Aqaid-E-Ahle SunnatHadees-E-NabwiImaanSihah Sitta HadithSunnat-E-Nabi

Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi Hai

Aye Logo Ye Baat Apne Zehen Me Daal Lo Ki Huzoor ﷺ Jaisa Dono Jahan Me Na Koi Tha Na Hoga. ALLAH Rabbul Aalameen Ke Bad Dono Aalam Me Sabse Bada Martaba Khatamun Nabiyyin Imamul Ambiya Rehmate Aalam ﷺ Ka Hai. ALLAH Ta’ala Ne Apne Habeeb ﷺ Ko Bemisal Khoobiyo, Mojezat Se Nawaza.

Jo Shakhs Unhe Ma’azAllah Astagfirullah Apne Jaisa “Bashar” Mane Wo shakhs Badd Mazhab Hai, Gustakhe Rasool Hai Aur Beshak Uske Liye Dardnak Azaab Hai Aur Yaad Rakho Jisne Pyare Aaqa ﷺ Ke Baal Mubarak Ki Bhi Tauhin Ki Us Par Jannat Haram Hai.

Sab Pahle To Is Bare Me Ahle Sunnat Ka Kya Aqeeda Hai Yah Janna Bahot Jaroori Hai.
Hum Ahle Sunnat Ke Najdik Huzoor ﷺ Bemisl Bashar Hai Yani Hamare Nabi ﷺ insaan Hai Lekin Sab Se Afsal Aur Hadeeso Se Sabit Hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ko Noor Se Banaya Hai Rab Ta’ala Ne. Aur ALLAH Ta’ala Apne Kalame Pak Me Apne Mehboob ﷺ Ke Bare Me Farmata Hai,

Aayat No: 1

وَمَا اَرْ سَلْنَاکَ اِلَّا رَحْمَۃٌ لِّلْعٰالَمِیْنَ

Aur Hamne Tumhe Na Bheja Magar Rehmat Sare Jahan Ke Liye

(Surah Ambiya, Aayat No 107, Tarzuma Kanzul Imaan)

Kisi Shayar Ne Kya Khoob Farmaya Hai

Wo Har Aalam Ki Rehmat Hai, Kisi Aalam Me Reh Jate,
Ye Unki Meherbani Hai Ke Ye Aalam Pasand Aaya.

Aayat No: 2

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,

يَا أَهْلَ الْكِتَابِ قَدْ جَاءَكُمْ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمْ كَثِيرًا مِّمَّا كُنتُمْ تُخْفُونَ مِنَ الْكِتَابِ وَيَعْفُو عَن كَثِيرٍ ۚ قَدْ جَاءَكُم مِّنَ اللَّهِ نُورٌ وَكِتَابٌ مُّبِينٌ – 5:15

Beshaq ! Tumhare Paas ALLAH Ki Taraf Se Ek Noor Aaya Aur Roshan Kitab !

(Surah Al Maida, Para: 6, Ayat:15, Tarzuma Kanzul Imaan)

Quran Bolta Hai Noori Bashar Hai Aaqa ﷺ
Apni Tarah To Unko Shaitan Bolta Hai

Aayat No: 3

يَا أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءَكُم بُرْهَانٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَأَنزَلْنَا إِلَيْكُمْ نُورًا مُّبِينًا – 4:174

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Farmata Hai, “Aye Logo ! Behsaq Tumhare Pas ALLAH Ki Tarafse Wajeh Daleel Aayi. Aur Humne Tumhari Taraf Roshan NOOR Utara.

(Al Quran Surah An Nissa, Para 6, Aayat 174, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Imam Abdur Razzaq Shagird Hai Imam Malik Ke Aur Imam Ibne Hambal Ke Ustad Hai Aur Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ke Dada Ustad Hai. To Ab Agar (Ma’zallah, Summa Ma’zallah) Wahabi Deobandi Ahle Khabees Ke Nazdik Imam Abdur Razzak Kafir Hai Ya Jhooti Hadeese Bayan Karnewale Hai To Phir Inka Imam Bukhari, Imam Muslim Aur Imam Hambal Ko Manneka To Sawal Hi Nahi. Dar Asl Ye Sab In Bad Aqeeda Jama’ato Ki Chal Hai Aur Inhe Shane Mustafa ﷺ Bardasht Nahi Hoti.

Hadees No: 1

Hazrate Jaabir Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ke Aapne Rehmate Aalam Shafi-E-Mehshar ﷺ Se Sawal Kiya Ke,
Ya RasoolALLAH ﷺ Mere Maa Baap Aap Par Qurban !
ALLAH Rabbul Aalameen Ne Sabse Pehle Kis Chiz Ko Paida Kiya?
Nabi-E-Kareem ﷺ Irshad Farmaya,
Aye Jaabir ! Wo Tere Nabi ﷺ Ka Noor Hai Jise Sabse Pehle ALLAH Ta’ala Ne Paida Farmaya. Mere Noor Ke Saye Me, Mere Noor Ke Bad Rab Ne Har Shay Ko Wazood Ata Farmaya. Mere Noor Ne ALLAH Ta’ala Ke Samne Maqam-E-Qurb Me Qayam Kiya. Rabbe Qaynat Ne Is Noor Ko 4 Hisso Me Taqsim Kiya. Ek Hisse Se Arsh, Ek Hisse Se Qursi, Ek Hisse Se Arsh-O-Qursi Ko Uthane Aur Hifazat Karnewale Farishto Ko Paida Kiya. Jabke Awwal Hissa Aap ﷺ Ki Zate Aqdas Hai. Isi Noor Se Dobara Qayam-E-Muhbbat Karaya Gaya Phir Is Noor Ki 4 Qismein Banayi Gayi Jisse, Loh-E-Mehfooz, Kalam Aur Jannat Ko Paida Farmaya. Ab Dobara Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Maqam-E-Khauf Me Qayam Karaya Gaya Aur Isike Hisso Me Chand Sooraj (Shams-O-Qamar) Aur Farishto Ko Paida Farmaya. Ab Chauthi Martaba Qayam-E-Raza Me Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Qayam Karaya Gaya. Iske Ek Hiise Se Rab Ta’ala Ne Aqal Ko Dusre Se iLM-O-Hikmat Aur Tisre Se Qismat Aur Taufiq Ko Paida Kiya. Fir Dobara Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Maqam-E-Haya Me Qayam Karaya Gaya Yaha Rab Ta’ala Ne Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Nazre Rehmat Se Dekha To Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Pasina Aaya. Jiske Qatre 1,24,000 The. Jiske Har Qatre Se Ek Nabi Yani Rasool Ki Rooho Ko Paida Farmaya. Jab In Rooho Ne Sans Li To Inke Sans Se Waliyo, Shahido, Siddiqeen Aur Ta-Qayamat Ki Roohon Ko Paida Kiya. Har Martaba Qayam Ka Daur 12,000 Sal Hai. Fir Rab Ta’ala Ne 12,000 Hijab Paida Kiye Aur Har Hijab Me Mera Noor 1000 Sal Rakha. Aur Iske Bad ALLAH Ta’ala Ne Noor-E-Muhammad ﷺ Ko Hazrate Aadam Alaihisaalam Me Pak Pushto Se Pak Rehmo Ki Taraf Yan Yak Ke Hazrate Abdullah Radiallaho Anhu Tak Muntaqil Hota Raha Wahan Se Ye Noor-E-Muhammad ﷺ Sayedda Bibi Aameena Radiallaho Anha Ki God Me Is Duniya Me Jalwa Afroz Hua.

(Musnade Abdur Razzaq Jild 1 Safa 63)
Imam Qastalani Al Mohebul Ladduniya Jild 1 Safa 71
Musnade Abdur Razzaq Jild Bab Noore Nabi ﷺ Ki Takhliq Ka Bayan Ispar Kul 18 Hadees Hai.
(Imam Ibne Jarir Tabri Ne Tafsire Ibne Jarir)
(Imam Baihaqqi Dalailun Nabuwwat)
(Gause Aazam Radiallaho Anhu Ne Firrul Asrar Safa 6)
(Shah Abdul Haq Muhaddis Dehalvi Madarijun Nabuwwat Jild 1 Safa 76)
Aur Bhi Imam Hai Jinohne Is Hadeese Ko Bayan Kiya Hai.

Sanad:

Imam Abur Razzaq –> Imam Maymar Bin Rashid –> Imam Muhammad Bin Munkanbir –> Hazrate Jaabir Bin Abullah Radiallaho Anhu Ne Nabi-E-Rehmat ﷺ Se Riwayat Kiya Hai.

Ki Muhammad ﷺ Se Wafa To Hum Tere Hai
Ye Jahan Chiz Hai Kya Lauh-O-Kalam Tere Hai
(Dr. Allama Iqbal)

Ab Gaur Karne Jaisi Bat To Ye Hai Ke Agar Ab Bhi Koi Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Noor Hone Par Ikhtelaf Rakhta Hai Aur Ma’azallah Nabi-E-Kareem Ke Noor Hone Ko Shirk Kehta Ho To Kya Wo Jo Upar Hawale Diye Gaye Sahaba Tabai Tanbe Tabai Aur Digar Imam Ne Shirk Kiya Ma’zallah Summa Ma’zallah Jo Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Daur-E-Mubarak Ke Itne Karib Hai. Aur Ye Aaj Ke Farzi Dhongi Bad Aqeeda Log Khudko Tauheed Ke Thekedar Samajhte Hai. Aap Khud Faisla Karle Ki Haq Kya Hai. Alhumdulillah Humne To Ba Hawala Sabit Kiya Ki Sarkare Do Aalam ﷺ Haqiqatan Noor Hai Aur Jaahiri Me Bashar Hai Yani Noorul Bashar Hai. Ab Jinko Ikhtelaf Hai Wo Sabit Kare Daleel Se Ki Nabi-E-Kareem ﷺ Noor Nahi Hai. Yad Rakhe ! Noor Na Hone Ki Daleel Mangoge Inse To Bashar Hone Ki Daleele Denge. Jabke Humne Pehle Hi Saf Wajeh Kar Diya Hai Ke Bashriyat Me Ikhtelaf Nahi Hai. Noor Hone Par Ikhtelaf Hai. In sha ALLAH Qayamat Tak Ye Jaahil Gustakh Bad Bakht Bad Aqeeda Log Ek Daleel Nahi La Sakte Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Noor Na Hone Par. Aur To Aur In Qazzabo Ne Hadeese Gayab Bhi Kardi Hai Kitabo Se. In Sab Bato Se Inki Gustakhiya Aur Bad Aqeedgi Kharjiyat Sabit Hoti Hai. In Sha ALLAH Inpar Sakht Azab Hai. ALLAH Ta’ala Hum Sabke Imaan Ki Hifazat Farmaye Aur Imaan Par Khatma Nasib Kare.
Aameen. (Awwal Aakhir Durood)

Teri Nasle Pak Me Hai Bachcha Bachcha Noor Ka
Tu Hai Ain-E-Noor Tera Sab Gharana Noor Ka
(Aalahazrat Azimul Barkat Rehmatullah Alaihi)

Noorul Bashar Unwan Par Tafseel Me Bayan Ke Liye Yaha Click Kare

Upar Peshkarda Aayate Kareema Aur Hadeese Pak Se Wajeh Ho Gaya Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Haqiqat Noor Hai. Ab Isme Logon Ka Ikhtelaf Hai. Ahle Sunnat Rehmate Aalam ﷺ Ko Noorul Bashar Mante Hai Yani Bashar Aur Noor Dono Mante Hai. Jabke Bad Aqeeda Log Awam Me Ahle Sunnat Ke Namse Jhoot Gadhte Hai Ke Hum Aaqa ﷺ Ko Bashar Nahi Mante. Ham Nabi-E-Rehmat ﷺ Ko Bemisl Bashar Mante Hai.

Aayat No: 4

فَاَرْسَلْنَاۤ اِلَیْهَا رُوْحَنَا فَتَمَثَّلَ لَهَا بَشَرًا سَوِیًّا(۱۷)

To Uski Taraf Hamne Apna Roohani (Jibril Alaihissalam) Bheja. Wah Uske Samne Ek Tandrust Aadmi Ke Roop Me Jaahir Hua


(Surah Mariyam Para 16 Aayat 17 Tarzuma Kanzul Imaan)

Hadees No: 2

Hazrate Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ke Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Ne Irshad Farmaya,
ALLAH Ta’ala Ne Maut Ke Farishte Ko Hazrate Musa Alaihissalam Ke Bargah Me Insani Jism-Shaklo Surat Me Bheja.

(Sahih Bukhari, Vol. 1, Hadees No: 1339)

Yaha Mulahiza Farmaye Ke ALLAH Ta’ala Ne Hazrate Jibril Alaihissalam Ko Hazrate Bibi Maryam Alahissalm Ki Bargah Me Insani Shakl Me Bheja. Aur Isi Tarah Maut Ke Farishte Ko Hazrate Musa Alaihissalam Ke Bargah Me Bheja. Isse Saf Jahir Hota Hai Ke Noor Aur Bashar Ek Hi Makhlooq Me Paye Ja Sakte Hai. Yaha To Farishto Ka Ye Aalam Hai To Beshaq ! Nabi-E-Kareem ﷺ To Imamul Ambiya Hai. Ab Jo Har Chiz Ko Apni Aqlo Salim Se Tolte Ha Unke Liye Unke Tariqe Se Samajhte Hai. ALLAH Ta’ala Ne Nabi-E-Rehmat ﷺ Ko Bashriyat Me Hi Isliye Paida Farmaya Ki Log Aapko (Ma’zallah) Khuda Na Samzle. Jaisa Ke Hazrate Isa Alaihissalam Ko Isaiyo Ne (Ma’zallah) Khuda Ka Beta Man Liya. Aur Log Nabuwwat Ko Manne Se Atiraz O Inkar Na Kare Isliye Bashriyat Me Paida Farmaya. Aap ﷺ Jaahiri Me Bemisl Bashar Hai Aur Baatin Me Noor Hai.

Aage ALLAH Ajwazal Kalame Mazeed Me Farmata Hai,

Aayat No: 5

يُرِيدُونَ أَن يُطْفِئُوا نُورَ اللَّهِ بِأَفْوَاهِهِمْ وَيَأْبَى اللَّهُ إِلَّا أَن يُتِمَّ نُورَهُ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ – 9:32

Chahte Hai Ki ALLAH Ka NOOR Apne Muh Se Bujha De Aur ALLAH Na Manega Magar Apne NOOR Ka Pura Karna.
Pade (Chahe) Bura Mane Kafir


(Al Quran Surah Tauba, Para 10, Aayat 32, Tarzuma Kanzul Imaan)

Hadees No: 3

Sayyiduna Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Anhu Farmate Hai Ke Rehmate Aalam ﷺ Jab Guftagoo Farmate To Hum Aapke Dandane Mubarak (Teeth) Ke Bichki Jagah Se Noor Ko Dekha Karte.

(Jami Us Sagir, Safa 403, Hadees No: 6482)
(Isi Tarah Ek Hadees Hazrate Abu Huraira Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Musnade Abdur Razzaq Me Vol. 10, Safa 242, Hadees No: 20657)

Hadees No: 4

Ummul Momineen Sayyeda Hazrate Bibi Aayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai,
Jab Rat Ke Andhere Me Ek Martaba Sui (Needle) Gir Gayi To Aap Use Talashne Lagi. Us Waqt Noor-E-Mujassam ﷺ Ke Chehra-E-Anwar Ke Noor Se Roshni Hui Aur Aapne Sui Ko Dhoond Liya.

(Al Qaulul Badi, Safa 302)

Ab Kuchh Bad Aqeeda Logon Ko Ye Hadeese Pak Par Aitraz Hoga. Kyunki Aksar In Baagiyo Se Aisi Chize Bardasht Nahi Hoti Jaha Sarkare Do Aalam Ne Apni Azmat Ko Zahir Kiya Ho. Itni Daleelo Bad Ab Aitraz To Aur Kuchh Karne Se Raha To Makkar Qazzab Kahenge Ke Sihah Sitta Se Daleel Do. To Aaiye Ham Agli Hadeese Pak Par Roshni Dalte Hai Jo Sihah Sitta Se Hai. Tajjub Ki Bat Hai Jo Imam Abdur Razzaq Ustado Ke Ustad Hai Inhiki Bayan Karda Hadees Ke Ye Munkir Hai.

ALLAH Jab Deen Leta Hai
To Aqal Bhi Cheen Leta Hai

Hadees No: 5

Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap Ke Liye Nubuwwat Kab Waajib Hui?
Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
(Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi.
(Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Taa’lluq Bhi Abhi Qaayam Naa Huaa Tha).”

(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Fazail E Nabi SallAllahu Alaihwasalam, Page : 821, Hadees : 3609)
(Imam Bukhari Tarikhul Kabir Jild 1 Safa 374)
(Musnade Imam Ibne Hambal Jild No 5 Safa 59)
(Imam Tabrani Ne Majamul Kabeer Jild 20 Safa 353)
(Imam Hakim Al Mustadraq Volume : 02, Page : 665 / 66, Hadees  : 4210)
(Imam Baihaqqi Dalail Nabuwwat)
(Imam Jauji Al Wafa)
(Imam Jalaluddin Suyuti Al Khasaisul Kubra)
(Imam Qastlani Al Mahebul Ladduniya)
(Ibne Kaseer Al Bidaya Wan Nihaya)

SubhanALLAH.. Kya Shaan Hai Mere Aaqa ﷺ Ki. Aap Us Waqt Bhi Nabi The Jabke Hazrate Aadam Alaihissalam Ki Rooh Bhi Unke Jism-E-Aqdas Me Na Thehri Thi. Aap Hi Awwal Hai Aap Hi Aakhir Hai. Beshaq ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aap Jaisa Kise Banaya Hi Nahi Apni Har Khoobi Me Tanha Aap Hai. Ab Is Hadeese Pak Se To Bad Aqeeda Logon Ko Sabak Hasil Karna Chahiye Ke Chahe Wo Jitni Napak Koshishe Karle Magar Hargiz Shane Mustafa ﷺ Ko Kabhi Zarra Bara Bar Ghata Na Sakenge. Aur Itne Daleelo Ke Bad Bhi Agar Kisika Dil In Hadeese Pak Par Yaqin Karne Razi Na Ho To Samajhle Ki Dilon Par ALLAH Ki Karafse Kufr Ki Muhar Lag Chuki Hai.

Aalahazrat Azimul Barkat Muzaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Kya Khoob Farmate Hai,

Wo Jo Na The To Kuchh Na Tha
Wo Jo Na Ho To Kuchh Na Ho,
Jaan Hai Wo Jahan Ki,
Ke Jaan Hai To Jahan Hai.

Hadees No: 6

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah Radiaallhu Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne “Bagair Kuch Khaye Piye Rozey Se Roza Mila Kar Rakhne Se Mana Farmaya”

Toh Sahaba Radiallahu Anhu Ne Arz Kiya Ki
“Ya RasoolAllah ﷺ ! Aap Toh Isi Tarah Rozey Rakhte Hain”
To RasoolAllah ﷺ Ne Irshaad  Farmaya:
“Mein Tumhare Jaisa Nahi Hoon, Mein Toh Is Haal Me Raat Guzaarta Hoon Ki Mera Rabb Mujhe Khilaata Aur Pilata Hai”

Ek Aur Riwayat Me Hai Ke Aaqa-E-Do Jahaan ﷺ Ne Farmaya,
‘”Wisaal Se Bacho..!!’” (Wisaal Yeh Hai Ke Iftaar Ke Waqt Kuch Khaye Piye Bagair Musalsal Roze Rakhna)
Sahaba Radiallahu Anhu Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! 
“Aap Bhi Toh Wisaal Karte Hain.” Toh RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
“Mujhe Toh Mera Rabb Khila Aur Pilaa Deta Hai, Utna Nek Amal Karo Jitni Tumhein Taqat Hai”

(Sahih Bukhari : Hadees 7299 Book ref. : 96, Hadees 30 Eng ref. :  Vol. 9, Book 92, Hadees 402)
(Sahih Bukhari : Hadees 1966 Book ref. : 30, Hadees 73 Eng ref. : Vol. 3, Book 31, Hadees 187)
(Jamia Tirmizi : Hadees 778 Book ref. : 8, Hadees 97 Eng ref. : Vol. 2, Book 3, Hadees 778)

Is Hadeese Pak Par Gaur Kare Ke Aap ﷺ Ne Bina Kuch Khaye Roze Rakhne Se Mana Farmaya. Aur Aap ﷺ Aksar Bina Khana Tanawul Farmaye Roze Rakha Karte Hai. To Jab Sahaba-E-Kiram Radiallahu Anhu Ne Aap ﷺ Se Pucha Ke
“Ya Rasoolullah ﷺ Aap Bhi To Aise Roze Rakhte Hai. Huzoor-E-Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya,
“ALLAH Rabbul Aalameen Aapko Khilata Bhi Hai Aur Pilata Bhai Hai.” Beshaq ! Aap ﷺ Jaisa Koi Nahi Hai. Ab Aage Mulahza Farmaye Ki Kis Qadar Nabi-E-Kareem Rehmate Aalam ﷺ Ne Ummat Ko Apni Fazilate Se Tarruf Farmayi Hai.

Hadees No: 7

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya: 
“Mere Naam Par Apne Naam Rakho Magar Meri Kunnyat (Abu’l Qasim) Ikhtiyar Na Karo.
(Kyunki) ALLAH Ta’ala Deta Hai Aur Mein Taqseem Karta Hoon.”

(Sahih Muslim : Hadees 2133 Book ref. : 38, Hadees 6 Eng ref : Book 25, Hadees 5319)
(Sahih Muslim : 2133  Book ref. : 38, Hadees 4 Eng  ref : Book 25, Hadees 5317)
(Al-Adab Al-Mufrad : Hadees 844 Book ref. : 35, Hadith 3 Eng ref. : Book 35, Hadees 844)

Is Hadeese Pak Wajeh Taur Par Aaqa ﷺ Ne Apni Ummat Ko Aagah KIya Hai Ke Meri Kunniyat Ikhteyar Na Karo. Me Tumhari Tarah Nahi Hu. ALLAH Ta’ala Ata Farmata Hai Aur Aap ﷺ Taqseem Farmate Hai. Beshaq !

La Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila Batti Hai Qaunain Me Nemat Rasoolullah Ki

Hadees No: 8

Sarkare Do Jahan, Rehmatallil Aalameen ﷺ Ne Ummul Momineen Ayesha Siddiqa RadiAllaho Anha Se Farmaya,
“AYE AYESHA ! MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.”

(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakibe Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai Par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569)
(Sahi Muslim, Kitab No 06, Kitabul Salat e Musafireen Wa Kasarihi, Hadees : 738)
(Sunan Nasai, Vol : 03 , Book No : 20 Kiyam Al Lail, Hadees : 1697)
(Sunan Abu Dawood, Vol 01, Book No 05 Kitabus Salat, Hadees : 1341) (Jamai Tirmiz, Vol :01 Book No 02, kitabus Salat, Hadees : 439)
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Kitab Salatul Lail, Hadees : 263)

Hadees No: 9

Hazrat Zubair Bin Mutim RadiAllaho Anho Se Marvi Hai Rasoolullah ﷺ Ne Apna Kayi Asma-E-Girami Bayan Farmaya,
Mai MUHAMMAD Hoon,
Mai AHMAD Hoon,
Mai Mahi Hoon
Jiske Jariye Se ALLAH Ne Kufr Ko Mitaya,
Aur Hasir Hoon Jiske Pass Sab Jama Kiye Jaynge
Aur Al Aqib Hoon Jiske Baad Koi Nabi Nahi Hoga.

(Sahi Bukhari Vol :04, Pg : 453, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Asma Ur Rasool Allah, Hadees : 3532)
(Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 348, Kitabut Tafseer, Hadees: 4896)
(Sahi Muslim Vol : 06,Pg :197-98 Kitabul Fazail, Baab : Fi Asma An Nabi, Hadees : 6105 & 6106 “Online Number : 2354”)
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg :187, Kitabul Adab, Hadees : 2840, Arabic  No : 3075) Imam Tirmizi Farmate hai Ye Hadees Hasan Hai.
(Imam Malik Al Muwatta Vol : Pg : Kitab No 61 Asma An Nabi , Hadees : 1861)
(Imam Hakim Tirmizi, Shamail E Muhammadiya, Vol : 01, Pg : 250, Hadees : 366)

Is Hadeese Pak Me “Hasir Hoon Jiske Pass Sab Jama Kiye Jayenge” Ka Zikr Hai. Behsaq ! ALLAH Ta’ala Roze Mehshar Me Aap ﷺ Ko “Maqaam-E-Mehmood Aur Liwaul Hamd” Ata Farmayega Jahan Ummat-E-Muhammadi Jama Honge. In Tamam Hadeese Pak Se Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke Behsaq ! Aap ﷺ Jaisa Koi Nahi Hai. Aqal Ke Paidal Devbandio Ka Ye Aqeeda Hai Ke Huzoor Ek Aam Bashar The. Inke Khabees Pakhandi Mullao Ne Apni Naapak Kitabo Me Likha Ke Huzoor Hamare Bade Bhai Jaise Hai.
Maz’ALLAH Astagfirullah.

Hadees No: 10

Hazrate Jibril Alaihissalam Se Ek Martava Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Unki Umar Ke Talluqse Daryaft Farmaya
Aye Jibril ! Tumhari Umar Kitni Hai?

Hazrate Jibril Alaihissalam Ne Farmaya:

Ya RasoolALLAH ﷺ ! Muze Meri Umar Ka Andaza To Nahi Par Ek Sitara Hai Jo 70,000 Sal Me 1 Martaba Tuloo Hota Hai Wo Maine 72,000 Martaba Dekha Hai.

Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Jibril Alaihissalam Se Puchha Kya Agar Us Sitare Ko Dekhoge To Pehchan Loge.

Hazrate Jibril Alaihissalam Farmaye Han. Zaroor.

Ab Nabiye Pak ﷺ Ne Apne Imama Sharif Ko Hataya To Peshani Mubarak Me Hazrate Jibril Alaihissalam Ne Wo Sitara Ke Noor Ko Dekha. Aur Farmaya,
Aye Jibril ! Wo Jante Ho Wo Sitara Kaun Tha?
Wo Sitara Me Tha. Me Apne Rab Ta’ala Ko Sajda Karta To Ek Sajda 70,000 Sal Ke Barabar Hota.

(Imam Ali Bin Burhanuddin Halvi Radiallaho Anho Siratul Halviya Jilld 1 Safa 30)
(Imam Ismail Haqqi Ne Tafsire Roohul Bayan Ne Quran Ki Aayat “Laqad Ja Aqum” Ki Tafseer Me Is Hadees Ko Likha)

Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Zahoor Ke Aitbar Se 3 Marahale Hai. Pehle Me Aapke Noor Ko Khalq Kiya Gaya. Doosre Marhale Me Ambiyae Kiram Ki Pushto Me Muntakil Hona Aur Tisre Marhale Me Aap ﷺ Is Duniya-E-Faani Me Libase Bashariyat Me Tashrif Lana. Upar Bayan Karda Hadees Se Roshan Hota Hai Ke Haqiqatan Aap ﷺ Hi Awwal Hain. Jise ALLAH Ta’ala Ne Sabse Pehle Paida Farmaya. Aur Jaahirin Me Aap ﷺ Aakhhir Hai Isliye Ke Aap Sabse Aakhri Nabi Hai Aur Aap ﷺ Khatamun Nabiyyin Hai. Aap ﷺ Ke Bad Nabuwwat Ka Silsila Khatm Ho Gaya.

Hadees No: 11

Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anho Farmate Hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Umme Sulaim Radiallaho Anha Ke Ghar Tashreef Laate Aur Unke Bistar Par So Jaate Or Wo Waha Na Hoti. Ek Din Huzoor ﷺ Tashreef Laaye Aur Unke Bistar Per So Gaye.
Wo Aayi To Logo Ne Kaha Huzoor ﷺ Aapke Ghar Tashrif Laaye Hain Or Aap Ke Bistar Pe So Rahe Hai. Yeh Sun Kar Wo Aayi To Dekha Nabi-E-Pak ﷺ Ko Pasina-E-Mubarak Aa Raha Hai Or Pasina-E-Mubarak Chamde Ke Bistar Per Jama Ho Gaya Hai. Umme Sulaim Radiallaho Anha Ne Apni Shishi Nikali Aur Paseena-E-Mubarak Usme Daalne Lagi. Nabi-E-Rehmat ﷺ Bedar Hue Aur Farmaya,
“Aye Umme Sulaim Ye Kya Karti Ho?” Umme Sulaim Ne Arz Kiya Ya Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bachcho Ke Liye Aapke Arka-E-Mubarak Ke Ummidwar Hai Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya, “Tumne Sach Kaha.”
Sahaba Huzoor ﷺ Ke Arka-E-Mubarak Ko Badan Me Mal Liya Karte The Tamam Balao Se Mehfooz Raha Karte The.

(Sahi Muslim, Kitabul Fazail, Baab – Tibbe Araqun Nabi ﷺ Baab No.204, Hadees :1346)
(Sunan Nasai Vol. 08, Pg : 218, Hadees : 5371)
(Musnad-E-Abu Yaala Vol : 06, Pg : 409, Hadees : 3769)
(Sahi Ibn-E-Khuzaimah Vol : 01, Pg : 142, Hadees : 281)
(Sahi Ibn-E-Hibban Vol : 10, Pg : 387, Hadees : 4528)
(Fathul Baari Shara-E-Sahi Bukhari – Imam Ibn Hazar Asqalani Vol : 06, Pg :573)

Hadees-E-Paak Se Sahaba-E-Kiram Ka Aqeeda Pata Chalta Hai Ke Wo Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Tabarukat Ko Jama Karte Aur Unse Shifa Ki Ummid Bhi Rakhte The. Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Bhi Unke Is Amal Ko Pasand Farmaya. Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anho Ne Apni Wafat Ke Wakt Wasiyat Bhi Ki Thi Mere Kafan Me Wohi Khusbhu Lagayi Jaaye Jisme Nabi-E-Kareem ﷺ Ka Mubarak Paseena Mila Ho. Duniya Me Aaj Har Shaks Ka Paseensa Badbudar Hota Hai. Mere Sarkar ﷺ Ka Paseena Mubarak Qaynat Ki Behtarin Khushbu Hai Sath Hi Marizo Ko Shifa Deta Hai. Beshaq ! Aap ﷺ Jaisa Koi Nahi.

Quran Bolta Hai Noori Bashar Hai Aaqa

Apni Tarah To Unko Shaitan Bolta Hai

Hadees No: 12

Luab (Thook Mubaraka) Aur Dua-E-Mustafa Ki Barkat:

Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hai Nabi-E-Karim ﷺ Ka Luaabe Dahen Lagne Ke Baad Meri Aankhe Kabhi Naa Dukhi.

(Musnad-E-Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 151, Musnad-E-Ali ibn Abu Talib, Hadees: 571)

Hadees No: 13

Hazrat Abdur Rehman Ibn Abi Laila Se Rivayat Hai Ke Wo Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ke Hamraah The To Unhone Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Dekha
Wo Garmi Me Garm Kapde Aur Sardi Me Sard Kapde Pahente The. Unhone Iska Sabab Pucha To Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ke Jab Nabi-E-Karim ﷺ Ne APNA Luaab-E-Dahen Meri Aankho Me Lagaya To Saath Me Ye Bhi Dua Farmayi,
“AYE ALLAH ALI SE SARDI AUR GARMI KO DUR FARMADE.” Us Din Se Mujhe Na Garmi Lagti Aur Naa Hi Sardi.

(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 83, Kitabal Mukaddama, Hadees : 121, English No Hadees : 117)

Ab Yaha Gaur Karne Ki Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Ko Kis Qadr ALLAH Rabbul Aalameen Ne Kis Qadr Bemisal Khoobiyan Ata Farmayi. Aapke Lua’ab Me Shifa Ata Farmayi. Ab Wo Log Ma’zallah Jo Sarkare Do Aalam ﷺ Ko Apne Jaisa Aam Bashar Kehte Hai Wo Yahan Is Hadeese Pak Par Gaur Kare Aur Ab Bhi Waq Hai Tauba Karle..

Hadees No: 14

Hazrat Uqba Ibn Aamir Radiallahu Anhu Farmate Hai Ek Din Huzoor-E-Kareem ﷺ Tashreef Laye Aur Uhaad Ke Shaheedo Ki Qabr Pe Namaz Padhi Aur Apne Mimber Pe Tashreef Laye Aur Farmaya,
“Mai Tum Par Gawaah Hu Aur Kasam Khuda Ki Mai Is Waqt Bhi Yaha Se Apna Hauz-E-Kausar Dekh Raha Hu.” “ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ke Saare KHAZANE Ki KUNJIA Mujhe Ata Kar Diye.”
Ya Ye Farmaya Ke
“MUJHE KHAZANE De Diye Zameen Ke Aur ALLAH KI Kasam Mujhe Is Baat Ka Khauf Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karoge. Mujhe Sirf Is Baat Ka Khauf Hai Ke Tum Dunya Talbi Me Ladoge.”

(Sahi Bukhari Volume : 1, Pg : 189 Kitab No: 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428)
(Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590)
(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail,  Baab :  Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 English Book No 30 Hadees : 5688) (Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532) 

Is Hadeese Pak Se Shaane Mehboobe Khuda ﷺ Khoob Nazar Aa Rahi Hai Bas Nigaho Me Ishqe Rasool Ka Surma Laga Hona Chahiye. Huzoor ﷺ Ka Houze Kausar Ko Apne Mimbar-E-Mubarak Par Khade Hokar Dekhna. Aapka Ye Farmana Ki Aap ﷺ Ki Ummat Shirk Me Mubtala Na Hogi. Ye Tamam Bate Bayan Farmana Gaib Nahi To Aur Kya Hai? Ab

Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai

Ilm-E-Gaib E Nabi ﷺ Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Tafseel Me Padhne Yaha Click Kare.

Hadees No: 15

Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya,
“Aye Logo ! ALLAH Ne Zamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak Ke Maine Zamin Ke Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur ALLAH Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya. Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.”

(Sahi Muslim Vol : 02, Page : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno aur Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 2889, English Version Book No 24 Hadees : 25)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim, Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, English Version Book No : 37, Hadees : 13)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176,  English Version Book No 33 Hadees : 39)
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, English Version Book No 36 Hadees : 27)

Aayat No: 6

Aur Unhe Kya Bura Laga Yehi Na Ke ALLAH Aur Uske Rasool Ne Apne Fazl Se Unhe Gani Kar Diya


(Surah Tauba, Para 10, Ruku 10, Aayat 74, Tarzuma Kanzul Imaan)

Maalik-E-Qaunain Hai Jo Paas Kuch Rakhte Nahi Do Jahan Ki Nemate Hai Unke Khali Hath Me.

Zamino Zaman Tumhare Liye
Makino Makan Tumhare Liye
Ham Aaye Yaha Tumhare Liye
Uthe Bhi Waha Tumhare Liye
(Aalahazrat Azimul Barkat Mujaddide Deeno Millat)

ALLAH AJWAZAL Quran-E-Kareem Me Farmata Hai,

Aayat No: 7

Toh Aye MEHBOOB Tumhaare RAB Ki KASAM Woh MUSALMAAN NA HONGE Jab Tak Apne AAPAS Ke JHAGDE Me TUMHE HAAKIM Na BANAYE. Fir Jo Kuch TUM HUQM Farmado Apne DILON Me Usse RUKAWAT NA Paye Aur JEE Se MAAN Le.


(Surah Nisa, Para No 5, Ruku 9, Aayat No 65, Tarzuma Kanzul Imaan)

Aayat No: 8

Apne Mehboob Ko Quran Sikhaya. Insaniyat Ki Jaan Muhammad Ko Paida Kiya. Maa Kaa Na Wa Maa Yakoon Ka Unhe Bayan Sikhaya. Suraj Aur Chand Hisaab Se Hai. Sabje Aur Ped Sajda Karte Hai.


(Surah Rehman, Para 27, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Aayat No: 9

Aur ALLAH Ne Tum Par Kitaab Aur Hikmat Utari Aur Tumhe Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jante The. Aur ALLAH Ka Tum Par Bada Fazl Hai.


(Surah Nisa, Para 5 Aayat 113, Tarzuma: Kanzul Imaan)

Ye Aayate Kareema Me ALLAH Ta’ala Ye Ailan Farma Raha Hai Ke Apne Mehboob Ko Ilm Ata Kiya. Aage Aapki Shaano Shaukat Aur Tazim Ka Behtarin Namuna Bhi Jahir Farma Raha Hai Ke Suraj Aur Chand Bhi Aapka Huqm Mante Hai Aur Ped Paudhe Sajda Karte Hai ALLAH Rabbul Aalameen Ki Ata Se.

Khabar Bhi Hai Ke Khabar Sabki Unhe Hai Kabse, Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jante Hai.

Aayat No: 10

Aye IMAAN Waalon ALLAH Ajwazal Aur Uske RASOOL ﷺ Ke BULAANE Par HAAZIR Ho.


(Surah Anfaal Para 9, Ruku 3, Aayat 23.& 24, Tarzuma Kanzul Imaan)

TAFSEER:
BUKHARI Shareef Me SAEED Bin MAALA Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Woh Farmate Hai Ke Mai MASJID Me NAMAZ PADH Raha Tha, Mujhe Rasoollallah ﷺ Ne PUKAARA, Maine JAWAAB NA Diya. Fir Maine HAAZIRE KHIDMAT Hokar Arz Kiya Ya Rasoollallah ! ﷺ Mai NAMAAZ PADH Raha Tha. ALLAH Ajwazal Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ke
Kya ALLAH Ajwazal Ne YEH NAHI FARMAYA Hai Ke ALLAH Ajwazal Aur RASOOL ﷺ Ke BULAANE Par HAAZIR HO JAO.
“Aye IMAAN Waalon HUKM MAANO ALLAH Ajwazal Ka Aur HUKM MAANO RASOOL ﷺ Ka.”
(Surah An Nisa, Para 5, Ruku 8, Aayat 58, 59, Tarzuma Kanzul Imaan)

Yaha Hume ALLAH Rabbul Aalameen Apne Habeeb ﷺ Ki Tazeem Ki Talimat Ata Farma Raha Hai. Agli Aayate Karima Me Qibla Ko Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Pasand Ke Khatir Badal Diya Gaya Uska Bhi Zikr Hai.

Aayat No: 11

Ham Dekh Rahe Hai BAAR BAAR Tumhaara AASMAAN Ki TARAF MUH KARNA. Toh Zarur Ham Tumhe FAIR DENGE Us QIBLE Ki TARAF Jisme TUMHAARI KHUSHI Hai. ABHI Apna MUH FAIRDO MASJIDE HARAAM KI TARAF.


(Surah Baqrah, Para 2, Aayat 143, 144, Tarzuma Kanzul Imaan)

TAFSEER:
ALLAH Ajwazal Ke Rasool ﷺ Ko KAABE Ka QIBLA Banaya Jaana PASAND Tha Aur ALLAH Ajwazal Ke Rasool ﷺ Is UMMID Se AASMAAN Ki TARAF NAZAR Uthaate The. Is Par Yeh AAYAT NAAZIL Hui Aur ALLAH Ajwazal Ke Rasool ﷺ NAMAZ Hi Me KAABE Ki TARAF FIR GAYE Aur MUSALMAANO Ne Bhi ALLAH Ajwazal Ke RASOOL ﷺ Ke SAATH Usi TARAF RUKH Kar Liya.

KHUDA Ki RAZA Chahte Hai Do AALAM.
KHUDA Chahta Hai RAZA-E-MUHAMMED ﷺ
(Sayyedi Aalahazrat)

Bakhuda Khuda Ka Yahi Hai Dar
Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahaan Se Ho Yahin Aake Ho
Jo Yahan Mahi To Wahan Nahi.
(Sayyedi Aalahazrat)

Hadees No: 16

Ummul Momineen Bibi Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Farmati Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,

Aye Ayesha ! ALLAH Ne Mujhe Wo Iktheyar Diya Hai Ke Mai Chahu To Ye Pahad (Moutain) Sone (Gold) Ke Ban Jaaye Aur Sone( Gold) Ke Hoke Mere Saath Chale.

(Mishkat Shareef, Jild: 03, Kitabul Fitan Baab: Fi Akhlakihi Wa Shamalihi, Hadees: 5586)
(Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees: 3683)

Hadees No: 17

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya:

“Meri Misaal Aur Guzishta Ambiya-E-Kiram عليهم السلام Ki Misaal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bahut Khubsurat Makaan Banaya Aur Use Khub Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Ki Jagah Chhod Di. Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Iz’haar Karte Hue Kahne Lage: Int Kyun Nahin Rakkhi Gayi?

Nabi-E-Rehmat ﷺ Ne Farmaya,
“Mai Wahi Int Hoon Aur Mai Khaatimunnabiyyin Hun”
(Yaani Mere Baad Baab-E-Nubuwwat Hamesha Ke Liye Band Ho Gaya Hai)

(Sahih Bukhari – Vol:04, Page: 454, Kitab : 61 Kitabul Manakib, Baab: Khatimeen Nabiyeen, Hadees: 3535)
(Sahih Muslim – Vol: 06, Kitab: 43 Kitabul Manakib, Baab: Zikr-E-Kawni KhatiminNabiyeen, Hadees: 5959 to 5964 Online: 2286)
(Imam Ahmad Musnad Ahmad Ibn Hambal, Hadees : 11422)
(Sahih Ibn Hibban, Hadees: 6405)
(Imam Tabrani Musnad Al Shameen, Hadees: 130, 3231)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausat, Hadees : 3274)
(Imam Humaidi Al Musnad Humaidi, Vol: 01, Page: 600, Hadees: 1067)

Hadees No: 18

Hazrat Abdullah Bin Shaqik Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Se Kaha Agar Mai Nabi-E-Kareem ﷺ Ko Dekhta To Mai Aap Huzoor ﷺ Se Puchta. Hazrat Abu Jarr Radialllahu Anhu Farmate Hai
“Aye Shaqik ! Tum Kya Puchte?” Farmaya,
“Mai Puchta Aye ALLAH Ke Nabi ﷺ Kya Aapne ALLAH Ko Dekha Hai?” Hazrat Abu Jarr Radiallahu Anhu Farmate Hai,
“Aye Shakik ! Maine Pucha Tha” Aur Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya,
“MAINE NOOR KO DEKHA”

(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)

Ye Hadees-E-Pak Se Wajeh Hua Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne ALLAH Ta’ala Ka Deedar Kiya. Sare Aalam Me Sirf Aapki Zaat-E-Aqdas Aisi Azeem Hai Jisne Apne Rab Ta’ala Ke Deedar Ka Sharf Hasil Hua. Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Ka Meraj Par Jana Bhi Kamal Hai Aur Waha Se Wapis Aana Bhi Kamal Hai. Kyunki Sidratul Muntaha Se Aage To Jibril Alaihissalam Bhi Na Ja Sake. Jibril Alaihissalam Noorani Farishte Hai Fir Bhi ALLAH Ta’ala Ke Noor Ke Tajalliyon Ka Samna Karne Ki Taqat Unme Nahi Hai. Yaha Mere Sarkare Madina Imamul Ambiya ﷺ Ki Shan Dekhe Ki Aap ﷺ Ne Apne Rab Ka Deedar Apni Aankhon Se Apne Bashri Jism Ke Sath Kiya. Jaisa Ke Humne Pehle Quran Wa Hadees Se Jaan Ke Aap ﷺ Noor Hai. Aur Is Noor-E-Muhammad ﷺ Ne Qaynat Ke Paidaish Se Pehle Apne Rab Ta’ala Ke Huzoor Qayam Farmaya. Goya ALLAH Ta’ala Ne Apne Habeeb ﷺ Ko Meraj Ke Liye Pehle Se Apne Noor Ki Tajalliyon Ki Talim Dedi Thi. Meraj Me Nabi-E-Rehmat ﷺ Ke Noor Ne Apne Rab Ta’ala Ka Deedar Kiya.
Meraj Hamare Unwan Se Alag Mauzoo Hai. Lihaza Mulhtasar Me Bayan Kiya Gaya.

Tafseel Me Shabe Meraj Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Padhne Ke Liye Yaha Click Kare

Hadees No: 19

Hazrat Awf Bin Malik Al Ashja Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Mere Rab Ki Taraf Se Ek Aanewaala Farishta Mere Pass Aaya Aur Kaha Ki, “ALLAH Ne Aapko Do Cheezon Kay Darmiyan Ikhteyar Diya Hai Ki Yaa To Aapki Aadhi Ummat Ko Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye Yaa Phir Aapko Shafa’at De Di 
Jaaye To Maine Shafa’at Ko Ekhteyar Kiya Aur Ye Un Sabke Liye Hogi Is Haal Me Mar Jaaye Ki ALLAH Kay Saath Kisi Ko Sharik Nahi Karta Ho”

(Jamai Tirmizi Vol : 04, Pg : 429 & 430 Kitab Shafat-E-Qayamat Ar Rikaaq Wal Wara Rasool ALLAH ىلص ُالل ُهيلع ملسو, Baab No 13, Hadees : 2441) 
(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 409, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr-E-Shaafat, Hadees : 4317)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :01, Pg : 135, Hadees : 221)
(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol : 18, Pg : 68, Hadees : 126)
(Imam Tabarani Musnad-Ush-Shamiyyin, Volume : 01, Pg : 326, Hadees : 575)

Hadees No: 20

Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Mai Roze-E-Qayamat Tamam Aulad-E-Aadam Ka Sardar Rahunga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
ALLAH Ki Hamd Ka Jhanda Mere Dast-E-Karam Me Hoga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
Qayamat Ke Din Saare Ambiya Khwah Aadam Sab Mere Jhande (Liwaul Hamd) Kay Saaye Honge,  Sabse Pahle Jameen Mere Liye Kholi Jaygi Aur Mai Ispe Koi Fakr Nahi Karta”

(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 315, Kitab Al Manaqib, Hadees : 3615)

Upar Bayan Karda Ahadeese Pak Se Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Ikhtiyar Ka Bhi Zahoor Hota Hai Yanai Rab Ta’ala Ne Aapki Pasand Ka Khayal Rakha. Aur Rehmate Aalam ﷺ Ko Shafa’at Ke Tohfe Se Nawaza. Aur Aap ﷺ Ko Aulad-E-Aadam Ka Sardar Banaya.
Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Shafa’at Ko Ikhteyar Farmaya Aur Aapki Shafa’at Chunida Logon Ke Liye Hogi. ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Ke Humare Dilon Me Apni Aur Apne Habeeb ﷺ Ki Muhabbat Ata Farmaye Aur Usipe Hamara Khatma Naseeb Farmaye Aur Roz-E-Mehshar Hum Gunahgaron Ko Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Shafa’at Naseeb Farmaye Aur Aapke Mubarak Hathon Se Jaam-E-Kausar Pina Naseeb Farmaye.

Saba Wo Chale Ke Baag Phale
Wo Phool Khile Ke Din Ho Bhale
Liwa Ke Tale Sana Me Khule Raza Ki Zuban Tumhare Liye

Aakhri Bat:
Rehmate Aalam Noore Muzassam Mukhatare Qaunain Imamul Ambiya Shafi-E-Mehshar Sarkare Do Aalam ﷺ Ki Shaan Ko Bayan Karna Muz Jaise Nachiz Gunahgar Insan Ki Aukat Nahi Hai. Ek Adna Si Koshish Ki Hai ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Wo Ise Apne Bargah Me Qabool Farmaye Aur Meri Khataon Ko Darguzar Farmaye. Me Aap Sabko Gawah Banakar Tauba Karta Hu Ki Muzse Agar Koi Likhne Me Padhne Me Bayan Karne Me Galati Hui Ho To ALLAH Ta’ala Apne Habeebe Pak ﷺ Ke Sadqe Muze Muaf Farmaye. Apni Kimati Duaon Ke Chand Alfaz Is Nachiz Nazarahmed Khan Ke Nam Karna Na Bhoole. Apni Bat Ek Sher Par Khatm Kar Raha Hu. ALLAH Hum Sabke Imaan Ko Salamat Rakhe Aur Imaan Par Khatma Naseeb Farmaye.
Aameen. (Awwal Aakhir Durood)

Aaj Madad Mang Unse
Aaj Le Unki Panah
Fir Na Manenge Agar Qayamat Me Maan Gaya.

Shafa’at-E-Mustafa ﷺ Ka Bayan Quran Wa Hadees Ke Roshni Me Padhne Yaha Click Kare.

Huzoor ﷺ Ka Ki Azmat Aur Sahaba-E-Kiram Ka Ishqe Rasool Aur Aap ﷺ Ki Ita’at Tafseel Me Yahan Padhe

Nabi-E-Rehmat ﷺ Par Durood-O-Salaam Padhne Ki Fazilate 50 Hadees Ki Roshni Me Padhne Yahan Click Kare. 

Ahle Sunnat Wal Jama’at Ke Aqaid Quran Wa Hadees Se Mukammal Dalail Ke Sath Padhne Yahan Click Kare.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!