Hadees-E-Nabwi

Shab-E-Baraat Ki Ahmiyat-O-Fazilat Hadees Ki Roshni Me

~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
• Kya Hadees Mein 15wi Shabaan Ki Koi Fazilat Aur Ahmiyat Aayi Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Ko Qabrastan Jana Sunnat Hai?
• Kya Khaas 15wi Shabaan Ki Raat Mein Nawafil Aur Deegar Ibaadaat Karna Sunnat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ke Din Mein Roza Rakhna Sunnat Hai?
•Kya Shabaan Ke Mahine Mein Pure Saal Ke Aamaal Allah Ki Taraf Uthaye Jaate Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Magfirat Ki Raat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Rizq Bata Jaata Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Musibato Se Nijaat Milti Hai Aur Bimariyo Se Shifa Milti Hai?
• Kya Shabe Barat Ko Halwa Banana Jaiz Hai?
Maah-E-Sha’baan Ki 15vi Raat Ko Shab-e-Baraat Kahaa Jaata Hai Shabb Ke Maana Hain Raat Aur Baraat Ke Maana Bari Hone Aur Qata Ta’lluq Karne Ke Hain, Chunke Is Raat Musalmaan Tauba Karke Gunaahon Se Qata Ta’lluq Karte Hain Aur Allah Ta’ala Ki Rehmat Se Beshumaar Musalmaan Jahannam Se Nijaat Paate Hain Isliye Is Raat Ko Shab-e-baraat Kehte Hain, Is Raat Ko Lailatul Mubaarakah Yaani Barkaton Waali Raat Lailatus-Sakk Yaani Taqseem-e-Umoor Ki Raat Aur Lailatur-Rahmah Rehmat Naazil Hone Ki Raat Bhi Kahaa Jaata Hai.
Jaleelul Qadr Taaba’ii Hazrat Ataa Bin Yasaar Radi Allahu Ta’ala Anhu Farmaate Hain “Lailatul Qadr Ke Baad Sha’baan Ki Pandhraveen Shab Se Afzal Koi Raat Nahin”
{Lataayif-ul-Ma’aarif; Safa-145}
Jis Tarah Musalmaanon Ke Liye Zameen Mein Do Eidein Hain Isi Tarah Farishton Ke Liye Aasmaan Mein Do Eidein Hain Ek Shab-e-Baraat Aur Dusri Shab-e-Qadar Jis Tarah Momin Ki Eidein Eid-ul-Fitr Aur Eid-ul-Adhaa Hain Farishton Ki Eidein Raat Ko Isliye Hain Ke Wo Raat Ko Sote Nahin Jabke Aadmi Sote Hain Isliye Unki Eidein Din Ko Hain.
{Ghunniyat-ut-Taalibeen; Safa-449}
• TAQSEEM-E-UMOOR KI RAAT
Irshaad-e-Baari Ta’ala Hua “Qasam Hai Us Raushan Kitaab Ki Beshak Humne Ise Barkat Waali Raat Mein Utaara Hai, Beshak Hum Darr Sunaane Waale Hain Is Mein Baantt Diya Jaata Hai Har Hikmat Waala Kaam.
{Ad-Dukh-khaan: 4-2; Kanzul Imaan}
” Is Raat Se Muraad Shab-e-Qadar Hai Yaa Shab-e-Baraat”
{Khazaayin-ul-Irfaan}
In Aayaat Ki Tafseer Mein Hazrat Akarma Radi Allahu Ta’ala Anh Aur Baaz Deegar Mufassireen Ne Bayaan Kiya Hai Ke “Lailata Mubaraka” Se Pandra (15) Sha’baan Ki Raat Muraad Hai. Is Raat Mein Zinda Rehne Waale, Faut Hone Waale Aur Hajj Karne Waale Sabke Naamon Ki Fehrist Tayyaar Ki Jaati Hai Aur Jiski Ta’meel Mein Zara Bhi Kami Beshi Nahin Hoti. Is Rivaayat Ko Ibn-e-Jareer, Ibn-e-Manzar Aur Ibn Abi Haatim Ne Bhi Likha Hai, Agarche Iski Ibtedaa Padhraveen (15th) Sha’baan Ki Shab Se Hoti Hai.
{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-194}
Allama Qurtubi Maaliki Rehmatullaahi Ta’ala Alaih Farmaate Hain Ek Qaul Yeh Hai Ke In Umoor Ke Lauh-e-Mehfooz Se Naql Karne Ka Aaghaaz Shab-e-Baraat Se Hota Hai Aur Ikhtetaam Lailatul Qadr Mein Hota Hai.
{Al-Jaame’ Li-Ihkaamul Qur’aan; Jild-16; Safa-128}
Yahaan Ek Shubah Yeh Paida Hota Hai Ke Yeh Umoor To Pehle Hi Se Lauh-e-Mehfooz Mein Tehreer Hain Phir In Shabb Mein Unke Likhe Jaane Ka Kya Matlab Hai? Jawaab Yeh Hai Ke Yeh Umoor Bila-Shubah Lauh-e-Mehfooz Mein Tehreer Hain Lekin Is Shabb Mein Mazkoora Umoor Ki Fehrist Lauh-e-Mehfooz Se Naql Karke Un Farishton Ke Supurd Ki Jaati Hai Jinke Zimme Yeh Umoor Hain.
Hazrat Ayesha Siddeeqa Radi Allahu Ta’ala Anha Farmaati Hain Ke Rasool-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Kya Tum Jaanti Ho Ke Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Kya Hota Hai? Maine Arz Ki Yaa Rasoolallah Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Aap Farmaayiye. Irshaad Huva Aayinda Saal Mein Jitne Bhi Paida Hone Waale Hote Hain Wo Sab Us Shabb Mein Likh Diye Jaate Hain Aur Jitne Log Aayinda Saal Marne Waale Hote Hain Wo Bhi Us Raat Mein Likh Diye Jaate Hain Aur Us Raat Mein Logon Ke (Saal Bhar Ke) A’maal Uthaaye Jaate Hain Us Mein Logon Ka Muqarrara Rizq Utaara Jaata Hai.
{Mishkaat; Jild-1; Safa-277}
Hazrat Ataa Bin Yasaar Radi Allahu Ta’ala Anhu Farmaate Hain “Sha’baan Ki Pandhraveen Raat Mein Allah Ta’ala Malakul Maut Ko Ek Fehrist Dekar Hukm Farmaata Hai Ke Jin Jin Logon Ke Naam Ismein Likhe Hain Unki Roohon Ko Aayinda Saal Muqarrara Waqton Par Qabz Karna, To Us Shabb Mein Logon Ke Haalaat Yeh Hote Hain Ke Koi Baaghon Mein Darakht Lagaane Ki Fikr Mein Hota Hai Koi Shaadi Ki Tayyaariyon Mein Masroof Hota Hai, Koi Kothi Bangla Banvaa Raha Hota Hai Haalaanke Unke Naam Murdon Ki Fehrist Mein Likhe Jaa Chuke Hote Hain.
{Musannif Abdul-Razzaaq; Jild-4; Safa-317; Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-193}
Hazrat Usmaan Bin Muhammad Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Marvi Hai Ke Sarkaar-e-Madeena Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Ek Sha’baan Se Dusre Sha’baan Tak Logon Ki Zindagi Munqata Karne Ka Waqt Is Raat Mein Likha Jaata Hai Yahaan Tak Ke Insaan Shaadi Biyaah Karta Hai Aur Uske Bache Paida Hote Hain Haalaanke Uska Naam Murdon Ki Fehrist Mein Likha Jaa Chuka Hota Hai.
{Al-Jaame Li-Ihkaamul Qur’aan; Jild-16; Safa-126; Shuab-ul-Imaan Lil Baihaqi; Jild-3; Safa-386}
Chunke Yeh Raat Guzishta Saal Ke Tamaam A’maal Baargaah-e-Ilaahi Mein Pesh Hone Aur Aayinda Saal Milne Waali Zindagi Aur Rizq Waghaira Ke Hisaab Kitaab Ki Raat Hai Isliye Is Raat Mein Ibaadat-e-Ilaahi Mein Mashghool Rehna Rabb-e-Kareem Ki Rehmaton Ke Mustahiq Hone Ka Baa’is Hai Aur Sarkaar-e-Do-Aalam Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ki Yehi Ta’leem Hai.
• MAGHFIRAT KI RAAT
Shab-e-Baraat Ki Ek Badi Khusoosiyat Yeh Hai Ke Is Shabb Mein Allah Ta’ala Apne Fazl-o-Karam Se Be-Shumaar Logon Ki Bakhshish Farmaa Deta Hai Isi Hawaale Se Chand Ahaadees-e-Mubaaraka Mulaahiza Farmaayein:-
(1) Hazrat Ayesha Siddeeqa Radi Allahu Ta’ala Anha Farmaati Hain Ke Ek Raat Main Ne Huzoor-e-Akram Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ko Apne Paas Na Paaya To Main Aapki Talaash Mein Nikli Maine Dekha Ke Aap Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Jannatul Baqi Mein Tashreef Farmaa Hain Aapne Farmaaya Kya Tumhein Yeh Khauf Hai Ke Allah Ta’ala Aur Uska Rasool Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Tumhaare Saath Ziyaadati Karenge Main Ne Arz Ki Yaa Rasoolallah Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Mujhe Yeh Khayaal Huva Ke Shaayad Aap Kisi Dusri Ahliya Ke Paas Tashreef Le Gaye Hain Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Beshak Allah Ta’ala Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Aasmaan-e-Duniya Par (Apni Shaan Ke Mutaabiq) Jalwagar Hota Hai Aur Qabeela-e-Banu Kalb Ki Bakriyon Ke Baalon Se Zyaada Logon Ki Maghfirat Farmaata Hai.
{Tirmizi; Jild-1; Safa-156; Ibn-e-Maaja; Safa-100; Masnad Ahmad; Jild-6; Safa-238; Mishkaat; Jild-1; Safa- 277; Musannif Ibn Abi Shaibah; Jild-1; Safa-237; Shuab-ul-Imaan Lil-Baihaqi; Jild-3; Safa-379}
Shaareheen Farmaate Hain Ke Yeh Hadees-e-Paak Itni Zyaada Isnaad Se Marwi Hai Ke Darja-e-Sahet Ko Pahunchgayi.
(2) Hazrat Abu Bakar Siddeeq Radi Allahu Ta’ala Anh Se Rivaayat Hai Ke Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya “Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Allah Ta’ala Aasmaan-e-Duniya Par (Apni Shaan Ke Mutaabiq) Jalwagar Hota Hai Aur Is Shabb Mein Har Kisi Ki Maghfirat Farmaa Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Bughz Rakhne Waale Ke”
{Shuab-ul-Imaan Lil-Baihaqi; Jild-3; Safa-380}
(3) Hazrat Abu Moosa Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Marvi Hai Ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai Allah Ta’ala Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Apne Rehem-o-Karam Se Tamaam Makhlooq Ko Bakhsh Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Keena Rakhne Waale Ke”.
{Ibn-e-Maaja; Safa-101; Shuab-ul-Imaan; Jild-3; Safa-382; Mishkaat; Jidl-1; Safa-277}
(4) Hazrat Abu Hurairah, Hazrat Mu’aaz Bin Jabal, Hazrat Abu Sualbatah, Aur Hazrat Awf Bin Maalik Radi Allahu Ta’ala Anhum Se Bhi Aisa Hi Mazmoon Hai Marvi Hai.
{Majma’ Al-Zavaayid; Jild-8; Safa-65}
(5) Hazrat Abdullah Bin Umro Bin ‘Aas Radi Allahu Ta’ala Anh Se Rivaayat Hai Ke Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya “Sha’baan Ki Pandhraveen Raat Mein Allah Ta’ala Apni Rehmat Se Do Ash-khaas Ke Siwa Sab Musalmaanon Ki Maghfirat Farmaa Deta Hai Ek Keena Parvar Aur Dusra Kisiko Naa-haq Qatl Karne Waala”
{Masnad Ahmad; Jild-2; Safa-176; Mishkaat; Jild-1; Safa-278}
(6) Imaam Baihaqi Ne Shuab-ul-Imaan {Jild-3; Safa-384} Mein Hazrat Ayesha Radi Allahu Ta’ala Anha Ki Ek Taveel Rivaayat Bayaan Ki Hai Jis Mein Maghfirat Se Mehroom Rehne Waalon Mein In Logon Ka Bhi Zikr Hai: Rishte Naate Todne Waale, Ba-taur-e-Takabbur Azaar Takhnon Se Neeche Rakhne Waala, Maa Baap Ka Naa-Farmaan, Sharaab Noshi Karne Waala.
(7) Ghunyat-ut-Taalibeen; Safa-449 Par Hazrat Abu-Hurairah Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Marvi Taveel Hadees Mein In Logon Ka Bhi Zikr Hai Jaadugar, Kaahin, Sood-khor Aur Badla-kaar, Yeh Wo Log Hain Ke Apne Apne Gunaahon Se Tauba Kiye Baghair Unki Maghfirat Nahin Hoti, Pas Aise Logon Ko Chaahiye Ke Apne Apne Gunaahon Se Jald Az Jald Sachhi Tauba Karlein Taake Yeh Bhi Shab-e-Baraat Ki Rehmaton Aur Bakhshish-o-Maghfirat Ke Haq-daar Ho Jaayein.
“Irshaad-e-Baari Ta’ala Huva: Aye Imaan Waalo! Allah Ki Taraf Aisi Tauba Karo Jo Aage Ko Naseehat Hojaaye”
{At-Tahreem-8; Kanzul Imaan}
Yaani Tauba Aisi Honi Chaahiye Jiska Asar Tauba Karne Waale Ke A’maal Mein Zaahir Ho Aur Uski Zindagi Gunaahon Se Paak Aur Ibaadaton Se Ma’moor Hojaaye, Hazrat Mu’aaz Bin Jabal Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Baargaah-e-Risaalat Mein Arz Ki. Yaa Rasoolallah Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Taubatan-Nasooh Kise Kehte Hain Irshaad Huva Banda Apne Gunaah Par Sakht Naadim Aur Sharm-Saar Ho, Phir Baargaah-e-Ilaahi Mein Gidgidaa Kar Maghfirat Maange Aur Gunaahon Se Bachne Ka Pukhta ‘Azm Kare To Jis Tarah Doodh Dobara Tehnon Mein Daakhil Nahin Ho Sakta Isi Tarah Us Bande Se Yeh Gunaah Kabhi Sarzad Na Hoga.
• REHMAT KI RAAT
Shab-e-Baraat Farishton Ko Baaz Umoor Diye Jaane Aur Musalmaanon Ki Maghfirat Ki Raat Hai Iski Ek Aur Khusoosiyat Yeh Hai Ke Yeh Rabb-e-Kareem Ki Rehmaton Ke Nuzool Ki Aur Dua’on Ke Qubool Hone Ki Raat Hai.
(1) Hazrat Usmaan Bin Abi Al-‘Aas Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Rivaayat Hai Ke Huzoor-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai, Jab Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Aati Hai To Allah Ta’ala Ki Taraf Se Ailaan Hota Hai. Hai Koi Maghfirat Ka Taalib Ke Uske Gunaah Bakhsh Dun, Hai Koi Mujhse Maangne Waala Ke Use Ataa Karun. Us Waqt Allah Ta’ala Se Jo Maanga Jaaye Wo Milta Hai. Wo Sabki Dua Qubool Farmaata Hai. Siwaaye Badkaar Aurat Aur Mushrik Ke”
{Shuab-ul-Imaan Lil-Baihaqi; Jild-3; Safa-383}
(2) Hazrat Ali Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Rivaayat Hai Ke Ghaib Bataane Waale Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Jab Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Ho To Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho Kyunke Ghuroob-e-Aftaab Ke Waqt Se Hi Allah Ta’ala Ki Rehmat Aasmaan-e-Duniya Par Naazil Hojaati Hai Aur Allah Ta’ala Irshaad Farmaata Hai ‘Hai Koi Maghfirat Ka Talab Karne Waala Ke Main Use Bakhsh Dun, Hai Koi Rizq Maangne Waala Ke Main Usko Rizq Dun, Hai Koi Museebat Zada Ke Main Use Museebat Se Nijaat Dun, Yeh Ailaan Tuloo’-e-Fajr Tak Hota Rehta Hai.
{Ibn-e-Maaja; Safa-100; Shuab-ul-Imaan Lil-Baiihaqi; Jild-3; Safa-378; Mishkaat; Jild-1; Safa-278)
Yeh Nidaa Har Raat Mein Hoti Hai Lekin Raat Ke Aakhri Hisse Mein Jaisa Ke Kitaab Ke Aaghaaz Mein Shabb Bedaari Ki Fazeelat Ke Unvaan Ke Tehet Hadees-e-Paak Tehreer Ki Gayi Shab-e-Baraat Ki Khaas Baat Yeh Hai Ke Ismein Yeh Nidaa Ghuroob-e-Aaftaab Hi Se Shuroo Hojaati Hai Goya Saaliheen Aur Shabb Bedaar Mominon Ke Liye To Har Raat Shabb-e-Baraat Hai Magar Yeh Raat Khataa Kaaron Ke Liye Rehmat-o-Ataa Aur Bakhshish-o-Maghfirat Ki Raat Hai Isliye Humein Chaahiye Ke Is Raat Mein Apne Gunaahon Par Nadaamat Ke Aansu Bahaayein Aur Rabb-e-Kareem Se Duniya-o-Aakhirat Ki Bhalaayi Maangein, Is Shabb Rehmat-e-Khudaavand Har Pyaase Ko Sairaab Kardena Chaahti Hai Aur Har Mangte Ki Jholi Gohar-e-Muraad Se Bhar Dene Par Maayil Hoti Hai.
Shabb-e-Baraat Mein Sarkaar-e-Do-Aalam Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Khud Bhi Shabb Bedaari Ki Aur Dusron Ko Bhi Shabb Bedaari Ki Talqeen Farmaayi Aap Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Farmaan-e-Aali Shaan Upar Mazkoor Huva Ke Shabb-e-Sha’baan Ki Pandhraveen Raat Ho To Shabb Bedaari Karo Aur Din Ko Roza Rakho, Is Farmaan-e-Jaleel Ki Ta’meel Mein Akaabir-e-AhleSunnat Aur Avaam-e-AhleSunnat Ka Hamesha Yeh Ma’mool Raha Hai Ke Is Raat Mein Shabb Bedaari Ka Ehtemaam Karte Chale Aaye Hain.
Shaikh Abdul Haq  Muhaddis Dehelvi Rehmatullaahi Alaih Farmaate Hain “Taaba’een Mein Se Jaleel-ul-Qadr Hazraat Maslan Hazrat Khaalid Bin Waleed Bin Ma’daan, Hazrat Mak-hool, Hazrat Luqmaan Bin Aamir Aur Hazrat Is-haaq Bin Raahviyah Radi Allahu Ta’ala Anhum Masjid Mein Jama’ Hokar Sha’baan Ki Pandhraveen Shabb Mein Shabb Bedaari Karte The Aur Raat Bhar Masjid Mein Ibaadat Mein Masroof Rehte The”.
{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-202; Lataayif-ul-Ma’aarif; Safa-144}
Allama Ibn Al-Haaj Maaliki Rehmatullahi Alaih Shab-e-Baraat Ke Muta’lliq Raqm-Taraaz Hain ” Aur Koi Shakk Nahin Ke Yeh Raat Badi Baa-Barkat Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek Badi Azmat Waali Hai, Hamaare Aslaaf Radi Allahu Ta’ala Anhum Iski Bohot Ta’zeem Karte Aur Iske Aane Se Qabl Iske Liye Tayyaari Karte The. Phir Jab Yeh Raat Aati To Wo Khush-o-Jazbe Se Iska Isteqbaal Karte Aur Musta’di Ke Saath Is Raat Mein Ibaadat Kiya Karte The Kyunke Yeh Baat Saabit Ho Chuki Hai Ke Hamaare Aslaaf Sha’aayirullah Ka Bohot Ehteraam Kiya Karte The.
{Al-madkhal; Jild-1; Safa-392}

Mazkoora Baalaa Hawaalon Se Yeh Baat Saabit Huvi Ke Is Muqaddas Raat Mein Masjid Mein Jama’ Hokar Ibaadat Mein Mashghool Rehna Aur Is Raat Shabb Bedaari Ka Ehtemaam Karna Taaba’een-e-Kiraam Ka Tareeqa Raha Hai, Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Quddasa Sirrahu Farmaate Hain Ab Jo Shakhs Sha’baan Ki Pandhraveen Raat Mein Shabb Bedaari Kare To Yeh Fe’l Ahaadees Ki Mutaabiqat Mein Bilkul Mustahab Hai, Rasool-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Yeh Amal Bhi Ahaadees Se Saabit Hai Ke Shabb-e-Baraat Mein Aap Musalmaanon Ki Duaa-e-Maghfirat Ke Liye Qabrastaan Tashreef Le Gaye The.
{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-205}
Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘alaihi Wasallam Ne Ziyaarat-e-Quboor Ki Ek Badi Hikmat Yeh Bayaan Farmaayi Hai Ke Isse Maut Yaad Aati Hai Aur Aakhirat Ki Fikr Paida Hoti Hai (Ziyaarat-e-Quboor Ke Dalaayil-o-Favaayid Se Muta’lliq Tafseeli Guftugu Faqeer Ki Kitaab “Mazaaraat-e-Awliya Aur Tawassul” Mein Mulaahiza Farmaayein. Shabb-e-Baraat Mein Ziyaarat-e-Quboor Ka Waazeh Maqsad Yehi Hai Ke Is Mubaarak Shabb Mein Hum Apni Maut Ko Yaad Rakhein Taake Gunaahon Se Sacchi Tauba Karne Mein Aasaani Ho, Yehi Shabb Bedaari Karne Ka Asal Maqsad Hai.
Is Silsile Mein Hazrat Hasan Basri Radi Allahu Ta’ala Anhu Ka Imaan Afrouz Waaqiya Bhi Mulaahiza Farmaayein Manqool Hai Ke Jab Aap Shab-e-Baraat Mein Ghar Se Baahar Tashreef Laaye To Aapka Chehra Yun Dikhaayi Deta Tha Jis Tarah Kisi Ko Qabr Mein Dafan Karne Ke Baad Baahar Nikaala Gaya Ho. Aap Se Iska Sabab Poocha Gaya To Aapne Farmaaya Khudaa Ki Qasam Meri Misaal Aisi Hai Jaise Kisiki Kashti Samundar Mein Toot Chuki Ho Aur Wo Doob Raha Ho Aur Bachne Ki Koi Umeed Na Ho, Poocha Gaya Aapki Aisi Haalat Kyun Hai? Farmaaya Mere Gunaah Yaqeeni Hain, Lekin Apni Nekiyon Ke Muta’lliq Main Nahin Jaanta Ke Wo Mujhse Qubool Ki Jaayengi Yaa Phir Radd Kardi Jaayengi.
{Ghunyat-ut-Taalibeen; Safa-250}
Allahu Akbar Neyk-o-Muttaqi Logon Ka Yeh Haal Hai Jo Har Raat Shabb Bedaari Karte Hain Aur Tamaam Din Itaa’at-Ilaahi Mein Guzaarte Hain Jabke Iske Bar-Aks Baaz Log Aise Kamm Naseeb Hain Jo Is Muqaddas Raat Mein Fikr-e-Aakhirat Aur Ibaadat-o-Dua Mein Mashghool Hone Ki Bajaaye Mazeed Lahv-o-Layib Mein Mubtila Hojaati Hain Aatish Baazi Pataakhe Aur Deegar Naa-Jaayez Umoor Mein Mubtila Hokar Wo Is Mubaarak Raat Ka Taqaddus Paamaal Karte Hain, Haalaanke Aatish Baazi Aur Pataakhe Na Sirf Un Logon Aur Unke Bachchon Ki Jaan Ke Liye Khatra Hain Balke Ird-Gird Ke Logon Ki Jaan Ke Liye Bhi Khatra Ka Baa’is Bante Hain, Aise Log “Maal Barbaad Aur Gunaah Laazim” Ka Misdaaq Hain.
Humein Chaahiye Ke Aise Gunaah Ke Kaamon Se Khud Bhi Bachein Aur Dusron Ko Bhi Bachaayein Aur Bachchon Ko Samjhaayein Ke Aise Laghv Kaamon Se Allah Ta’ala Aur Uske Pyaare Habeeb Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Naaraaz Hote Hain. Mujaddid-e-Barhaq Aalahazrat Imaam Ahmad Raza Muhaddis-e-Barelvi Rehmatullahi Alaih Farmaate Hain, Aatishbaazi Jis Tarah Shaadiyon Aur Shab-e-Baraat Mein Raayij Hai, Beshak Haraam Aur Poora Jurm Hai Ke Ismein Maal Ka Ziyaa’ Hai, Qur’aan-e-Majeed Mein Aise Lohon Ko Shaitaan Ke Bhai Farmaaya Gaya, Irshaad Huva “Aur Fuzool Na Udaa Beshak (Maal) Udaane Waale Shaitaanon Ke Bhaayi Hain”
[Bani Israa-eel]
• SHA’BAAN KE ROZE
Hazrat Ayesha Siddeeqah Radi Allahu Ta’ala Anha Farmaati Hain Ke “Main Ne Aaqa-o-Maula Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ko Maah-e-Ramadaan Ke Ilaawa Maah-e-Sha’baan Se Zyaada Kisi Mahine Mein Roze Rakhte Nahin Dekha”
{Bukhaari; Muslim; Mishkaat; Jild-1; Safa-441}
Ek Aur Rivaayat Mein Farmaaya “Nabi-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Chand Din Chod Kar Poore Maah-e-Sha’baan Ke Roze Rakhte The” Ayidan.
Aap Hi Se Marvi Hai Ke Sarkaar-e-Do-Aalam Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Sha’baan Mera Mahina Hai Aur Ramadaan Meri Ummat Ka Mahina Hai.
{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-188}
Nabi-e-Kareem Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wasallam Ka Irshaad-e-Giraami Hai “Jin Logon Ki Roohein Qabz Karni Hoti Hain Unke Naamon Ki Fehrist Maah-e-Sha’baan Mein Malak-ul-Maut Ko Di Jaati Hai Isliye Mujhe Yeh Baat Pasand Hai Ke Mera Naam Us Waqt Fehrist Mein Likha Jaaye Jab Ke Main Roze Ki Haalat Mein Hun”
Yeh Hadees Pehle Mazkoor Ho Chuki Hai Ke Marne Waalon Ke Naamon Ki Fehrist Pandhraveen Sha’baan Ki Raat Ko Tayyaar Ki Jaati Hai, Huzoor ‘Alaihissalaatu Wassallam Ke Is Irshaad Se Ma’loom Hota Hai Ke Agarche Raat Ke Waqt Roza Nahin Hota Iske Baa-Wajood Rozedaar Likhe Jaane Ka Matlab Yeh Hai Ke Ba-Waqt-e-Kitaabat (Shabb) Allah Ta’ala Roze Ki Barkat Ko Jaari Rakhta Hai.
{Maa Sabta Minas-Sunnah; Safa-192}
Yeh Dua Padhte Rahein Ke Hazrat Rasool-e-Akram Sallallahu Ta’ala ‘Alaihi Wa Aalihi Wasallam Is Raat Yeh Dua Padhte The:
اللّهُمَّ اَقْسِمْ لَنَا مِنْ خَشْيَتِكَ مَا يَحُوْلُ بَيْنَنَا وَبَيْنَ مَعْصِيَتِكَ، وَمِنْ طَاعَتِكَ مَا تُبَلِّغُنَا بِه رِضْوَانَكَ، وَمِنَ الْيَقِيْنِ مَا يَهُوْنُ عَلَيْنَا بِه مُصِيْبَاتُ الْدُّنْيَا، اَللّهُمَّ اَمْتِعْنَا بِاَسْمَاعِنَا وَ اَبْصَارِنَا وَ قُوَّتِنَا مَا اَحْيَيْتَنَا،  وَاجْعَلْهُ الْوَارِثَ مِنَّا،  وَاجْعَلْ ثَارَنَا عَلى مَنْ ظَلَمَنَا، وَانْصُرْنَا عَلى مَنْ عَادَانَا، وَلَا تَجْعَلْ مُصِيْبَتَنَا فِىْ دِيْنِنَا، وَلَا تَجْعَلِ الدُّنْيَا اَكْبَرَ هَمِّنَا، وَلَا مَبْلَغَ عِلْمِنَا،  وَلَا تُسَلِّطْ عَلَيْنَا مَنْ لَا يَرْحَمُنَا، بِرَحْمَتِكَ يَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ!!!
ALLAAHUMMA AQSIM LANAA MIN KHASH-YATIKA MAA YAHOOLU BAINANAA WA BAINA MA’SIYATIK, WA MIN TAA’ATIKA MAA TUBALLIGHUNAA BIHEE RIDWAANAK, WA-MINAL YAQEENI MAA YAHOONU ‘ALAINAA BIHEE MUSEEBAATUD-DUNIYAA, ALLAAHUMMA AMTI’NAA BI-ASMAA’INAA WA ABSAARINA WA QUWWATINA MAA AHYAI-TANAA, WAJ-‘AL HUL WAARISA MIN-NAA, WAJ-‘AL SAARANAA ‘ALAA MAN ZALAMANAA, WANSURNAA ‘ALAA MAN ‘AADAANAA, WALAA TAJ-‘AL MUSEEBATANAA FEE DEENINAA, WALAA TAJ-‘ALID-DUNIYAA AKBARA HAMMINAA, WALAA MABLAGHA ‘ILMINAA, WALAA TUSALLIT ‘ALAINA MAL-LAA YARHAMUNA, BIRAHMATIKA YAA ARHAMAR-RAAHIMEEN!
Tarjuma:-
Aye Ma’bood Humein Apne Khauf Ka Itna Hissa De Jo Hamaare Hamaari Taraf Se Teri Naafarmaani Ke Darmiyaan Rukaavat Banjaaye Aur Farmabardaari Se Itna Hissa De Ke Isse Hum Teri Khushnoodi Haasil Kar Sakein Aur Itna Yaqeen Ataa Kar Ke Jiski Badaulat Duniya Ke Takleefein Humein Sabakk Ma’loom Ho Aye Ma’bood! Jab Tu Humein Zinda Rakhe Humein Hamaare Kaanon Aankhon Aur Quwwat Se Mustafeed Farmaa Aur Us Qaayam Ko Hamaara Waaris Banaa Aur Unse Badla Lene Waala Qaraar De Jinhone Hum Par Zulm Kiya Hamaare Dushmanon Ke Khilaaf Hamaari Madad Farmaa Aur Hamaare Deen Mein Hamaare Liye Koi Museebat Na Laa Aur Hamaari Himmat Aur Hamaare Ilm Ke Liye Duniya Ko Badaa Maqsad Qaraar Na De Aur Hum Par Us Shakhs Ko Ghaalib Na Kar Jo Hum Par Rehem Na Kare Waasta Teri Rehmat Ka Aye Sabse Zyaada Rehem Waale!
Yeh Dua Jaame-o-Kaamil Hai Pas Ise Deegar Awqaat Mein Bhi Padhein.
• HADEES:
Hazrat Aaysha Siddiqa (Radiallahu Talaa’Anha) Farmati Hai,
Ek Raat Maine Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Na Paaya
To Main Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Talaash Mein Nikli.
Kya Dekhti Hu Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam JANNAT UL BAQI (Qabristan) Mein Hai.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ِNe Farmaya
Kya Tujhe Dar Huwa Ki ALLAH Aur Uska Rasool Tujh Par Zulm Karega?
Maine Arz Kiya,
Yaa Rasulallah! Sallallahu Alaihi Wasallam ِMaine Socha Shayad Aap Kisi Dusri Zawja Ke Yaha Tashreef Le Gaye.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ِNe Farmaya,
“ALLAH TA’ALA 15wi SHABAAN KI RAAT KO AASMAANO DUNIYA PAR (Jaisa Ki Uski Shaan Ke Laayik Hai) UTARTA HAI AUR BANU KALB QABILE KI BAKRIYO KE BAALO SE ZYADA LOGO KO BAKSHTA HAI.”
(Tirmizi Sharif, Abwaab ul Sawm, Jild 1, Safa 403, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, Hadees No 718, Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safa 398, Hadees No 1447)
SUBHANALLAH
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Mein ALLAH Ka Bando Par Khaas Fazl Hota Hai.
Is liye Bando Ko Chahiye Ki Iss Raat Mein Shab Bedaari Kare Aur ALLAH Ka Zikr Kare Aur Gaflat Ki Neend Na Soye.
Aur 15wi Shabaan Ki Raat Ko Khaas Qabrastaan Jana Bhi Iss Hadees Se Sabit Huwa. Kyuki Huzoor ِ Khud Is Raat Ko Jannatul Baqi Tashreef Le Gaye. Kuch Log Kehte Hain Ke Is Raat Ko Qabrastan Jaane Ka Hukm Nahi Farmaya Aur Har Saal Jaane Ka Bhi Zikr Nahi. Is Zimn Mein Hamara Ye Kehna Hai Ki Huzoorِ Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Koi Bhi Amal Chahe Us Mein Logo Ke Liye Hukm Ho Ya Na Ho, Sunnat Hota Hai. Hum Is Liye Khaas Qabrastaan Jate Hai Kyuki KHUD Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Gaye. Ab Kis Shaks Ko Jaana Ho Woh Jaaye Aur Jisse Na Jaana Ho Woh NA Jaaye Kyuki Ye Mehez Sunnat Hai, Koi Farz Ya Wajib Amal Nahi. Magar Kisi Ko Jaane Se Rokna Mehez Jahalat Hai Ki Nabi Ki Ek Sunnat Se Rokna Huwa.
NOTE:
Imam Tirmizi Radiallahu Anhu Aur Imam Ibne Majah Radiallahu Anhu Ka Khaas 15w Shabaan Ki Fazilat Par Baab Kayam Karna Ye Unke Aqeede Par Dalaalat Karta Hai Ki Imam Tirmizi Aur Imam Ibne Majah Ka Bhi Ye Aqeeda Tha Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Aap Fazilatwali Raat Maante The. Agar Is Raat Ki Koi Haqeeqat Na Hoti To Aap Aisa Unwaan Kyu Qayam Farmate?
• 15wi RAAT KO NAWAFIL KI KASRAT KARNA AUR DIN MEIN ROZA RAKHNA
15wi RAAT KO KHAAS RIZQ KA TAKSEEM HONA, KHAAS BANDO KI MAGFIRAT KA HONA AUR MUSIBAT SE NIJAAT MILNA
Hazrat  Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Riwayat Farmate Hain Ki RasoolAllah ﷺ Irshad Farmate Hai
“Jab Shabaan Ki 15wi Raat Ho To Raat Ko Qiyaam Karo,
Din Mein Roza Rakho
Kyuki ALLAH  Iss Raat Meiñ Duraj Guroob Hote Hi Aasmaano Duniya Ki Taraf Mutawajeh Hota Hai Aur Farmata Hai
Kaun Mujhse Magfirat Talab Karta Hai Ki Meiñ Usey Baksh Dooñ,
Kaun Mujhse Rizq-E-Halaal Talab Karta Hai Ke Meiñ Usey Rozi Dooñ,
Kaun Mubtala-E-Museebat Meiñ Hai Ki Meiñ Use Aafiyat Dooñ.
Is Tarah Subah Tak Irshaad Hota Rehta Hai.
(Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safah 398,Hadees No.1446)
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi  Shabaan Ki Raat Ko Nawafil Padhna Aur Ibadaat Karna Sunnat Hai
Aur Din Mein Roza Rakhna Bhi Is Hadees Se Sabit Huwa.
JAB 15-SHABAN AAYE TO USME IBAADAT KARO & DIN ME ROZA RAKHO
(ATTARGIB WATTARHIB Jild.2 Safa. 52)
(MISHKAT SHAREEF SAFA.115)
ALLAH Shabaan Ki 15wi Shab Me Tajjalli Farmata Hai Istaghfaar (Tauba) Karnewalo Ko Baksh Deta Hai
(Shobul-Imaan Hadees No:3835)
SHAB E BARAAT ME HALWA PAKAANA JAIZ HAI, AUR US PAR FATIHA DILANA EESALE SAWAB ME DAAKHIL HAI”
(JANNATI ZEWAR SAFA-330)
“ALLAH TA’ALA SHABAN KI 15vi RAAT KO APNI KHAAS RAHMATO KA NUZOOL FARMATA HAI.”
(TAFSIR-E-RUHUL BAYAN Jild-13 Safa-295)
Shab-E-Barat Momin Ke Liye Magfirat Ka Zarya ALLAH Subhana’Ta’Alla Siway Munafiq Musrik Aur Momin Se Qinna Rakhne Walon Sab Pe Apni Nazre Karam Farmata Hai.
Ibn Omer RadiyAllahu Ta’Alla Anhu Se Riwayat Hai Ke Aap Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.
{Musannaf Abdur Razzak : Hadees No 7927}
Hazrat Usmaan Bin Abi A’aas RAdiyAllahu Ta’Alla anhu Nabi E Karim Sallallaho Ta’Alla aleyhi Wasallam Se Riwayat Karte Hai Ke Aap Ne Farmaaya Jab Shabaan Ki 15vi Shabaan Hoti Hai Toh (Allah Ki Taraf Se) Ek Pukaarne Waala Pukaarta Hai Ke Hai Koi Maghfirat Ka Talabgaar Ke Mai Uski Maghfirat Kardo. Kya Koi Mangne Waala Ke Mai Usko Aata Kardo , Us Waqt Jo Koi Khuda Se Jo Kuch Mangta Hai Usko Milta Hai Siwaaye Badkaar Aurat Aur Mushrik Ke
{Shoaib Ul Imaan : Jild 5 Safa 362}
{Shoaib Ul Imaan Mutarjim : Jild 3 : Safa 306 , Hadees No 3836}
Hazrat Abdullah Bin Amr RAdiyAllahu Ta’Alla Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasooll E Akram Sallallaho Ta’Alla Aleyhi Wasallam  Ne Farmaaya Ke ALLA Jalle Shaanahu 15vi Shabaan Ki Raat Ko Apni Maqlooq Ki Taraf Mutawajje Hota Hai Kina Rakhne Waale Aur Na-Haq Qatal Karne Waale Ke Alaawa Apne Tamaam Bando Ki Bakshish Farmaate Hai.
{Targheeb  Wat Tarheeb : Jild 4 : Safa 239}
{Musnad E Ahmed : Jild 6 : Safa 197-198 , Hadees No 6642}
{Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 78 , Hadees No 12961}
Hazrat Abu Bakr Siddiq RAdiyAllahu Ta’Alla Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Sallallaho aleyhi Wasallam Ne Farmaaya : “Jab Shabaan Ki 15vi Shab Hoti Hai Toh Allah Tala Aasmaan E Dunya Par Nuzool Farmaate Hai Aur Apne Tamaam Bandho Ko Baksh Dete Hai Lekin Mushrik Aur Apne Bhai Ke Saat Kina Rakhne Waala Nahi Baksha Jaata”.
{Musnad E Bazzaar : Jild 1  Safa 157, Hadees No 80} 
ALLAH TA’ALLA SE DUA HAIN KIY MUJHSE JAAN-E-ANZANE ME KOI SADEER GUNAH HO GAYA TO APNE MEHBBUB KAREEM NABI RAHMAT KE SADQE ME MAUF FARMAYE
AUR MERI TARAF SE KISI KA BHI DIL DUKHA KISI KO TAKLEEF HUY HO TO ALLAH AUR RASOOLL KA WASTA DE KAR APNE KIYE GAI IS GALTY SE MAUFI MANG RAHA HOON AUR MENE APKO MAUF KYA AP MUJHE MAUF FARMAYE 
AUR APKI DUA ME ZAROOR IS FAQEER KO YAD RAKHE….!!!
TALIB-E-DUA:
Nazarahmed Khan
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!