Mahe Ramzan Ki Fazilate Roze ke Masle Masail
KHAZOOR Khaane Se
Koolanj (Badi Antadi Ka Dard APPENDIX)
Nahin Hota.
(Kanzul Ummaal J:10 S:12 H:24191)
“JO MUSALMAN JUM’A KI
RAAT YA DIN ME YA RAMZAN KE PURE MAHINE ME
(DIN YA RAAT)ME MARE
USSE KABR ME SAWAL NAHI HOGA.”
(Musand-E-Imaam AHMAD H:8080)
RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE
Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai.
(Musand-e-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132)
Mas’ala:
ROZE Ki Haalat Me
TOOTH PASTE(Colgate) Nahin Karna Chaahiye
Agar UsKe Baarik Ajza Halq Se Utar Gaye Tou ROZA Tut Jayega.
[Fatawa Bahrul Uloom]
Hazrat Ahmed Yaar Khan RahemtullaheAlaih:
Is Mah Me Jo Gunah Karta Hai Wo Apne Nafse-Ammarah Ki Shararat Se Karta Hai, Na Ke Shaitan Ke Behkane Se.
[MIRAAT]
Mas’ala:
Kulli Ki or Pani Bilkul Ugal Diya Sirf Kuch Tari Muh Me Rahi Thi Thook Ke Sath Nigal Liya
To Roza Nahi Toota
(Aalamgiri J:1,S:190)
ROZE KI HAALAT ME SAR ME TAIL DAALNA JAAIZ HAI
ISSE ROZA MAKROOH NAHI HOTA HAI.
(BAHAR-E-SHARIAT PART-5, PAGE-125)
NA-PAAKI KI HAALAT ME SEHRI KAR SAKTE HAI
LEKIN PHIR GUSL KAR KE FAJR KI NAMAZ ADA KARE.
(BAHAR-E-SHARIAT)
Beshak!
Allah Azzawajal Aur Uske Farishte Sehri Khanewalo Par Rahmat Nazil Farmate He
(Sahi Ibne Hibban)
Mas’Ala
Kaan Me Pani Chala Gaya Tab bhi Roza Nahi Tuta
Balki Khud Pani Dala tab bhi Nahi Tutega
(Dure Mukhtar J;3 S;367)
Jis Ka Roze Ki Halat Me Intiqal Huwa
ALLAH TA’ALA Us Ko
Qiyamat Tak Rozo Ka Sawab Ata Farmaata Hai.
[Al Firdaus Jild:3 Safa:504 Haeees:5557]
RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE
Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai
[Musand-E-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132]
Jo Buri Baat Kehna aur Us Par Amal Karna Na Chhode To Us Ke BHOOKA-PYASA Rahne Ki ALLAH Ko Kuch Haajat Nahi
(Bukhari J:1 S:628 H:1903)
Bahot Se Rozedar Aise He Ki
Un Ko Unke Roze Se Bhookh Bur Piyas Ke Siwa Kuchh Hasil Nahi Hota.
(Sunan Ibn-e-Majja
Jild:2 Safa:320)
Beshak Rozadar Ke Liye Iftaar Ke Waqt
1 Aisi Dua Hoti He Jo Rad Nahi Ki Jaati.
(Attargib Wattarhib J:2 S:53 H:29.)
ROZE KI HAALAT ME NEEND AANE KE BAAD AGAR EHTLAAM HO JAAYE
TO
ROZA NAHI TUT’TA.
(BAHAR-E-SHARIAT)
Hamare Aur Ahlekitab (Isaaiyo Aur Yahudiyo) Ke Rozo Ke Beech Farq Sehri Khana Hai Yani (wo Log Sehri Nahi Khate)
(MUSLIM Page:552)
RAMZAN SHARIF KE MAHINE ME ROZE KI HAALAT KE ILAAWA
BIWI SE HAMBISTARI KARNA JAAIZ HAI
(BAHAR-E-SHARIAT)
Jo Banda ALLAH Ta’ala Ki Raah Me 1 Din Ka Roza Rakhega
To Dozakh us Bandese 100 Baras Ki Raah Par Hogi
(Tibrani)
RAMZANUL MUBARAK KE ROZE AE’LANE NABUWWAT KE 15 WE SAAL
YAANI 10 SHAWWAL HIJRI SAN 2 ME FARZ HUWE.
(TAZKIRATUL KHAZAINUL IRFAN)