Aqaid-E-Ahle Sunnat

Ahle Sunnat Jamat Kaunsi Hai

in Tamam Hawalo Se Maloom Hua Ki Ummat Ka 73 Firqon Me Bat’na Aur unme 72 Ka Dozakhi Aur Eik Ka Jannati Hona YAQEENI Hai,,

Aur Jo Jannati Hai Us Jamat Ka Naam “Ahlesunnat Wa Jamat” Hai Jaisa Ki Aap Ne Upar Zikr Hui (Part-2/3 Me) Hadees E Pak Ki Tashreeh Ke Tahet Aimmah islam Ki Tasrihaat Mulahaza Farmai.

Ab Aaiye Hum Ahlesunnat Wa Jamat Ki Mukhtasar Tashreeh Lughat Aur Quran O Hadees Se Dekhen Ki is Jamat Ka Naam Quran O Hadees Me Kahan Kahan Aaya Hai……..

AHLE SUNNAT KA LUGHWI MAANA”
AhleSunnat Wa Jamat Ye 2 Lafzon Ss Murakkab Hai.
1- SUNNAT Aur 2-JAMAT

SUNNAT Arbi Lafz Hai Aur Lughat (Dictionary) Me Sunnat Ka Mana Hai

SUNNAT- Rah, Rawish, Adat
(Gayasul Lughat)

SUNNAT- Sirat, Tabi’at, Shari’at
(Al’munjid)

SUNNAT- Tariqah, Khas Zabtah
(AL Qamusul Jadeed)

SUNNAT- Wo Tariqah Jis Par Rasulullah ﷺ Aur Sahaba Ne Amal Kiya Ho, Rah, Rawish, Dastoor, Adat, Sunnate Nabwi Yani Rasulullah ﷺ Ka Tariqah
(FERUZUL LUGAT Urdu Dictionary)

SUNNI- Musalmano Ka Wo Firqah Jo Khulafaye Rashedeen Ko Bar’HAQ Manta Ho Huzoor ﷺ Aur Sahaba Ki Sunnat Par Amal Karne Wale
(FERUZUL LUGAT Urdu Dictionary)

Lugat Ke Hisab Se Sunnat Huzoor ﷺ Aur Dusre Ke TARIQE Ko Bhi Sunnat Kaha Jata Hai, Lekin Shariat Ke Mutabiq Sunnat Khas Huzoor ﷺ Ke Tariqe Ko Kaha Jata Hai Khwah (خواه ) Qaulan Ya Felan Ya Amalan Ho….

Peshwae Auliya Sayyedna Sarkar Shaikh Abdul Qadir Jilani Hasani Husaini Huzoor Gausul Azam Dastageer رضی اللہ تعالیٰ عنہ Farmate Hain.

فالسنة ما سنة رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم
Maloom Hua Sunnat Rasulullah صلى الله تعالى عليه وسلم Ke TARIQE Ko Kehte Hain
(غنية الطالبين)

Muhaddise Azam Allama Mulla ALI Qari Hanafi رحمه الله تعالى Mishkat Ki Sharah Mirqat Me Sunnat Ki Tareef Ke Tahet Tehreer Farmate Hain.

والمراد بالسنة هنا اقواله، افعاله، واحواله المعتبر عنها بالشرعية الطريقة والحقيقة

Yahan Sunnat Se Murad Aap ﷺ Ke Irshadat (Jo Kaha) Aur Af’aal (Jo Kiya) Hain Jinse Shariat Tariqat Aur HAQIQAT Tabeer Ki Gai
(المرقات المفاتيح شرح مشكوة المصابيح)

Jab Lafz Sunnat Ka Bola Jata Hai To Zahen Me Sab Se Pehle Sarkare Do Alam ﷺ Ka TARIQAH Aata Hai, Sunnat Ke Andar Asal Kya Hai?
Is Par Lisanul Arab Ki ibarat Padhiye

والاصل فيه الطريقة والسيرة واذا اطلقت فى الشرع فانما يراد بها ما امر به النبیﷺ ونهى عنه وندب اليه قولاً فعلاً بما لم ينطق به الكتاب العزيز
Tarjamah-
Sunnat Me Asal Hai TARIQAH Aur Adat, Shariat Me iska ITLAQ Us Cheez Par Hota Hai Jiska Aap ﷺ Ne Hukm Diya Ho Ya Usse Roka Ho
(لسان العرب)

in Tamam Hawalon Se Maloom Hua Ahle Islam Me Jitni Jamaten Hain (is waqt) unme FAQAT Ahlesunnat Hi Wo Giroh Hai Jo Pyare AAQA Ke Pyare AQWAL O IRSHADAAT Aur Unke MUBARAK TARIQON Par Chal Raha Hai, Aur Uski Hifazat O Pasbani Kar Raha Hai, Aur Use Dusron Tak Paohchane Me Laga Hai,
Ahlesunnat Ke Maana Hi Hai Huzoor ﷺ Ke TARIQAYE HASANA Ki itteba Karne Wale Log Aur Yahi Wo Ta’ifae Mansoorah (Kamyab Giroh) Hai Jise Gaib Daan Nabi Ne Apni Zubane AQDAS Se Jannat Ki Basharat Ata Farmai.

“Wo Zuban Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahen….
Uski Nafiz Hukumat Pe Lakhon Salam.!!!!!!!
(Sayyedi Alahazrat عليه الرحمه)

(Mazmoon Jari Hai “Aqaid-E-Ahle Sunnat” Category Me Padhe)

Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!