Hadees-E-Nabwi

Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan Quran Wa Hadees Se

🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
• Suraj Maghrib Ki Taraf Se Tulu’ Hoga:

EK Waqt Aisa Aayega Jab Ki Suraj Mashriq Ke Bajaaye Maghrib Se Tulu’ Hoga, Yeh Is Baat Ki Nishaani Hogi Ki Tauba Ka Darwaza Bandh Ho Chuka Hai, Ab ALLAH Ta’ala Kisi Ki Bhi Tauba Qubool Nahi Farmayega, Ab Kisi Ka Islam Qubool Karna Bhi Qubool Nahi Hoga.
References:
(Sunan Ibne Majah : Hadees 4070)
(Bahare Shari’at : Hissa 1, 1/ 126)
(Islam Ki Buniyadi Aqeedey (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 34)

• Khushboodar Aur Thandi Hawa Ka Chalna:

Hazrate Sayyeduna Isa Roohullah عليه السلام Ki Wafat Ke Chalis (40) Saal Ke Baad Qiyamat Qaeem Hogi Aur Un Aakhiri Ayyam Me Is Duniya Ke Andar Thandi Aur Khushboodar Hawa Chalegi Aur Is Hawa Ke Zariye Se Saare Iman Walon Ki Roohein Un Ke Jismon Se Nikal Jayegi.
Un Chalis (40) Saalon Me Koi Aurat Bachcha Paida Nahi Kar Sakegi.

Is Se Maloom Huwa Ke Chalis (40) Saalon Se Kam Umr Wale Par Qiyamat  Qaeem Na Hogi Aur Yeh Muqammal Taur Par Kufr Ka Zamana Hoga, Har Taraf Kuffar Hi Kuffar Hongey Aur Koi ALLAH Ta’ala Ki Ibadat Karne Wala Nahi Bachega.
References:
(Sahih Muslim : Hadees 7373)
(Bahare Shari’at : 1, 1/127)
(Islam Ki Buniyadi Aqeedey (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 34)

• Sur Ka Phoonka Jaana:

Hazrate Isa Roohullah عليه السلام Ki Wafat Ke Chalis (40) Saal Baad Jab Qiyamat Aayegi ALLAH عزوجل Israfeil عليه السلام Ko Huqm Dega Ki Woh Sur Phoonkein, Yeh Qiyamat Ke Din Ki Ibtida Hogi.

Pehle Sur Ki Aawaz Halqi Hogi, Ahista Ahista Badhti Jayegi Aur Bahot Unchi Ho Jayegi, Log Apne Rozz Marrah Ke Kaamon Me Masroof Hongey, Zordaar Sur Ki Aawaz Soon Kar Sab Ke Sab Behosh Ho Kar Girr Padenge Aur Marr Jayenge, Yeh Bahra Kar Dene Wali Zordaar Aawaz Saare Jahan Ko Tabaaho Barbaad Kar Degi.

Har Maujood Cheez Maslan Zameen, Aasman, Chaand, Sitaare, Pahaad, Insan, Firishtey Balki Khud Israfeil عليه السلام Aur In Ka Sur Sab Fanaa Ho Jayenge. ALLAH Ta’ala Ke Siwa Koi Maujood Na Hoga. Us Din ALLAH Ta’ala Farmayega :

“Aaj Ke Din Baadshahat Kis Ki Hai ?”

Koi Jawab Dene Wala Nahi Hoga, Phir ALLAH Ta’ala Khud Yeh Irshaad Farmayega :

“Sirf ALLAH Ta’ala Ke Liye Jo Waheed Hai Aur Qah’har Hai.”

Sur Ke Pehli Martaba Phoonkein Jaane Aur Doosri Martaba Phoonkein Jaane Ke Darmiyan Chalis (40) Saal Ka Waqfa Hoga, Pehli Baar Jab Sur Phoonka Jayega Toh Har Cheez Tabaho Barbaad Ho Jayegi. ALLAH Ta’ala Ki Zaat Ke Siwa Kuch Nahi Bachega, Sur Ke Phoonkein Jaane Ka Tazkira ALLAH Ta’ala Quran-E-Majeed Me Farmata Hai :

فَإِذَا النُّجُومُ طُمِسَتْ

وَإِذَا السَّمَاءُ فُرِجَتْ

وَإِذَا الْجِبَالُ نُسِفَتْ

Tarjuma-E-Kanzul Imaan :

“Phir Jab Taare Mahaw Kar Diye Jaayein Aur Jab Aasman Me Rakhne Padein Aur Jab Pahaad Gubaar Kar Ke Udaa Diye Jaayein”

(Al Qur’an : Surat Al Mursalat , Ayat 8 – 10)

فَإِذَا نُفِخَ فِي الصُّورِ نَفْخَةٌ وَاحِدَةٌ

وَحُمِلَتِ الْأَرْضُ وَالْجِبَالُ فَدُكَّتَا دَكَّةً وَاحِدَةً

فَيَوْمَئِذٍ وَقَعَتِ الْوَاقِعَةُ

وَانشَقَّتِ السَّمَاءُ فَهِيَ يَوْمَئِذٍ وَاهِيَةٌ

Tarjuma-E-Kanzul Imaan :

“Phir Jab Sur Phoonk Diya Jaaye Ek Dum Aur Zameen Aur Pahaad Utha Ka Daf’atan Churaa Kar Diye Jaayein Woh Din hai Ki Ho Padegi, Woh Hone Wali Aur Aasman Fatt Jayega To Us Din Us Ka Patla Haal Hoga.”
(Al Qur’an : Surat Al Haqqah : Ayat 13 – 16)

فَإِذَا نُقِرَ فِي النَّاقُورِ

فَذَ‌ٰلِكَ يَوْمَئِذٍ يَوْمٌ عَسِيرٌ

عَلَى الْكَافِرِينَ غَيْرُ يَسِيرٍ

Tarjuma-E-Kanzul Imaan :

“Phir Jab Sur Phoonka Jayega Toh Woh Din Karra (Sakht) Din Hai Kafiron Par Aasan Nahi.”
(Al Qur’an : Surat Al Muddaththir : Ayat 8 – 10)

وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَصَعِقَ مَن فِي السَّمَاوَاتِ وَمَن فِي الْأَرْضِ إِلَّا مَن شَاءَ اللَّهُ ۖ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخْرَىٰ فَإِذَا هُمْ قِيَامٌ يَنظُرُونَ

Tarjuma-E-Kanzul Imaan :

“Aur Sur Phoonka Jayega Toh Behosh Ho Jayenge Jitne Aasmano Me Hain Aur Jitne Zameen Me Magar Jisey ALLAH Chaahey Jabhi Woh Dekhte Huwey Khadey Ho Jayenge.”
(Al Qur’an : Surat Az-Zumar : Ayat 68)
References:
(Sahih Bukhari : Hadees
6506, 353)
(Bahare Shari’at : Hissa 1, 1/128)
(Islam Ki Buniyadi Aqeedey (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 34-36)
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
         http://www.hamarenabi.in
         World’s Best Islamic Blog
       50,00,000+ Worldwide Visits
        The Voicee Of Ahle Sunnat
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹
Download Our Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹🔸🔹

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!