Ziyadati Hai, Allah Ki Marzi Chahe To Use Azab De Ya Bakhsh De.
(Musnade Abdur Razzaq, Kitabul Talaq, Hadees No: 11339, Al Maqtabul Islami, Bairut 6/393)

Hazrat Shabi (شعبی) Kehte Hain Main Ne Fatimah Binte Qais Se Kaha Aap Mujhe Apni Talaq Ka Waqiyah Sunaiye, Unho Ne Jawab Diya Mujhe Mere Shaohar Ne Yaman Jate Waqt 3 Talaqen Dee’n, To Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ne Ye 3 No Talaqen Naafiz Farma Dee’n.
(Sunan Ibne Maja, Kitabul Talaq, Baab No: 3, Hadees No: 2024, Al Baqrah Beirut 1/652)

Hadees Me Saaf Hai Ki Ye 3no Talaqen Eik Majlis Ki Thi, Jabhi Hazrat Fatimah Ne Bayan Diya Ki Rasulullah ﷺ Ne 3no Naafiz Farma Dee’n Agar Alag Alag Majlis Me Dee Hoti To Huzoor ﷺ Ka Ise Naafiz Farmane Ka Kya Matlab Hai?

Aur Maze Ki Baat Ye Ki Imam Ibne Majah رحمہ اللہ Ne Is Hadees Ka Jo Baab (Chapter) Baandha Hai Wo Ye Hai-

من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد

Yani Eik Majlis Me Apni Biwi Ko 3 Talaq Dene Ka Bayan.

Qurane Kareem Aur Rasoole Pak Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ  Ke Wazeh Farman Ke Baad Bhi Koi Yahi Ratt Lagaye Ki Eik Majlis Ki 3 Talaq 1 Hi Hai, To Aise Diwane Ka Kya Ilaj?

Musalman To Wo Hai Jo ALLAH Wa Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ka Farman Malum Padne Ke Bad Sare Tasleem Kham Kar Leta Hai, Aur Jiske Dil Me Kaji (Tedha Pan) Hai Wo Apne Khabees Nafs Ka Itteba Karta Hai, Jaisa Ki Asre Maujudah Ke Naam Nihaad Ahlehadees.

Sarkare 2 Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Puri Hayate Zaheri Me Eik Aisa Waqiyah Kisi Bhi Sahi Sareeh Gair Mu’ariz Hadees Se Gair Muqallideen Nahi Pesh Kar Sakte Ki Kisi Madkhulah Aurat (Jisse Sohbat Hui Ho) Ko Eik Majlis Me 3 Talaq Eik Sath Dee Gai Ho Aur Phir Bhi Huzoor ﷺ Ne Use Bina Halalah Rakhne Ki Ijazat Dee Ho.

“Pehli Sadi Se 7wi Sadi Tak Is Masle Ki Tareekh”

Qurane Kareem Aur Ahaadise Pak Ke Mutale Se Aapne Khoob Jaan Liya Ki Huzoor E Pak Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki Hayate Zaaheri Me Eik Waqiyah Bhi Aisa Nahi Milta Jisme 3 Talaq Ko Eik Kaha Gaya Ho.

Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ke Tashreef Le Jane Ke Bad Bhi Aisa Hargiz Nahi Hua Ki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Ne Iski Ijazat Dee Ho Ki 3 Talaq Ke Bad Bhi Biwi Halalah Ke Bina Rakhi Ja Sakti Hai, Bas Gair Muqallideen Sahi Riwayat Se Hame Dikha De’n.

Note:
Eik Majlis Ki 3 Talaq Se Biwi Ke Nikah Se Bahar Hone Ka Hukm Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Jari Nahi Farmaya Balki Ye Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Hi Ke Zamane Se Hai, Bas Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Ispe Sakhti Se Logon Ko Amal Karwaya.

• Zara Ise Gaur Se Padhe

Is Post Se Un Logo Ko Sabak Hasil Karna Chahiye Jo Khudki La Ilmi Ke Baad Bhi Shari’at Ke Khilaf Bol Rahe Hai. Yaha Pesh Kiye Dalail Ke Matahat Ye Saaf Zaahir Jo Gaya Hai Ke Talaq-E-Bid’ee (Ek Sath 3 Talaq Dena) Gunah Wa Sakht Mana Kiya Gaya Kaam Hai. Jo Aisa Amal Karte Hai Wo Gunaahgar Hai. ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farman Ke Munkir Hai. Lihaza Aap Sabse Guzarish Hai Ke Aap Bhi In Masail Ko Sikhe Aur Dusro Ko Bhi Sikhaye. Take Ham ALLAH Ta’ala Aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farman Ke Mutabiq Zindagi Basar Kare Aur Haramkari Se Mehfooz Rahe. In sha ALLAH. Isi Mauzoo Par Posting Zaari Rahegi. Agli Post Me Ham Halala Ka Bayan Karenge. Is Post Ko Khoob Share Kare. Khidmat-E-Deen Me Mera Sath De.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!