Imaan

Wiladat Wa Fazilate Khatoon-E-Jannat Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Binte Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Hazrat Fatima Tu Zahra Radi Allaho Anha Ki Wiladat Ke Saal Me Muharikeen Ka Iktelaf Hai Abu Umar Ka Kaul Hai Ke Ailane Nabuwat Ke Pehle Saal Jab Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Umr 41 Baras Thi Us Wakt Wiladat Huwi Aur Baaj Ne Likha Hai Ke Ailane Nabuwat Ke Ek Saal Pehle Aur Allama Ibnul Zauzi Ne Likha Hai Ke Ailane Nabuwat Se 05 Saal Pehle Aapki Wiladat Huwi.
Wallahu Taa’la Aalam 
(Imam Abdul Bakir Zarkani Vol : 03, Pg : 201/202)
(Abdul Mustafa Amzadi, Seerat E Mustafa Pg : 699, Baab : Aulad e Paak Ka Bayan) 
Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Binte Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Parwarish Ka Bayan:
Hazrat Sayyeda Ka Bachpan Sharif Aur Zindagi Ka Har Lamha Nihayat Pakeeza Tha Aur Aisa Kyu Na Hota Jinke Walid Huzoor Rehmat-E-Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Umool Momineen Walida Hazrat Sayyeda Khatijatul Kubra 
Ki Aagosh Me Tarbiyat Me Bachpan Guzara Raat Din Bas Hazrat Sayyeda Umool Momineen Khatijatul Kubra Se Hamde Ilahi Akwaale Rasool Hadeese Rasool Sunti Aur Wo Mukaddas Chizo Ka Mushahida Karti Jo Hamari Soch Se Upar Hai. 
Jab Aapki Umr Mubarak 09 Saal Huwi Aapki Pyari Walida Umool Momineen Hazrat Khatijatul Kubra Ka Is Faani Dunya Se Apne Rabe Hakeeki Se Jaa Mili. 
(Bahawala : Tarikhe Karbala Pg : 160, Muhammad Aminul Qadri Rafai)
Umatul Momineen Sayyeda Ayesha
Siddiqa Radi Allaho Anha Bayan
Farmati Hai
“Maine Baat Chit, Chaal Dhal Aur Shakl-O-Shabat Me Hazrat Fatima Radi Allaho Anho Ke Elawa Kisi Ko Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Musahbe (Similar) Naa Paaya”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43:
Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi,
Kayami, Hadees : 5217)
(Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul
Manakib Ana Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 3872)
(Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad
Hadees : 947 & 971)
Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Binte Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Naame Girami, Alkabat Aur Tasmiya:
Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Maine Apni Beti Ka Naam Fatima Isliye Rakha Hai Ki ALLAH Taa’la Ne Isko Aur Iske Chahne Waalo Ko Dozakh Se Aazad Kiya Hai” 
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal,  Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Hadees : 34222) 
(Imam Daylami As Musnad ul Firdaus Bi Mathur Al Khitab Vol : 01, Pg : 346, Hadees : 1385)
(Imam Haytami Al-Sawa’iq al-Muhriqah Pg : 540) 
(Imam Mullah Ali Qari Shara E Fiqh E Akbar Pg : 133)
Tasbeeh-E-Fatima:
Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se
Rivayat Hai Ke Hazrat Fatima Radi Allaho Anha Ek Baar Bargaahe Risalat Me Haazir Huwi Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Khadim Ka Suwal Kiya To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Tumhare Pass Khadim To Nahi Milega.
Mai Tumhe Aisi Cheez Na Batau Jo
Khadim Se Behtar Hai? Tum Bistar Pe
Jaao To
33 Baar Subhan ALLAH,
33 Baar Alhamdullilah
Aur 34 Baar ALLAHO Akbar Padh Liya Karo.
(Sahi Muslim, Kitab No 48 Kitabut Zikri
Wa Duwa Wa Tauba Wa Astagfaar,
 Baab : Din Ki Shurwat aur Raat K Sone
Me Tasbih Ka Bayan, Hadees : 2728)
(Sahi Bukhari Kitab No 62, Manakib e
Sahaba, Hadees : 3705)
(Sahi Bukhari, Kitab No 69  Hadees :
5362)
Fazilate Fatima Tuz’zahra Radiallahu Anha:
Hazrat Al Miswar bin Makhrama Radi
Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Irshad Farmaya,
“Fatima Mera Jasade Anwar Ka Tukda Hai Jisne
Usko Naraaz Kiya Usne Mujhe Naraz
Kiya”
(Sahih Bukhari Kitab No 62, Kitab Al
Manakib E Sahaba, Baab : Manakib e
Fatima Zahra, Hadees : 3767)
(Sahi Muslim, Kitab No, 44 Kitabul
Manakib e Sahaba, Baab : Manakib e
Fatima Zahra, Hadees : 2449)
(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih,
Vol : 02, Pg : 436, Kitabul Manakib,
Baab : Manakib e Ahle Bait e Nabi ,
Hadees : 6139)
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al
Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :133,
Hadees : 4801)
Hazrat Huzaifa bin Yaman Radiallahu Anhu Farmate Hai Maine Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Se Suna,
“Ek Farishta Hai Jo Is Raat Se pehle
Kabhi Is Dunya Me Nahi Utra Isne Apne
Rab Ajwazal Se Izazat Maangi Ke Mujhe
Salam Kare Aur Mujhe Basharat De Ki
Fatima Jannati Aurato Ki Sardar Hai
Aur Hasan Wa Hussain Jannati
Nawjawano Ke Sardar Hai.”
(Sunan Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul
Manakib Ana Rasool Allahi Sallallahu Alaihi Wasallam , Baab : Manakib e Hasan bin Ali ibn Abu Talib,
Hadees : 4150)
(English Version Hadees : 3781)
Isi Tarah Ki Ek Aur Rivayat Kuch Alfazat Ke Change K Saath Hazrat Abu Hurrairah Radiallahu Anhu ْ Se Rivayat Hai Uska Hawala Niche Pesh Kar Raha Hu.
(Imam Bukhari ne apni kitab Tarikhul
Kabir Vol :01, Pg :232, Hadees :728)
(Imam Haythami Al Majmaul Zawaid
Vol : 09, Pg : 201)
Muhabbate Ahle Bait Aur Jannat Ki Basharat:
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya,
Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) Aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga.”
(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al
Musnad,  Vol :01, Pg : 168, Hadees
:576)
(Imam Haytami Al-Sawa’iq al-Muhriqah
Pg : 103)
ALLAH Hum Sabko Ahle Bait Ki Tazeem Ki Taufeeq De. Ahle Bait Ke Sadqe Tufail Hume Kameel Imaanwala Banaye Aur Imaan Pe Khatma Naseeb Kare.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:     
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم 
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!