Aqaid-E-Ahle Sunnat

Huzoor Ki Ita'at Aur Muhabbat Hi Imaan Hai

Upar (Qist-2,3,4 Me) Aap Padh Chuke Hain Ki Ahlesunnat Huzoor ﷺ Ki Sunnat Aur Aapke Khulafae Rashedeen Ki Sunnat Par Chalne Walon Ko Kehte Hain…….

Is Silsile Me Hum Ne Arbi & Urdu Lughaat Ke Hawale Bhi Pesh Kiye Hain…

Musalman Ke Liye Huzoor ﷺ Ki ita’at Aur Aap Se Mohabbat Aapke Hukmo Ki Ta’meel Har Farz Se Bada Farz Hai Chunki iman Kehte Hain.
التصديق بما جاء النبیﷺ
Jo Kuch Huzoor ﷺ Le Kar Aaye Dil Ki Gehrai Se Use Maan Lena Hi iman Hai, iman Eik Zaroori Cheez Hai, Momin Ki Zindagi Ka Aagaz Hi iman Se Hai Agar iman Nahi To Aap Use insan To Keh Sakte Hain Magar Momin Ya Musalman Nahi,,,,,,

Huzoor ﷺ Ki ita’at Aap ﷺ Ki itteba Aapke Hukmo Par Chalna Aur Jisse Aap ﷺ Ne Mana Farnmya Usse Ruk Jana, in Tamam Chizo Ki Hidayat Hame Allah Ki Janib Se Quran Me Mil Rahi Hai….

No-1.
“QURAN”
Aye iman Walo Hukm Mano Allah Ka Aur Hukm Mano Rasool (ﷺ) Ka, Aur unka Tum Me Jo Hukumat Wale Hain.
{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٥٩}

No-2.
“QURAN”
Aur Aye Mehboob Hum Ne Tume Sab Logon Ke Liye Rasool Bheja, Aur Allah Kafi Hai Gawah, Jisne Rasool Ka Hukm Mana Beshak Usne Allah Ka Hukm Mana
{القرآن الكريم، الجزء-٥، السورة النساء، الايت-٨٠}

No-3.
“QURAN”
Aye Mehoob Tum Farma Do, Logon Agar Allah Ko Dost Rakhte Ho To Mere Farma’bardar Ho Jao
{القرآن الكريم، الجزء-٣، سورة ال عمران، الايت-٣١}

No-4.
“QURAN”
Aur Jo Kuch Rasool (ﷺ) Tume Ata Farmayen Wo Le Lo Aur Jisse Mana Farmayen Baaz Raho
{القرآن الكريم، الجزء-٢٨، سورة الحشر، الايت-٧}

No-5.
“QURAN”
Beshak Tume Rasulullah Ki Pairwi Behtar Hai
{القرآن الكريم، الجزء-٢١، سورة الأحزاب، الآية-٢١}
In Tamam Aayaat Se Maloom Hua Ki Halal O Haram Ka ikhteyar (Power) Huzoor ﷺ Ko Bhi Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki ita’at Hi Allah Ki ita’at Hai, Aur Huzoor ﷺ Ki Zindagi E Mubarak Tamam Nasle insani Ke Liye Behtareen Uswah (Namuna) Hai, Aur Agar insan Allah Pak Ki Muhabbat Chahta Hai To Uska Zarya Sirf Huzoor ﷺ Ki Sunnat Ka Aapki Shari’at Ka Itteba Hai Aur Aapke Tariqon Par Chalna Hi Hai….

In Qurani Hukmo Par Jinka Amal Hai Wo Ahlesunnat Wa Jamat Ka Giroh Hai Jo Huzoor ﷺ Aur Aapke Sahaba Ki Pairawi Karta Hai.

(Mazmoon Jari Hai “Aqaid-E-Ahle Sunnat” Category Me Padhe)

Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!