NikahRamzan

Ramadan Me Sohbat Humbistari Ke Aadab

ALLAH Rabbul Aalamin Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai

“Rozo Ki Raato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Taubah Qabool Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo Aur Talab Karo Jo ALLAH Ne Tumhare Nasib Me Likha Ho Aur Khaao Aur Piyo. Yaha Tak Ki Tumhare Liye Jaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pou Fat Kar. Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjido Me Etikaf Se Ho. Yah ALLAH Ki Hade Hai Unke Paas Na Jaao. ALLAH Yuhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhejgari Mile.”

(Sure Barkarh, Para  2, Aayat 187, Tarzuma: Kanzul Imaan)


Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ki Khidmat Me 1 Shakhsh Hajir Hua
Or Usne Arz Ki Ya RasoolAllah Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasllam Mai Halak Ho Gaya
To Huzoor Ne Farmaya
“Ki Tujhe Kis Shae(chiz) Ne Halak Kiya”?
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Roze Ki Halat Me Tha Ki Mai Apni Biwi Se Majama’at Kar Baitha Hun To Nabi-E-Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya Ki
“Gulam Aazad Kar”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai Gulam Aazad Nahi Kar Sakta”
Fir Huzoor Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Ki 2 Mahine Musalsal
Roze Rakh”
Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai
Yah Bhi Nahi Kar Sakta”
Huzoor Salallahu
Ta’ala Alaihi Wasllam Ne FIR Farmaya Ki
“60 Miskinon Ko Khana Khila De Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Arz Ki
“Ya RasoolAllah Mai To Khud Miskin Hun”
To Nabi E Kareem
Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya
“Baith Ja”
THODI Der Ke Baad 1 Tokra Khujooron Ka Aaya
To Aap Ne Farmaya Ki
“Sawal Karne Wala Kahan Hain?”
To Us Ne Arz Ki Ke
“Mai Hajir Hun”
Nabi E Kareem Salallahu Ta’ala Alaihi Wasllam Ne Farmaya Ki
“Yah Khujooron Ka Tokra Le Ja Or Madeena Munwwara Ke Gareebon Me Taqseem Kar De
To Tera Kaffara Ada Ho Jayega”
To Us Ne Fir Arz Kiya Ki
“Ya RasoolAllah Madeena Munwwara Me Mujhse Jyada Gareeb Or Miskin Or Kaun Ho Sakta Hain”
To Pyare Aaqa MUSKURAYEN Or Farmaya Ki
“Ja Apne Bchhon Ko Khilade Tera Kaffara Ada Ho Jayega”

(Bukhari Sharif Jild 1 Page 259
Mishkat Sharif Page 176)

Ehtlam ho jane ya Humbistari karne ke bad nahaya nahi
Aur isi halat me pura din guzar diya to wah namazo ke chod dene ke sabab sakht gunahgar hoga magar roza ho jayega.

(Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees)
RAMZAN SHARIF KE MAHINE ME ROZE KI HAALAT KE ILAAWA
BIWI SE HAMBISTARI KARNA JAAIZ HAI

(BAHAR-E-SHARIAT)
 
Aurat rozdar so rahi thi. Sote me usse sohbat ki gayi to is surat me uspar sirf kaza lazim he. Kaffara nahi.

(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)
Sukhee ungli aurat ne sharmgaah me rakhi to roza na gaya. Ha agar ungli sharmgah ki adrunee ratubat (taree) se aise bheeg gayi ki ab uski gandagee chut kar dusre chiz me lage.
Uske baad ungli baahar karke aise hi gandagi ke haalat me fir ander ki, ki gandagi chut kar sharmgah ke bheetree hisse me lagee to roza jata raha.
Yuhi agar ungli pani ya tel ya dudh ya ghee ya thuk me aise bheegee thi ki us ki tari chut kar farze dakheel me lage aur aurat ne apni sharmgah me kisi bina par dakhil ki to roza fasid ho jayega.

>Raddulmuhtar
Yuhi agar aurat ne apni sharmgaah me pani ya tel tapkaya to roza jata raha.

(Aalamgiri,Sunni Bahishti Zewar)
Sukhi dawa kapde me bandh kar sharmgah me rakhi ki wah kapde se chchan kar bhitri hisse me gire. Ya dawa aisi gili ho ki kapde me se tapak kar farze dakhil me lage. Ya hilne ke sabab kapda chadha jaye ki bilkul farze dakhil ke andar gayab ho jaye to in surto me roza jata rahega.

(Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar)

Roze ki halat me (Ramzan ya gair Ramdan) kisi jarurat ke tehat koi dawa sukhi ya gili,roti ya kapda chahe koi chiz aurat ne peshab ke raste me is tarah rakhi ki sharmgah ke andruni hisse (Furuze dakhil) ke andar bilkul gayab kar di to Roza jata raha. Aur agar dawa kisi kapde me bandh kar sharmgah me is tarah rakhi ki kapde ka sira furuze dakhil se bahar raha agarche sharmgah ke bahri parde (Furuze khariz) me gayab ho jaye to Roza na jayega.

(Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar)
Janabat (Napaki) ki halat me subah ki balki agarche sare din Napak raha, Roza nahi toota magar itni der tak jan buz kar Gusla na karna ki Namaz kaza ho jaye Gunah wa Haram he.
Hadees me farmaya
“Junoob (Napak) jis ghar me hota he usme rehmat ke farishte nahi aate.”

(Durre Mukhtar)
APNE HAATH SE AGAR KISI ROZADAAR NE MANI NIKAALI 
TO 
US KA ROZA TUT JAATA HAI. 

(BAHAR-E-SHARIAT JILD-1, HISSA-5,SAFA-119) 
Nind me Ehtelam Ho Gaya To Roza Na Tuta
Sare din Janabat (Be Gusla) Raha to bhi Roza na Tuta
Magar Namaze kaza hone ke sabab Gunah Hai.

(Qanoon-E-Shariat)
JANABAT(GUSUL FARZ HONE) Ki Haalat Me Subh Ki
Balki Agarche Saare Din Junub (Be Gusul)
Raha Roza Na Gaya.

(Durr-E-Mukhtaar Jild: 3, Safa: 372)
Mard ne Aurat Ka Bosa Liya Ya Chua Ya Mubasharat ki Ya Gale lagaya Aur injal hua to roza tut gaya
Agar Aurat ne mard ko chua aur mard ko injal Hua to Roza Na Tuta
Aurat ko kapde ke uparse chua aur kapda itna mota he Ki Badan ki garmi malum na hui to Roza Na Tuta agarche injal ho.

(Qanoon-E-Shariat)

Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka hai.

(Sunni Bahishti Zewar Safa 188, Jauhra)
Roze Ki Haalat Me Mard, Aurat Ne Sohbat Ki To Roza Toot Gaya. Ya Mard Ne Aurat Ka Bosa (Kiss) Liya, Gale Lagaya Aur INZAAL (Yani Mard Ki Mani Nikli) Hua To Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya. Jaanbuz Kar Aurat Se Sohbat Kiya Chahe Mani Nikle Na Nikle Roza Toot Gaya Aur Kaffara Bhi Laazim Ho Gaya

(Qanoon-E-Shariat, Jild 1, Safa 135-137)

Related Articles

30 Comments

  1. kia hum humbstri krny k bad sehri kr sakty hy or sehri krny k bad namaz se pehle naha liya jae tu koi gunah tu nahi na .matalab humbistri k bad uth k roza rakha or bad me naha liya.

  2. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Mudaser Bhai.
    Raatme Hambistari Ke Bad Wuzu Karke Soye. Subah Halate Janabat Yani Napaki Me Bhi Aap Sehri Karke Roza Rakhle. Fir Namaz Ke Liye Uthne Ke Baad Pehle Gusl-E-Janabat Kare. Khoob Pak Hole. Hadeese Pak Me Hai Ke Jis Ghar Junoob Yani Napaak Hota Hai Us Ghar Farishte Nahi Aate. Isliye Halate Janabat Me Jyada Waqt Na Guzare. Jitna Jaldi Ho Sake Ghusl Karle. Ummate Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Liye Ramzan Ki Rato Me Sohbat/Hambistari Karna Halaal Hua. Upar Di Gayi Post Gaur Se Padhle. Koi Masla Ho To Jaroor Puche.
    Dua Ki Guzarish.
    Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Hamare Web Ke Bare Me Bata Kar Sawabe Darrain Hasil Kare.
    JazakALLAHU Khair

  3. Ramzan Me Tak Rato Ko Chod Ke Yani Baqi Tamam Rato Me Sohbat Karna Jaiz Hai. Tak Rato Me Hame Ibadat Karke ALLAH TA'ALA Ko Razi Karne Ki Koshish Karni Chahiye. Apne Gunaho Ki Muafi Mangni Chahiye. In Tak Rato Me Ek Rat Aisi Hai Jo 1000 Mahino Se Afzal Hai Jo Shabe Qadr/Lailatul Qadr Hai.

  4. Ramadan ki kisi bi rat me suhbat karna mana nahi he phir chahe 15 ho ya koi or tak rat me Haan ye darust he ke akhri ashrey ki tak rato me zada se zada ibadat krni chahiye MAGARR suhbat krna bilkul bi mna nahi he or koi gunnah bi nahi he….

  5. Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Yaha Par Yahi Bayan Kiya Gaya Hai Ke Musalmano Ke Liye Ramzan Ki RATO Me Sohbat Karna Halal Hua. Par Adabo Ahtaram Ke Tahat Mustahab Hai Ke Tak Rato Me Jyada Se Jyada Ibadat Ki Jaye. ALLAH Rabbul Aalameen Ham Sabko Jyada Se Jyada Ibadat Ki Taufiq Ataa Farmaye.
    Aameen.
    Awwal Aakhir Durood.
    Dua Ki Guzarish.

  6. Roza ki halat me biwi ko Gale lagya ya fir chum yani kiss ki to roza tut jata he ya nahi?
    Or roza tut jata he to kaffara kya dena hota he?

  7. Apni Biwi Ke Sath Halate Roza Me Sone Me Koi Harz Nahi. Magar Khabardar! Baat Sirf Sone Tak Hi Reh Jaye Usse Aage Na Badhe.

    ALLAH Rabbul Aalameen Qur'an-E-Kareem Me Farmata Hai,

    Rozo Ki Rato Me Apni Aurato Ke Pas Jaana Tumhare Liye Halaal Hua. Wah Tumhari Libas Hai Aur Tum Unke Libas, ALLAH Ne Jaana Ki Tum Apni Jaano Ko Khayanat Me Dalte The To Usne Tumhari Tauba Qabool​ Ki Aur Tumhe Muaf Farmaya. To Ab Unse Sohbat Karo. Aur Talab Karo Jo Tumhare Nasib Me Likha Ho.
    (Al Qur'an-E-Kareem, Surah Al Bakrah, Verse/Aayat No: 187, Ruku 5, Translation Kanzul Imaan)

    Ham Musalmano Ko ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ramzan Ke Mahine Me Bhi Rato Ko Sohbat Ki Izazat Dedi. Ab Aaiye Aage ALLAH Rabbul Aalameen Kya Irshad Farmata Hai,

    Aur Khao Aur Piyo Yaha Tak Ki Tumhare Liye Zaahir Ho Jaye Safedi Ka Dora, Siyahi Ke Dore Se Pau Phat Kar. Phir Rat Aane Tak Roze Poore Karo. Aur Aurato Ko Hath Na Lagao Jab Tum Masjid Me Itikaf/Etikaf Se Ho. Ye ALLAH Ki Hade Hai Unke Pas Na Jao. ALLAH Yhi Bayan Karta Hai Logo Me Apni Aayate Ki Kahi Unhe Parhezgari Mile.
    (Al Qur'an-E-Kareem, Surah Al Bakrah, Verse/Aayat No: 187, Ruku 5, Translation Kanzul Imaan)

    ALLAH Rabbul Aalameen Ke Karodo Arabo Se Bhi Jyada Ham Gunahgaar Bando Par Ehsanat Hai. Hame Ek Sunahra Mauka ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ata Kiya Ki Ham Apni Magfirat Karale. Dar Afsos Kai Log Kis Gaflat Me Jee Rahe Hai. ALLAH Unhe Hidayat De. Ye Paigam Un Tamam Visitors Ke Liye Jo Comment Ya Email Karte Hai Is Malse Par. Yad Rahe YE ALLAH KI HADE HAI INKE PAS NA JAO. Kai Comment Pending Rakhe Hai Isi Wajahse. Un Sabko Yahi Jawab Hai Ke Bas Ibadate Khudawande Quddus Par Jyada Dhyan Duya Jaye Jo Hamare Haq Me Behtar Hai.
    ALLAH Sabko Hidayat De.
    Aameen
    Awwal Aakhir Durood.

  8. Bhai asaalamualikum bhai Maine sehri magar niyyat na ke to roza hoga ,mujhe shaam se he naaf ke niche dard ho raha ta to Maine niyyat na ke to roza ho ga yanahi

  9. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Niyat Se Murad Dilka Pukhta Irada Hai. Jaban Se Adaygi Mustahab Hai. Aapne Ratme Agar Ye Irada Kiya Tha Ki Me Insha ALLAH Kal Roza Rakhunga. Aapne Isi Wajah Se Uth Kar Sehri Ki Bas Niyat Karna Bhool Gaye. Jab Aap Nind Se Bedar Hue Tab Aap Niyat Karle To Roza Ho Jayega. ALLAH Rabbul Aalameen Bada Meherban Wa Rehemwala Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Se Dua Hai Hamare Rozo Ko Apni Bargah Me Qabool Farmaye.
    Aameen.

    Agar Nindse Uth Kar Aapne Kuch Kha Pi Liya To Roza Na Hoga.

  10. Der Se Reply Ke Liye Mazahrat Chahta Hu. Posting Ki Masroofiyat Ke Wajahse Reply Na De Saka.

    Rozah Todhne ka Kaffara ye hai k Ek Raqba (Loundi ya Gulaam) Aazaad kare aur ye na ho sake jaise iss Zamaane Mein Gulaam milte hi Nahin to lagaataar (pe dar pe) 60 Roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 Miskeeno ko Bhar-Bhar pet Dono waqt Khana Khilaaye aur Roze rakhne ki soorat Mein agar Beech Mein Ek Din ka Rozah Bhi choot gaya to Ab se 60 Roze Rakhe pehle ki Ginti Nahin, 59 rakh chuka tha aur 60’va na rakh saka , Bimaari wagairah kisi Uzr se to phir se 60 Roze Poore lagaatar rakhe. Pehle Roze Shumaar na honge Albatta Aurat ko agar Haiz ki Wajah se jitne Naaga(Gap) hue Ye Nahin Geene jaayenge yaani pehle ke Roze aur Haiz ke baadwale Roze Dono Milkar 60 ho jaane se Kaffara Adaa ho Jaayega.

  11. ASSALAM WALAIKUM HAJRAT….
    HAJRAT ROZE KI HALAT ME KYA BIWI SE GALE MILNA KISS LE SAKTE HAI.PAR HAMBISTARI NA KARE.
    AUR MANI NA NIKLE TO RAZA RAHE GA YA NAHI.

  12. Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Awwal Roze Ki Halat Me In Sab Kamo Se Bachna Behtar Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ne Hamare Liye Ramdan Ki Raato Me Sohbat Karna Halaal Kar Diya Hai. Roza Sabr Ka Maqam Hai. In Kamo Se Baaz Rehna Behtar Hai. Agar Haalate Roza Me Koi Hambistari Kare To Roza Toot Jayega Aur Kaffara Lazim Hai. Koi Shaks Sirf Bosa Liya To Roza Na Toota. Magar In Kaamo Se Baaz Rehna Behtar Hai.

  13. Assalamo Alaikun Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu.

    Awwal To Mushtjani Yani Mastrbsn Karna Islam Me Mana Kiya Gaya Hai. Hadees Sharif Me Isse Mana Kiaya Gaya Hai. Agar Fir Bhi Koi Shakhs Sehri Se Pehle Aur Iftar Ke Baad Apne Hatho Se Mani Nikal Deta Hai To Isse Uske Roze Par Koi Asar Nahi Hota. Bas Wo Junoob Yani Napak Ho Jata Hai. Aur Uspe Ghusl Farz Ho Jata Hai. Jald Se Jald Ghusl Karle Kyunki Namaz Qaza Hone Ke Sabab Gunah Me Mubtala Honge.

    Agar Kisine Roze Ke Iftar Ke Badse Sehri Se Pehle Tak Hambistari Ya Mushtjani Kiya Jisse Wo Napak Hua To Fir Bhi Wo Wuzu Karke Sehri Karle Isme Koi Harz Nahi. Jald Se Jald Ghusl Karle Ki Jisse Namaze Qaza Na Ho.

    * Agar Koi Shakhs Halate Roza Me Agar Mushtjani Ya Humbistari Kare To Roza Toot Gaya Aur Uspe Kaffara Bhi Lazim Hua.

  14. اگر سحری کے بعد میاءبیوی ایک دوسرے کے ساتھ چیپک کر سو سکتے ہے
    رہنمایی فرما دیجے

  15. اسلام علیکم
    رمضان مبارک
    جیسے کے اپنے سوال کیے ہیں۔
    شہری کے بعد سے افطار تک کوشش کرے کی اپنی بیوی سے دوری اختیار کی جائے۔
    ساتھ چپک کر سونے میں کوئی حرج تو نہیں ہے پر شہوت کا غلبہ ہو سکتا ہے۔
    ایسا نہ ہو کی آپ دونوں کا روزہ ٹور جائے۔
    اسے گناہ اور کفارہ بھی لازم ہوگا۔
    لہٰذا افطار کے بعد شہری تک ہمیں ان سب باتوں کی اجازت ہے۔
    آپ کہے تو صحبت بھی کر سکتے ہیں۔ اسمِ کوئی حرج نہیں۔ اس عنوان پر بھی ہمارے ویبسائٹ پر پوسٹ موجود ہے۔
    مزے یقین ہے آپکو تمام جوابات حاصل ہو گئے ہے۔
    پھر بھی کچھ رہ گیا ہو تو Contact form کے ذریعے اپنے سوال ہمیں لکھئے۔
    دعا کی گذارش۔

  16. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

    Ramzan Mubarak.

    Upar Aapke Sawal Ka Jawab Mauzood Hai. Fir Bhi Aasani Ke Liye Samjha Deta Hun Gaur Farmaye.

    "Koi Shakhs Jaan Buz Kar Apni Jauza Se Sohbat Kare Chahe Fir Inzal Ho Ya Na Ho. Yani Uski Mani Nikle Ya Na Nikle Roza Toot Jayega Aur Kaffara Lazim Hoga."

    Lihaza Isse Hame Bachna Chahiye. Iftar Ke Bad Se Sehri Tak Humbistari Ki Ijazat Hain. Dinme In Sab Chizon Se Door Rahen. Is Muqaddas Maah Me Jyada Se Jyada Ibadat Ki Koshish Kijiye. Aur Apni Duao Me Hume Bhi Yad Rakhiye.
    JazakALLAHU Khair.

  17. سحری کے وقت جب معلوم ہوا کہ احتلام ہو گیا ہے اور اب وہ کیا کرے۔
    یعنی ناپاک جگہ کو دھوکر اور سوٹ چینج کر کے نماز پڑھ سکتا ہے یہ پھر غصل فرض ہے

  18. السلام علیکم
    نیند میں احتلام ہی جانے پر غسل واجب ہو گیا۔ اگر رٹم احلالم ہوا ہے تو اس جلالت میں شہری کی اظہار ہے پر جلد سے جلد غسل کرے۔ کی جنابت کی ناپاکی کے وجہ سے نمازی کزا کرنا گناہ کا سبب ہے۔
    ایسے بچیں۔ غسل کیے بغیر نماز نہیں ہوگی۔

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!