Hadees-E-Nabwi

Peer-Jumeraat Bando Ke Aamal ALLAH Rabbul Aalameen Ke Bargah Me Pesh Hote Hai

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :
“Peer Aur Jumeraat Ko Allahعزوجل Ke Huzoor Bando Ke Aamal Pesh Kiye Jaatey Hain Aur Mujhe Yeh Baat Pasand Hai Jab Mere Aamal Pesh Ho Toh Mein Rozey Ki Haalat Me Rahoon”
Hadees-E-Paak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه   Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Irshaad Farmaya – “Har Peer Aur Jumeraat Ke Din Allah Ta’ala Ke Huzoor Bando Ke Aa’mal Pesh Hotey Hain, Chunachey Allah Ta’ala Us Din Har Us Shakhs Ki Jo Allah Ta’ala Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Thehraata Ho Maghfirat Farmata Hai, Albatta Woh Shakhs Us Bakhshish Se Mehroom Rehta Hai Ke Jiski Apne Kisi (Musalmaan) Bhai Se Dushmani Ho.
Allah Ta’ala Ki Taraf Se Farishto Ko Huqm Hota Hai : ‘Un Dono Ko Rehne Do Jab Tak Aapas Me Sulah Wa Safaayi Na Kar Lein”.
ALLAHU Akbar..!
Afsos! Aaj hamare islami bhai aur behene yuhi kisika dil dukha dete hai. Dusro ko taklif dete hai. Aksar Mauke Talash Karte Rehte Hai Ke Kis Tarah Fala Shaks Ko Jaleel Kiya Jaye. Aise Log Is Hadees Shareef Se Kuch Sabak Le. Ke Roze Qyamat Bhi Unki Aapsi Dushmani Aur Sulah Na Hone Ke Sabab Wo Fas Sakte Hai.
Hazrate Abu Qatada رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki, Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Se Peer Ke Din Rozey Ke Baare Me Poocha Gaya Toh,
Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Irshaad Faramaya Ki, “Isi Din (Monday) Meri Paidaish Hui Aur Isi Din Se Mujh Par Nuzool-E-Quran Ki Ibtida Hui”.

● Marhoom Walidein Ko Har Jumu’aa Aa’mal Pesh Hotey Hain
Hadees-E-Paak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya : ”Peer Aur Jumeraat Ko Allahعزوجل Ke Huzoor Aa’mal Pesh Hotey Hain Aur Ambiya-E-Kiram  Isa عليهم السلام Aur (Marhoom) Maa Baap Ke Saamne Har Jumu’aa Ko. Woh Nekiyon Par Khush Hotey Hain Aur Un Ke Chehron Ki Safaai Wa Taabish (Yaani Chamak Damak) Badh Jaati Hai, Toh Allahعزوجل Se Daro Aur Apney Wafaat Paaney Walo Ko Apney Gunaho Se Ranj Na Pahonchao.
References:
(Jamia Al Tirmizi : Hadees 747
Book ref. : Book 8, Hadees 66
Eng ref. : Vol. 2, Book 3, Hadees 747)
(Sahih Muslim : Hadees 1162
Book ref. 13, Hadees 256
Eng ref. : Book 6, Hadees 2606)
(Sahih Muslim : Hadess 2565
Book ref. :  45, Hadees 45
Eng ref. : Book 32, Hadees 6224)
(Sunan Ibn Majah : Vol. 1, Book 7, Hadees 1740
Arabic ref. : Book 7, Hadees 1812)
(Nawadir Usool , Lil Hakeem Al Tirmizi : Jild 2 , Safha 260)
(Faizane Jum’aa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 13)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!