Hadees

Say No To April Fool Day We Are Muslims

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
‘April Fool’ Jhooth Bol Kar Logon Ko Taklif Dene Ka Din.
Is Din Hum Dusron Ko Fool Banane Se
Zyada Khud Fool Bante Hai.
Kaise?
Kya Aapko Nahi Pata Musalman Ko Dhoka Dena Kitna Bada Gunaah Hai?
Kya Aapko Nahi Pata Jhooth Bolnewalo Par Kaun Laanat Karta Hai?
“Dekhiye Is Tarah Ke Din Manaane Ki Ijazat Naa To Humara Zameer Deta Hai, Aur Naa Hi Humara Imaan !”
Aaj Nahi Balki Abhi Se Ahad Karte Hain Ki Aaj Ke Baad April Fool Ke Ek Din Hi Nahi Balki Hamesha Jhooth Bolne Se Bachenge. Jhoot Ek Gunahe Kabeera Hai. Aur Jhoot Ke Mutalliq ALLAH RABBUL AALAMEEN Ne Qurane Pak Me Farma Diya,
“Aur Jhooton Par ALLAH Ki Laanat.”
(Surah Aal-E-Imran, Para 3, Aayat 61, Ruku 6, Tarzuma Kanzul Imaan)

Ab Aap Hi Soche Ki Jis Par ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Ki Laanat Ho Uska Kya Hashar Hoga?

Jhoot Ek Kabeera Gunah Hai Jiske Azab Ka Zikr Hadeese Pak Ke Hawale Se Pesh Kar Raha Hu,

Hazrat Abdullah Radiallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ne Farmaya :
“Sach (Hamessha) Neki Ki Raah Dikhaata Hai Aur Neki Jannat Ki Raah Dikhaati Hai. Aadami Sach Bolta Rahta Hai Yaha’n Tak Woh Siddique (Sachcha) Ban Jaata Hai Aur Jhooth Badee Ka Raasta Dikhaata Hai Aur Badee Dozakh Me Le Jaati Hai. Aadami Jhooth Bolta Rahta Hai Yaha’n Tak Ki Use ALLAH  Ta’ala Ke Ha’n Jhootha Hee Likh Diya Jaata Hai.”
(Bukhari As-Sahih, 05/2261, Raqam-5743)
(Muslim As-Sahih, 04/2012, Raqam-2607)
(Tirmidhi As-Sunan, 04/347, Raqam-1971)
(Aboo Dawood As-Sunan, 04/297, Raqam-4989)
(Ibn Majah As-Sunan, 01/18, Raqam-46)


Safwaan Bin Sulaim Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah Sallallhu Alaihi Wasallam Se Pucha Gaya Ki Kya Momeen Buzdil Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Haan.
Phir Pucha Gaya Ki Kya Momeen Kanjus Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Haan.
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Pucha Gaya Kya Momeen JHOOTA Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Faramaya NAHI.
Urdu Ref: (Imam Malik Muwatta,Vol 56, 19)
Eng Ref: (Malik Muwatta,Vol 56, 19)

Muawiyah Ibn Jaydah Al-Qushayri Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Halaakat (Barbadi) Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooti Baat Kare, Iske Liye Kharabi Hai, Iskey Liye Kharabi Hai.”
Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1552-Hasan)
Eng Ref: (Sunan Abu Dawud, Book 42, 4972-Hasan)

Abdullah Ibn Masood Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Jhooth Se Bachte Raho Kyunki Jhooth Burayee Ki Taraf Le Jata Hai Aur Burayee Jahannam Ki Taraf, Agar Koi Aadmi Jhooth Bolta Hai Aur Musalsal Jhooth Bolta Rahta Hai To ALLAH Ke Yahan Usko Kazzab (Jhootha) Likh Diya Jata Hai Aur Sach Bolna Tum Par Lazim Hai Kyunki Sach Neki Ki Taraf Le Jata Hai Aur Neki Jannat Ki Taraf Le Jati Hai, Agar Koi Aadmi Sach Bolta Hai Aur Musalsal Sach Bolta Rahta Hai To ALLAH Ke Yahan Usko Siddiq (Sachcha) Likh Diya Jata Hai.”
Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1551-Sahih)
 Eng Ref: (Sunan Abu Dawud, Book 42 Hadith 4971-Sahih)

Abu Umama Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Ke Beech Mein Ek Ghar Ki Zamant Deta Hu Jo Mazaq Mein Bhi Jhoot Bolna Chodh De.
Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Hasan)
 Eng Ref: (Sunan Abu Dawud Book 41, 4782-Hasan)

Pyare Islami Bhaiyon/Beheno Yaad Rakho
“Jhooth Bolne Ki Aadat Ka Sab Se Bada
Nuksaan Ye Bhi Hai, Ke Jhooth Bolnewala Jab Sach Bolta Hai
To Bhi Log Uski Baat Par Yakeen Nahi
Karte.”

Aap Sab Ki Bargah Me Arz Hai Ki Abhi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Se Tauba Kare Jo Jhooth Aaj Tak Bolo Hoga Jaane Anjane
Me Aur Pakka Ahad Kare Ki Ab Kabhi Jhooth Nahi Bolenge ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Hume Padhne Se Zyada.Samjhkar Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:  
              www.hamarenabi.com
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!