Aqaid-E-Ahle SunnatImaan

Ikhtiyarat-E-Mustafa ﷺ Quran Wa Hadees Se



Aayat No: 1
“Toh Aye MEHBOOB Tumhaare RAB Ki KASAM Woh MUSALMAAN NA HONGE Jab Tak Apne AAPAS Ke JHAGDE Me TUMHE HAAKIM Na BANAYE. Fir Jo Kuch TUM HUKM Farmado Apne DILON Me Usse RUKAWAT NA Paye Aur JEE Se MAAN Le.”
(Surah Nisa, Para No 5, Ruku 9, Aayat No 65, Tarzuma Kanzul Imaan)

Hadees No: 1
Hazrat RABI Radiallahu Anhu Kehte Hai Ke Mai ALLAH  Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki KHIDMAT Me AKSAR RAHA Karta Tha, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Liye Mai WAZU Ka PAANI La Deta, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch KAAM Kar Deta. Hazrat RABI Radiallahu Anhu Farmate Hai.
EK DIN Maine Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Liye WAZU Ka PAANI Laya.
To ALLAH Ta’ala Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mujhse Farmaya, “MAANG Kya MAANGTA Hai.”

Maine Arz Kiya, Aye ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Mai AAPSE AAPKI JANNAT Me RAFAAQAT Chahta Hu, PADHOS Chahta Hu.
Farmaya CHALO Woh Toh DIYA AUR KUCH MAANG.
Maine Arz Kiya Aye ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Mai Is Par RAAZI Ho GAYA Aur KUCH NAHI Chahiye.
(Muslim Shareef, Vol-1, Hadees No 997)
(Abu Dawood Shareef, Vol 1, Hadees No 1320)
(MUSNADE AHMED, Hadees No 16624)
(Ibne Hibban Shareef, Hadees No 2594)
(Shoaibul Imaan, Hadees No 4344)
(Tabrani Shareef, Hadees No 4540)
(Mirqaat Sharai Mishkaat, Vol 1, Safa 550)

Kya Shaan Hai Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki. Beshaq Jise Chahe Nazwaz Dete Hai. Is Hadeese Pak Se Ye Bhi Sabit Hua Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam.Se Mangna Hargiz Shirko Biddat Nahi Balqe Jaiz Hai.

“Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De
Nabi Mukhtare Kul Hai Jisko Jo Chahe Ataa Kar De”


“Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chachiye,
Denewala Hai Sachcha Hamara Nabi”


Aayat No: 2
“Aur Unhe Kya Bura Laga Yehi Na Ke ALLAH Aur Uske Rasool Ne Apne Fazl Se Unhe Gani Kar Diya”
(Surah Tauba, Para 10, Ruku 10, Aayat 74, Tarzuma Kanzul Imaan)


Hadees No: 2
Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Aye Logo ALLAH Ne Zamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak Ke Maine Zamin Ke Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur ALLAH  Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.
(Sahi Muslim Vol : 02, pg : 390,Kitab No 54, Kitabul Fitan, Baab : Fitno aur Qayamat Ki Nishaniyo ka bayan, Hadees: 2889, English Version Book No 24 Hadees : 25)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim,.Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, English Version Book No : 37, Hadees : 13)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176, English
Version Book No 33 Hadees : 39)
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, English Version Book No 36 Hadees : 27)
(Muslim Shareef, Vol 1, Safa 390, Hadees No 7129)


Hadees No: 3
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Farmati Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Aye Ayesha, ALLAH  Ne Mujhe Wo Iktheyar Diya Hai Ke Mai Chahu To Ye Pahad (Mountain) Sone (Gold) Ke Ban Jaaye Aur Sone (Gold) Ke Hoke Mere Saath Chale.
(Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa shamailihi , Hadees : 5586)
(Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683)

Yaha Dekho Kya Ikteyar Bayan Kiya Nabi-E-Karim Sallallahu Anahi Wasallam Ne, Farmaya Ke Mai CHAHOON TO Pahad SONA (GOLD) Ho Jaye Aur Mere Saath Chale. Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Bayan Kar Rahe Hai Ke ALLAH Ne Wo Ekteyar
Aur Wo Khazane Ka Malik Banaya Hai Agr Ishara Kardu To Ye Bhi Sona Ho Jaye Ye Ikteyar Hai Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko.Tumhe Aaj Tak Ye Hadees Hi Nahi Mili?

Hadees No: 4
Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“ALLAH Subhanutaa’la Ne Mujhe Tamam Jabano Ka Jaanne Waala Banake Bheja Aur ALLAH Ne Raob (DABDABE) Ke Saath Meri Madad Ki Aur Ek Raat Soya Huwa Tha Ke Mujhe Dunya Ke Tamam Khazano Ki Chabia (Keys) Mujhe Ata Ki.
Abu Hurraira Radiallahu Anhu Farmate Hai,
Aye Logo Ab ALLAH Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Hamare Darmian Se Tashreef Le Gaye Aur Wo Khazane Se Tum Aaj Nafa Utha Rahe Ho Jo ALLAH Ne Apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ata Kiya Tha.
(Sahi bukhari Vol : 02, Kitab No 91 KitabulTabeer i.e. Interpretation Of Dreams, Baab : Raat Ke Sapno Ka Bayan, Hadees : 6998, English Version Book No 91 Hadees 17)
(Sahi Bukhari Vol : 02, Kitab No : 56, Kitabul Jihad Washayri ALLAH KI RAAH ME JIHAD KARNA, Hadees : 2977)
(Sunan Nasai Vol :02, Book No 25 Kitabu
Jihad, Baab : Wuzubil Jihadi, Hadees :3087)
(Sahi Muslim Vol: 01 pg: 99 Kitab No : 05,
Kitabul Masajid Wa Mawadius’salat, Hadees : 523, English Version Book No 04 Hadees 1063)
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 96 Kitabal Aitesaam Ba Kitab Wal Sunnat, Baab : Huzoor Nabie Karim Ko Jawami Al Kilam Ke Saath Maboos Kiya Gaya, Hadees : 7273 Ye Rivayat Hazrat Saeed Bin Mussayab Radiallahu Anhu Se Marvi Hai)
(Muslim Shareef, Vol 1, Safa 199, Hadees No 1070)
(Bukhari Shareef, Vol 2, Hadees No 6854)
(Nasai Shareef, Vol 2, Hadees No 3087)
(Munsade Ahmed, Vol 2, Safa 224, Hadees.No 7575)
(Ibne Hibban Shareef, Vol 14, Safa 277, Hadees No 6363)
(Shoaibul Imaan, Vol 1, Safa 161, Hadees No 139)

1) Nabie-E-Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya MUJHE KHAZANO KI KUNJIYA ATA KAR DI GAYI. Ab Jisko Kunjiya Dedi Kya Wo ALLAH Ki Ata Se Malik Naa Huwa?

2) Farman-E-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Sahabi-E-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Hazrat Abu Hurraira Ka Akeeda Dekho Farmate Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Humare Darmiyan Mauzood Nahi Hai Par Wohi Khazana Hai Jiska Aaj Nafa Utha Rahe Ho.
SUBHAN ALLAH
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Ne To Haddi Toddi Wahabiyo Ki Aur Apna Akeeda Bhi Wajeh Kar Diya. Ho Sakta Hai Ke Is Hadees Pe WAHABI Ye
Kahe Ke Yaha To Khwab Ki Baat Hai Wo Hujjat Nahi Ye Ek Aitraaz Kar Sakte Hai Chunki Jab Koi Rasta Nahi Hota Inke Pass Bhagne Ka To Is Tarah Ki Baat Karte Hai Uska Bhi Jawab Yaha Likh Rahe Hai.

Al Jawab:
Awwal To Ye Ke in Khabiso Ko Ye Jaan Na Aur Samajhna Chahiye Ke AMBIYA
ALAIHUMUSALAM Ka Khwab Mashkook
Nahi Hota Jaise Aam Awaam Jo Khwab Dekhe Uska Sach Hona Naa Hona Tabir Hona Naa Hona Dono Mumkin Hai Par AMBIYA ALAIHUMUSALAM Jo Khwab Dekhe Wo Hakikat Hota Hai. Iski Taaed Me Quran Aur Hadees Dono Mauzood Hai

Proof Hadees-E-Paak Se :
Hadees No: 5
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Umool Momineen Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Se FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH
SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Nabi Ki Aankh Soti Hai Par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569)
(Sahi Muslim, Kitab No 06, Kitabul Salate Musafireen Wa Kasarihi, Hadees : 738)
(Sunan Nasai, Vol : 03 , Book No : 20 Kiyam Al Lail, Hadees : 1697)
(Sunan Abu Dawood, Vol 01,Book No 05
Kitabus Salat, Hadees : 1341)
(Jamai Tirmiz, Vol :01 Book No 02, Kitabus Salat, Hadees : 439)
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Kitab Salatul Lail, Hadees : 263)

Tum Ek Dalil Ka Mutabla Karte Ho Pura Ka Pura Daftar Khan Kholke De Rahe Hai is Hadees Se Wajeh Huwa Ke Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dil Hamesha Jaagta Hai To Khwab Bhi Saccha Hai Ho Sakata Hai Ab Bhi Koi inkaar Karde isliye Quran-E-Paak Se Bhi Ek Dalil Pesh Hai.

Quran Se Jawab:
Yaha Us Khwab Ka Zikr Hai Jo Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne Dekha Tha Hazrat Ismail Alaihissalam Ko Qurban Karne Ke Talluk Se

Aayat No: 3
“Phir Jab Wo Uske Saath Kaam Ke Kaabil Ho Gaya, Kaha Aye Mere Bete Maine Khwab Dekha Mai Tujhe Jibah Karta Hoon Ab Tu Dekh Teri Kya Raay Hai !
Kaha Aye Mere Baap Kijiye Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai, Khuda Ne Chaha ToKarib Hai ki Aap Mujhe Sabir Paynge.”

Aayat No: 4
“To Jab Dono Ne Hamare Hukm Par
Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe.Ke Bal Litaya Us Wakt Ka Haal Na Puch.”


Aayat No: 5
“Aur Humne Usse Nida Farmaye Aye Ibrahim.“
“Beshak Tune Khawab Sach Kar Dikhaya.”
(Surah Saaffat, Para 23 Ruku 3, Aayat 102 To 105, Tarzuma Kanzul Imaan)

Pata Chala Ke Ambiya Alaihissalam Ke Khwab Bhi Sacche Hote Hai Warna Khwab Me Na Hone Ka Imkaan Hota To Hazrat Khalilullah Alaihssalam itna Bada Faisla Kyu Lete Ke Hazrat Ismail Alaihissalam Ko Jibah Karne Le Gaye?
In Dalilo Se ALHMADULLILAH is Subaahat Ka Bhi Jawab Wajeh Kiya Hai Ke Yaha Khwab Sach Hai.

Aayat No: 6
“Aye IMAAN Waalon ALLAH Ajwazal Aur Uske RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ke BULAANE Par HAAZIR Ho.”
Surah Anfaal Para 9, Ruku 3, Aayat 23.& 24, Tarzuma Kanzul Imaan)

TAFSEER:
BUKHARI Shareef Me SAEED Bin MAALA Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Woh Farmate Hai Ke Mai MASJID Me NAMAZ PADH Raha Tha, Mujhe Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne PUKAARA, Maine JAWAAB NA Diya. Fir Maine HAAZIRE KHIDMAT Hokar Arz Kiya Ya Rasoollallah! Sallallahu Alaihi Wasallam Mai NAMAAZ PADH Raha Tha. ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Kya ALLAH Ajwazal Ne YEH NAHI FARMAYA Hai Ke ALLAH Ajwazal Aur RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ke BULAANE Par HAAZIR HO JAO.

Hadees No: 6
Hazrat Anas Ibne Maalik Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke AHLE MAKKAH Ne ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se MAUJZA DIKHAANE Ka MUTAALBA Kiya To RASOOLLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Unhe CHAAND Ke 2 TUKDE KARKE DIKHA Diye.
(Bukhari Shareef, Vol 2, Hadees No 839, Safa.371)


“SURAJ Ulte Pao Palte CHAAND Ishaare Se Ho CHAAK
ANDHE NAJDI Dekhle QUDRAT RASOOLLALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ki.”

Aayat No: 7
“Aye IMAAN Waalon HUKM MAANO ALLAH Ajwazal Ka Aur HUKM MAANO RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ka.”
(Surah An Nisa, Para 5, Ruku 8, Aayat 58, 59, Tarzuma Kanzul Imaan)


Hadees No: 7
Hazrat Baraa Radiallahu Anhu Ka Bayaan Hai Ke Hazrat ABU BUREDA Radiallahu Anhu Ne NAMAZ Se PEHLE QURBAANI Karli, Toh Unse ALLAH Ajwazal Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Iske BADLE DUSRI QURBAANI Do. Arz Guzaar Hue Ke MERE PAAS Toh EK 6 MAHINE Ka BACCHA Hai Woh 1 SAAL Ki BAKRI Se BEHTAR Hai. ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya USKI JAGAH ISI Ki QURBAANI De Do. LEKIN Tumhaare Siwa KISI AUR Ke LIYE AISA KARNA KAAFI NA Hoga.
(Bukhari Shareef, Vol 2, Hadees No 520, Safa 216)

SubhanALLAH. Kya Pata Chala Is Hadeese Pak Se Ki Mere Aaqa Wa Maula Sallallahu Alaihi Wasallam Ko ALLAH  TA’ALA Ne Ye Ikhteyar Ataa Kiya Ke Aapne ABU BUREDA Radiallahu Anhu Ko Huqm Diya Ke 6 Mahine Ke Bakri Ke Bachche Ki Qurbani Ki Jaye. Aur Ye Khaas Huqm Sirf ABU BUREDA Radiallahu Anhu Ke Liye Diya Gaya. Agar Koi Aisa Kare To Uski Qurbani Ada Nahi Hogi.

Aayat No: 8
“Ham Dekh Rahe Hai BAAR BAAR Tumhaara AASMAAN Ki TARAF MUH KARNA. Toh Zarur Ham Tumhe FAIR DENGE Us QIBLE Ki TARAF Jisme TUMHAARI KHUSHI Hai. ABHI Apna MUH FAIRDO MASJIDE HARAAM Ki TARAF.”
(Surah Baqrah, Para 2, Aayat 143, 144, Tarzuma Kanzul Imaan)

TAFSEER:
ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko KAABE Ka QIBLA Banaya Jaana PASAND Tha Aur ALLAH  Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Is UMMID Se AASMAAN Ki TARAF NAZAR Uthaate The. Is Par Yeh AAYAT NAAZIL Hui Aur ALLAH Ajwazal  Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam NAMAZ Hi Me KAABE Ki TARAF FIR GAYE Aur MUSALMAANO Ne Bhi ALLAH Ajwazal Ke RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ke SAATH Usi TARAF RUKH Kar Liya.

“KHUDA Ki RAZA Chahte Hai Do AALAM.
KHUDA Chahta Hai RAZA-E-MUHAMMED Sallallahu Alaihi Wasallam.”


Hadees No: 8
Hazrat Uqba Ibn Aamir Radiallahu Anhu Farmate Hai Ek Din Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Laae Aur Uhaad Ke Shadeedo Ki Qabr Pe Namaz Padhi Aur Apne Mimber Pe Tashreef Laae Aur Farmaya,
“Mai Tum Par Gawaah Hu Aur Kasam Khuda Ki Mai is Wakt Bhi Yaha Se Apna “Hauze Kausar” Dekh Raha Hu.
ALLAH SUBHANU TAALA NE ZAMIN KE
SAARE KHAZANE KI KUNJIA MUJHE ATAA KAR DIYE. YA YE FARMAYA KE MUJHE KHAZANE DE DIYE ZAMIN KE Aur ALLAH KI KASAM MUJHE IS BAAT KA KHAUF NAHI KE TUM MERE BAAD SHIRK KAROGE.
Mujhe Sirf is Baat Ka Khauf Hai Ke Tum Duniya Talbi Me Ladoge
(Sahi Bukhari Vol : 1, Pg : 189 Kitab No : 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash
Shaheed, Hadees 1344 English Book No 23, Hadees : 428)
(Sahi Bukhari, Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590)
(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail, Baab : Isbaati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 English Book No 30 Hadees : 5688)
(Musnade Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)
(Bukhari Shareef, Vol 2, Safa.975, Hadees No 1213)
(Bukhari Shareef, Vol 1, Hadees No 1256/1257)
(Muslim Shareef, Hadeez No 5855)
(Musnade Ahmed, Vol 1, Safa 154, Hadees No 17532)
(Tabrani Shareef, Vol 1, Hadees No 768)
(Baihaqi Shareef, Hadees No 6600)
(Abu Yaala, Hadees No 1748)
(Ibne Hibbam Shareef, Hadees No 3198)


Is Hadeese Paak Se Wajah Ho Gaya Hai Ke Ummat-E-Muslima Shirk Nahi Karegi Magar Aaj Ye Iblis Ke Chele Wahabi Tauhid Ke Contracter Bane Ghum Rahe Hai. Naam Nihad Wahabi Puri Ummat-E-Muslima Ko Mushrik Kehte Phir Rahe Hai. Yaha Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ye Farmana Ke Me Apne Hauze Kausar Ko Dekh Raha Hu Do Chizo Ki Gawahi De Raha Hai. Awwal To Ye Ke Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ilme Gaib Jo Aap Apne Mimbare Mubarak Par Khade Ho Kar Hauze Kausar Ko Dekh Rahe Hai. Aur Duara Ye Ke ALLAH Ta’ala Ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Hauze Kausar Ka Maalik Banaya Hai Isliye Aap Use “Apna Hauze Kausar” Farmaya. Aur Aage Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ataa Hone Ka Bhi Zikr Hai.


Hadees No: 9
Hazrat ABU HURAIRA Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hai Ke HAM ALLAH Ajwazal Ke RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ki KHIDMAT Me Baithe Hue The Ke 1 SHAKS Aaya Aur KEHNE LAGA Ya Rasoollallah! Sallallahu Alaihi Wasallam Mai MAARA Gaya. ALLAH . Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
KYA HUA?
Us Shaks Ne Bataya Ke Mai ROZE Ke DAURAAN Apni BIWI Se JIMAA Kar Baitha. ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Tumhaare PAAS Koi GULAAM Hai, Jise Tum AAZAAD Kar Sako?
Arz Kiya NAHI Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam .

Fir ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
2 MAHINE LAGATAAR ROZE Rakh Sakte Ho?
Kaha NAHI.
Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
60 MISKINO Ko KHAANA KHILA Sakte Ho?
Bola NAHI.
ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne KUCH DAIR Tawakkuf Kiya (RUKH GAYE).
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Farmate Hai HAM Bhi KHAMOSH Rahe.
Fir Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke PAAS 1 TOKRA KHAJOORON Ka Laya Gaya. ALLAH Ajwazal Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
SAAHIL Kaha Hai?
Arz Kiya MAI YAHA Hu Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam.
ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Is TOKRE Ko LE JAO Aur GARIBO Me BAANT DO.
Us Shaks Ne Kaha Ya Rasoollallah! Sallallahu Alaihi Wasallam MADINE Ke DONO MAIDAANO Ke DARMIYAAN MERE GHAR Se Badhkar Koi MOHTAAJ NAHI.
Yeh SUNKAR ALLAH Ajwazal Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam MUSKURA Diye, Hatta Ke Aapke DANDAANE MUBARAK DIKHAI Diye,
Fir Farmaya LE JAO Aur APNE GHAR WAALON Ko Hi KHILAO.
(Bukhari Shareef, Vol 1, Hdees No 1806, Safa 694)

SubhanALLAH Kya Shaan Hai Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aur Kya Ikhtiyarat Se ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aapko Nawaza Hai Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Sirf Qanoon Jante Nahi Balqe Qanoon Banate Bhi Hai. Jisne Roze Ki Halat Me Jimaa Kiya Aur Roza Tod Diya Ho Uska Kaffara Jis Tarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Bataya Ye Saabit Karta Hai Ke Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko ALLAH Ta’ala Ne Kai Khaas Ikhtiyarat Se Nawaza Hai.


“Bakhuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahaan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Mahi To Wahan Nahi.”


Hadees No: 10
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Mere Naam Par Apne Naam Rakho Magar Meri Kunnyat (Abu’l Qasim) Ikhtiyar Na Karo. (Kyunki) ALLAH Ta’ala Deta Hai Aur Mein Taqseem Karta Hoon.” (Sahih Muslim : Hadees 2133 Book ref. : 38, Hadees 6 Eng ref : Book 25, Hadees 5319)
(Sahih Muslim : 2133  Book ref. : 38, Hadees 4 Eng  ref : Book 25, Hadees 5317)  (Al-Adab Al-Mufrad : Hadees 844 Book ref. : 35, Hadith 3 Eng ref. : Book 35, Hadees 844)


Hadees No: 11
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hai Ke Hazrat MUSA Alaihissalaam Ke Paas MANKUL MAUT BHEJA Gaya. Jab Woh Aapke Paas Aaya Toh Hazrat MUSA Alaihissalaam Ne Use 1 TAMACHA MARA Aur Uski AANKH FOOT Gai. Woh ALLAH Ajwazal KE PAAS Gaya Aur Kaha TUNE Mujhe Us BANDE Ke PAAS Bheja, Jo MARNA NAHI CHAHTA. ALLAH Ajwazal Uski AANKH THEEK Kardi Aur Farmaya Unke PAAS JAO Aur Unhe Kaho Ke Woh Apna HAATH BAIL Ki PEETH Par RAKHE Aur Har BAAL Ke BADLE Unhe 1 SAAL Ki ZINDAGI Ata Ki Jayegi. Hazrat Musa Alaihissalaam Ne Arz Kiya,
Aye PARWARDIGAAR Fir Kya Hoga? ALLAH Ajwazal Ne Farmaya Ke MAUT. Toh Hazrat MUSA Alaihissalaam BOLE Fir Toh ABHI AA JAYE.
(Bukhari Shareef, Vol 1, Hadees No 1252, Safa 509)


Hadees No: 12
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Paani Ka Ek Bartan Pesh Kiya Gaya Aur Aap “Zawra” Ke Maqam Par They. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Bartan Ke Andar Apna Mubarak Haath Rakh Diya Toh Aap Ki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Ke Chashmey Phoot Padey Aur Sab Logon Ne Wuzu Kar Liya. Hazrate Qatada  Radiallahu Anhu Kehte Hain Ki Maine Hazrate Anas Radiallahu Anhu Se Maloom Kiya Ki Aap Log Kitne
They?
Hazrate Anas Radiallahu Anhu Ne Jawab Diya Ki 300 Ya 300 Ke Lag Bhag.
(Sahih Bukhari : Hadees 3572 Book ref. : 61, Hadees 81 Eng ref. : Vol. 4, Book 56, Hadees 772)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki
Hazrate Salim bin Abi Aj-Jad Radiallahu Anhu Rivayat Hai Ke Hazrate Jabir Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Suleh Hudaibiya Ke Mauqe Par Logo Ko Pyaas Lagi Thi. Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Samne Pani Ka Ek Chota Sa Matka (Pot) Rakha Hua tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Us Pani Se Wuzu Farmaya. Jab Log Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Aaye Toh Aap Ne Logo Se Farmaya Kya Baat Hai?
Logo Ne Kaha Ki Jo Paani Aap Ke Samne Hai Us Pani Ke Siwa Na Toh Hamare Paas Wuzu Ke Liye Koi Doosra Pani Hai Aur Na Peeney Ke Liye.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apna Haath Jaise Hi Us Paani Ke Matke Me Dala, Aapki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Chashmey (Springs) Ki Tarah Nikalne Laga. Hum Sab Logo Ne Us Paani Ko Piya Aur Us Se Wuzu Bhi Kiya.
Maine Hazrate Jabir Radiallahu Anhu Se
Poocha Ki Aap Log Kitni Tadad Me They?
Aap Radiallahu Anhu Ne Kaha Ki Agar
Hum Ek Lakh Bhi Hotey Tab Bhi Woh Paani Kaafi Ho Jata Waise Hamari Tadad Us Waqt 1500 Thi.
(Sahih Bukhari : Hadees 5639 Book ref. : 74, Hadees 65 Eng ref. : Vol. 7, Book 69, Hadees 543)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Hum Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saath Ek Safar Me They Aur Pani Taqreeban Khatam Ho Gaya.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Kuch Bhi Pani Bach Gaya Hai Usey Talash Karo, Phir Log Ek Bartan Me Thoda Sa Paani Laaye , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apna Haath Bartan Me Daal Diya Aur Farmaya Barkat Wala Paani Le Lo Aur Barkat Toh ALLAH  Ta’ala Ki Taraf Se Hoti Hai.
Meine Dekha Ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Fawwarey (Fountain) Ki Tarah Phoot Raha Tha Aur Hum Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Khaate Waqt Khaane Ko ALLAH  Ki Tasbeeh (ALLAH  Ajwazal Ka Zikr) Kartey Huwey Bhi Suna Karte They.
(Sahih Bukhari : Hadees 3579 Book ref. : 61, Hadees 88, Eng ref. : Vol. 4, Book 56, Hadees 779)


“Ungliyan Payi Woh Pyari Pyari
Jin Se Dariya-E-Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai Jab Gham Khwaari
Tishne Sairaab Hua Karte Hai.”


Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah ﷺ Ne Farmaya, 
“Aye Logo ! ALLAH Ne Zamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak Ke Maine Zamin Ke Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur ALLAH Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya. Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.”
(Sahi Muslim Vol : 02, Page : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno aur Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 2889, English Version Book No 24 Hadees : 25)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim, Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, English Version Book No : 37, Hadees : 13)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176,  English Version Book No 33 Hadees : 39) 
(Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, English Version Book No 36 Hadees : 27)

Aayat No: 6

Aur Unhe Kya Bura Laga Yehi Na Ke ALLAH Aur Uske Rasool Ne Apne Fazl Se Unhe Gani Kar Diya

(Surah Tauba, Para 10, Ruku 10, Aayat 74, Tarzuma Kanzul Imaan)

Maalik-E-Qaunain Hai Jo Paas Kuch Rakhte Nahi Do Jahan Ki Nemate Hai Unke Khali Hath Me.

Hazrat Awf Bin Malik Al Ashja Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya,
“Mere Rab Ki Taraf Se Ek Aanewaala Farishta Mere Pass Aaya Aur Kaha Ki, “ALLAH Ne Aapko Do Cheezon Kay Darmiyan Ikhteyar Diya Hai Ki Yaa To Aapki Aadhi Ummat Ko Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye Yaa Phir Aapko Shafa’at De Di 
Jaaye To Maine Shafa’at Ko Ekhteyar Kiya Aur Ye Un Sabke Liye Hogi Is Haal Me Mar Jaaye Ki ALLAH Kay Saath Kisi Ko Sharik Nahi Karta Ho”
(Jamai Tirmizi Vol : 04, Pg : 429 & 430 Kitab Shafat-E-Qayamat Ar Rikaaq Wal Wara Rasool ALLAH ىلص ُالل ُهيلع ملسو, Baab No 13, Hadees : 2441) 
(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 409, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr-E-Shaafat, Hadees : 4317)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :01, Pg : 135, Hadees : 221)
(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol : 18, Pg : 68, Hadees : 126)
(Imam Tabarani Musnad-Ush-Shamiyyin, Volume : 01, Pg : 326, Hadees : 575)

Upar Bayan Karda Ahadeese Pak Se Nabi-E-Kareem ﷺ Ke Ikhtiyar Ka Bhi Zahoor Hota Hai Yanai Rab Ta’ala Ne Aapki Pasand Ka Khayal Rakha. Aur Rehmate Aalam ﷺ Ko Shafa’at Ke Tohfe Se Nawaza. Aur Aap ﷺ Ko Aulad-E-Aadam Ka Sardar Banaya. 
Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Shafa’at Ko Ikhteyar Farmaya Aur Aapki Shafa’at Chunida Logon Ke Liye Hogi. ALLAH Ta’ala Se Dua Hai Ke Humare Dilon Me Apni Aur Apne Habeeb ﷺ Ki Muhabbat Ata Farmaye Aur Usipe Hamara Khatma Naseeb Farmaye Aur Roz-E-Mehshar Hum Gunahgaron Ko Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Shafa’at Naseeb Farmaye Aur Aapke Mubarak Hathon Se Jaam-E-Kausar Pina Naseeb Farmaye.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!