Hadees-E-NabwiNamaz

Namaz Me Kapdey Aur Baalon Ko Modna

~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Rivayat Hai 
Nabi-E-Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya,
“Humein Huqm Huwa Ke Saat (7) Haddiyo Par Sajda Karoon Aur Kapdon Aur Baalon Ko Na Sametoon”
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
“Mujhe Huqm Huwa (Allah Se) Ke Me Saat (7) Haddiyon Par Sajda Karoon, Moonh (Naak Aur Peshani) Dono Haath, Dono Ghootney Aur Dono Panjey Aur Yeh Huqm Huwa Ke Kapdey Aur Baal Na Sameton.
References
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sajde Ka Bayan, Hadees : 810 ‘English No : 774)
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sazde Ka Bayan, Hadees : 809 ‘English No : 773)
(Sahih Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan,  Hadees : 815 & 816, ‘English No : 779 & 780)
(Sahih Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 993)
(Sahih Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 995)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1093,1113 & 1115)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1096,1097)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 889, ‘English No : 888)
(Jamia Tirmiz, Vol : 01, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 273)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab No :05, Kitabus Ikamat e Salat wa Sunnat, Hadees : 933 & 934)
(Namaz Ke Ahkam (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 213..)
Ab Bhi Jo Log Kapde Modte Hain,
Unhe Ye Hadeese Dobara Padhni Chahiye. Ke Woh Nabi Ke Farmaan Ko Chodkar Kiske Farmaan Per Amal Kar Rahe Hain..
➡Us Shakhs Ki Taraf Nazre Rehmat Nahi Karega

● Takabbur Ki Niyat Se Apna Tehband, Izaar, Pant Wagairah Latkana Ya Zameen Par Ghaseet Kar Chalna
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurraira رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Ki : “Jo Takkabur Ki Wajah Se Apna Tehband Latkayega  Allah Ta’ala Uski Taraf Baroze Qiyamat Nigah-E-Rehmat Na Farmayega”
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Hurraira رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Ki :
“Jis Ka Libaas Takhno Se Nichey Latkey Woh Jahannum Me Hai.”
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Juraye Jabir Bin Salim Al Huzaimi رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya Ki :
“Takhney Se Niche Libaas Latkaney Se Khabardar Hona, Kyunki Yeh Ghamand Hai Aur Allah Ta’ala Ghamand Ko Pasand Nahi Karta”
● Apni Niyat Ko Parakh Lijiye
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abdullah ibn Umar رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Ki :
“Jo Libaas Takabbur Ki Wajah Se Latkaye, Allah Ta’ala Uski Taraf Dekhega Bhi Nahi”,
Is Par Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه  Ne Kaha Ki “Ya Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم   Mera Libaas Nichey Latakta Hai. Toh
Nabi-E-Kareem صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya Ki Yeh Tumhare Liye Nahi Ke Tumhein Takabbur Nahi Hai.
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Umar Bin Khattab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki
Huzoor  صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya :
“Aamaal Ka Daaromadaar Niyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Ki Us Ne Niyat Ki.”
References
(Sahih Bukhari : Vol 03, Kitab No 77 Kitab Al Libas, Baab : Takkabur Aur Ghamand Me Kapde Latkane Waale Ka Bayan,  Hadees : 5788)
(Sahih Bukhari : Vol 03, Kitab No 77 Kitab Al Libas, Baab : Takkabur Aur Ghamand Me Kapde Latkane Waale Ka Bayan,  Hadees : 5788)
(Eng ref. :  Vol : 07, Book 72 , Hadith : 679
Sahih Bukhari: Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : Kapde Ka Wo Hissa Jo Takhne Se Niche Ho Woh Jahannam Me , Hadees : 5787)
(Eng ref. : Vol. 7, Book 72, Hadith 678
Sunan Abu Dawood : Kitaab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees : 4084)
(Sahih Bukhari: Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : Kapde Ka Wo Hissa Jo Takhne Se Niche Ho Woh Jahannam Me : Hadees : 5784)
(Eng ref. : Vol : 07, Book 72 , Hadith : 675
Sahih Bukhari: Vol 03, Kitab No 78,  Kitab AL Adab, Hadees : 6062)
(Sunan Nasai : Kitab No 48 Kitabul Zeenat, Baab : Isbaal e Izar, Hadees : 5355
Sahih Bukhari : Vol : 01, Hadees : 1)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!