Betiya ALLAH Ki Rehmat/Status Of Girl In Islam-Girls Are ALLAH'S Blessing
Jab Wo BIWI Banti Hai, Shohar Ka Aadha(Half) Deen Muqammal Kar Deti Hai
Jab Wo Maa Banti Hai, Jannat Uske Qadmo Me Hoti Hai.”
SubhanALLAH
Ye Martaba Hai Ek Ladki Ka Deen-E-Islam Me. Ladkiya Kismatwalo Ke Ghar Paida Hoti Hai.
Aaj Kai Log Aise Hai Jo Ladke Ko Behtar Aulad Mante Hai Use Nasl Ka Chirag Jante Hai. Aur Uski Parwarish Bade Shauk Se Karte Hai. Aur Ladki Paida Hone Par Matam Jaisa Mahol Ho Jata Hai. Ladki Ka Istaqbal Aur Parwarish Khushi Se Nahi Kiya Jati.
Is Post Me Hamne Ladkiyo Paida Hone Par Honewali Barkato Aur Rehmato Ka Bayan Kiya Hai. Taki Log Ladkiyo Ki Ahmiyat Ko Jane.
ALLAH Hame Ladkiyo Ki Qadr Karne Ki Taufeeq De.
Aameen.
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jisne Apni Ek Bhi Ladki Ya Behen Ki Parwarish Ki
Aur Usey Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi (Nikah) Karadi
To Allah Ta’ala Usey Jarur Jannat Me Dakhil Karega.”
(Abu Dawood, Jild-3, Baab-578, Hadees-1706, Safa-617)
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge
Tou Woh Bachchiya Unke Liye
Jahannam Se Aad (Deewar) Ban Jayengi.
(Tirmizi Sharif, Jild-1, Baab-1279, Hadees-1980, Safa-901)
Kisi Shayar Ne Kya Khoob Kaha Hai
“Betiya Sabke Muqaddar Me Kaha Hoti Hai
Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Waha Hoti Hai.”
Ghar Aane Par Daud Kar Jo Paas Aaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Thak Jane Par Jo Pyar Se Sar Sehlaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
“Kal Dila Denge” Kehne Par Jo Maan Jaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Har Roz Waqt Par Dawa Ki Jo Yaad Dilaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Ghar Ko Man Se Phoolsa Jo Sajaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Sehte Hue Bhi Apne Dukh Jo Chupaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Door Jane Par Jo Bahut Rulaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Shohar Ki Ho Kar Bhi Jo Maa-Baap Ko Na Bhulaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
Milo Door Ho Kar Bhi Jo Paas Hone Ka Ehsas Dilaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
“Anmol Heera” Jo Kehlaye, Use Kehte Hai “Bitiya”।।
World’s Best Islamic Blog
Like Our Official Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Don’t Forget To Share Because Sharing Is Caring..
JazakALLAHU Khair..:-)
Bahut pyari aur achchi baaten apne batai betiyon ke talluk se. Allah hum sab ko nek amal karni ki tafiq ata farmaye. Jazak Allah…
Bye Shoeb from: PNR Status Buzz
JazakALLAHU Khair for your feedback. Keep visiting again to know more about Islam in the light of Quran Wa Hadees.
Remember me in your precious dua.